Quran Me Tazkira-e-Karbala

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 51

1

Zikri Shahadatil
Hussain
fee
Kalami Rabbil
Hussain
Alaihissalam

Quran me Tazkira-e-Karbala

Muhammad Shadab Shaikh


3
4

ٍ ‫َوفَدَ ْينَاهُ ِب ِذب‬


‫ْح َع ِظ ٍيم‬
“Aur Humne ek Bahot Badi Qurbani ke saath uska (Zibh-e-Ismail
Alaihissalam ka) fidya kardiya.”
Surah Saffat 37:108


َّ‫ات بَ ْل أَ ْحيَا ٌء َولَ ِكن ال‬
ٌ ‫اّللِ أ َ ْم َو‬
‫يل ه‬ َ ‫َوالَ تَقُولُواْ ِل َم ْن يُ ْقت َ ُل ِفي‬
ِ ‫س ِب‬
َ‫ت َ ْشعُ ُرون‬
Aur jo log Allah ki Raah me maare jaayen unhe mat kaha karo ki ye
murdah hain, (wo murdah nahi) balki zindah hain lekin tumhe (unki
zindagi ka) shaoor nahi.
Surah Baqrah 2:154
5

Allahumma Salli wa Sallim Sayyedina wa Maulana Muhammadiw wa


Ala Aali Sayyedina Muhammadin Ala Qadree Muhabbatika Feeh
Ay Allah! Hamare Aaqa Hazrat Muhammad aur Unki Aal-e-Pak par
Itne Durood-o-Salaam Nazil farma Jitni Tujhe Unse Muhabbat hai.
6

INDEX

Content Page
No.
Pesh Lafz

1 Imamat

2 Zibh-e-Azeem

3 Sayyeduna Yahya Alaihissalam aur Sayyeduna Imam


Hussain Alaihissalam

4 Marajal Bahrain

5 Hijrat karke Shaheed kiye Jaane Waale

6 Sabr aur Namaz Waale

7 Quran ki Hifazat

8 Surah Yusuf aur Daastan-e-Karbala: Yusuf-e-


Muhammad (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam)
9 Surah Dahar aur Karbala ka Ajr
7

10 Karbala ek Qayamat Thi

11 RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam


ko azeeyat dene waala yazid laeen
12 Laylatul Qadr aur Karbala

13 Ay Rooh-e-Hussain Aa Apne Rab ke Paas | Surah


Fajr: Sayyeduna Ibrahim Alaihissalam se Imam
Hussain Alaihissalam Tak

14 Imam Hussain Alaihissalam ki Shahadat ko Itni


Shohrat Kyu Hasil Hai?
8

Shah Ast Hussain


Badshah Ast Hussain
Deen Ast Hussain
Deen Panah Ast Hussain
Sar Daad Na Daad Dast dar dast-e-yazid
Haqqa ke Binaye
La Ilaha Ast Hussain

Shehanshah-e-Hind Hazrat Khwaja Gareeb Nawaz RadiAllahu


Anhu ki ye mashhoor rubayi aisi he hai jaise kuzey me pura samundar
bhar dena! Is rubayi ke har har jumle par kai kai jildon ki kitaben likhi
jasakti hain.
Imam-e-Aali Muqaam Sayyeduna Imam Hussain Alaihissalam ne Apni
Azeem Shahadat aur Baymisaal Kurbani ke zariye Deen-e-Islam ko na sirf
bachaya balke Deen ko ab Qayamat tak keliye bayniyaaz kardiya, ab koi
kuch bhi karle, ye Deen mit nahi sakta, kyunki iski rago me Khoon-e-
Hussain daud raha hai, ye itni badi Shahadat hai! Aur isi Shahadat ke
zariye Imam-e-Aali Muqaam ne puri insaniyat ko chahe koi kisi bhi
mazhab se talluq rakhta ho, usko practically dikha diya ke zulm-o-sitam
badhe to is tarah usse takkar lo. Aap Alaihissalam ki Shahadat puri
insaniyat keliye role model hai aur Islam bhi sabko achi, adlo insaf waali
zindagi ki taraf lana chahta hai to lazmi hai ke jis waqiye se insaniyat ko
itna bada sabak milraha hai, uska zikr bhi Quran-e-Majeed me zarur hoga.
Aur waise bhi Allah Ta’ala ne farmadiya hai ke Quran me har shaye ki
tafseel, details maujud hai. Imam Hussain Alaihissalam ki Shahadat aur
Marqa-e-Karbala ka zikr to Ahadees me tafseel se maujud hai. Lekin
Quran-e-Majeed me kahan kahan pe tazkira hai isko jama karne ki ek
adna si koshish ki gayi hai is kitab me. Agar sahih likha hai to ye Quran
ki Shaan hai ke Wo Allah ka Kalaam hai aur agar galti hui hai to bhi
9

Quran sachha hai bus humse samjhne me galti hogayi. Allah Pak hamari
khataon ko muaaf farmaye aur agar sahi likha hai to is choti si koshish ko
Apni Bargah me kubool farmaye, Aameen bee Jaah Sayyedul Mursaleen
wa Ahle Baytihi Azeem (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam).
10

1. Imamat

ِ َّ‫ت فَأَت َ َّم ُه َّن قَا َل ِإنِهي َجا ِعلُ َك ِللن‬


‫اس ِإ َما ًما‬ َ ‫َو ِإ ِذ ا ْبتَلَى ِإب َْرا ِه‬
ٍ ‫يم َربُّهُ ِب َك ِل َما‬
َّ ‫ع ْه ِدي‬
َ‫الظا ِل ِمين‬ َ ‫قَا َل َو ِمن ذُ ِ هريَّ ِتي قَا َل الَ يَنَا ُل‬
“Aur (wo waqt yaad karo) jab Ibrahim (Alaihissalam) ne ko Unke Rab
ne kai baato me aazmaya to Unhone wo puri kardin, (Is par) Allah ne
farmaya: Mai tumhe logo ka Imam (peshwa) banaunga, unhone arz kiya:
(Kya) Meri aulad mese bhi/ Irshad hua: (Haan! Magar) Mera wada
zalimo ko nahi pahunchta.”
Surah Baqrah 2:124

Sayyeduna Ibrahim Alaihissalam par bahot saari sakht aazmaishe


aayin lekin Aap Alaihissalam ne har aazmaish ko puri kamiyabi ke saath
paar kiya jaise ke Aapko khatarnak aag me dala gaya lekin Aap us
aazmaish me bhi kamyab hue. Aapki umr mubarak kaafi hochuki thi lekin
koi aulaad nahi thi, to budhaape me jaake Aapke yahan Sayyeduna Ismail
Alaihissalam ki Wiladat hui, to saaf zahir hai ke itne lambe arse baad
aulad hui to usse muhabbat bhi kitni zyada hogi. Lekin jab Ismail
Alaihissalam ki Wiladat hui aur abhi Aap ki umr mubarak bahot he kum
thi ki Allah ka Hukm aaya ke Ay Ibrahim Apne bache aur uski walida ko
bay-aabo-geya registaan me chod aa. To Hukm ki fauran taamil ki aur
Sayyeda Hajra aur Hazrat Ismail (Alaihi-mussalam) ko ek khaali jagah
laake chodh diya. Wo jagah Waadi-e-Makka thi aur ye Makka shehar ki
ibteda thi. Khair to is aazmaish me bhi kamyab hue, fir jab Ismail
Alaihissalam kuch bade hue to Allah ka Hukm aaya ke Ismail ko zibh
kardo. Allahu Akbar! Is aazmaish me bhi kamyab hue. Inme se har ek
aazmaish aisi hai ke hum andaza nahi lagasakte ke kya Unke Imaan ka
Aalam hoga. To bilaakhir jab Hazrat Ismail Alaihissalam jawani ko
11

pahunche to Allah ka Hukm hua ke Ibrahim aur Ismail, Tum Dono


milkar Mera Ghar Khana-e-Kaaba taamir karo.
To Hazrat Ismail Alaihissalam matti aur inte dete jaate aur Ibrahim
Alaihissalam Kaaba taamir karte jaate. Aap Alaihissalam ek pathar pe
khade hokar Kaaba taamir karte they, jab Kaaba ki height badhne lagi to
wo pathar pe upar hota jata jisse taamir me koi problem nahi aati. Jab
Kaaba tamir hua to Allah apne Ibrahim se bahot khush hokar farmaya
Ibrahim Mai tumhe Imamat yaani sabka peshwa banaunga. Ibrahim
Alaihissalam ne darkhast farmayi ke Meri Aulad me bhi ye Imamat
kaayam farma. To Allah ne dua kabool farma li.
Yehi wo muqaam tha jahan Aap Alaihissalam ne ye dua bhi farmayi thi
ke Wo Khatamun-Nabiyyin, kul Ambiya ka Imam, Sayyeduna
Muhammadur RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko
Meri Aal he ata farma. Ye puri dua maangte waqt us pathar ne Sayyeduna
Ibrahim Alaihissalam ke Qadmain Shareefain ke nishaan ko Apne upar
jazb karliya aur aaj tak Aap Alaihissalam ke Qadmain Shareefain ki
Nishaan us pathar par maujud hai jisko aaj Muqaam-e-Ibrahim kehte hain.
To dua me Nabuwwat aur Imamat mangi aur Allah ne unhe ata kardi.
Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Wiladat-e-Mubarak Aap
he ki Nasl-e-Pak me hui, ye to Nabuwwat thi, to Imamat ka bhi dua thi,
wo Imamat kaha hai? Us Imamat ka Zahoor 18 Zilhaaj ko Ghadeer-e-
Khum ke Muqaam par hua jab Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne hazaron janisaar Sahaba ke darmiyan Maula Ali Alaihissalam
ka Haath pakadkar farmaya: “Man Kuntu Maula Hu Fa Aliyyum Maula
Hu.” “Jiska Mai Maula Hun uska Ali Maula hai.”
Fir Maula Ali Alaihissalam ke baad Imamat ka Sehra Sayyedina Imam
Hasan-e-Mujtaba Alaihissalam ke Sar-e-Aqdas pe saja. Fir Aap
Alaihissalam ke baad Imamat ka Taaj Sayyeduna Imam Hussain
Alaihissalam ke Sar-e-Anwar pe saja. Aur yehi Imamat thi jisne Karbala
me Deen ko bachaya aur Qayamat tak ab isi Imamat ke saqde se Deen
salamat rahega
12

2. Zibh-e-Azeem

Allah Ta'ala ne Surah Saffat me farmaya:

