Zikrullah (Roman) - 1

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 52

1|Page ZIKRULLAH

Zikrullah
-: Musannif :-
Nabeera E Sarkar AalaHazrat Mufassir E Aazam E Hind Allama Mufti
Muhammad Ibrahim Raza Khan RadiAllahu Ta'ala Anhu

-: Zer E Saya E Karam :-


Shehzada E Mazhar E AalaHazrat Junaid E Zamaañ Allama Mufti
Muhammad Nasir Raza Khañ Sahab Qibla Hashmati
Damat Barkatuhum

-: Roman Urdu Translation :-


Ubaid E Hashmat Ali

-: Roman Urdu Proofreading :-


Muhammad Sohail Raza Hashmati
2|Page ZIKRULLAH

Arz E Haal
Yeh Mubarak Risala Hidayat Qubala, Sunniyo Ke Diloñ
Meiñ Ishq E Mustafa (Alaihit-Tahiyyatu Was-Sanaa) Se Bhar
Dene Waala, Sarkar E Aqdas (SallAllahu Alaihi Wasallam) Ki
Shaan E Mubarak Ki Tajalliyaañ Dikhaane Waala, Dushman E
Sarkar Ke Diloñ Meiñ Bijliyaañ Giraane Waala, Andekhi Wa
Ansuni Kashfi Riwayaat Bataane Waala, Zikr E Haqeeqi Se
Aagah Karne Waala Musamma Ba-Naam "Zikrullah" Sarkaro
Ke Karam Se Mutalla Kiya, Iska Zikr Shehzada E Masoom E
Millat Allama Mufti Muhammad Faraan Raza Khan Sahab
Qibla Hashmati Ki Zaban E Aqdas Se Suna Tha. Jo Jo Safhaat
Palat-ta Gaya, Maarey Hairat Ke Haath Sar Par Dhar Liya
Khusoosan Ek Riwaayat Jo Apni Kam Ilmi Ke Sabab Na Suni
Na Dekhi Jo Aap Is Risaale Meiñ Mutalla Kareñge, Jab Padhi
Toh Fauran Roman Meiñ Kaam Karna Shuru Kardiya,
Bihamdillah Mukammal Hua. Sarkar Qubool Farmaye Aur
Apne Sana Khwaanoñ, Maddaahoñ Ke Kafsh E Paa Ki Khaak
Banaaye Madeene Ki Galiyaañ Bahaarañ Karaayeiñ Toh Baat
Apni Ban Jaaye, Aameen! Maula Ta'ala Jaza E Khair Ataa
Farmaaye Mere Tamam Ahbaab Ko Jo In Kaamoñ Meiñ Meri
Madad Karte Hai Aur Hamah Waqt Ba-Qadr E Istitaa'at Deeni
Kaamoñ Meiñ Masruf Rehte Hai Khusoosan Biraadar E Akbar
3|Page ZIKRULLAH

Muhibbi Wa Mukhlisi Fidaa E Sher E Hindustan Muhammad


Sohail Raza Hashmati Hifzuhu Ma'al Imaan Wal Ilm Wal
Nusrat Wa Yakey Az Khaadiman E Masoom E Millat Azeezam
Muhammad Hamzah Raza Hashmati Sallamahu. Allah Ta'ala
Mere Aur Tamam AhleSunan Ki Taraf Se In Hazraat Ko Aur
Un Tamaam Sunni Bhaiyoñ Ko Jo Deeni Kaamoñ Meiñ Lagey
Rehte Haiñ Jazaa E Khair Ataa Farmaye Unke Imaan Ilm Amal
Ishq Rizq Meiñ Barkateiñ Ataa Farmaye.
Akheer Meiñ Mamnoon Huñ Mujaahid E Sunniyat Waaqif
E Israr E Ifta Allama Mufti Ghulaam Waaris Sahab Qibla
Hashmati Idreesi Ka Jinhone Is Risaale Par Humeiñ Duaiya
Kalmaat Se Nawaaza Aur Mujh Jaise Naakara Par Baraabar
Karam Farmatey Rehte Haiñ. Allah Ta'ala Apni Bargaah Meiñ
Unka Naseeba Zaayid Farmaye.

‫آمین یا رب آلعالمین بجاہ سید آلمرسلین صلی ہللا علیہ وسلم‬.


4|Page ZIKRULLAH

Sharf E Intisaab
Maiñ Apni Is Adna Khwahish Ko Jumla Shehzaadgaan E
Sher E Beshah E Sunnat Bilkhusoos Khaleefa Wa Shehzaada
E Mazhar E AalaHazrat, Ma'dan E Ishq, Aalim Tareen Ba-
Uloom E Wilaayat, Masnad Nasheen E Bisaat E Hidayat,
Saahib E Kashf O Karamat, Ghavvaas E Behr E Ma’rifat, Aarif
E Billah, Junaid E Zamaañ, Murshid E Barhaq Hazrat Allama
Maulana Mufti Faqeeh Ashshah Muhammad Nasir Raza Khan
Qibla Hashmati Daamat Barkaatuhumul Aaliya Qudsiya
Ke Naam Karta Hu, Jinhone Apni Puri Hayaat E Taiyyaba
Maslak E AalaHazrat Ki Khidmat Meiñ Guzari Aur Apne
Wajood E Muqaddas Se Hamaare Diloñ Ko Noor Aur
Aankhoñ Ko Ziya Bakhshi.

Gar Qubool Uftad Ze Hai Izz O Sharf!


5|Page ZIKRULLAH

Duaiya Kalimaat
Az: Waaqif Israar E Iftaa Hazrat Allama Mufti Ghulaam Waaris Sahab
Qibla Hashmati Idreesi
َ ٰ َّ َ َّ َ ‫َ َ َ َ َ َّ َو‬
‫لصل ُوة َوآلسَل ُم َع َل ٘ي َك َي َار ُس ٌو َل آل ّٰـل ِه ﷺ‬ ‫لک آلحمد یا ہللا عز جل آ‬
Is Waqt Aapke Pesh E Nazar Ek Kitaab Ba-Naam "Zikrullah" Hai Is
Kitab Meiñ Aaqa (Salaatu Wassalaam) Ki Shaan E Aqdas Ko Dalaayil Ke
Saath Nihaayat Hi Dilkash Andaaz Meiñ Bayaan Kiya Gaya Hai Iska Asl
Unwaan Zikr E Mustafa Hi Zikr E Ilaahi Hai. Kitab Ka Islob Nihaayat Hi
Shaandar Hai Aur Isko Padhne Waala Aur Samajhne Waala Aaqa
(‘Alaihis-salaam) Ke Ishq Meiñ Sarshaar Hokar Ek Khaas Ilmi Aur
Tehqeeqi Zauq Mehsoos Karega, Aur Aisa Kyuñ Na Ho Ke Is Kitab Ke
Musannif Aarif E Billah Nabeera E AalaHazrat Mufassir E Aazam E Hind
Allama Mufti Muhammad Ibrahim Raza Khan (‘Alaihirrehmah) Hai Jinki
Mubarak Shakhsiyat Mohtaj E Tarruf Nahiñ!
Is Kitab Ko Roman Urdu Meiñ Ek Asri Taleem Yaafta Kam Umr
Sahab Ne Kiya Hai Jinhone Dars E Nizami Ka Ek Class Tak Na Padha.
Azeezam Aali Qadr Muhammad Shahbaz Hashmati Sallamahu (Ubaid E
Hashmat Ali), Unhiñ Ki Kadd O Kash Ka Yeh Samraah Hai. Yeh Janaab E
Waala Ka Koi Pehla Fel E Hasan Nahiñ Balki Apne Buzrugoñ Ki
Tahaareer Ko Unhiñ Ke Karam Se Alag Alag Zaraaye Se Aam Karte
Chale Aa Rahe Hai Yeh Saari Cheezeiñ Dekh Kar Dil O Dimaagh
Masarrat Wa Shaadmani Se Jhoom Uth-ta Hai.
6|Page ZIKRULLAH

Janaab E Waala Ki Tehreereiñ Mustaqbil Ki Taabaani Wa Tabnaaki


Ka Pata De Rahi Hai. Qaabil E Sa’d Rashk Haiñ Azeezam Janaab
Muhammad Shahbaz Hashmati Sallamahu Sahab Jo Apne Rabb E
Kareem Ki Taufeeq O I'aanat Se In Kaamoñ Meiñ Lagey Rehte Haiñ Aur
Saath Hi Saath Qaabil E Tehseen Wa Aafreen Hai Woh Tamaam Hazraat
Jo Sallamahu Ka Saath De Rahe Haiñ.
Azeezam Ko Apne Akaabireen E AhleSunnat Ki Tahareer Ko
Manzar E Aam Par Laane Ka Kaafi Shauq Hai.
Faqeer Dua Karta Hai Sarkaroñ Ke Sadqe Wa Tufail Allah Tabaarak
Wa Ta'ala Azeezam Aali Janab Muhammad Shahbaz Hashmati Aur
Unke Saathi Hazraat Ko Ilm E Naafe Wa Daarain Ki Ne'matoñ Barkatoñ
Rehmatoñ Daulatoñ Se Maalamaal Farmaye, Aur Aise Hi Deen E
Mateen Ki Khidmat Karne Ki Taufeeq Ataa Farmaye Janaab Ki
Kaawishoñ Ko Qubool Farmaye Janaab E Waala Par Allah Ta'ala
Rehmaan O Raheem Wa Kareem O Ghafoor Ka Abr E Rehmat Jhoom
Jhoom Kar Barse.

‫آمین ثم آمین یا رب آلعالمین بجاہ سید آلمرسلین حبیبہ آلکریم آلرؤف آلرحیم علیہ وآلہ و‬
‫صحبہ و آولیاء ملتہ و علماء آمتہ آجمعین‬

Dua Go Aur Dua Jo,


Faqeer Ghulaam Waaris Hashmati Ashrafi Qadri Lucknow
Muqeem E Haal Surat Gujrat.
7|Page ZIKRULLAH

ZIKRULLAH
‫ّّٰٰللا رب محمد صلی علیہ وسلم‬
‫نحن عباد محمد صلی علیہ وسلم‬
ٰ
‫آعوذ باہلل من آلشیطن آلرجیم‬
ٰ ‫بسم ّّٰٰللا‬
‫آلرحمن آلرحیم‬
ُ‫ّٰللا َت ْط َم ِئ ُّن آَ ْل ُق ُلوب‬
َِّ َ ‫َآ ََل بذ ْكر‬
ِ ِِ
(Surah Ra'ad Aayat:28)
“Allah Ta'ala Farmata Hai Ke Aagah Ho Jao Zikrullah Se Dil
Mutma-in Hote Haiñ.”
ََ
“Alaa (‫ ”)آَل‬Hurf E Tambeeh Hai Farmata Hai Allah Ta'ala
Zikrullah (Allah Ke Zikr) Se Dil Mutma-in Hote Haiñ Toh
Yahaañ “Alaa” Ka Ishaarah Ghaflat Door Karne Ke Liye Hai
Ke Zikrullah Ko Zyaada Karo Zikrullah Se Quloob Mutma-in
Hote Haiñ Aur Zikrullah Kya Hai? Toh Hazrat Allama Qaazi
Ayaaz (Radi Allahu Ta’ala Anhu) Shifa Shareef Meiñ Hazrat E
Mujahid (Radi Allahu Ta’ala Anhu) Se Naql Farmatey Haiñ Jo
Ajilla Taaba’een Meiñ Se Haiñ, Tehreer Farmatey Haiñ Ke
Zikrullah Kya Hai? “Woh RasoolAllah Haiñ”. Toh Tarjuma
Aayat Ka Yeh Hua Ke Zikrullah Se Naam E Muhammadur-
RasoolAllah (SallAllahu Alaihi Wasallam) Se Itminaan E Qalb
(Dil Ka Sukoon) Haasil Hota Hai. Toh Quraan Shareef Meiñ
8|Page ZIKRULLAH

Jahaañ Kaheeñ Zikrullah Aata Hai Uske Maani Muhammadur-


Rasoolullah (SallAllahu Alaihi Wasallam) Ke Hote Haiñ.

ZIKR E MUSTAFA ‫ ﷺ‬HI ZIKR E ILAHI HAI


ٰ(‫يش ًة َض ًنكا َو َن ْح ُش ُر ُهۥ َي ْو َم آَ ْل ِق َٰي َم ِة َآ ْع َمى‬
َ ‫ض َعن ِذ ْكرى َفإ َّن َل ُهۥ َم ِع‬
ِ ِ َ َ
‫ر‬ ‫ع‬ْ ‫آ‬َ ْ
‫ن‬ ‫م‬َ َ
‫)و‬
(Surah Taha; Aayat-124)
"Aur Jo Mere Zikr Se Muñh Modey (Yaani Naam E
Muhammad RasoolAllah (SallAllahu Alaihi Wasallam) Se
Muñh Modey) Toh Uski Ma’eeshat Tañg Hai Aur Roz E
Qayaamat Usey Andha Uthauñga.
ٌ‫ض َل ٗه َش ْی ٰط ًنا َف ُه َو َل ٗه َقر ْین‬
ْ ‫َو َم ْن َّی ْع ُش َع ْن ِذ ْكر َّآلر ْح ٰمن ُن َقی‬
ِ ِ ِ ِ
(Surah Zukhruf; Aayat-36)
Aur Jisko Rehmaan Ke Zikr Se Tond Aaye (Rehman Ke Maani
Hai Rehmat Waala Aur Rehmat Ke Maani Rehmatal-Lil-
‘Aalameen Toh Rehman Ke Maani Ab Huve Muhammad
SallAllahu Alaihi Wasallam) Us Par Shaitan Ko Musallat Kar
Duñga Aur Shaitan Bura Humnasheeñ Hai.
Toh Zikrullah Muhammad RasoolAllah (SallAllahu Alaihi
Wasallam) Hai. Hazrat Shaikh Muhaddis Abdul Haq Dehelvi
9|Page ZIKRULLAH

(Rehmatullah Alaih) Tehreer Farmaate Haiñ Apne Maktubaat


Shareef Meiñ Ke Allah Ta'ala Ko Jab Manzoor Hua Keh Noor
E Muhammad RasoolAllah (SallAllahu Alaihi Wasallam) Ko
Paida Farmaaye Toh Allah Ta'ala Ne Ek Hazaar (1000) Saal
Kaha Muhammad RasoolAllah Muhammad RasoolAllah
Muhammad RasoolAllah (SallAllahu Alaihi Wasallam) Ek
Hazaar Saal Ke Baad Noor E Muhammad (SallAllahu Alaihi
Wasallam) Jalwa Gar Hua Aur Jaise Hi Yeh Noor Paida Hua Is
Noor Ne Kaha "Laa Ilaaha Illallaah" Toh Jaise Hi Us Noor Ne
"Laa Ilaaha Illallaah" Kaha Toh Wo Noor Haq Meiñ Fana Ho
Gaya. Toh "Laa Ilaaha Illallaah" Zikr E Nabi Hai Aur
"Muhammadur-Rasoolullah" (SallAllahu Alaihi Wasallam) Zikr
E Khuda Hai Aur Quraan Shareef Mein Irshad Farmata Hai:

SALAAT O SALAAM ZIKR E ILAHI HAI


َ ‫ّٰللا َو َم ََل ِئ َكـ َت ُه ُي َص ُّل‬
‫ون َع َلى َّآلن ِب ِي‬ َ َّ ‫ِإ َّن‬
(Surah Al-Ahzaab; Aayat-56)
Beshak Allah Aur Uske Farishte Durood Bhejte Hai Nabi Par
(SallAllahu Alaihi Wasallam)
Toh Durood O Salaam Zikrullah Hua Toh Quraan Shareef
Mei Farmata Hai!
10 | P a g e ZIKRULLAH

ً‫َو ََل ُتط ْع َم ْن َآ ْغ َف ْل َنا َق ْل َب ُهۥ َعن ذ ْكرَنا َوآَ َّت َب َع َه َو ٰى ُه َو َك َان َآ ْم ُر ُهۥ ُف ُرطا‬
ِ ِ ِ
(Surah Kahf, Aayat-28)
“Uski Itaa'at Na Kar Uska Kehna Na Maan Jis Ke Dil Se
Humne Apna Zikr Bhula Diya Yaani Naam E Muhammad
RasoolAllah Bhula Diya. Woh Apni Hawa Apne Nafs Ka Pairu
Hua. Uska Muamla Hadd Se Badh Chuka.”
Haq Ta'ala Ka Yeh Farmaana Ke Uska Kehna Na Maan Jis
Ke Dil Se Humne Apna Zikr Yaani Muhammad RasoolAllah
(SallAllahu Alaihi Wasallam) Bhula Diya. Yeh Ek Ajeeb
Mazmoon Hai Kyuñke Maani Is Ke Yeh Huve Ke Muhammad
RasoolAllah (SallAllahu Alaihi Wasallam) Unki Zabaan Par
Hoga Unke Diloñ Meiñ Na Hoga. Jinke Diloñ Meiñ Naam E
Muhammad RasoolAllah (SallAllahu Alaihi Wasallam) Na Ho
Unki Itaa'at Na Kar Unka Kehna Na Maan Aur Woh Kaun Haiñ
Ke Jin Ke Diloñ Se Allah Ta'ala Ne Muhammad RasoolAllah
Bhula Diya Hai Toh Yeh Woh Haiñ Ke Jin Ka Zikr Quraan
Shareef Meiñ Aaya Hai:
11 | P a g e ZIKRULLAH

ZIKRULLAH NAAM HAI MUHAMMAD RASOOLALLAH ‫ ﷺ‬KA


ُ‫ّٰللا َي ْع َل ُم ِإ َّن َك َل َر ُس ُول ُهۥ َو َ َّّٰللا‬ َِّ َ ‫ون َق ُال ْوآ َن ْش َه ُد إ َّن َك َل َر ُس ُول‬
ُ َّ َ ‫ّٰللا ۗ َو‬ َ ُ‫إ َذآ َجا َء َك آَ ْل ُم َٰنفق‬
ِ ِ ِ
ٰ َ ‫َي ْش َه ُد ِإ َّن آَ ْل ُم َٰن ِف ِق‬
َ ‫ين َل َك ِذ ُب‬
‫ون‬
Aye Mehboob Teri Khidmat Meiñ Munaafiq Aayeñge Aur
Kaheñge Ke Hum Gawaahi Dete Haiñ Ke Aap Waaqayi Allah
Ke Rasool Haiñ Allah Ta'ala Farmata Hai Ke Allah Jaanta Hai
Ke Aap Allah Ke Rasool Haiñ Lekin “ َ ‫ّٰللا َي ْش َه ُد ِإ َّن آَ ْل ُم َٰن ِف ِق‬
‫ين‬ ُ َّ َ ‫َو‬
َ‫” َل َٰك ِذ ُبون‬. Allah Gawaahi Deta Hai Ke Munaafiq Jhoote Haiñ
Muhammad RasoolAllah Kehne Meiñ Yaani Yeh Unke Diloñ
Meiñ Nahiñ Unki Zabaanoñ Par Hai. Toh “‫ ”َل تطع‬Uska Kehna
Na Maan Ke Jis Ke Dil Se Humne Naam E Muhammad
RasoolAllah (SallAllahu Alaihi Wasallam) Bhula Diya. Jab Hum
Zikrullah Ko Samajh Gaye Ke Zikrullah Kya Hai Naam E
Muhammad RasoolAllah Hai Toh Allah Ta'ala Quraan Shareef
Me Irshad Farmata Hai!
َ‫ّٰللا ۚ ُآ ْو َٰل ِئ َك ِح ْز ُب آَ َّلش ْي َٰطن ۚ َآ ََل ِإ َّن ِح ْزب‬
َِّ َ ‫نس ٰى ُه ْم ذ ْك َر‬
ِ َ َ‫آَ ْس َت ْح َو َذ َع َل ْيه ُم آَ َّلش ْي َٰط ُن َفا‬
ِ
ِ ٰ ٰ
ْ
‫آَ َّلش ْي َط ِن ُه ُم آَل َخ ِس ُرو َن‬
Un Logoñ Par Shaitan Ghaalib Aagaya Hai Toh Us Ne
Unko Zikrullah Bhula Diya Hai Yaani Naam E Muhammad
RasoolAllah (SallAllahu Alaihi Wasallam) Bhula Diya Hai Yeh
12 | P a g e ZIKRULLAH

Haiñ Giroh E Shaitan Toh Aagah Ho Jao Ke Giroh E Shaitan


Khaasir Haiñ Nuqsan Paaney Waale Haiñ.