َ‫صا ِل ِحين‬ َّ ‫ب هَبْ ِلي ِمنَ ال‬ ِ ‫َر ه‬


‫ش ْرنَاهُ ِبغُ ََل ٍم َح ِل ٍيم‬ َّ َ‫فَب‬
‫ي ِإنِهي أ َ َرى فِي ْال َمن َِام أَنِهي أ َ ْذبَ ُح َك‬ َّ َ‫ي قَا َل يَا بُن‬ َ ‫س ْع‬َّ ‫فَلَ َّما بَلَ َغ َمعَهُ ال‬
َّ ‫ست َ ِجدُنِي ِإن شَا َء‬
َ‫اّللُ ِمن‬ َ ‫ت ا ْف َع ْل َما تُؤْ َم ُر‬ ِ َ‫ظ ْر َماذَا ت َ َرى قَا َل يَا أَب‬ ُ ‫فَان‬
َ‫صا ِب ِرين‬ َّ ‫ال‬
ِ ‫فَلَ َّما أ َ ْسلَ َما َوتَلَّهُ ِل ْل َج ِب‬
‫ين‬
‫َونَادَ ْينَاهُ أ َ ْن يَا ِإب َْرا ِهي ُم‬
َ‫الرؤْ يَا ِإنَّا َكذَ ِل َك ن َْج ِزي ْال ُم ْح ِسنِين‬ ُّ ‫ت‬ َ ‫صدَّ ْق‬
َ ‫قَ ْد‬
ُ ‫ِإ َّن َهذَا لَ ُه َو ْالبَ ََل ُء ْال ُم ِب‬
‫ين‬
‫ْح َع ِظ ٍيم‬ ٍ ‫َوفَدَ ْينَاهُ ِب ِذب‬
َ‫علَ ْي ِه ِفي ْاْل ِخ ِرين‬ َ ‫َوت َ َر ْكنَا‬
“Fir Ibrahim (Alaihissalam) ne kaha: Mai (hijrat karke) Apne Rab ki
taraf jaane wala hun Wo mujhe zarur raasta dikhayega (Wo Mulk-e-
Shaam ki taraf Hijrat farma gaye.)”
“(Fir Arz-e-Muqaddas me pahunch kar dua ki) Ay Mere Rab! Saleheen
me se Mujhe ek (farzand) ata farma.”
“Pas Humne unhe bade burbaar bete (Ismail Alaihissalam) ki bisharat
di.”
“Fir jab wo (Ismail Alaihissalam) Unke saath daudkar chal sakne (ki
umr) ko pahunch gaya to (Ibrahim Alaihissalam ne) farmaya: Ay Mere
13

Bete! Mai khwab me dekhta hun ki Mai Tujhe zibh kar raha hun so gaur
karo ki tumhari kya raaye hai. (Ismail Alaihissalam ne) kaha Abbajaan!
Wo kaam (fauran) kar daaliye jiska Aapko Hukm diya jaraha hai. Agar
Allah ne chaha to Aap Mujhe Sabr karne waalon me se payenge.”
“Fir jab dono (Raza-e-Ilahi ke samne) jhuk gaye (yaani dono ne Maula
ke Hukm ko tasleem karliya) aur Ibrahim (Alaihissalam) ne usey
peshani ke bal lita diya.”
“Aur Humne usey nida di Ay Ibrahim!
“Waqeyi tumne apna khwab (kya khoob) sachha kar dikhaya. Beshaq
Hum Mohsino ko aisa he sila diya karte hain (so tumhe Muqaam-e-
Khullat se nawaz diya gaya hai.)
Beshaq ye bahot badi khuli aazmaish thi”
“Aur Humne ek Bahot Badi Qurbani ke saath uska fidya kardiya.”

Surah Saffat 37: 100-108

Sayyeduna Ibrahim Alaihissalam Allah ke bahot Pyaare Nabi they


aur Unke Allah ka Khalele kaha jata tha yaani Allah ka khaas dost! Aapke
haan budhaape me Sayyeduna Ismail Alaihissalam ki Wiladat-e-Ba-
Sa'adat hui. lihaza Ismail Alaihissalam se aapko badi muhabbat thi. Lekin
fir Allah ki taraf se hukm hua ke apni sabse pyaari chiz ko qurban kardo.
To wo sabse pyaari chiz Aapke Shehzaade they yaani Sayyeduna Ismail
Alaihissalam ko kurban ka hukm tha. To Hukm-e-Khudawandi ki taamil
karte hue aapne Hazrat Ismail Alaihissalam ko zibh karne keliye laaye
lekin jab zibh karne lage to Allah ne Ismail Alaihissalam ko wahanse
hatakar aapki jagah ek Jannati doomba rakha jo zibh hogaya. Is tarah
Sayyeduna Ibrahim Alaihissalam is badi aazmaish me kamyab hue. Lekin
Allah ne farmaya ke Ismail ki kurbani ko Hamne “Zibh-e-Azeem” se fidya
kardiya yaani replace kardiya. Ab wo “Zibh-e-Azeem” yaani sabse badi
kurbani kya hai? Hukm to Allah ke abhot he zyada mehboob bande ke
bete ke zibh ka hai, kya unki zibh se zyada ek doombe ki zibh azeem
14

hogayi? Aisa hargiz nahi hosakta. Allah ke Mehboob Nabi ke Bete ke


samne ek Doombe ki kya haysiyat? To uski kurbani kaise Zibh-e-Azeem
hogayi? To agar ye Zibh-e-Azeem nahi to fir kiski kurbani sabse azeem
kurbani hai? Haan Ek hai, wo bhi Allah ke Mehboob ka, balke Allah ke
sabse bade Mehboob ka Mehboob hai jisko Wo Mehboob hamesha Apna
Beta kaha karta tha. Yaha bhi Us Mehboob Bete ki kurbani ki khabar
pehle he di gayi thi, lekin Ibrahim Alaihissalam ki tarah Is sabse bade
Mehboob ne bhi Allah se nahi pucha ke Mere bete ki kurbani kyu? Bus
farman aaya to dono ne hukm ki taamil ki, ek ne churi chala di aur Dusre
ne apne bete ko istemqamat ki dua ki. To wo kaun hain jo Allah ke yahan
Ibrahim Alaihissalam se zyada bade Mehboob hain, Wo hamare Aaqa
Janab-e-Sayyeduna Muhammadur Rasoolullah hain! SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam. Aur Unka Mehboob Beta Hussain! Jo Hukm Zibh-e-
Ismail ke waqt postpone hogaya wo hukm Karbala me pura hogaya. Aur
Imam Hussain Alaihissalam bhi Ibrahim Alaihissalam aur Ismail
Alaihissalam he ki Zurriyat me se hain. To wo Zibh-e-Azeem jisse Zibh-
e-Ismail ka fidya kiya gaya wo Zibh-e-Hussain hai.
15

3. Sayyeduna Yahya Alaihissalam aur Sayyeduna


Imam Hussain Alaihissalam

Sayyeduna Yahya Alaihissalam ki Shahadat aur Sayyeduna Imam


Hussain Alaihissalam ki Shahadat me Khud Allah Ta'ala ne ek link
kaayam kiya hai wo ye ke Imam Shafeyi riwayat hain ke Allah Ta'ala ne
RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam se farmaya ke Hazrat
Yahya Alaihissalam ki Shahadat ka badla Humne 70 hazar logo ko qatl
karke liya aur Aapke Hussain ki Shahadat ka intekaam Hum 1 laakh 40
hazaar logo ko qatl karke lenge. Yaani double. Is tarah ek connection milta
hai aur fir isko dhyan me rakh kar Quran padhen to aur kai similarities
samne aati hain, jaise Allah Ta'ala ne farmaya:

‫ش ُر َك ِبغَُلَ ٍم ا ْس ُمهُ يَ ْحيَى لَ ْم ن َْجعَل لَّهُ ِمن قَ ْب ُل‬


‫يَا زَ َك ِريَّا ِإنَّا نُبَ ِ ه‬
‫س ِميًّا‬
َ
"(Irshad hua) Ay Zakariyya! Beshaq Hum tumhe ke ladke ki
khushkhabri sunaate hain Jiska naam Yahya (Alaihissalam) hoga,
Humne us se pehle uska koi hum-naam nahi banaya."
Surah Maryam 19:7

Allah Ta'ala ne "Yahya" naam pehle kisika nahi rakha tha, aur idhar bahot
saari Ahadees me aata hai ke Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
ne farmaya: Allah Ta'ala ne Hasan aur Hussain ye 2 Naam pehle kabhi
kisike nahi rakhe they!

"Mafzal se riwayat hai ke Allah Tabarak wa Ta’ala ne Hasan aur Hussain


ke Naamon ko hijab me rakha yahan tak ke Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Apne Beton ka naam Hasan aur
16

Hussain rakha."
Nabhaani, Al-Sharf al Lu’bbad Li-Al-Muhammad (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam), Ta’azhib ul Asma wal
Luggat,
Ibne Aseer, Usdul Ghaba fee Marifatus Sahaba (RadiAllahu Anhum)

"Imran bin Sulaiman se riwayat hai ke Hasan aur Hussain Ahle Jannat ke
Naamon me se 2 Naam hain jo ke daur-e-jahiliyat me pehle kabhi nahi
rakhe gaye they."
Doolabi, Az-Zurriyatut Tahirah
Ibne Hajar Makki, As-sawaikul Muhrika
Ibne Aseer, Usdul Ghaba fee Marifatus Sahaba (RadiAllahu Anhum)
Manawi, Fayd ul Qadir

Yahan bhi Hazrat Yahya Alaihissalam ke zikr me Imam Hussain


Alaihissalam ka tazkira milta hai indirectly, indirectly nahi balke lagta he
aise hai ke Hazrat Yahya Alaihissalam ke zikr me Allah Ta'ala ne Imam
Hussain Alaihissalam ka zikr farmaya hai. Aur fir Imam Hussain
Alaihissalam ne Apni Qurbani se jo deen ko bachaya, Quran ko bachaya
iska bhi Hazrat Yahya Alaihissalam ke Zikr me he ishara milta hai ke

‫ص ِبيًّا‬َ ‫اب ِبقُ َّوةٍ َوآت َ ْينَاهُ ْال ُح ْك َم‬ َ َ‫يَا يَ ْحيَى ُخ ِذ ْال ِكت‬
‫َو َحنَانًا ِ همن لَّدُنَّا َوزَ َكاة ً َو َكانَ ت َ ِقيًّا‬
‫صيًّا‬ ِ ‫َّارا َع‬ ً ‫َوبَ ًّرا ِب َوا ِلدَ ْي ِه َولَ ْم يَ ُكن َجب‬
‫ث َحيًّا‬ ُ ‫وت َويَ ْو َم يُ ْب َع‬ ُ ‫علَ ْي ِه يَ ْو َم ُو ِلدَ َويَ ْو َم يَ ُم‬
َ ‫سَلَ ٌم‬
َ ‫َو‬
Ay Yahya! (Hamari) Kitab ko mazbooti se thaame rakho aur Humne
unhe bachpan he se hikmato basirat (Nabuwwat) ata farmadi thi.
Aur Apne Lutf-e-Khaas se (unhe) dardo gudaaz aur pakizgi wa taharat
(se bhi nawaza tha), aur wo bade parhezgar they.
Aur Apne Maa Baap ke saath badi Neki (aur khidmat) se pesh aane
waale (they) aur (aam lado ki tarah) hargiz sarkash-o-nafarman na they.
Aur Yahya par Salam ho Unki Milad ke din aur Unki Wafat ke din aur
17

Jis Din Wo Zinda uthaaye jayenge.


Surah Maryam 19:12-15

Quran aur Ahle Bayt kabhi ek dusre se juda nahi honge ye beshumar
Ahadees se baat wazeh hai. Imam Hussain Alaihissalam ne na sirf puri
Hayat-e-Tayyeba me balke Shahadat ke baad neze pe bhi Quran ki Tilawat
farmayi, isse badhkar "Kitab ko Mazbooti se Thamna" aur kya hosakta
hai! Aur fir jab itni similarities milen to fir aakhri Aayat ka maana bhi is
tarah hum karsakte hain ke: Salam ho Hussain par Unki Milad ke aur
Unki Wafat ke din aur Jis Din Wo Zinda uthaaye jayenge.