IBLEES KA NAAM SHAIKH E NAJDI


Shaitan Ka Naam RasoolAllah (SallAllahu Alaihi
Wasallam) Ne "Shaikh E Najdi" Rakha Hai Aur Lughat Ki
Kitaboñ Meiñ Maujood Hai Keh Shaikh E Najdi Laqab Hai
Shaitaan Ka Aur Yeh RasoolAllah (SallAllahu Alaihi Wasallam)
Ka Rakha Hua Laqab Hai Aur Imaam Fakhruddin Raazi
Tafseer E Kabeer Meiñ Farmaate Haiñ!

(‫)کان یری رسول ہللا صلی ہللا علیہ وسلم آبلیس فی صورة آلشیخ آلنجدی‬
RasoolAllah (SallAllahu Alaihi Wasallam) Iblees Ko Shaikh E
Najdi Ki Soorat Meiñ Dekhte The. Phir Huzoor Farmaate Haiñ
Najd Meiñ Zalzale Aur Fitne Haiñ Aur Yahaañ Se Giroh E
Shaitan Ka Niklega Yeh Bukhari Ki Hadees Hai Hazrat Umar
(Radi Allahu Ta’ala Anhu) Se Iski Riwaayat Hai Toh Mazmoon
Hua;
ُ‫آَ ْس َت ْح َو َذ َع َل ْيه ُم آَ َّلش ْي َٰطن‬
ِ
Un Logoñ Par Shaitan Ghaalib Aagaya Yaani Shaikh E
Najdi Ghaalib Aa Gaya Hai.
13 | P a g e ZIKRULLAH

َِ ‫نس ٰى ُه ْم ذ ْك َر‬
َّ‫ّٰللا‬ َ َ‫َفا‬
ِ
Toh Usne Unko Zikrullah Yaani Naam E Muhammad
RasoolAllah Bhula Diya Hai.
َٰ ْ َّ َ ُ ْ َ َٰ ْ ُ
ۚ ‫آول ِئك ِحزب آلشيط ِن‬
Yeh Haiñ Giroh E Shaitaan Yeh Giroh E Shaikh E Najdi Hai
Jinka Giroh Najd Se Niklega.

‫آللھم صلی علی سیدنا محمد و بارك وسلم‬

ALLAH KI NE'MAT
Aur Quraan Shareef Ka Yeh Irshaad:
ْ ْ َ
‫َوَل ُت ِط ْع َم ْن َآ ْغ َفل َنا َقل َب ُهۥ َعن ِذ ْك ِرَنا‬
“Uski Itaa'at Na Kar Jiske Dil Se Hum Ne Apna Zikr Yaani
Naam E Muhammad RasoolAllah Bhula Diya Hai.”
Toh Naam E Muhammad RasoolAllah (SallAllahu Alaihi
Wasallam) Diloñ Ke Andar Amaanat Hota Hai Aur Jalwagar
Hota Hai Aur Uski Daleel Yeh Hai Ke Bukhari Shareef Ki
Hadees Hai Ke Huzoor Sarkar E Do Aalam (SallAllahu Alaihi
Wasallam) Irshad Farmaate Haiñ. Jis Ne Laa Ilaaha Illallaah
Kaha Aur Uske Dil Ke Andar Jau Baraabar Khair Hai Ya Gehuñ
14 | P a g e ZIKRULLAH

Baraabar Ya Zarra Baraabar Khair Hai Woh Daakhil E Jannat


Hoga Toh Zabaan Se Laa Ilaaha Illallaah Kaha Aur Dil Meiñ
Gehuñ Baraabar Ya Jau Baraabar Ya Zarra Baraabar Khair
Kiya Hai. Woh Khair Haiñ Muhammad RasoolAllah (SallAllahu
Alaihi Wasallam). Toh Khair Ka Kinaayah Yaad Rahe Janab E
Muhammadur-RasoolAllah (SallAllahu Alaihi Wasallam) Se
Hai Aur Hadees Shareef Meiñ Hai Ke Huzoor Sarkar E Do
Aalam (SallAllahu Alaihi Wasallam) Irshad Farmaate Haiñ Jis
Shakhs Ko Teen Cheezeiñ Mileeñ Usko Bohot Badi Daulat
Mili………
1) Lisaan E Zakir
2) Qalb E Shakir
3) Aurat Imaandaar Jo Uske Imaan Par Madad Kare.
(Mishkaat, Tirmizi, Ibn E Maajah)

Toh Lisaan Zakir Kya Hai Zabaan Zikr Karne Waali Ke “Laa
Ilaaha Illallaah” Kehne Wali Aur Qalb E Shaakir Kya Hai Shukr
Karne Waala Dil Yaani Muhammad RasoolAllah Kehne Waala
Toh Yeh Kaise Malum Hua Ke Qalb E Shakir Ka Tarjuma Hua
Muhammad RasoolAllah (SallAllahu Alaihi Wasallam) Kehne
Waala??? Isliye Keh Shukr Muqaable Meiñ Hota Hai Ne'mat
Ke Aur Ne'mat Kya Hai? Bukhari Shareef Ki Sahih Hadees Se
Uska Zikr Kar Chuka, Agarcha Uska Suboot Aur Bhi Bohot
15 | P a g e ZIKRULLAH

Kuch Hai. Chunañche Hazrat Abdullah Bin Mas'ood (Radi


Allahu Ta’ala Anhu) Habsha Se Waapis Hue Haiñ Toh
RasoolAllah (SallAllahu Alaihi Wasallam) Ki Khidmat Meiñ
Hazir Huve Huzoor Namaz Padh Rahe Haiñ. Hazrat Abdullah
Bin Mas'ood Ne Salaam Kiya Yeh Hadees Musnad E Imaam E
Aazam Meiñ Hai RasoolAllah (SallAllahu Alaihi Wasallam) Ne
Koi Jawab Na Diya Toh Hazrat Abdullah Bin Mas'ood Baad
Namaz Huzoor Ki Khidmat Meiñ Hazir Huve. Arz Karte Haiñ
“ ‫ ” آعوذ باہلل من غضب نعمت ہللا‬Maiñ Allah Ki Panaah Meiñ Aaya
Allah Ki Ne'mat Ke Ghazab Se.
Toh RasoolAllah (SallAllahu Alaihi Wasallam) Ko Allah Ki
Ne'mat Kaha Aur Beshak RasoolAllah (SallAllahu Alaihi
Wasallam) Allah Ki Ne'mat Haiñ Aur Shukr Muqaabley Meiñ
Ne'mat Ke Hai Toh Qalb E Shaakir Wo Hai Ke Allah Ka Shukr
Karta Hai Allah Ki Ne'mat Muhammad RasoolAllah (SallAllahu
Alaihi Wasallam) Ki Qadr O Manzilat Karta Hai Aur Yeh Qadr
O Manzilat Jiske Dil Meiñ Hua Karti Ho Usko Qalb E Shakir
Kaha Gaya Hai Toh Allah Ki Ne'mat Muhammad RasoolAllah
(SallAllahu Alaihi Wasallam) Haq Ta'ala Ne Khud Apni Is
Ne'mat Ka Ahsaan Jatlaaya Hai Quraan Shareef Meiñ;
ً ْ ُ َ ْ ْ َ َ َ ْ َ ْ ْ ُ ْ َ َ ُ ّٰ َّ َ ْ َ َ
‫لقد من ّٰللا على آلمؤ ِم ِنین ِآذ بعث ِفی ِهم رسوَل‬
(Para-4; Surah Aal E Imraan; Aayat-164)
16 | P a g e ZIKRULLAH

Allah Ta'ala Ne “‫( من‬Mann)” Farmaaya Hai Bohot Bada


Ahsaan Farmaya Hai Musalmaanoñ Par Jab Un Meiñ Us Ne
Apne Habeeb Ko Rasool Bana Kar Bheja Toh Allah Ta'ala Ki
Ne'mat Muhammad RasoolAllah (SallAllahu Alaihi Wasallam)
Haiñ Aur Shaakir Ka Tarjuma Hua. Allah Ka Shukr Karne
Waala Aur Shukr Kya Hai? Yeh Janaab E Muhammad
RasoolAllah (SallAllahu Alaihi Wasallam) Ki Qadr O Manzilat
Hai. Hazrat Shaikh Muhaddis Abdul Haq Dehelvi
(Rehmatullahi ‘Alaih) Madaarij Shareef Ke Andar Likhte Haiñ
Ke “‫ہست‬ ‫ ”درود شریف متضمن شکر نعمت وے‬Durood Padhna
Allah Ki Ne'mat Ka Shukriya Adaa Karna Hai Aur Quraan
Shareef Meiñ Irshad Hota Hai:
ُ ُ ْ َ َ َ ُ ُ ْ َ ْ ُ ْ ُ ْ َ ُ ُ ْ َ
‫فاذكرو ِني آذكركم وآشكروآ ِلي وَل تكـفرون‬
(Para-2; Surah Al-Baqarah; Aayat-152)

Mera Zikr Karo Yani “‫آَلہللا‬ ‫َل آله‬ (Laa Ilaaha Illallaah)”
Kaho “‫( وآشکروآلی‬Washkuroolii)” Mera Shukr Karo Naa-Shukri
Na Karo. Yaani Muhammad RasoolAllah Kaho. Toh Shukr Kya
Hai? Allah Ki Ne'mat Muhammad RasoolAllah (SallAllahu
Alaihi Wasallam) Ka Zikr Karna Hai Chunañche Quraan
Shareef Kehta Hai:
17 | P a g e ZIKRULLAH

َ‫ّٰللا ِإ ْن ُك ْن ُت ْم ِإ َّي ُاه َت ْع ُب ُدون‬


َِّ ‫َو ْآش ُك ُروآ ِن ْع َم َت‬
(Para-14; Surah Nahl; Aayat-114)
Agar Tum Allah Ki Ibaadat Karte Ho Uski Namaz Padhte
Ho Toh Allah Ki Ne'mat Ka Shukriya Adaa Karo Yaani
Hamaare Habeeb Muhammad Mustafa (SallAllahu Alaihi
Wasallam) Par Durood Bhejo Haq Ta'ala Farmaata Hai:
َ‫ّٰللا ُكـ ْف ًرآ َو َآ َح ُّل ْوآ َق ْو َم ُه ْم َد َآر آَ ْل َب َو ِآر ۞ َج َه َّنم‬
َِّ َ ‫َآ َل ْم َت َر إ َلى آَ َّلذ َين َب َّد ُل ْوآ ِن ْع َم َت‬
ِ ِ
َ‫َي ْص َل ْو َنها‬
(Para-13; Surah Ibrahim; Aayat-28,29)
“Kya Aye Mehboob Aap Ne Nahiñ Dekha Un Logoñ Ki
Taraf Jinhone Badal Diya Allah Ki Ne'mat Ko Naa-Shukri Se
Aur Apni Qaum Ko Halakaat Se Ghar Meiñ Laa Utara.”
Isi Aayat Ki Tafseer Ke Andar Hazrat Abdullah Bin Abbas
(Radi Allahu Ta’ala Anhu) Mufassir E Quraan Farmaate Haiñ
Jis Ko Imam Bukhari Naql Farmaate Haiñ Ke Allah Ki Ne'mat
Muhammad RasoolAllah (SallAllahu Alaihi Wasallam) Haiñ
Toh Allah Ki Is Ne'mat Ko Naa-Shukri Se Badalne Waale Har
Zamaane Ke Andar Paida Huve Aur Is Zamaane Meiñ Wo Haiñ
Jo Allah Ta’ala Ki Ne'mat Ko Naa-Qadri Se Badal Rahe Haiñ
Yeh Wo Haiñ Jo Unke Zikr Ko Rokte Haiñ Jo Un Par Durood O
18 | P a g e ZIKRULLAH

Salaam Ko Rokte Haiñ Jo Allah Ki Is Ne'mat Ki Qadr O


Manzilat Nahiñ Kar Rahe Haiñ.

NEMAT KE MUNKIR
Jab Shukr Ke Alhamdulillah Humne Maana Pehchaane
Toh Hum Ko In Shaa Allah Mazeed Ma’rifat Hogi Tazkira
Farmaata Hai Shaitan Ka Ke Haq Ta'ala Ne Shaitan Ko Rajeem
Kiya Raanda E Dargah Kiya Toh Shaitan Raanda E Dargah
Kyuñ Hua? Wo Toh Ek Bohot Bada Namazi Tha Bohot Bada
Aabid Tha Aur Bohot Bada Aalim Tha (Deobandiyoñ Ke
Nazdeek RasoolAllah (SallAllahu Alaihi Wasallam) Se Bhi
Bada Aalim Tha) Kyuñ Uski Tabaahi Wa Barbaadi Huvi?) Toh
Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddis E Dehelvi Ne Tehreer
Farmaaya Hai Madaarij Meiñ Ke Us Ne Noor E Muhammadi
(SallAllahu Alaihi Wasallam) Jo Hazrat Aadam (‘Alaihis-
salaam) Ki Peshaani Meiñ Jalwa Gar Tha Us Noor Ki Ta’zeem
Nahiñ Ki Usko Sajda Nahiñ Kiya Toh Haq Ta'ala Ne Shaitan Ko
Raanda E Dargah Kiya Yeh Ibrat Wa Naseehat Huvi Ke Koi
Kitni Hi Ibaadat Kare Kitni Hi Namazeiñ Padhe Kitna Hi Bada
Aalim Wa Zaahid Ho Lekin Jo Hamare Mehboob Ki Tazeem
Nahiñ Karega Woh Shaikh E Najdi Hai Shaitan Hai Raanda E
Dargah Hai Uski Koi Namaz Qubool Nahiñ Hogi. Shaitan Jab
19 | P a g e ZIKRULLAH

Usko Haq Ta'ala Ne Raanda E Dargah Kiya Toh Arz Karta Hai
Quraan Shareef Meiñ Aaya Hai;
َ‫َر ِب َف َا ِنظ ْرِنى ِإ َل ٰى َي ْو ِم ُي ْب َع ُثون ۞ َق َال َف ِإ َّنک ِم َن ْآل ُم ْن َظرین‬
ِ
(Para-23; Surah Hijr; Aayat-36,37)
Aye Rab Ta'ala Mujhe Mohlat De Qayaamat Tak Ke Liye Rab
Ta'ala Farmata Hai Tujhe Mohlat Hai.
Toh Kehta Hai:
َ‫َق َال َف ِب َما َآ ْغ َو ْي َت ِنى َ ََل ْق ُع َد َّن َل ُه ْم ِص َٰر َط َك آَ ْل ُم ْس َت ِق َيم* ُث َّم َ َٰل ِت َی َّن ُہ ۡم ِم ۡۢۡن َب ۡین َآ ۡی ِد ۡیہ ۡم و‬
ِ ِ
َ‫* ِم ۡن َخ ۡل ِفہ ۡم َو َع ۡن َآ ۡی َما ِنہ ۡم َو َع ۡن َش َما ِئ ِلہ ۡم ؕ َو ََل َت ِج ُد َآ ۡکـ َث َر ُہ ۡم ٰش ِکر ۡین‬
ِ ِ ِ ِ
(Para-8; Surah A’raaf; Aayat-16,17)
Maiñ Unke Siraat E Mustaqeem Meiñ Baithuñga Unko
Siraat E Mustaqeem Se Rokuñga Aur Unke Dahne Aur
Baayeiñ Aur Aage Peeche Se Aauñga. Phir Tu Bohot Soñ Ko
Apna Shukr Guzar Nahiñ Paayega.
Malum Hua Shaikh E Najdi Shaitan Allah Ke Shukr Se
Logoñ Rokta Hai Yaani Muhammad Mustafa (SallAllahu
Alaihi Wasallam) Ke Qadr O Manzilat Se Rokta Hai Jitna
Shaitan Qadr O Manzilat Se Rokey Humeiñ Chaahiye Keh
Hum Utni Hi Huzoor (SallAllahu Alaihi Wasallam) Ki Qadr O
Manzilat Kareiñ. Shaitan Kehta Hai Siraat E Mustaqeem Se
20 | P a g e ZIKRULLAH

Rokuñga Toh Hazrat Allama Qazi Ayaaz (Radi Allahu Ta’ala


Anhu) Shifa Shareef Meiñ Is Aayat E Kareema Ki Tafseer Naql
Karte Haiñ Hasan Basri Wa Qataadah Ke Hawaale Se Ke;
َ‫آَ ْه ِد َنا آَ ِلص َٰر َط آَ ْل ُم ْس َت ِقيم‬
Allah Ta’ala Humeiñ Siraat E Mustaqeem Ki Hidaayat Farma.

SIRAAT E MUSTAQEEM
To Siraat E Mustaqeem Kya Hai? Tehreer Farmaate Haiñ
Siraat E Mustaqeem Muhammad RasoolAllah (SallAllahu
Alaihi Wasallam) Haiñ To Shaitan Kehta Hai Siraat E
Mustaqeem Se Rokuñga Maanav Yeh Hue Ke Muhammad
Mustafa (SallAllahu Alaihi Wasallam) Se Rokuñga To Waaqayi
Shaitan (Shaikh E Najdi) Logoñ Ko Muhammad RasoolAllah
(SallAllahu Alaihi Wasallam) Se Rokta Hai Aur Allah Ta'ala Ki
Shukr Guzari Se Rokta Hai Toh Humeiñ Chaahiye Ke Zyada
Shukr Kareiñ Allah Ki Ne'mat Ka Aur Quraan Shareef Irshad
Farmaata Hai;
ُ َّ َ ‫ّٰللا ب َع َذآب ُك ْم ِإن َش َك ْرُت ْم َو َء َآم ُنت ْم ۚ َو َك َان‬
‫ّٰللا َشا ِك ًرآ َع ِل ًيما‬ ُ َّ َ ‫َّما َي ْف َع ُل‬
ِ ِ
(Para-5; Surah Nisaa; Aayat-147)
21 | P a g e ZIKRULLAH

Aye Logo! Haq Ta'ala Tumhe Azaab Kyuñ Dega Agar Tum
Uska Shukriya Adaa Karoge Yaani Uske Mehboob Ki Qadr O
Manzilat Karoge Un Par Durood O Salaam Bhejoge Toh Allah
Ta'ala Tumheiñ Kyuñ Azaab Dega Aur Beshak Yeh Mazmoon
Ahaadees Ke Saath Mutaabiqat Rakhta Hai Kyuñke Azaab
Hota Hai Toh Gunaahoñ Ki Wajah Se Hota Hai Aur Hadees
Shareef Meiñ Huzoor (SallAllahu Alaihi Wasallam) Irshad
Farmaate Haiñ;

‫من صلی علی یوم آلجمعة مائة مرة غفرت له خطيئة ثمانين سنة‬
Jo Mere Upar Juma' Ke Din Sau (100) Martaba Durood Bheje
Uske Assi (80) Baras Ke Gunaah Muaaf Kardiye Gaye Aur
Dusri Hadees Meiñ Aaya Jo Mere Upar Ek Hazaar (1000) Baar
Durood Bheje “‫آلنار‬ ‫ ”حرم ہللا جسده على‬Allah Ta'ala Uske Jism
Ko Haraam Farma Diya Aag Par Aur Uski Donoñ Aañkhoñ Ke
Darmiyaan Likhi Jaayegi Baraàt Aag Se Aur Baraàt E Nifaaq
Se Toh Malum Hua Ke Munaafiq Wohi Hai Jo Huzoor Par
Durood O Salaam Nahiñ Padhta Aur Us Se Rokta Hai Aur
Shab E Baraàt Meiñ Haq Ta'ala Baraàt Farmaata Hai Aag Se
Aur Durood Ke Muta’lluq Bhi Farmaaya Ke Haq Ta'ala Baraàt
Farma Deta Hai Durood Padhne Waale Ki Aag Se Toh Lafz
Baràt Mushtarik Hai Toh Is Munaasibat Se Malum Hua Ke Yeh
Baraàt Aag Se Aur Nifaaq Se Durood Padhne Waale Ki Hai
22 | P a g e ZIKRULLAH