Paidaishi Wali
Sayyeduna Yahya Alaihissalam ko Allah Ta'ala ne bachpan se he Ilm-e-
Khaas yaani Ilm-e-Nabuwwat se nawaz tha. Har Nabi pehle se Nabi hota
hai lekin Quran me khaas Yahya Alaihissalam ke Zikr me Allah ne farmaya
ke unhe bachpan he se Nabuwwat ke Ilm se nawaz diya gaya tha yaani
aapko Paidaishi Nabi kehsakte hain. Hote to saare Nabi he Paidaishi Nabi
lekin unhe wo Nabuwwat ka Khaas Ilm baadme diya jata hai. Sirf is lihaaz
se khaas, Yahya Alaihissalam ko Paidaishi Nabi ka. Aur udhar Imam
Hussain Alaihissalam Paidaishi Wali.
18

4. Marajal Bahrain

Sayyeda-e-Kainat Hazrat Fatimah tuz Zahra Salamullahi Alaiha ko


Allah Ta'ala Paaki, Ismat aur Taharat ka Samundar banaya aur Quran me
he aylan farmadiya ke:

ِ ‫س أ َ ْه َل ْالبَ ْي‬
َ ُ‫ت َوي‬
‫ط ِ هه َر ُك ْم‬ ‫عن ُك ُم ِ ه‬
َ ‫الر ْج‬ َ ‫اّللُ ِليُ ْذ ِه‬
َ ‫ب‬ َّ ُ‫ِإنَّ َما يُ ِريد‬
‫يرا‬ ْ َ‫ت‬
ً ‫ط ِه‬
“Ay Ahle Bayt! Allah to yehi chahta hai ke tumse har kism ke gunah ka
mail (aur shakko naqs ki gard tak) dur karde aur tumhe (kaamil) taharat
se nawaz kar bilkul paak saaf karde.”
Surah Ahzab 33:33

Aur Huzoor Rasool-e-Pak SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne


Khud bhi Sayyeda-e-Kainat ki Ismat-o-Taharat ki gawahi di, farmaya:
"Hazrat Abdullah ibne Mas'ud RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
Beshaq Fatima ne Apni Ismat wa Pak Daamani ki aisi hifazat ki ke Allah
Ta'ala ne Uski Aulad par aag haram kardi."
1. Bazzar, al-Musnad (5:223#1829)
2. Hakim, al-Mustadrak (3:165#4726)
3. Abu Nuaym, Hilyat -ul -awli ya wa tabaqat -ul -asfiya (4:188)
4. Dhahabi ne isey Mizan-ul –itidal fi naqd ar-rijal (5:261) me
Hazrat Abdullah bin Mas'ud RadiAllahu Anhuma se Marfuan qarar diya.
5. Manawi, Fayd-ul -qadir (2:462)
"Hazrat Abdullah riwayat karte hain ke Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Fatima ne Apni Ismat
wa Pak Daamani ki Aisi Hifazat ki hai ke Allah Ta'ala ne Uski Ismat-e-
Mutahhara ke Tufail Usey aur Uski Aulad ko Jannat me daakhil farma
19

diya."
1. Tabarani, al -Mujam-ul-kabir (3:41#2625)
2. Haythami, Majma-uz-zawaid (9:202)
3. Manawi, Fayd-ul -qadir (2:463)

To Sayyeda-e-Kainat Salamullahi Alaiha ki Zaat-e-Aqdas Ismat-o-


Taharat ka Paak Samundar jaisi hai. Aur dusri taraf Maula-e-Kainat
Sayyeduna Ali Alaihissalam ko Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne Wilayat ka Imam aur Imamat ka Shehanshah banaya jab
Hijjatul Widake baad 18 Zilhajj ko Ghadeer-e-Khum ke muqaam par
hazaron Sahaba ke darmiyan Hazrat Ali ka Haath uncha karke farmaya:
“Man Kuntu Maula Hu fa Aliyyum Maula Hu.”
“Man Kuntu Waliyyuhu fa Haza Aliyyu Waliyyuhu.”
“Jiska Mai Maula uska Ali Maula.”
“Jiska Mai Wali uska Ali Wali.”

Aur dusri riwayaton me aata hai ke Aaqa Kareem SallAllahu Alaihi wa


Aalihi wa Sallam ne farmaya:
“Mere baad Ali tum sabka Wali hai.”

Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Khatamun Nabiyyin hain,


Aapke baad ab koi Nabi nahi aayega. Pehle zamano me logo ko hidayat
ka raasta dikhane keliye ek ke baad ek Ambiya-e-Kiram tashreef laate they,
lekin ab Khatme Nabuwwat ke is ummat ki hidayat keliye bhi kuch
intezam zaruri tha. To wo intezam Wilayat ke zariye kiya gaya. Wilayat
Islam ki Roohani system ka naam hai. Maula Ali Alaihissalam
RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Baatini Khalifa-e-
Awwal hain yaani Islam ke Roohani nizam ke pehle Khalifa, jiska aylan
Khud Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Ghadeer-e-Khum
ke muqaam par famaya aur ye Hadees 150 alag alag asaneed ke saath
riwayat hui hai yaani ye Hadees sirf Sahih he nahi balke Sahih me bhi
sabse unche darje par hai, isliye is Hadees ko Hadees-e-Mutawatir kehte
20

hain. Maula Ali Alaihissalam Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam


ke pehle Batini Khalifa aur Sayyeduna Abu Bakr Siddiq Aaqa SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke pehle Zahiri Khalifa. Is batini nizam ke
tahet is ummat me Auliya hue jinke zariye Islam puri duniya me phaila
hai. Is Wilayat ke Samundar ke Shahenshah Huzoor Maula-e-Kainat
Sayyeduna Ali Alaihissalam hain.

To Quran kehta hai Surah Rahman Aayat 19,20 aur 22 me:

ِ َ‫َم َر َج ْالبَ ْح َري ِْن يَ ْلت َ ِقي‬


‫ان‬
ِ َ‫بَ ْينَ ُه َما بَ ْرزَ ٌخ َّال يَ ْب ِغي‬
‫ان‬
ُ ‫يَ ْخ ُر ُج ِم ْن ُه َما اللُّؤْ لُؤُ َو ْال َم ْر َج‬
‫ان‬
“Usi ne 2 samundar rawa kiye jo baaham mil jaate hain.”
“Un dono ke darmiyan ek aad hai wo (apni apni) hadd se tajawuz nahi
karsakte.
“Un dono (samnundaron) se Moti (jiski jhalak sabz hoti hai) aur
Marjaan (jiski rangat surkh hoti hai) nikalte hain.”
Surah Rahman 55:19,20,22

Ye 2 samundar hai Ismat-o-Taharat ka Samundar aur Wilayat-o-Imamat


ka Samundar. Ye do azeem samundar jaha milte hain wo Nikaah hai. Wo
bhi aisa khaas nikah jisko Khud Allah Ta'ala ne pehle Arsh pe munaqqid
kiya fir zameen pe hua:

“Hazrat Anas RadiAllahu Anhu se marvi hai ke Huzoor Nabi-e-Akram


SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Masjid me Tashreef farma they ke
Hazrat Ali KarramAllahu Wajhahu se farmaya: Ye Jibrael Alaihissalam
hain jo Mujhe Khabar derahe hain ke Allah Ta'ala ne Fatima se Tumhari
Shaadi kardi hai. Aur Tumhare Nikah par (Maala-e-Aala me) 40,000
21

Farishton ko Gawah ke taur par Majlis-e-Nikah me Shareek kiya, aur


Shajra haa-e-Tuba se farmaya: Inpar moti aur yaaqut nichawar karo, fir
dilkash aankhon waali Hooren un motiyon aur yaaquton se thaal bharne
lagin. Jinhe (Taqreeb-e-Nikah me shirkat karne waale) Farishte Qayamat
tak ek dusre ko bator tahaeef dete rahenge."
Is Hadees ko Imam Muhiyuddin Tabari ne riwayat kiya hai.

To jab aisa khaas Nikaah hua to usse Moti aur Marjaan nikle. Jo asal
Moti hota hai, uski pehchan ye hoti hai ke usme sabz (green) jhalak nazar
aati hai. Jis moti me sabz jhalak nazar aaye wo sachha Moti hota hai. Aur
Marjaan surkh (red) colour ka hota hai.
Sabz rang zehar ki taraf ishara hai, zehar me umuman sabz jhalak hoti
hai, Imam Hasan Alaihissalam ko zehar se shaheed kiya gaya tha. Aur
Marjaan ka laal rang khoon ki taraf ishara hai, Imam Hussain
Alaihissalam ko talwar se shaheed kiya gaya tha.
22

5. Hijrat karke Shaheed hone Waale

Imam-e-Aali Muqaam par Deen-e-Islam ke Hifazat ki bahot badi


zimmedari thi. Is zimmedari ko puri tarah se ada karna ye sirf Aapke he
bus ki baat thi kyunki isme aisi aisi taklifen thin ke koi aur itne sabr ke
saath bardasht he nahi karsakta. Sabse pehle Imam Hussain Alaihissalam
ko Apna Pyara Madina chodna pada kyunke haalat aise hue ke agar aap
waha muqeem rehte to zalim log Haram-e-Pak ka bhi adab na karte, Isliye
Madina Pak ke Adab ke khatir Aapne Apne Nanajaan ke Madina se Hijrat
farmana pada. Unpe us waqt kya beeta hoga ye wohi jaante hain, jis
Muqaddas Shehar me Unke Nanajaan, Unki Ammijaan hain, jahan Aapne
apni puri zindagi guzari, us Madina ko chodna, is dard ko koi nahi
samjhsakta. Aaj jo aashiq ziyarat ke Madina Pak jaate hain aur 8-10 din
rehte hain, unko un 8-10 din waha guzarne ke baad wahanse jaane ka man
nahi karta to Jinhone Apni Hayat-e-Tayyeba ka sabse zyada hissa waha
guazara, unpe us din kya beeti hogi.
Fir jab Madina se Hijrat farmakar Makka aaye to waha bhi 3 Mahine
rahe aur fir waha Kufa ke logo ke khutoot pe khutoot aate gaye ke Ay
Imam-e-Aali Muqaam! Kufa tashreef laaiye , hum Aapke Dast-e-Aqdas
pe baiyyat karenge, Aap hame Deen sikhayen aur yazid aur uske yazidi
nizam se hame bachne me madad kijiye. Imam Hussain Alaihissalam ne
Kufa Hijrat karne ka irada farmaya lekin Sahaba-e-Kiram ne Aapse
darkhast ki ke aap Kufa mat jaayen, wahanke log bharose ke laayak nahi
hain, unhone Aapke Walid-e-Girami ke saath bhi wada khilafi ki thi.
Lekin Imam-e-Aali Muqaam ne farmaya ke ye log mujhe Deen ka waasta
dekar bula rahe hain, agar mai waha na jaun to Qayamat ke Din Allah ko
jawab dunga jab Allah Ta'ala puchega ke ye log pareshani me they tumse
madad talab karte they to tumne madad kyu nahi ki. Imam-e-Aali
Muqaam ka jawab aisa tha Sahaba-e-Kiram kuch na keh sake lekin wo fir
23

bhi na jaane ki darkkhast karte rehte. Fir tarkeeb banayi gayi ke pehle
Imam Muslim bin Aqeel ko waha bhejte hain, agar unhone logo ko sachha
paaya to Imam Hussain Alaihissalam waha tashreef lejayenge warna nahi.
Imam Muslim bin Aqeel Alaihissalam Kufa tashreef le gaye, pehle to
wahanke log badh chadh kar Aapke haathon par Imam Hussain
Alaihissalam ke Naam ki baiyyat karne lage jisse Imam Muslim bin Aqeel
ne khat ke zariye Imam Hussain Alaihissalam ko Kufa aane ka green signal
dediya. Wo khat abhi bheja he tha ke ke idhar Ubaidullah bin ziyad
badbakht ko yazid aleen me Kufa ka governor banake bheja to haalat
dekhte he dekhte badal gaye. Saare logo ne baiyyat tod di, Imam Muslim
aur unke dono Shahzado ko bedardi se Shaheed kardiya gaya. Udhar
Imam Hussain Alaihissalam Khanwada-e-Ahle Bayt ke saath Kufa ki taraf
nikal chuke they aur jab Karbala pahunche to wahi Aapko roka gaya fir
10 Muharram ko Shaheed kardiya gaya.
Yaani ye Dastan Hijrat se shuru hui aur Shahadat pe mukammal hui.
Allah Ta'ala ne Quran me farmaya:

ke Aap nahi chahte they Aapki wajah se koi Haram ka taqaddus pamal
kare halanke jis Kaabe ki wajah se Haram ko azmat us Kaabe se mukhatib
hokar khud Tajdar-e-Kainat, Sahib-e-Shariyat Sayyeduna Muhammad-e-
Mustafa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya tha ke Ay
Kaaba! Tujhse zyada hurmat Momin ki hai. Imam Hussain Alaihissalam
se bada momn kaun hosakta hai? Lekin fir bhi ye aapki aajzi o inkesaari
thi ke aapne Makka se Hijrat farmayi.