Toh Shab E Baraàt Meiñ Ek Hazaar Baar Durood Padhna


Chaahiye Aur Shab E Qadr Meiñ Saari Raat Durood Padhna
Chahiye Aur Mustafad Yeh Hai;
ْ‫َس ٰل ٌم ﱡ ِه َی َح ّٰتى َم ْط َلع ْآل َفجر‬
ِ ِ
(Para-30; Surah Qadr; Aayat-5)
Se Ke Farishte Salaam Kareñge Shab E Qadr Meiñ
Ibaadat Karne Waaloñ Ko Aur Hadees Meiñ Aaya Hai Jab Koi
Banda Mere Upar Durood O Salaam Bhejta Hai To Allah
Ta'ala Aur Uske Farishte Uspar Durood O Salaam Bhejte
Rehte Haiñ Aur Ahadees Ke Mutaale Se Malum Hua Ke
Jumah Ke Din Durood O Salaam Zyada Padhna Chaahiye
Huzoor Farmaate Haiñ Mere Samne Pesh Kardiya Jaayega
Sahaba E Kiraam Ne Arz Kiya Ke Ya RasoolAllah (SallAllahu
Alaihi Wasallam) Aap Jab Khaak Ho Jaayeñge Jab Bhi Aisa
Hoga Ya RasoolAllah (SallAllahu Alaihi Wasallam)! To Huzoor
Ne Irshad Farmaya:
‫آن ہللا حرم علی آَلرض آن تاکل آجساد آَلنبیاء فنبی ہللا حی یرزق‬
(Mishkaat Shareef, Baab Al-Jum’ah, Al-Fasl As-Saalis)
Beshak Allah Ta'ala Ne Haraam Farma Diya Hai Zameen
Par Ke Nabi Ke Jism Meiñ Se Kuch Bhi Khaaye To Allah Ke
23 | P a g e ZIKRULLAH

Nabi Zinda Haiñ (Qabr Shareef Meiñ) Rizq Diye Jaate Haiñ
Aur Ba-Kasrat Ahaadees Ke Padhne Aur Milaane Se Yeh
Ahem Raaz Bhi Khula (Asr Taa Maghrib Jumah Ke Din Saa'at
E Ijaabat Hai);

‫َل یوآفقھا عبد مسلم وھو قائم یصلی‬


Keh Jab Koi Shakhs Jumah Ke Din Us Waqt Durood Bhejta Ho
Aur Woh Khada Ho To Uski Jo Bhi Muraad Hogi Wo Bil-
Yaqeen Poori Hogi. (Ba-Hawaala Muslim Shareef)
(Aur Woh Saa'at Jumah Ke Din Asr Taa Maghrib Ek Aan Ke
Liye Hai Ya Qadrey Zyada) Aur Durood Padhne Ke Liye Khaas
Saa'at Peer Ka Din Waqt Subah E Saadiq Quraan Shareef Ki Is
Aayat Se Mustafad Hota Hai;
ًّ‫وت َو َي ْو َم ُآ ْب َع ُث َحيا‬ ُّ ‫َوآَ َّلس َٰل ُم َع َل َّى َي ْو َم ُو ِل‬
ُ ‫دت َو َي ْو َم َآ ُم‬
(Para-16; Surah Maryam; Aayat-33)
Toh Salaam Mujh Par Jis Din Maiñ Paida Huva Aur Jis Din
Maiñ Inteqaal Karuñ Aur Jis Din Qabr Shareef Se Uthaaya
Jauñ Toh Huzoor Peer Ke Din Subah Sadiq Ke Waqt Jalwa
Farma Huve Aur Peer Ke Din Inteqaal Farmaya Aur Juma Ke
Din Roz E Qayamat Qabr Shareef Se Uthaye Jayeñge Toh Ahl
E Imaan Huzoor Par Jumah Ke Din Roz E Qayaamat Salaam
Karte Huve Utheñge Aur Huzoor Ke Janaaze Mubarak Par
24 | P a g e ZIKRULLAH

Sahaba E Kiram Aur Malaaika E ‘Izaam Ne Durood O Salaam


Padha Aur Huzoor Ki Wilaadat Ke Waqt Malaaika Ne Padha
Aur Unhiñ Ki Iqtedaa Meiñ Qayaamat Tak Padha Jaayega Aur
Durood Shareef Har Din Har Waqt Jitna Zyaada Kareiñ Deen
O Duniya Ke Munaafe Haasil Hoñge Aur Durood Shareef
Rehmat E Ilaahi Ka Husool Hai Ba-Waseela E Muhammad
RasoolAllah (SallAllahu Alaihi Wasallam) Ke Ba-Daleel Is
Hadees Ke Jo Mishkat Meiñ Hai Jab Koi Shakhs Mujh Par
Durood Bhejta Hai Toh Allah Ta'ala Usey Meri Rooh Tak
Pahuñcha Deta Hai Yahaañ Tak Ke Maiñ Usey Durood
Padhne Waale Par Lauta Deta Huñ To;

‫آللھم صلی علی محمد صلی ہللا علیہ وسلم‬


Ka Tarjuma Huva Aye Mere Allah Rehmat E Kaamila Utaar
Muhammad (SallAllahu Alaihi Wasallam) Par To Allah Ta'ala
Is Dua Se Rehmat E Kaamila Huzoor Par Utaarta Hai Huzoor
Is Rehmat Ko Durood Padhne Waale Par Lauta Dete Haiñ To
Allah Ta'ala Unheiñ Deta Hai Aur Woh Humeiñ Diya Karte
Haiñ Hadees Meiñ Aaya;

“‫”آنما آنا آلقاسم وہللا یعطی‬

(Bukhari, Muslim, Mishkaat Kitaabul Ilm)


“Allah Deta Hai Aur Maiñ Baañt-ta Huñ.”
25 | P a g e ZIKRULLAH

To Jo Bad-bakht Waseele Hi Ka Munkir Hua Usko Durood


Padhne Se Kya Faayeda Aur Usko Rehmat E Ilaahi Ke Husool
Ka Zariya Kya Baaqi Raha Toh Wohi Mehroom Hai Aur Shaqii
Hai Aur Yehi Hai Munaafiq Aur Hazrat Imaam E Aazam Abu
Haneefa (Radi Allahu Ta’ala Anhu) Apne Qaseeda E Naa'tiya
Meiñ Farmaate Haiñ:

‫آنت آلذی لما توسل آدم من زلة بك فاذآ هوآ بك‬


Tarjuma: Aap Woh Haiñ Jab Aadam (‘Alaihis-salaam) Ne Aap
Se Tawassul Kiya To Woh Kamyaab Huve Halaañki Woh
Aapke Walid Haiñ.

‫وبك آلخليل دعا فعادت ناره بردآ و قد خمدت بنور سناكا‬


Yaani Aur Aapse Tawassul Kiya Ibrahim (‘Alaihis-salaam) Ne
To Unki Aag Gulzar Ho Gayi.

‫ودعاك آيوب نصر مسه فازيل عنه آلضر حين دعاكا‬


Yaani Apni Museebat Meiñ Hazrat Ayyub (‘Alaihis-salaam) Ne
Pukaara Aapko Toh Museebat Door Kar Di Gayi Aapko
Pukarne Se.
To Jab Hum Shukr Ko Pehchaan Gaye Ke Woh Tazeem
Wa Muhabbat E RasoolAllah (SallAllahu Alaihi Wasallam) Hai
Aur Un Par Durood O Salaam Padhna Aur Unki Qadr O
26 | P a g e ZIKRULLAH

Manzilat Karna Hai To Naa-Shukri Kya Hai? Iski Zidd Naa-


Shukri Hai Toh Quraan Shareef Farmaata Hai;
ُّ ۡۢ َ ْ ُ ْ َ ْ ۡۢ َّ َّ َ َّ َ َّ ُ َ َّ َ َ َ َْ
‫يب‬
ٍ ‫آل ِقيا ِفي جهنم كل كـف ٍار ع ِن ٍيد * من ٍاع ِللخي ِر معت ٍد م ِر‬
(Para-26; Surah Qaaf; Aayat-24,25)

Daal Do Dozakh Meiñ Har Badey Naa-Shukre Ko Jo “ ‫مناع‬


‫( للخير‬Mannaa’il-lil Khair)” Hai Har Badey Naa-Shukre Ko Toh
Jo Naa-Shukr Hai Yaani Allah Ke Mehboob Ki Qadr O Manzilat
Nahiñ Karta Us Ke Andar Tum Yeh Sifat Bhi Dekhoge Ke Woh
Mu’aanid Bhi Hoga Aur ‘Inaad Bhi Rakhega Janaab E
Muhammad RasoolAllah (SallAllahu Alaihi Wasallam) Se.
“‫للخير‬ ‫( مناع‬Mannaa’il-lil Khair)” Khair Ka Bohot Bada Rokne
Waala Yeh Mazmoon Pehle Saabit Ho Chuka Ke Khair Haiñ
Muhammad RasoolAllah To “‫للخير‬ ‫( مناع‬Mannaa’il-lil Khair)”
Muhammad Mustafa (SallAllahu Alaihi Wasallam) Ke Naam E
Paak Aur Aapki Zaat E Paak Se Bohot Bada Rokne Waala
Mo’tad Sarkash Nabi E Kareem (SallAllahu Alaihi Wasallam)
Se Tawaazo Karne Waala Nahiñ. Balke Sarkashi Karne Waala
Toh Mutanabbih Ho Jaaye Ke Naa-Shukra Woh Hai Jo
Tazeem Wa Muhabbat E Rasool Se Khaali Ho.
َ‫َو ََل َت ِج ُد َآ ْكـ َث َر ُه ْم َشا ِكرين‬
ِ
27 | P a g e ZIKRULLAH