َّ ‫اّللِ ث ُ َّم قُتِلُوا أ َ ْو َماتُوا لَيَ ْر ُزقَنَّ ُه ُم‬


‫اّللُ ِر ْزقًا‬ َّ ‫س ِبي ِل‬َ ‫َوالَّذِينَ هَا َج ُروا فِي‬
َ‫الر ِازقِين‬َّ ‫اّللَ لَ ُه َو َخي ُْر‬َّ ‫سنًا َو ِإ َّن‬
َ ‫َح‬
‫اّللَ لَعَ ِلي ٌم َح ِلي ٌم‬ َ ‫لَيُ ْد ِخلَنَّ ُهم ُّم ْدخ ًََل يَ ْر‬
َّ ‫ض ْونَهُ َو ِإ َّن‬
24

“Aur jin logo ne Allah ki Raah me (watan se) hijrat ki fir qatl kardiye
gaye ya (Raah-e-Haq ki musibaten jhelte jhelte) mar gaye to Allah unhe
zarur Rizq-e-Hasan (yaani ukhrawi ataao) ki rozi bakhshega, aur beshaq
Allah sabse behtar rizq dene wala hai.
Wo zarur unhe us jagah (yaani Maqaam-e-Rizwan me) dakhil
farmayega jisse wo raazi hojayenge, aur beshaq Allah khoob jaanne wala
Burdbaar hai.”
Surah Hajj 22 58-59
25

6. Sabr aur Namaz Waale

Karbala me Imam Hussain Alaihissalam ne sabse anokha aur sabse


khaas sabr kiya aur Halat-e-Namaz me Shahadat paayi. Agar Imam
Hussaian Alaihissalam ko 3 lafzo me define karna ho to sabse pehle yehi
3 baate sabke zehan me aayengi wo hai Sabr, Namaz aur Shahadat. Ab
Surah Baqrah ki 2 Aayaten kehti hain:

َ‫صا ِب ِرين‬ ‫صَلَةِ ِإ َّن ه‬


َّ ‫اّللَ َم َع ال‬ َّ ‫صب ِْر َوال‬ َّ ‫يَا أَيُّ َها الَّذِينَ آ َمنُواْ ا ْست َ ِعينُواْ ِبال‬
َّ‫ات بَ ْل أَ ْحيَا ٌء َولَ ِكن ال‬
ٌ ‫اّللِ أ َ ْم َو‬
‫يل ه‬ َ ‫َوالَ تَقُولُواْ ِل َم ْن يُ ْقت َ ُل فِي‬
ِ ‫س ِب‬
َ‫ت َ ْشعُ ُرون‬

Ay Imaanwaalo! Sabr aur Namaz ke zariye (Mujhse) madad chaha karo,


yaqinan Allah sabr karne waalon ke saath hai.
Aur jo log Allah ki Raah me maare jaayen unhe mat kaha karo ki ye
murdah hain, (wo murdah nahi) balki zindah hain lekin tumhe (unki
zindagi ka) shaoor nahi.
Surah Baqrah 2:153,154

Ye Aayaten agar kisipe sabse zyada apply hotin hain to wo Imam Hussain
Alaihissalam hain kyunki yaha Sabr bhi baymisaal, Namaz bhi baymisaal
aur Shahadat bhi sabse baymisaal. Imam Hussain Alaihissalam aaj bhi
Zinda hain, is baat pe Khud Qur’an gawah hai! Shehanshah-e-Hind
Khwaja Gareeb Nawaz RadiAllahu Anhu ne farmaya: “Deen Ast Hussain”
yaani “Hussain Deen Hai” aur Hussain Zinda hain yaani Deen zinda hai!
Agar karbala me Imam-e-Aali Muqaam Shahadat ka Jaam osh na farmate
to Deen aaj zinda hota, Imam Hussain Alaihissalam ne Apne Khoob
Mubarak se Islam ki Rago ko bharkar ab Deen ko hamesha keliye
26

bayniyaaz kardiya hai! Ab chahe kuch bhi hojaye, koi bhi aajaye, ye Deen
ab mit nahi sakta! Jinke yahan Imam-e-Aali Muqaam ki Azeem Qurbani
ki koi ahmiyat nahi, darhaqiqat unke yahan Deen ki bhi koi ahmiyat nahi,
wo zahirn Kalma padte honge magar unka dil me Imaan nahi hai. Aur
jinke dilo me Imaan hai, chahe kum ho ya zyada, jiske dilme Imaan hai,
uske dilme Imam Hussain Alaihissalam se Muhabbat laazmi hai he! Ye ho
nahi sakta ke dilme Imaan ho aur Imaan ko bachaane wala Imam na ho!

Aur ek Muqaam pe Allah Pak ne farmaya:

َ‫علَ ْي ِهم ِ همن‬ ‫سو َل فَأ ُ ْولَـئِ َك َم َع الَّذِينَ أ َ ْن َع َم ه‬


َ ُ‫اّلل‬ ُ ‫الر‬
َّ ‫اّللَ َو‬‫َو َمن يُ ِط ِع ه‬
‫سنَ أُولَـ ِئ َك َر ِفيقًا‬ُ ‫صا ِل ِحينَ َو َح‬ َّ ‫اء َوال‬ ِ َ‫ش َهد‬ ‫النَّ ِب ِيهينَ َو ِ ه‬
ُّ ‫الص ِدهي ِقينَ َوال‬
Aur jo koi Allah aur Rasool (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam) ki
Ita'at kare to yehi log (Roz-e-Qayamat) un (hastiyon) ke saath honge jin
par Allah ne (khaas) In'aam farmaya hai jo ki Ambiya, Siddiqin,
Shuhada aur Saliheen hain, aur ye bahot ache saathi hain.
Surah Nisa 4:69

Imam Hussain Alaihissalam Sayyedus-Shuhada hain to yaha apne aap


Shuhada ki list me sabse upar naam Aap Alaihissalam ka hai, to yaha bhi
Aapka aur Aapki Azeem Shahadat ka Zikr hai Quran me!
27

7. Quran ki Hifazat

Quran se pehle jitni aasmani kutub aur saheefe nazil hue, un sabko
logo ne baadme change kardiya. Lekin Quran keliye Allah Ta'ala ne
farmaya ke isko koi change nahi karsakta kyunki Hum iski hifazat karenge.

ُ ِ‫ِإنَّا ن َْح ُن ن ََّز ْلنَا ال ِذه ْك َر َو ِإنَّا لَهُ لَ َحاف‬


َ‫ظون‬

“Beshaq ye Zikr-e-Azeem (Quran) Hamne he utaara hai aur yaqinan


Hum he Iski hifazat karenge.”
Surah Hijr 15: 9

Is hifazat keliye Allah ne zariye banaye jaise ke laakho karodo ke seeno


me Quran mehfooz hai aaj, to koi agar kuch shaytani karna chahe to bhi
nahi karsakta kyunki uske laakh karodo gawah pehle se ready hain. Lekin
ye to aaj ki baat hai aur aaj Islam pe existential threat nahi hai. Aisa threat
Karbala ke waqt tha ke agar Imam Hussain Alaihissalam wo kaam na karte
jo aapne kiya to aaj Islam ka naamo nishaan mit jata. Isse bada imtehan
Deen-e-Islam par nahi aaya. Aise waqt me bhi Sayyeduna Imam Hussain
Alaihissalam ne Deen aur Quran ki Hifazat ki aur aisi hifazat ki Sar Tan
se juda hokar neze par chadhaya gaya lekin Aapki Zubaan-e-Aqdas pe
Quran ki Tilawat jaari thi! Isse badhkar Quran ki Hifazat aur kya hosakti
hai! Hame to yehi lagta hai ke jitne zaraye Allah Ta'ala ne Quran ki hifazat
keliye banaye hain, unme sabse bada aur sabse mazboot kilaa Aaqa
Hussain Alaihissalam hain!
Sahih Muslim aur bahot saari Kutub-e-Hadees me aaya hai ke
Hijjatul Wida ke mauqa par Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
ne tamam Sahaba-e-Kiram aur unke zariye saari ummat se farmaya ke Mai
tum me 2 bahot azeem, bahot wazni cheezen chodey jaraha hun, aur ye
28

dono ek dusre se afzal hain. Agar tum inhe thaame rahoge to kabhi
gumrah nahi hoge. Ek hai Allah ki Kitab Quran aur dusri Meri Ahle Bayt.
Ye dono kabhi ek dusre se juda nahi honge aur Hauz-e-Kausar pe bhi
ikatte Mere paas aayenge.
Yaani Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne aylan farma
diya ke Quran aur Ahle Bayt ek hain. To unka Zikr bhi ek hai. Jis tarah
Quran ko aaj tak koi mita na saka, usi tarah Zikr-e-Ahle Bayt ko bhi koi
mita nahi sakta. Kitne yazid aaye aaj tak, Ahle Bayt ke kitne Nufoos-e-
Qudsiyya ko shaheed kiya gaya lekin aaj tak Ahle Bayt-e-Pak ka Zikr baaki
hai aur Qayamat tak rahega! To Ahle Bayt ke Zikr ki Hifazat ka zimma
bhi Allah ne Khud liya hai!
29

8. Yusuf-e-Muhammad (SallAllahu Alaihi wa


Aalihi wa Sallam)
Surah Yusuf aur Daastan-e-Karbala

Allah Ta'ala ne Surah Yusuf ke shuru me farmaya ke ye ek "behtareen


kissa" hai. Allah Ta'ala jisko behtareen kahe, usme logo keliye bahot nafa
hona he chahiye aur fir aage farmaya ke Hazrat Yusuf Alaihissalam aur
unke bhaiyo ke kisse me Nishaniyan hain. Yusuf Alaihissalam Hazrat
Yaqoob Alaihissalam ke bete hain aur bahot he pyare bete hain jinse
Hazrat Yaqub Alaihissalam ko badi muhabbat thi, itni zyada muhabbat
ke jab Yusuf Alaihissalam juda hue to Yaqoob Alaihissalam us gum me
itna roye ke Aapke Aankho ki roshani chali gayi. Yusuf Alaihissalam bade
haseen-o-jamil they, Unka husn aisa tha ke Misr ki aurato ne Aapki
ziyarat karte hue apni ungliyan kaat daali lekin un auraton ko apni ungliya
katne ki khabar tak nahi, aisa Aap Alaihissalam ka Husn tha. Aur idhar
Hasnain Kareemain Alaihi-mussalam ke Husn ka aalam ye ke Hadees me
aata hai ke baar Jannat aur dozakh ka muqalma hua, Jannat ne dozakh se
kaha ke mai tujhse behtar hun, jawab me dozakh ne kaha ke nahi mai
tujhse behtar hun. Jannat ne pucha Tu kaise behtar hogayi? Dozakh ne
kaha: Mai isliye behtar hun ke kul jo bade bade badshah hain wo sab mere
paas hain! Jawab sunkar Jannat khamosh hogayi to Allah Ta'ala ne uski
taraf Wahi ki ek ay dozakh chup na ho, lajawab na ho, is dozakh ko kehde
ke in zalim badshaho se teri badbakhti he badhegi, mere husn-o-jamal,
azmat-o-kamaal keliye sirf Hasan-o-Hussain ye 2 he kaafi hain!! Yaani
itni khoobsurat Jannat ke jiska tasawwur bhi nahi kiya jasakta, aisi
khoobsurat Jannat ki khoobsurati me 4 chand Hasnain Kareemain Alaihi-
mussalam ke zariye lagenge, to Unki Apni Khoobsurati ka aalam kya hoga!!
Jab Hasnain Kareemain ki Wiladat hui to Maula Ali Alaihissalam ne
unka naam kuch aur rakha tha, lekin Aaqa Kareem SallAllahu Alaihi wa
30

Aalihi wa Sallam ne Apne in Shahzado ne badal kar Hasan-o-Hussain


rakhe aur farmaya ke Allah Ta'ala ne Ye 2 Naam Apne Parda-e-Husn se
nikaale aur ye 2 naam pehle kisike bhi nahi they. Jinko Allah Ta'ala Apne
Husn ke Parde se naam ata kare Unki khoobsurati ka andaza kaun
lagasakta hai!

Sayyeduna Yusuf Alaihissalam ka waqiya is tarah se hain ke Aapne


khwab me dekha ke aapko 11 sitare aur suraj aur chand sajda karrahe hain.
Aapne ye khwab apne walid-e-girami ko bataya to aapne farmaya ke beta
is khwab ko apne bhaiyo se na batana warna wo hasad karenge ankareeb
Allah tumhe iski tabeer dikhaega. Yusuf Alaihissalam ke sautele bhai
aapse jalte they to unlogo ne faisla kiya ke Yusuf Alaihissalam ko kisi
kuwe me daaldenge jaha koi kafila unhe gulaam banakar lejayega. Lihaza
plan ke tahet unhone ye kaam kardiya. Yusuf Alaihissalam kuwe ke andar
they to Allah ne Wahi bheji ke Yusuf gum na karna. Fir ek kafila waha
aaya to unko kuwe me Yusuf Alaihissalam nazar aaye to unhone aapko
baahar nikala. Tab tak aapke bhai waha aaye aur sasti kimat me aapko bech
diya. Aur Yusuf Alaihissalam ko wahase Misr (Egypt) lejaya gaya. Waha
badshah ke wazeer jisey Azeez-e-Misr kaha jata hai usne unhe apne paas
rakhliya. Hazrat Yusuf Alaihissalam waha rehne lage, jab jawani mubarak
ko pahunche to azeez ki biwi Zulekha ne Hazrat Yusuf Alaihissalam se
galat kam karne ka irada kiya. Yusuf Alaihissalam fauran wahan se daude
aur Zulekha bhi aapke piche piche aapko pakadne keliye daudne lagi. Jab
darwaze tak aaye aur darwaza khola to azeez-e-misr darwaze pe khada
tha, Zulekha ne fauran kaha ke ye mujhse bura kaam karna chahta. Yaha
Yusuf Alaihissalam ki izzat pe hamla hua. To Quran kehta hai ke gharme
ek bacha tha jisko riwayato me tafseel aayi hai ke doddh pita bachha tha,
us doodh peete bachhe ne bolna shuru kiya aur kaha ke agar Yusuf
Alaihissalam ka kurta aage se phata hai to wo kasoorwaar hain aur agar
piche se phata hai to Aap bay-kasoor aur Zulekha kasoorwaar hai aur wo
jhoot bolrahi. Jab azeez ne aapka kurta dekha to wo piche se phata tha. Is
31

tarah ek doodh peete bache ne Hazrat Yusuf Alaihissalam ke haq par


hone ki gawahi di. Fir ye baat shehar me fail gayi ke Zulekha apne gulaam
ki aashiq hogayi hai to Misr ki auraten naam rakhne lagi, unke mu band
karne keliye Zulekha ne un sabko gharme bulaya aur sabke haath me phal
aur churi di aur kaha ke jab Yusuf tumhare samne se guzren to is phal ko
kaatna. Jab Yusuf Alaihissalam unke samne se guzre to unke husn ka aisa
asar hua ke saari auraton ne phal ke bajaye apni uncliyan kaat li aur unko
khabar tak nahi hui. Fir un auraton ne propoganda karke Yusuf
Alaihissalam ki jail bhijwa diya jahan Yusuf Alaihissalam kaafi saal rahe.
Us jail me aap logo ko Khuda ki Tauheed ka dars dete, logo ko achi baate
sikhate. Fir kaafi saalo ke baad aap jail se aazad hue aur badshah aap ilm
aur hikmat se bada khush hua aur government me jagah di aur Misr ke
economics ke aap minister bane. Fir kehat pada to Aapke bhai galla lene
keliye misr aaye, Yusf Alaihissalam ne unhe pehchana lekin wo unhe na
pehchan sake. Yusuf Alaihissalam ne galla bharke diya aur chupke unke
paise bhi unke thailo me wapas daal diye aur hukm diya ke agle baar apne
sautele bhai Bin Yameen (jo ke Yususf Alaihissalam ke sagey bhai hain)
ko saathme laao warna tumhe koi galla nahi diya jayega. Wo 10 bhai waps
apne gaaw aaye aur Yaqub Alaihissalam se saari baat batayi, to Yaqub
Alaihissalam ke farmaya ke mujhe dar hai ke tum iska bhi Yusuf ki tarah
haal na kardo. To unhone waada kiya ke hum Bin Yameen ki puri hifazat
karenge. To agli baar misr gaye to fir anaaj bahar, Yusuf Alaihissalam ne
chupke se apne sagey bhai se farmaya ke daro mat Mai tumhara bhai
Yusuf hun. Fir apne sagey bhai ke bag me badshah ka pyaala rakhwa diya.
Jab saare bhai jaane lage to badshah ka aadmi aaya aur aylan kiya ke shahi
pyala chori hogaya hai. Bhaiyo ne kaha hum chori karne keliye nahi aaye
hain. Sabke bags check kiye gaye aur aakhir me Yusuf Alaihissalam ne
apne sagey bhai ka bag check kiya aur pyala nikala. Ab kanoon ke hisab
se Hazrat Bin Yameen ko Misr me rok liya gaya ke unki bag se pyala mila
tha. Ab bhai pareshan hue ke walid-e-girami ko kya jawab denge. Yusuf
Alaihissalam ne kaha ke ab isko hum jaane nahi desakte tumlog chake jao.
32

Is tarah Hazrat Bin Yameen ko apne paas rakhliya. Fir aage kissa
mukhtasar, bhaiyo ko samjhme aaya ke ye Yusuf hain, unhone maafi
mangi aur Yusuf Alaihissalam apna kurta unko diya aur farmaya ke apne
gaaw jao aur Walid-e-girami ke chehre me mera kurta rakhna jisse unke
aankho ki roshani wapas aajayegi, fir sabko leke misr aajana. Pura
khanwada misr aaya to Yusuf Alaihissalam bahot bade juloos ke saath
unka isteqbal kiya aur Apne Waldain ko takht pe bithaya, us waqt Aapke
Waldain aur saare bahiyo ne aapko sajda kiya, tab Yusuf Alaihissalam ne
Hazrat Yaqoob Alaihissalamse farmaya ke Abbajaan ye us khwab ki tabeer
thi jo mujhe bachpan me aaya tha. Is tarah Yusuf Alaihissalam ko Allah
Ta'ala ne zameen pe izzat bakhshi.
Ye Yaqoob Alaihissalam ke Yusuf they aaiye ab Muhammad-e-Mustafa
(SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam) ke“Yusuf ”ko dekhte hain:

Yusuf Alaihissalam Hazrat Yaqub Alaihissalam ke Pyaare they,


Imam Hussain Alaihissalam Sayyeduna Muhammad-e-Mustafa
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Pyaare.

Yusuf Alaihissalam ka Husn bhi baymisaal,


Imam Hussain Alaihissalam ka Husn bhi baymisaal.

Yusuf Alaihissalam ka ek Khwab tha,


Imam Hussain Alaihissalam ka ek Waada tha.

Yusuf Alaihissalam ko apne ghar se majbooran kuwe me aaye


Imam Hussain Alaihissalam bhi apne ghar Madina se Makka aaye.

Yusuf Alaihissalam ki judaayi me Yaqub Alaihissalam bahot roye


Imam Hussain Alaihissalam ki Shahadat ki peshangoyi sunkar Aaqa
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam bhi bahot roye.
33

Yusuf Alaihissalam Kuwe me kuch din rahe,


Imam Hussain Alaihissalam Makka me kuch waqt rahe

Kuwe me they to waha Misr ki taraf jane wala kafila aaya


Makka me they to Kufe ki dawat ke khutoot aaye

Yusuf Alaihissalam ko gulaam banake Misr lejaya gaya


Imam Hussain Alaihissalam ke Sar Mubarak aur Purey gharane ko bhi
kaidi banake Damishq lejaya gaya (aur Shaam ke logo ne Ahle Bayt ke
Nufoos-e-Qudsiyya ko gulaam samjha)

Yusuf Alaihissalam ko jail me dala gaya


Ahle Bayt ko bhi jail me dala gaya

Jab Hazrat Yusuf Alaihissalam ki Izzat pe hamla hua to ek doodh pitey


bachhe ne Aapke haq pe hone ki gawahi di
Imam Hussain Alaihissalam ki Izzat pe hamle hue to musalman to
musalman, gair-muslim leaders ne bhi kaha ke agar Imam Hussain
Alaihissalam duniya kamane keliye jarahe they Apne chote doodh peete
bachhon ko saath na lejate. Yaani yaha bhi Doodh peete Bachhe ne
Gawahi di (Sayyeduna Ali Asgar Alaihissalam).

Yusuf Alaihissalam ka Khwab pura hona


Imam Hussain Alaihissalam ka Waada pura karna

Yusuf Alaihissalam ne kabhi sabr ka daaman nahi choda na kabhi


nashukri ki,
Imam Hussain Alaihissalam ne bhi sabr ka daman nahi choda na he
kabhi kisi tarah ki koi nashukri ki.