Jab Mai Logoñ Ko Behkauñga To Bohot Logoñ Ko Tu Apna


Shukr Guzaar Na Paayega.
Aur Naam E Muhammad (SallAllahu Alaihi Wasallam)
Diloñ Meiñ Hota Hai Woh Hadees Yaad Kijiye Jo Huzoor
Sarkar E Do Aalam (SallAllahu Alaihi Wasallam) Se Hai Jo
Hazrat Ayesha (Radi Allahu Ta'ala Anha) Ne Riwaayat Ki Aur
Mishkaat Baab Al-I’tisaam Bil-Kitabi Was-Sunnah Meiñ
Maujood Hai Huzoor Sarkar E Do Aalam (SallAllahu Alaihi
Wasallam) Ne Yeh Aayat Padhiñ;
ٌۖ ‫ُه َو آَ َّل ِذى َآ َنز َل َع َل ْي َك آَ ْل ِكـ َٰت َب ِم ْن ُه َء َٰآي ٌت ُّم ْح َك َٰم ٌت ُه َّن ُآ ُّم آَ ْل ِكـ َٰتب َو ُآ َخ ُر ُم َت َٰشب َٰهت‬
ِ ِ
ْ َ َ َ ْ َ َ َ ْ ْ َ َ َ ْ َ ُ ْ َ َ َٰ َ َ َ ُ َّ َ َ ٌ ْ َ ْ ُ ُ َ َّ َ َّ َ َ
ۗ ‫فاما آل ِذين ِفى قلو ِب ِهم زيغ فيت ِبعون ما تشبه ِمنه آب ِتغاء آل ِفتن ِة وآب ِتغاء تا ِوي ِل ِهۦ‬
ْ ٌّ ُ َّ َ َ َ ُ ُ َ ْ ْ َ َ ُ َّٰ َ َ ُ َّ َ َّ ُ َ ْ َ ُ َ ْ َ َ َ
‫وما يعلم تا ِويلهۥ ِإَل ّٰللا ۗ وآلر ِسخون ِفى آل ِعل ِم يقولون ءآمنا ِب ِهۦ كل ِمن ِع ِند‬
ٰ َ ْ َ ْ َ ْ ُ ْ ُ َّ ُ َّ َّ َ َ َ َ َ
‫ر ِبنا ۗ وما يذكر ِإَل آولوآ آَل لب ِب‬
(Para-3; Surah Aal E Imraan; Aayat-7)
Yani Allah Woh Hai Ke Jisne Aye Mehboob Aap Par Yeh
Kitab Quraan Shareef Utaara Is Meiñ Se Kuch Aayateiñ
Mohkamaat Haiñ Ke Woh Asl E Kitab Haiñ Aur Kuch Aayateiñ
Mutashabihaat Haiñ “‫ ”فاما آلذین فی قلوبھم زیغ‬To Woh Log Jinke
Diloñ Meiñ Zaigh Hai To Diloñ Meiñ Zaigh Unke Hai Jinmeiñ
Muhammad RasoolAllah (SallAllahu Alaihi Wasallam) Nahiñ
28 | P a g e ZIKRULLAH

Unke Diloñ Meiñ Zaigh Hai Yaani Adaavat E Rasool Hai Kajii
Hai Ittebaa’ Karte Haiñ Aayaat E Mutashabihaat Ka Fitna Ke
Chaahne Ke Liye Toh Huzoor (SallAllahu Alaihi Wasallam)
Farmaate Haiñ Ke Tum Dekho Jab Un Logoñ Ko Jo Aayat E
Mutashabihaat Ki Pairvi Karte Haiñ Toh Pehchaan Lo Ke Yehi
Woh Log Haiñ Jinheiñ Quraan Shareef Ne Yeh Kaha Ke Unke
Diloñ Meiñ Zaigh Hai Unse Bacho Aur Door Raho. Aayaat E
Mutashabihaat Kya Hai? Huzoor Sarkar E Do Aalam
(SallAllahu Alaihi Wasallam) Ki Shaan E Mubarak Meiñ Jin
Aayaat Se Yeh Gumaan Hota Hai Ahl E Zaigh Ko Ke Huzoor
Ka Martaba Kam Hai Woh Aayaat E Mutshabihaat Haiñ Is
Mazmoon Ko Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddis E Dehelvi
(‘Alaihirrehmah) Ne Madaarij Shareef Meiñ Likha Hai Keh
Aayaat E Mutshabihaat Woh Aayaat Haiñ Keh Ahl E Zaigh Ko
Gumaan Hota Hai Jinse Rasool E Khuda (SallAllahu Alaihi
Wasallam) Ke Martabe Ki Kamii Ka Aur Phir Un Aayaat Ki
Fehrist Bhi Dete Haiñ Toh Likhte Haiñ Ke;
ْ‫َو َو َج َد َك َضا ًَّل َف َه َد ٰى۔۔۔۔۔ ِإ َّن َما َآ َنا َب َش ٌر ِم ْث ُل ُكم‬
Yeh Aayaat E Mutashabihaat Meiñ Se Haiñ To Ab Jo Koi In
Aayat E Mutashabihaat Ki Pairvi Karta Hai Fitna Ke Chaahne
Ke Liye (Najdiyat Aur Nifaaq Phailaane Ke Liye) To Huzoor
Hukm Dete Haiñ Ke Woh Log Haiñ Jinke Diloñ Meiñ Zaigh Hai
29 | P a g e ZIKRULLAH

Yaani Unke Diloñ Meiñ Adaavat Wa ‘Ihaanat E Rasool Hai Jo


Zidd Hai Muhabbat E Rasool Ki, Unke Diloñ Ke Andar ‘Inaad
Hai, Kufraan Hai Unke Diloñ Meiñ Muhabbat E Rasool
(SallAllahu Alaihi Wasallam) Nahiñ Unki Azmat Wa Nemat E
Paak Nahiñ To Unse Bacho Aur Unse Door Raho. Yeh
Mazmoon Kaha Jaa Raha Hai Jinke Diloñ Meiñ Hoti Hai
Muhabbat E Rasoolullah (SallAllahu Alaihi Wasallam) Aur
Unki Azmat To Woh Dil “‫آَلمین‬ ‫ھذآ آلبلد‬ (Haazal Baladal
Ameen)” Ke Misdaaq Hua Karte Haiñ Zikrullah Jo Diloñ Meiñ
Hota Hai Uski Zidd Zaigh Jo Un Diloñ Meiñ Hota Hai Jo Fitna
Barpa Karne Ke Liye Aayat E Mutashabihaat Ki Pairvi Karte
Haiñ Unke Diloñ Meiñ Hota Hai Shar, Naa-Shukri, ‘Inaad,
Sarkashi, Takabbur Unke Diloñ Meiñ Hota Hai, Shaikh E Najdi
Shaitan Dev Toh Jin Ke Diloñ Meiñ Shaikh E Najdi Aur
Deoband Hai Woh Tazeem E Rasool Ke Munkir Haiñ Iski
Tafseel Wa Tashreeh Surah Balad Ki Tafseer Meiñ Dekhiye.

ITMENAAN E QALB
ُ‫ّٰللا َت ْط َم ِئ ُّن آَ ْل ُق ُلوب‬
َِّ َ ‫َآ ََل بذ ْكر‬
ِ ِِ
“Aagah Ho Jao, Zikrullah Se Itmenaan E Qalb Hota Hai.”
30 | P a g e ZIKRULLAH

Yaani Muhammad RasoolAllah (SallAllahu Alaihi


Wasallam) Ke Naam Se Itmenaan E Qalb Haasil Hota Hai To
Hadees Shareef Meiñ Aaya Hai Ke Allah Ta'ala Ne Arsh Ko
Paida Farmaya To Arsh Par Tehreer Farmaya “‫( َل آلہ آَلہللا‬Laa
Ilaaha Illallah)” To Arsh Is Naam Ki Azmat Se Aur Haibat Se
Larazne Laga Aur Kaañpne Laga To Haq Ta'ala Ne Arsh Par
Likha “Muhammadur-Rasoolullah Fasakan ( ‫محمد رسول ہللا‬
‫ ”)فسکن‬To Theher Gaya Aur Dusri Hadees Hai;
ٰ ‫قلوب آلمومنین عرش ہللا‬
‫تعالی‬
Imandaaroñ Ke Dil Arsh E Ilaahi Haiñ.
To Jab Imandaaroñ Ke Dil Arsh E Ilaahi Haiñ To Arsh Par
Allah Ta'ala “‫آَلہللا‬ ‫َل آلہ‬ (Laa Ilaaha Illallah)” Likhta Hai To
Laraz Jaata Hai Kaañp Jaata Hai Yaani Mard E Momin Ka Dil
Kaañp Jaata Hai Laraz Jaata Hai Phir Jab Us Mard E Momin
Ke Dil Par Muhammad RasoolAllah Likhta Hai “‫فسکن‬
(Fasakan)” Theher Jaata Hai Sukoon Paata Hai Jise Quraan
ُ ُ ُ ْ َ ُّ َ ْ َ
Shareef Farmaata Hai; “‫( تطم ِئن آلقلوب‬Tatma-innul Quloob)”
Dil Mutmain Ho Jaate Haiñ Naam E Muhammad RasoolAllah
(SallAllahu Alaihi Wasallam) Ki Barkat Se Aur Aapki Rehmat
Se To Yeh Hai Woh Khair Aur Yeh Hai Qalb E Shaakir Aur Yeh
31 | P a g e ZIKRULLAH