Yusuf Alaihissalam ko khwab ke zariye duniya ki sabse unchi post mili


34

Imam Hussain Alaihissalam bhi Apne Waade ke zariye bhi duniya ke


sabse unche Role Models ki list me top pe pahunch gaye!

Yusuf Alaihissalam Apni family se unite hue,


Imam Hussain Alaihissalam bhi Apni Family se Unite hogaye.

Allah Ta'ala ne Is kisse ko sabse behtareen aur khoobsurat kaha


Sayyeda Zainab Salamullahi ne farmaya: Maine Karbala me Allah ke
Husn ke siwa kuch nahi dekha.
Allah ke Husn se Khoobsurat aur kya hosakta hai!

Surah Yusuf me 111 Aayaten hain, 111 me se 55 pehle aur 55 baadme,


to central Aayat, Aayat no. 56 hai. Aur Karbala me Imam Hussain
Alaihissalam ki Umr Mubarak bhi 56 thi! Aur ye Aayat 56 yun hai:
"Aur is tarah Hamne Yusuf (Alaihissalam) ko mulk(-e-Misr) me
iqtedar baksha (taaki) usme jahan chahe rahen. Hum jisey chahte hain
Apni Rehmat se Sarfaraz farmate hain aur Nekukaaro ka Ajr jaaya nahi
karte."
Yusuf Alaihissalam Misr ke Badshah bane,
Imam Hussain Alaihissalam Deen ke Badshah bane!

Aur Surah Yusuf ke end me Allah Ta'ala ne farmaya: "In kisso me


samjhdaro ke liye ibrat hai. Ye (Quran) aisa kalaam nahi jo ghad liya jaaye
balki (ye to) un (aasmani kitabo) ki tasdiq hai jo isse pehle (nazil hui)
hain aur HAR CHIZ KI TAFSEEL HAI aur Hidayat hai aur Rehmat
hai, us qoum keliye jo Imaan le aaye."
Karbala se badhkar ibrat aur sabak aur kisme hai?

Aur Karbala ke baad jab Khanwada-e-Ahle Bayt wapas Madina tashreef


laaye to Imam Zainul Aabideen Alaihissalam logo se dur akele akele rehne
35

lage aur hamesha rote rehte. Kisine pucha Hazrat aap itna kyu rote hain?
Imam-e-Aali Muqaam ne farmaya: Yaqoob Alaihissalam ka ek Yusuf gum
hogaya to wo itna roye ke unki aankhe chali gayi, mere same to Mustafa
ke saare Yusuf chal basey hain, mai kaise na-ro'oo.......
36

9. Surah Dahar aur Karbala ka Ajr

Surah Dahar ke shaan-e-nuzool aur uski tafseer me aata hai ke ek


baar Hasnain Kareemain Alaihi-mussalam beemar pad gaye. To Aaqa
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Maula Ali aur Sayyeda Fatimah
(Salamullahi Alaihima) se farmaya ke Tum Hasan-o-Hussain ki shifayabi
keliye nazar maano yaani mannat karo. To Unhone mannat maani ke
Hasnain shifayaab hogaye to hum 3 din roze rakhenge. Hasnain
Kareemain shifayab hogaye to Sayyeda-e-Kainat, Maula-e-Kainat aur Ahle
Bayt ki khadima Hazrat Fizza ne roze rakhe. Pehle din Maula Ali
Alaihissalam bahar gaye aur kuch kaam karke iftar keliye khaane ka
intezam kiya. Jab iftar ka waqt hone aaya to darwaze par ek saayel ne aawaz
di ke Ay Ahle Bayt! Mai miskeen hun mujhe khana dijiye. To Sayyeda-e-
Kainat Salamullahi Alaiha ne sabki ijazat li aur us saayel ko iftar ka saara
khana dediya. Sabne fir paani se iftaar kiya aur dusre din paani se roza
rakha. Fir dusre din bhi Maula-e-Kainat bahar gaye aur kuch kaam kaaj
karke khaane keliye saman laaye. Khana tayyar hua aur sab dastarkhwan
pe iftar ke waqt ke intezar me baithe they ke darwaze par awaz aayi: Ay
Ahle Bayt! Mai yateem hun, mujhe kuch khaane ko dijiye. Aaj bhi saara
khana uthakar usko dediya aur sabne sirf paani se iftar kiya. Teesre din
bhi paani se sehri ki aur Maula Ali Alaihissalam ne iftar ke khaane keliye
samaan laye, khana paka aur iftar ka waqt abhi hone he wala tha ke
darwaze se fir aawaz aayi ke Ay Ahle Bayt! Mai kaidi hun mujhe khaane
ko do. To teesre din bhi saara khana usko dediya aur sabne paani se iftar
kiya. Teen din tak Sayyeda-e-Kainat, Maula-e-Kainat, Hasanain
Kareemain aur Hazrat Fizza ne sirf paani par guzara kiya jisse sabke
Muqaddas chehre kamzori ke baayis kuch murjha-se gaye. Aaqa
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne dekha ke Hasnain Kareemain
shifyab to hogaye magar inke phoolon jaise khoobsurat chehre kyu murjha
‫‪37‬‬

‫‪gaye hain, Maula Ali ka Chehra Mubarak dekha to kuch kamzori ke aasar‬‬
‫‪lage. Aaqa pareshan hokar Apni Shehzadi ke Ghar aaye, dekha ke Aapka‬‬
‫‪Chehra-e-Aqdas bhi kuch murjha sa gaya hai, pucha Beti majra kya hai,‬‬
‫‪to Aap Salamullahi Alaiha ke bataya ke teen din roz mangne wala aaya‬‬
‫‪jisse gharme kisine kuch nahi khaya. Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa‬‬
‫‪Sallam ko taklif hui ke 3 din tak Meri Ahle Bayt ne khana nahi khaya.‬‬
‫‪Abhi isi gum me they ke Allah Ta'ala ne Jibril Alaihissalam ko Surah‬‬
‫‪Dahar ke saath bheja. Jisme Allah Ta'ala ne Ahle Bayt ki Shaan me farmaya:‬‬

‫ار يَ ْش َربُونَ ِمن َكأ ْ ٍس َكانَ ِمزَ ا ُج َها َكافُ ً‬


‫ورا‬ ‫ِإ َّن ْاْلَب َْر َ‬
‫يرا‬‫اّللِ يُفَ ِ هج ُرونَ َها ت َ ْف ِج ً‬ ‫ب ِب َها ِعبَادُ َّ‬ ‫ع ْينًا يَ ْش َر ُ‬ ‫َ‬
‫يرا‬‫يُوفُونَ ِبالنَّ ْذ ِر َويَخَافُونَ يَ ْو ًما َكانَ ش َُّرهُ ُم ْست َ ِط ً‬
‫يرا‬‫علَى ُح ِبه ِه ِم ْس ِكينًا َويَتِي ًما َوأ َ ِس ً‬ ‫ام َ‬ ‫الطعَ َ‬ ‫ط ِع ُمونَ َّ‬ ‫َويُ ْ‬
‫ورا‬ ‫ش ُك ً‬ ‫اّللِ َال نُ ِريدُ ِمن ُك ْم َجزَ ا ًء َو َال ُ‬ ‫ط ِع ُم ُك ْم ِل َو ْج ِه َّ‬ ‫ِإنَّ َما نُ ْ‬
‫يرا‬ ‫ط ِر ً‬ ‫سا قَ ْم َ‬ ‫عبُو ً‬ ‫َاف ِمن َّر ِبهنَا يَ ْو ًما َ‬ ‫ِإنَّا نَخ ُ‬
‫ورا‬‫س ُر ً‬ ‫اّللُ ش ََّر ذَ ِل َك ْاليَ ْو ِم َولَقَّا ُه ْم نَض َْرة ً َو ُ‬ ‫فَ َوقَا ُه ُم َّ‬
‫يرا‬‫ص َب ُروا َجنَّةً َو َح ِر ً‬ ‫َو َجزَ ا ُهم ِب َما َ‬
‫سا َو َال زَ ْم َه ِر ً‬
‫يرا‬ ‫علَى ْاْل َ َرائِ ِك َال يَ َر ْونَ فِي َها ش َْم ً‬ ‫ُّمت َّ ِكئِينَ فِي َها َ‬
‫طوفُ َها ت َ ْذ ِل ً‬
‫يَل‬ ‫ت قُ ُ‬ ‫علَ ْي ِه ْم ِظ ََللُ َها َوذُ ِلهلَ ْ‬ ‫َودَانِيَةً َ‬
‫يرا‬ ‫َت قَ َو ِار َ‬ ‫ب َكان ْ‬ ‫ض ٍة َوأَ ْك َوا ٍ‬ ‫علَ ْي ِهم ِبآنِيَ ٍة ِ همن فِ َّ‬ ‫اف َ‬ ‫ط ُ‬ ‫َويُ َ‬
‫يرا‬‫ض ٍة قَدَّ ُروهَا ت َ ْق ِد ً‬ ‫يراْ ِمن فِ َّ‬ ‫قَ َو ِار َ‬
‫سا َكانَ ِمزَ ا ُج َها زَ ْن َج ِب ً‬
‫يَل‬ ‫َويُ ْسقَ ْونَ ِفي َها َكأ ْ ً‬
‫يَل‬ ‫س ْل َ‬
‫س ِب ً‬ ‫س َّمى َ‬ ‫ع ْينًا ِفي َها ت ُ َ‬ ‫َ‬
‫ان ُّمخَلَّدُونَ ِإذَا َرأ َ ْيت َ ُه ْم َح ِس ْبت َ ُه ْم لُؤْ لُؤً ا َّمنث ُ ً‬
‫ورا‬ ‫علَ ْي ِه ْم ِو ْلدَ ٌ‬ ‫وف َ‬ ‫ط ُ‬ ‫َويَ ُ‬
38

‫يرا‬ً ‫ْت نَ ِعي ًما َو ُم ْل ًكا َك ِب‬


َ ‫ْت ثَ َّم َرأَي‬
َ ‫َو ِإذَا َرأَي‬
‫ض ٍة‬
َّ ‫سا ِو َر ِمن ِف‬َ َ ‫سند ٍُس ُخض ٌْر َو ِإ ْستَب َْر ٌق َو ُحلُّوا أ‬ ُ ‫اب‬ ُ َ‫عا ِليَ ُه ْم ِثي‬
َ
‫ورا‬
ً ‫ط ُه‬ َ ‫سقَا ُه ْم َربُّ ُه ْم ش ََرابًا‬
َ ‫َو‬
ً ‫س ْعيُ ُكم َّم ْش ُك‬
‫ورا‬ َ َ‫ِإ َّن َهذَا َكانَ لَ ُك ْم َجزَ ا ًء َو َكان‬

Beshaq mukhlis aur ita'at guzar (Sharab-e-Tahoor ke) aise jaam piyenge
jisme (khushbu, rangat aur lazzat badhaane keliye) Kafoor ki aamezish
hogi.
(Kafoor Jannat ka) ek aisa chashma hai jis se (khaas)Bandgaan-e-Khuda
piya karenge (aur) jaha chahenge (dusro ko pilaane keliye) usey choti
choti nehron me bahakar (bhi) le jayenge.
(Ye Bandgaan-e-Khaas Wo hain) Jo (apni) Nazren (mannat) puri karte
hain aur us din se darte hain jiski sakhti khoob phail jaane waali hai.
Aur (Apna) khana Allah ki Muhabbat me (khud uski talab-o-hajat hone
ke bawajood isaaran) Miskeen (mohtaj) ko aur yateem ko aur kaidi ko
khilaate hain.
(Aur kehte hain) ki Hum to mahaz Allah ki Raza keliye tumhe khila rahe
hain. Na tumse kisi badle ke khwaastgaar hain aur na shukra guzari ke
(khwahishmand) hain.
Hame to Apne Rab se us Din ka khauf rehta hai jo (chehron ko) nihayat
siyaah (aur) badnuma kardene wala hai.
Pas Allah unhe (Khauf-e-Ilahi ke sabab se) us Din ki sakhti se bacha lega
aur Unhe (Chehron par) Rounaq aur Taazgi aur (Dilo me) sururo
masarrat bakhshega.
Aur is baat ke iwaz Unhone sabr kiya hai (rehne ko ) Jannat aur (pehanne
ko) reshmi poshakh ata karega.
Ye log usme takhton par takiye lagaye baithe honge, na waha dhoop ki
tapish paayenge aur na sardi ki shiddat.
39

Aur (Jannat ke darakhton ke) saaye unpar jhuk rahe honge aur unke
(mewo me) guchche jkukkar latak rahe honge.
Aur (khuddam) Unke gird chandi ke bartan aur (saaf suthre) sheeshe ke
gilaas liye firte honge.
Aur sheeshe bhi chandi ke (bane) honge jinhe unhone (har ek ke talab ke
mutabik) thik thik andaze se bhara hoga.
Aur Unhe waha (Sharab-e-Tahoor ke) aise jaam pilaaye jayenge jinme
Zanjabil ki aamezish hogi.
(Zanjabil) us (Jannat) me ek aisa chashma hai jiska naam Salsabil hai
rakha gaya hai.
Aur Unke ird gird aise (masoom) bachhe ghumte rahenge, jo hamesha usi
haalat me rahenge, jab Aap unhe dekhenge to unhe bikhre hue Moti
gumaan karenge.
Aur jab Aap (Bahisht par) nazar daalenge to waha (kasrat se) Naymat aur
(har taraf) badi saltanat dekhenge.
Aur (Unke Jismo) par baarik resham ke sabz aur dabeez atlas ke kapde
honge, aur Unhe chandi ke kangan pehnaaye jayenge aur Unka Rab Unhe
pakiza sharab pilayega.
Beshaq ye Tumhara Sila hoga aur Tumhari Mehnat kabool hochuki.
Surah Dahar 76:5-22

Teen din tak sirf apna khana kurban karne par Allah ne Ahle Bayt
ko itne saari khushkhabriya di, sirf 3 din ka khana dene par! To Ahle Bayt
ki har roz ki baaki Ibadaton ke Ajr ka andaza kaun lagasakta hai! Yaha 3
din khana kurban karne par ye Ajr to Karbala me 3 din bhuke pyaase
rehkar Khud Apni Jaan ka nazrana pesh kiya to uske Ajr ka Aalam kya
hoga!! Allah Ta'ala ne Aayat 22 me Karbala ka ishara farma diya ke
“Tumhari Mehnat Kabool Hogayi”, 3 din khana kurban karne me zyada
mehnat hai ya 3 din bhuke pyaase rehkar, apni Jaan ka nazrana dekar Deen
ko hamesha keliye mehfooz karna zyada mehnat ka kaam hai? Allah Ta'ala
ne is waqiye se Karbala waalo ki Azmat ka ishara dediya ke Ye Mere wo
40

khaasul khaas bande hain ke jo 3 din sirf apna khana Meri Raah me deden
to Mai Unko ye Ajr karta hun, to andaza lagao aur tum kya andaza lagao
ke Mai Inko Meri Raah me Apni Jaan kurban karne par Kya kya Ajr se
Nawazunga!
41

10. Karbala ek Qayamat Thi

Karbala me jo kuch hua, wo Qayamat se kum nahi tha, aisa zulmo


zitam hua ke aaj lagbhag 1400 saal hone aaye lekin jab bhi Karbala ka
tazkira hota hai logo ke aankho se aansu rawa hojate hain. Karbala ki
peshangoyi pehle he kardi gayi thi jab Imam Hussain Alaihissalam ki
Wiladat-e-Ba-Sa'adat hogayi thi. Lekin na kabhi Aaqa Kareem SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne, na kabhi Maula Ali Alaihissalam ne, na
kabhi Sayyeda-e-Kainat Salamullahi Alaiha ne aur na he kabhi khud Imam
Hussain Alaihissalam ye dua ki Karbala tal jaaye, nahi balke Sabne
hamesha ek he dua ki Imam Hussain ko isteqamat ata hojaye. Karbala ne
Qayamat tak keliye insaniyat ko 2 kirdar diye, ek Hussaini kirdar dusra
yazidi kirdar. Jinse Hussaini kirdar ko apnaya wo kamyab hua aur uncha
hogaya aur jisne yazidi kirdar apnaya wo barbaad hogaya aur niche gir gaya.
Karbala ki Qayamat waqt Imam Hussain Alaihissalam ki Umr
Mubarak 56 baras thi. Quran-e-Majeed ki 56th Surat, Surah Waqiya hai
jiske ibtedayi 3 Aayten ye hain:

ُ‫ت ْال َوا ِق َعة‬ِ َ‫ِإذَا َوقَع‬


ٌ‫ْس ِل َو ْقعَ ِت َها َكا ِذبَة‬
َ ‫لَي‬
ٌ‫ضةٌ َّرافِعَة‬ َ ِ‫خَاف‬
“Jab waaqe hone waali waaqe hojayegi”
“Uske waaqe hone me koi jhoot nahi”
“(Wo) kisiko nicha kardene waali (kisiko) Uncha kardene waali (hai)”
Surah Waqiya 56:1-3
42

Karbala ek Qayamat thi jo waaqe hogayi aur is Qayamat ne tarazu kaayam


kardiya ke jo Hussaini bana wo uncha hogaya aur jo yazidi bana wo
barbaad hogaya.

Surah Waqiya me aage Allah Ta'ala ne 3 giroho ka zikr farmaya, sabse


aage waale, right side waale aur left side waale. Inme sabqat lejane waale
yaani sabse aage waale Allah ke sabse zyada khaas bande hain. Right side
waale bhi Jannati lekin unka darja Sabqat lejane waalon se kum aur left
side waale wo log jo jahannum me jayenge yaani jo barbaad hogaye.
Karbala se agar isko joden to Sabqat lejane waale Imam Hussain
Alaihissalam aur Unke Ashaab, right side waale wo jo Imam Hussain
Alaihissalam se muhabbat karte hain magar Karbala me nahi they aur left
side waale wo log aur unke chahne waale jinhone Imam-e-Aali Muqaam
ko Shaheed kiya tha.
43

11. Laylatul Qadr aur Karbala

‫ِإنَّا أَنزَ ْلنَاهُ فِي لَ ْيلَ ِة ْالقَ ْد ِر‬


‫اك َما لَ ْيلَةُ ْالقَ ْد ِر‬ َ ‫َو َما أ َ ْد َر‬
‫ش ْه ٍر‬َ ‫ف‬ ِ ‫لَ ْيلَةُ ْالقَ ْد ِر َخي ٌْر ِ هم ْن أ َ ْل‬
‫الرو ُح فِي َها ِبإِ ْذ ِن َر ِبه ِهم ِ همن ُك ِهل أ َ ْم ٍر‬ ُّ ‫تَن ََّز ُل ْال َم ََلئِ َكةُ َو‬
‫طلَ ِع ْالفَ ْجر‬ ْ ‫ي َحتَّى َم‬ َ ‫س ََل ٌم ِه‬ َ
Beshaq Humne is (Qur’an) ko Shab-e-Qadr me utara.
Aur aap kya samjhe hain (ke) Shab-e-Qadr kya hai
Shab-e-Qadr (Fazilat wa Barkat aur Ajro Sawab me) Hazaar Mahino se
Behtar hai.
Is (raat) me Farishte aur Roohul Ameen (Jibrael) apne Rab ke Hukm se
(Khair wa Barkat ke) har amr ke saath utarte hain.
Ye (raat) tulu-e-fajr tak (sarasar) Salamati hai.

Surah Qadr 97

Jaame Tirmizi ki Abwab ut Tafseer me hai ke Imam Hasan-e-


Mujtaba Alaihissalam Farmate Hain Mere Baba Tajdar-e-Kainat
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Khwab dekha aur subh
pareshan bedaar hue. Aapne farmaya ke Meri pareshani ka sabab ye hai
ke Maine Khwab dekha ke Banu umaiyya ke hukmarano ko Apna
Mimbar paamal karte dekha hai. Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne farmaya ke yake baad digare Mere Mimbar pe baithe aur
Mimbar-e-Rasool paamal horaha hai.
44

Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Subh pareshan uthe,


Tabiyat-e-Muqaddasa pe malal tha, us malal ko dur karne keliye, Imam
Hasan-e-Mujtaba farmate hain Allah Pak ne Ye Surat Surah Qadr nzail
farmayi. Aur Surat me hai ke Wama Adraka ma Laylatul Qadr, "kya aap
jante hain ye Laylatul Qadr kya hai?" Jawab diya: "Laylatul Qadri
Khairum min Alfi Shahra". Shab e Qadr ek hazaar mahino se Afzal hai!
Hadees ke raawi jinhone Imam Hasan-e-Mujtaba Alaihissalam se Ye
suna wo kehte hain mai tabse sochne lag gaya ke hazar mahine kaunse?
To Tirmizi Shareef me hai farmate ke jab waqt guzra aur giney to banu
umaiyya ki hukumat ka daur pure hazar mahine bana!

Allah ne Huzoor ka ranj o malal dur karne keliye Surat utaari, Farmaya
Mehboob jinko Apne Mimbar ko pamaal karte dekha hai, ek hazar
mahine is Mimbar pe hukumat pe baithenge, inke hazar mahino se
Mehboob Teri Ahle Bayt ki Ek Raat behtar hai!!
Ye hazar mahine banu umaiyya ke. Hadees to waha khatm hogayi ke
hazar mahine banu umaiyya ke hazaar maah hain. Shaykh-ul-Islam Dr.
Tahir-ul-Qadri kehte hain: “Hadees yaha khatam hogayi ab is se aage
apna ijtehadi itlaaq karraha hun. Apni Zimmedari par itaalq karraha
hun, apni Ilmi zimmedari par itlaaq karraha hun ke jab hazaar maah
banu umaiyya ke takht-e-damishq ke hue to unse behtar hai Ek Raat. To
mera wijdaan ye kehta hai jab ek taraf takht e damishq ke hazar mahine
hon aur ek raat jo takht e damishq ke hazar mahino se behtar hai Wo
Sayyeda Zainab ki Shab-e-Aashur hai! Wo Imam Hussain ki Shab-e-
Aashur hai Wo Sayyeda Sakina ki Shab-e-Aashur hai ! Ke wo takht par
baithne walo ke ek hazar maah aur Mustafa Tere Shehzado Shehzadiyo
ki Khaak-e-Karbala par Wo aakhri Ek Raat.” (Alaihim Afdalus Salawatu
was-Salaam)
45