ُ ُ ُ ْ َ ُّ َ ْ َ َّ َ ْ َ َ
Hai “‫ّٰللا تطم ِئن آلقلوب‬
ِ ‫آَل ِب ِذك ِر‬ (Alaa Bi-Zikrillaahi Tatma-innul
Quloob)” Zikrullah Se Itmenaan E Qalb Hota Hai Aur
Itmenaan Us Shakhs Ko Hota Hai Jis Shakhs Ko Koi
Pareshaani Jisey Koi Khauf Ranj O Gham Na Ho Jisey Koi
Takleef Hai Ya Koi Bhi Pareshaani Hai Dushmanoñ Se Khauf
Hai Koi Ranj O Gham Hai Ya Koi Muqaddama Hai Usey Kis
Tarah Itmenaan E Qalb Hosakta Hai To Maana Ye Huve
Muhammadur-Rasoolullah (SallAllahu Ta'ala Alaihi Wasallam)
Ke Naam Lene Se Aur Un Par Durood O Salaam Padhne Se
Beemariyaañ Museebateiñ Aur Balaayeiñ Aur Aafateiñ Dafa
Kar Di Jaati Haiñ To Is Wajah Se Aadmi Ko Itmenaan E Qalb
ََ
Haasil Hota Hai To Haq Ta'ala Farmaata Hai, “‫( آَل‬Alaa)”
Mutanabbih Ho Jao Aagah Ho Jao Ke Agar Itmenaan E Qalb
Tum Ko Haasil Karna Hai To Naam E Muhammad RasoolAllah
(SallAllahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Lene Se Yeh Itmenaan E
Qalb Haasil Hoga Kyuñ Ke RasoolAllah (SallAllahu Ta'ala
Alaihi Wasallam) Ka Naam E Mubarak Baa’is Hai Dafa’ E Balaa
Ka (Jis Badnaseeb Ko Durood E Taaj Ke Padhne Par Yuñ
Aiteraaz Hai Ke Us Meiñ Huzoor (‘Alaihis-Salaatu Was-
Salaam) Ko Daafa’ E Balaa Kaha Gaya Hai Us Se Dafa’ E Balaa
Phir Kaise Hoga) Aur Itmenaan E Qalb Usko Taabeer Karta
Hai Quraan Shareef;
32 | P a g e ZIKRULLAH

َ‫ََل َخ ْو ٌف َع َل ْيه ْم َو ََل ُه ْم َي ْح َزُنون‬


ِ
(Para-11; Surah Yunus; Aayat-62)
Unheiñ Koi Khauf Nahiñ Aur Gham Nahiñ Zaahir Hai
Jinheiñ Koi Khauf Aur Gham Na Hoga Unhiñ Ko Itmenaan E
Qalb Hoga To Ye Farmaana Quraan Shareef Ka Hai Ke
Itmenaan E Qalb Naam E Muhammadur-RasoolAllah
(SallAllahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Se Hota Hai Aur Phir
Farmaata Hai;
َ‫ّٰللا ََل َخ ْو ٌف َع َل ْيه ْم َو ََل ُه ْم َي ْح َزُنون‬
َِّ َ ‫َآ ََل إ َّن َآ ْو ِل َيا َء‬
ِ
ِ
“Aagah Ho Jao Allah Waaloñ Ko Auliya Allah Ko Khauf Wa
Gham Nahiñ Hota Hai.”
Yaani Unka Qalb Mutma-in Hota Hai Aur Qalb Ka
Itmenaan Muhammadur-Rasoolullah (SallAllahu Ta'ala Alaihi
Wasallam) Par Durood Padhne Se Hota Hai To Malum Hua
Auliya Allah Woh Hote Haiñ Jo Durood Padhte Haiñ Huzoor
(SallAllahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Par Aur Darjaat Wilaayat
Ke Bohot Hua Karte Haiñ Apne Apne Darje Ke Laayeq
Durood Padhne Waala Allah Ka Wali Hai Allah Ka Dost Hai To
Khauf Allah Se Hai Aur Rijaa Muhammadur-Rasoolullah
(SallAllahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Se Hai Aur Imaan Naam
Hai Khauf O Rijaa Ka Khauf Muta’lliq “‫آَلہللا‬ ‫( َل آلہ‬Laa Ilaaha
33 | P a g e ZIKRULLAH

Illallah)” Ke Hai Aur Rijaa Muta’lliq Muhammad Rasoolullah


(SallAllahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Ke Hai To Wo Jo Ghulaami
E Muhammadur-Rasoolullah (SallAllahu Ta'ala Alaihi
Wasallam) Meiñ Darja E Jamaal Ko Pahuñchte Haiñ To Ye Wo
ْ ْ َ َ ٌ ْ َ َ
Haiñ Quraan Unke Liye Farmaata Hai “‫َل خوف علي ِهم‬ (Laa
Khaufun ‘Alaihim)” Unke Liye Khauf Nahiñ To Naam
Muhammad RasoolAllah (SallAllahu Ta'ala Alaihi Wasallam)
Rijaa Hai (To Allah Ta'ala Se Rijaa Mehez Hai Uski Maghfirat
Wa Rehmat Ki Ba-Waseela E Muhammadur-Rasoolullah
(SallAllahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Wa Shafaa'at E
Muhammadur-Rasoolullah Baghair Aapke Waseele Ke Aur
Shafaa'at Rab Ta'ala Se Khauf Mehez Hai To Auliya Allah Ko
Rijaa Hoti Hai. “‫رحمت‬ ‫ ”آولئک یرجون‬Se Ye Meri Rehmat Ke
Umeed-vaar Haiñ Aur Wo Un Jaise Nahiñ Jinke Liye Farmaya,
“‫ہللا‬ ‫”آولئک َل یرجون رحمتہ‬ Ye Meri Rehmat (Rehmatal-lil
‘Aalameen Muhammad SallAllahu Ta'ala Alaihi Wa Alaa Aalihi
Wasallam) Ke Shafaa'at Ke Umeed-vaar Nahiñ (Munkir Haiñ)
Aur Unke Liye Sifat Aayi (Laa Khaufun ‘Alaihim Ki) Aur Jab
Naam E Muhammad Rasoolullah (SallAllahu Ta'ala Alaihi
Wasallam) Ke Asraat Kisi Dil Ke Upar Poori Tarah Aa Jaate
Haiñ. (To Wo Dil Zinda Ho Jaata Hai) Ba-Daleel Is Aayat Ke;
34 | P a g e ZIKRULLAH

َِّ َ ‫َفاَ ُنظ ْر إ َل ٰى َء َٰآثر َر ْح َم ِت‬


َ ‫ّٰللا َك ْي َف ُي ْحى آَ ْ ََل ْر‬
َ‫ض َب ْع َد َم ْو ِتها‬
ِ ِ ِ
(Para-21; Surah Room; Aayat-50)
Dekho Tum Aasaar E Rehmat E Ilaahi Ki Taraf (Baarish Ki
Taraf) Kis Tarah Murda Zinda Kardeti Hai Aur Hadees Meiñ
Aaya Hai, “‫غيث‬ ‫ ”مثلى كمثل‬Kaseer Meri Misaal Bohot Zyada
ٌ ْ َ َ
Baarish Ki Misaal Hai To Wo Misdaaq Ho Jaata Hai “ ‫َل خوف‬
َ‫ ” َع َل ْيه ْم َو ََل ُه ْم َي ْح َزُنون‬Ka Unko Khauf Nahiñ Hai Aur Wo Gham
ِ
Nahiñ Karte Phir Wo Log Ke Jo Naam E Muhammad
Rasoolullah (SallAllahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Ki Azmat Ko
Aur Qadr Ko Aur Aapki Shaan E Jamaal O Jalaal Ko Nahiñ
Pehchante Haiñ Aur Ahle Imaan Ke Upar Ta'an Karte Haiñ
Irjaa Unko Murjiyah Kehte Haiñ Aur Hazrat Shaykh Abdul Haq
Muhaddis E Dehelvi (Rehmatullahi Ta'ala Alaih) Tehreer
Farmate Haiñ Ke Har Zamaane Meiñ Khawarij Khaarji Ahle
Sunnat Par Ta'an Karte Haiñ Irjaa Ka Ahle Biddat Ahle Sunnat
Ko Irjaa Ka Ilzaam Lagaaya Hi Karte Haiñ To Alhamdulillah
Ahle Sunnat Hum Haiñ Aur Hum Par Ilzaam Lagaane Waale
Ahle Bid’at Haiñ (Bid’at Ke Maane Haiñ Dar Haqeeqat Naye
Aqeede Waale Naye Deen Waale Jaisa Hazrat Shaykh Ne
Tehreer Farmaya Ke Wo Bid’ati Haiñ Aur Iski Tafseel Hamare
35 | P a g e ZIKRULLAH

Risaala Bid’at Sunnat Meiñ Padhiye Jo Zer E Taba’ Hai Phir


Aage Quraan Shareef Irshaad Farmaata Hai;
ُ ‫َّآلذ َين آ َم ُنوآ َو‬
َ ‫كانوآ َي َّت ُق‬
‫ون‬ ِ
Wo Auliya Jinki Shaan Ye Hai Ke Unheiñ Khauf O Gham
Nahiñ Wo Jo Imaan Laaye Aur The Ke Allah Se Darte The Aur
Zikr Kiya Gaya Hai (Tafseer Aaya E Kareema “ ‫وآزلفت آلجنة‬
‫”للمتقين‬ Ke Risale Meiñ) Ke Taqwa Naam Hai Adab E
Muhammadur-Rasoolullah (SallAllahu Ta'ala Alaihi Wasallam)
Ka Yaani Imaan Laate The Aur Adab Karte The Muhammad
Rasoolullah (SallAllahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Ka Ye “‫يتقون‬
(Yattaqoon)” Ke Maane Hote Haiñ;
َ‫َو ُآ ْ ِزل َف ِت آَ ْل َج َّن ُة ِل ْل ُم َّت ِقين‬
Ki Tafseer Ad-Durar-us-Saniyyah Meiñ Mulaahiza Farmaayeiñ.
36 | P a g e ZIKRULLAH

ّ ٰ َ َ ْ ْ َ َ َ ٰ ْ َ َ ْ ُّ ٰ َ ْ ‫َ ُ ُ ْ ُ ْ ٰ ى‬
-‫للا‬
ِ ‫ْل تب ِدیل ِلك ِلم ِت‬-‫{لهم البشر ِفی الحی ِوة الدنیا و ِفی اْل ِخر ِة‬
ُ}‫ٰذ ِل َك ُه َو ْال َف ْو ُز ْال َع ِظ ْیم‬