12. RasoolAllah (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa


Sallam) ko azeeyat pahunchaane waale

‫اّللُ ِفي الدُّ ْنيَا َو ْاْل ِخ َرةِ َوأ َ َعدَّ لَ ُه ْم‬ َّ ‫سولَهُ لَعَنَ ُه ُم‬ َّ َ‫ِإ َّن الَّذِينَ يُؤْ ذُون‬
ُ ‫اّللَ َو َر‬
‫عذَابًا ُّم ِهينًا‬ َ
‫احت َ َملُوا‬
ْ ‫سبُوا فَقَ ِد‬ َ َ ‫ت ِبغَي ِْر َما ا ْكت‬ ِ ‫َوالَّذِينَ يُؤْ ذُونَ ْال ُمؤْ ِمنِينَ َو ْال ُمؤْ ِمنَا‬
‫بُ ْهتَانًا َو ِإثْ ًما ُّم ِبينًا‬
“Beshaq jo log Allah aur Uske Rasool (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam) ko azeeyat dete hain, Allah unpar duniya aur aakhirat me lanat
bhejta hai aur usne unke liye zillat angez azaab tayyar kar rakha hai.”
“Aur jo log Momin Mardon aur Momin Auraton ko azeeyat dete hain
bagair iske ki unhone kuch (khata) ki ho to beshaq unhone bohtan aur
khule gunah ka bojh (apne sar) leliya.”
Surah Ahzab 33: 57,58

Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Sayyeda Aaisha Siddiqa


RadiAllahu Anha ke Hujra Mubarak se nikle aur Sayyeda Fatimah tuz
Zahra Salamullahi Alaiha ke Dar-e-Aqdas se samne se guzre to Kaan
Mubarak lagakar suna ke andar se Imam Hussain ke rone ki aawaz aayi.
Gharme dakhil hogaye aur farmaya: Fatimah Tu nahi jaanti Hussain ka
rona Mujhe taklif deta hai. Mai Hussain ka rona bardasht nahi karsakta.
Mujam-ul-Kabir 3/116, #32186
Jab Hussain ka rona aaj bardasht nahi karsakte to Karbala me Hussian ki
taklif Aaqa ne kab bardash ki hogi aur kaise bardash ki hogi..... SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam
Yehi wajah ke Sayyeduna Usman-e-Gani bhi Shaheed hue, Sayyeduna
46

Umar-e-Farooq bhi Shaheed hue, sab Shahadaten akbar aur aazam hain,
Sayyeduna Maula Ali Alaihissalam bhi Shaheed hue, sab akbar aur aazam
hain, magar kisike shahadat ke din uske mashhad pe Huzoor nahi gaye.
Sayyeduna Usman RadiAllahu Anhu Roza, aur udhar Karbala me Aaqa
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Khud Maujud hain, jaise kai
Ahadees me aaya hai, ye sharf kisi aur ko nahi ata hua.

ُ‫آن َما ُه َو ِشفَا ٌء َو َر ْح َمةٌ ِله ْل ُمؤْ ِم ِنينَ َوالَ يَ ِزيد‬ِ ‫َونُن ِ هَز ُل ِمنَ ْالقُ ْر‬
‫ارا‬
ً ‫س‬ َ ‫ين ِإالَّ َخ‬ َّ ‫ال‬
َ ‫ظا ِل ِم‬

Aur Hum Quran me wo chiz nazil farma rahe hain jo Imaan waalon
keliye Shifa aur Rehmat hai aur zalimon keliye to sirf nuqsaan he me
izafa karrahe hai.
Surah al Isra 17:82

Yahan jin zalimon ka zikr Allah Ta’ala ne farmaya, unme yazid laeen bhi
apne aap shamil hojata hai, isme kisiko shaq nahi aur hona bhi nahi
chahiye. Lekin Aayat me Allah ne farmaya “yazeeduz zalimeen”, ab iska
tarjuma to ye hai “zalimon keliye (khasaare me) izafa”, lekin yahan lafz-
e-yazeed bhi hai aur baat bhi zalimon ki horahi hai. Aayat ke pehle hisse
me Quran ki Shaan batayi gayi hai ke usse Imaan waalo ko shifa, Rehmat
aur sukoon nasib hota hai. Imam Hussain Alaihissalam ka rishta Quran
se jitna hai utna kisika bbi nahi hai kyunki Khud Tajdar-e-Kainat
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya ke: “Quran aur Meri
Ahle Bayt hargiz ek dusre se kabhi juda nahi hogi aur Hauz-e-Kausar pe
bhi ikatta Mere paas aayenge.” Aur Sahih Muslim me hai ke RasoolAllah
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya ke: “Mai tum me 2 badi
bhaari chizen chodey jaraha hun ke agar tum unhe thame rahoge to kabhi
gumrah nahi hoge, Allah ki Kitab Quran aur Meri Ahle Bayt.” To hum
47

kehsakte hain ke Imam Hussain chalte firte Quran hain ke Aapki puri
Zindagi Quran ke bataye hue tarike par biti aur Quran ki hifazat me
Aapne Apni Muqaddas Jaan kurban kardi. Imam Hussain Alaihissalam
chalte firte Quran hain aur “Is Quran” se Imaan waalo ko shifa aur
Rehmat bhi milti hai ke Shifa is baat se ke zulm ko khatam karne ka
formula Imam-e-Aali Muqaam Alaihissalam ne diya aur Rehmat is chiz
se ke jab zulm mita to adlo insaf ka nizaam kaayam hua aur sabko apna
haq barabar mila. To is Aayat ke pehle hissa me Imam Hussain
Alaihissalam ki Zaat-e-Pak ka ishara milta hai aur dusre hisse me un
zalimon ka Islam ke nizaam ko toda chahte hain, awaam ka haq marna
chahte hain aur inme sabse bada zalim yazid-e-laeen tha aur uska naam
bhi Aayat me aagaya!
48

13. Ay Rooh-e-Hussain Aa Apne Rab ke Paas


Surah Fajr: Sayyeduna Ibrahim Alaihissalam se Imam
Hussain Alaihissalam Tak

Jab wo hogaya jo hojana tha, jab Imam Hussain Alaihissalam ne


Apne Nanajaan se kiya hua waada pura kardiya aur is Deen ko Qayamat
tak keliye mehfooz kardiya wo Imam-e-Aali Muqaam ki Shahadat jab
waaqe hogayi to kitabo me aata hai ke Aasman se aawaz aayi:

ْ ‫س ْال ُم‬
ُ‫ط َمئِنَّة‬ ُ ‫يَا أَيَّت ُ َها النَّ ْف‬
ً‫ضيَّة‬
ِ ‫اضيَةً َّم ْر‬ ِ ‫ار ِج ِعي ِإلَى َر ِب ِهك َر‬ ْ
‫فَا ْد ُخ ِلي فِي ِعبَا ِدي‬
‫َوا ْد ُخ ِلي َجنَّتِي‬

“Ay Itminaan paa jaane waale Nafs!”


“Tu Apne Rab ki Taraf is haal me laut aa ki tu Uski Raza ka Talib bhi
ho aur Uski Raza ka Matloob bhi, (goya Uski Raza teri Matloob ho
aur teri raza Uski Matloob).”
“Pas Tu Mere (Kamil) Bandon me shamil hoja”
“Aur Meri Jannat-e-(Kurbat-e-Deedar) me dakhil hoja.”

Surah Fajr 89-27-30


49

Isi Surah Fajr ki ibtedayi Aayaten yun hain:

‫َو ْالفَ ْج ِر‬


‫َولَيَا ٍل َع ْش ٍر‬

Us Subh ki Kasam (jisse zulmat-e-shab chatt gayi).


Aur 10 (Mubarak) Raaton ki Kasam.
Surah Fajr 89:1-2

In “10 mubarak raaton” ke bareme kaha gaya ke ye 10 raat Maah-e-


Ramzan ul Mubarak ki aakhri 10 raaten hain ya Zilhajj ki pehle 10 raate
jo Barakaat aur Darajaat se ma’moor hain. Zilhajj ke pehle 10 dino ko
Sayyedun Ibrahim Alaihissalam aur Sayyeduna Ismail Alaihissalam se
khaas nisbat hai ke isi ashre me Zibh-e-Ismail Alaihissalam ka hukm aaya
tha. Aur jaise upar dekhchuke ke Surah Fajr ki aakhri Aayaat-e-Kareema
ko kaise Imam Hussain Alaihissalam se connected hain. To goya Surah
Fajr ki ibteda Zibh-e-Ismail se aur Surah Fajr ki ikhtetam Zibh-e-Azeem
yaani Zibh-e-Hussain se (Alaihi-Mussalam).
Aur Zilhajj ka yehi pehle ashra tha jisme Imam Hussain Alaihissalam
Makka se Kufa ki taraf rawana hue they.
50

14. Imam Hussain Alaihissalam ki Shahadat ko Itni


Shohrat Kyu Hasil Hai?

Allah Ta’ala ne Apne Khalil Sayyeduna Ibrahim Alaihissalam ki Shaan


me farmaya:

ً‫يم َكانَ أ ُ َّمة‬


َ ‫ِإ َّن ِإب َْرا ِه‬
“Beshaq Ibrahim (Alaihissalam Tanha Zaat me) ek ummat they…”
Surah Nahl 16:120

Sayyeduna Ibrahim Alaihissalam ki Ye Shaan hai ke saare log ek taraf aur


Aapki Tanha Zaat un sab pe bhari. Yehi Shaan Aapke bete Imam Hussain
Alaihissalam ko bhi ata hui. Jaame Tirmizi ki Hadees-e-Sahih hai,
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne irshad
farmaya: "Hussainu Sibtum Minal Asbaat". Is Hadees-e-Pak ke alag alag
maana bayan kiye gaye, lekin jo sabse zyada sahih maana hai wo hai
“Hussain Tanha Ek Ummat hai.” Isiliye ummat me jitni Shahadaten huin
wo sab Afzal aur unchi hain lekin sirf Imam Hussain Alaihissalam ki
Shahadat ko he itni shohrat mili aur aaj tak Imam-e-Aali Muqaam ke
Gum me aansu bahaye jaate hain, ye itni shohrat hasil hone ki ek wajah ye
bhi hai ke baaki jitni Shahadaten huin wo unki zaat tak mehdood thi,
lekin kyunki Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Imam
Hussain Alaihissalam ko Ummat kaha, to matlab hua Imam Hussain
Alaihissalam ki Shahadat puri ummat ki Shahadat jaisi hai, to laazmi hai
ki puri ummat ki Shahadat jaisi Shahadat hai to puri me uska charcha
hamesha baaki rahega.
51

Allahumma Salli Ala Sayyedina Muhammadiw wa Ala Aali Sayyedina


Muhammadin Kama Sallaita Ala Sayyedina Ibrahim wa Ala Aali
Sayyedina Ibrahim Innaka Hamidum Majeed
Allahumma Barik Ala Sayyedina Muhammadiw wa Ala Aali Sayyedina
Muhammadin Kama Barakta Ala Sayyedina Ibrahim wa Ala Aali
Sayyedina Ibrahim Innaka Hamidum Majeed

Allahumma Salle Ala Sayyedina Muhammadi Nin Nabiyyi wa Azwajihi


Ummahatul Mu’minin wa Zurriyatihi wa Ahle Baytihi Kama Sallaita
Ala Sayyedina Ibrahim Innaka Hamidum Majeed.

Allahumma Salle Ala Sayyedina wa Maulana Muhammadiw wa Ala


Sayyedina Aliyyuw wa Sayyedatina Fatimah wa Sayyedatina Zainab wa
Sayyedina Hasan wa Sayyedina Hussain wa Ala Aalihi wa Sahbihi wa
Baarik wa Sallim

You might also like