KHUSHKHABRI KYA HAI


ٰ ْ ُ ْ ُ َُ ُ ُ َ
“‫( لهم آلبشرى‬Lahum-ul-Bushraa)” Ka “‫( لهم‬Lahum)” Khaas
Unhiñ Ke Liye Bashari Hai Ke Yeh Hasr Ke Waaste Aaya Hai
Taqseem Maa Haqquhut-Taakheer Faayeda Deti Hai Hasr Ka
ٰ ْ ُ ْ ُ َُ
“‫( لهم آلبشرى‬Lahum-ul-Bushraa)” Bushra Khaas Unhiñ Ke Liye
Hai Unke Ghair Ke Liye Nahiñ Duniya Aur Aakhirat Meiñ Allah
Ta'ala Ke Farmaan Ko Badalna Nahiñ Ye Bohot Badi
Kaamiyaabi Hai (Jo Durood O Salaam Padhne Waaloñ Ke Liye
Hai) To Bushra Kya Hai Jo Khaas Hai Auliya Allah Ke Liye Jin
َ ُ َ ْ َ ْ ُ ََ ْ َْ َ ٌ ْ َ َ
Ke Liye Farmata Hai, “‫( َل خوف علي ِهم وَل هم يحزنون‬Laa Khaufun
ُّ َ ْ َ
‘Alaihim Walaahum Yahzanoon)” Ye Tarjuma Hai “ ‫تطم ِئن‬
ُ‫( آَ ْل ُق ُلوب‬Tatma-innul Quloob)” Ka Aur “‫وب‬ ُ ‫( َت ْط َم ِئ ُّن آَ ْل ُق ُل‬Tatma-
ُ ُ ُ ْ َ ُّ َ ْ َ َّ َ ْ َ َ
innul Quloob)” Kis Ke Liye Aaya “‫ّٰللا تطم ِئن آلقلوب‬ ِ ‫( آَل ِب ِذك ِر‬Alaa
Bi-Zikrillaahi Tatma-innul Quloob)” Yaani Jo Naam E
Muhammad Mustafa (SallAllahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Lega
Usey Itmenaan E Qalb Haasil Hoga (Ba-Shafaa'at O Barkat O
Rehmat E Muhammad Rasoolullah SallAllahu Ta'ala Alaihi
37 | P a g e ZIKRULLAH

ُ ُ َ
Wasallam) Yaani Usey Koi Khauf Aur Gham Na Hoga “ ‫لهم‬
ٰ ْ ُ ْ
‫( آلبشرى‬Lahum-ul-Bushraa)” To Unhiñ Ke Liye Bushra Hai
Duniya Wa Aakhirat Meiñ Jo Naam E Muhammad Rasoolullah
(SallAllahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Lete Haiñ Aur Un Par
Durood O Salaam Padhte Haiñ To Wo Bushra Kya Hai Jo
Unke Liye Khaas Hai Unke Ghair Ke Liye Nahiñ Ye Chand
Ahaadees Se Malum Hoga.

KHUWAISIRA NAJDI
Huzoor Sarkar E Do Aalam (SallAllahu Ta'ala Alaihi
Wasallam) Maqaam E Ji’rana Meiñ Haiñ Ye Hadees Bukhari
Shareef Meiñ Hai Muslim Wa Ibne Maajah Meiñ Bhi Hai
Ghanaayim Ko Taqseem Farma Rahe Haiñ Ek Bani Tameem
Najdi Ne Jis Ka Naam “Zul Khuwaisira” Hai Kaha Yaa
RasoolAllah (SallAllahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Aap Insaaf
Kijiye Aap Insaaf Nahiñ Kar Rahe Haiñ Huzoor (SallAllahu
Ta'ala Alaihi Wasallam) Ne Irshaad Farmaya Agar Maiñ Insaaf
Na Karuñga To Kaun Insaaf Karega Hazrat Umar Aur Hazrat
Khalid Ne Arz Kiya Yaa RasoolAllah (SallAllahu Ta'ala Alaihi
Wasallam) Ijaazat Dijiye Ke Is Munaafiq Ki Gardan Maar Deiñ
Huzoor (SallAllahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Ne Irshaad
Farmaya Chod Do Ke Iski Awlaad Se Iske Giroh Se Aakhir
38 | P a g e ZIKRULLAH

Zamaane Meiñ Aise Log Paida Hoñge Ke Unki Namazoñ Se


Apni Namazoñ Ko Haqeer Samjhoge Aur Unke Rozoñ Se
Apne Rozoñ Ko Haqeer Samjhoge Lekin Deen Se Aise Nikal
Jaayeñge Jaise Teer Kamaan Se Nikal Jaata Hai “ ‫سيماهم‬
‫ ” آلتحليق‬Unki Alamat Sar Mundaana Hai To Bani Tameem Hai
Wo Shakhs “Zul Khuwaisira” Huzoor Farmaate Haiñ Uski
Awlaad Se Aakhir Zamaane Meiñ To Kitaabut-Tawheed Ka
Musannif Paida Hua San 1111 Hijri Meiñ Jo Baani Hai Mazhab E
Deobandiyat Aur Wahabiyat Ka Wo Isi Ke Awlaad Ya Qabeele
Se Hai Wo Bhi Bani Tameem Se Hai Aur Jab Usne Apne
Mazhab Ko Ijaad Kiya To Logoñ Ke Saroñ Ko Mundwa Diya
Karta Tha Yahaañ Tak Ke Aurtoñ Ke Saroñ Ko Bhi Mundwa
Diya Karta Tha To Huzoor Farmate Haiñ Unki Namazoñ Ko
Apni Namazoñ Se Haqeer Samjhoge Deen Se Aise Nikal
Jaayeñge Jaise Teer Kamaan Se Nikal Jaata Hai Wo Nahiñ
Lauteñge Deen Meiñ Yahaañ Tak Ke Teer Kamaan Meiñ
Laute. (Ad-Durar-us-Saniyyah Meiñ Dekheiñ)
Dusri Hadees Meiñ Yuñ Aaya Ke Usne Kaha Poora Kijiye
Yaa RasoolAllah Apne Waade Ko Jo Aap Mujh Se Kar Chuke
Haiñ To Huzoor Ne Farmaya “‫بشرى‬ ‫( آبشر‬Abshir Bushra)” Ko
Qabool Kar Bashaarat Ko Qabool Kar To Bola Ye To Bohot
Martaba Keh Chuke Haiñ To Huzoor Ne Apna Muñh Uski
39 | P a g e ZIKRULLAH

Taraf Se Pher Liya Usne Bhi Huzoor Se Pusht Karli Huzoor Ne


Farmaaya “‫( رد آلبشرى‬Radd Al-Bushra)” Usne Bushra Ko Radd
Kardiya Lauta Diya “‫آنتما‬ ‫ ”فاقبَل‬To Tum Donoñ Yaani Hazrat
Bilal Aur Hazrat Abu Musa Ash’ari Un Se Kehte Haiñ Tum
Donoñ Is Ko Qabool Karlo Wo Kehte Haiñ “‫ہللا‬ ‫قبلنا يارسول‬
(Qabilnaa Yaa RasoolAllah)” Humne Isey Qabool Karliya Yaa
RasoolAllah Ye Mahal Amal Ka Hai Jis Cheez Ko Ahle Najd Ne
Qabool Nahiñ Kiya Huzoor Un Donoñ Se Kehte Haiñ Tum
Qabool Karlo. Wo Donoñ Kehte Haiñ Hum Ne Qabool Kiya To
Humeiñ Bhi Kehna Chaahiye Jis Bushra Ko Ahle Najd Ne
Qabool Nahiñ Kiya Qabilnaa Yaa RasoolAllah Qabilnaa Yaa
RasoolAllah Qabilnaa Yaa RasoolAllah (Apni Zabaan Se Keh
Lena Chaahiye) Hum Ne Isey Qabool Karliya Yaa RasoolAllah
To Huzoor Sarkar E Do Aalam (SallAllahu Ta'ala Alaihi
Wasallam) Ne Ek Bartan Meiñ Haath Dhoye Chehra E
Mubarak Dhoya Aur Usmeiñ Kulli Kardi Aur Kaha Is Paani Ko
Tum Donoñ Pee Lo Aur Apne Chehre Aur Sar Par Daal Lo.
Hazrat Umm E Salma Ne Kaha (Parde Meiñ Se) Mujhe Na
Bhool Jaana To Unko Bhi Wo Paani Diya Gaya To Ye Kya
Cheez Hai Jo Huzoor (SallAllahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Ne
Unko Di Tabarruk Diya Malum Hua Bushra Huzoor (SallAllahu
Ta'ala Alaihi Wasallam) Ka Tabarruk Hai Jis Ke Ye Munkir
40 | P a g e ZIKRULLAH

Hogaye. Dusri Hadees Isi Bukhari Meiñ Hai Ke Ahle Najd Ka


Wafd Huzoor Ki Khidmat Meiñ Aaya Huzoor (SallAllahu
Ta'ala Alaihi Wasallam) Unse Kehte Haiñ. “ ‫آقبلوآ آلبشرى يا بنى‬
‫تميم‬ (Iqbilu Al-Bushra Yaa Bani Tameem)” Yaani Aye Bani
Tameem Bushra Ko Qabool Karlo Bole Laayiye Dijiye Kya
Dete Haiñ Huzoor (SallAllahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Ke
Chehre Meiñ Naraazi Ka Asar Dekha Gaya Uske Baad Ahle
Yemen Ka Wafd Aata Hai Huzoor Kehte Haiñ “ ‫آقبلوآ آلبشرى يا‬
‫( آهل يمن آذلم يقبلوآها بنى تميم‬Iqbilu Al-Bushra Yaa Ahli Yemen Iz
Lam Yaqbiloohaa Bani Tameem)” Bushra Ko Tum Qabool
Karlo Aye Ahle Yemen Jabke Isey Bani Tameem Ahle Najd Ne
Qabool Nahiñ Kiya Wo Arz Karte Haiñ “ ‫قبلنا يارسول ہللا صلى ہللا‬
‫عليه وسلم‬ (Qabilnaa Yaa RasoolAllah SallAllahu Alaihi
Wasallam)” Humne Isko Qabool Karliya Yaa RasoolAllah
Humeiñ Bhi Keh Lena Chaahiye Ke Is Qism Ka Kehna Nafa’ E
Azeem Rakhta Hai Aur Sahaba Ke Saath Mutaabi’at Hai
Bushra Kiya Hai Bushra Hai Shafa'at E Muhammadur-
Rasoolullah (SallAllahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Bushra Hai
Ghulami E Muhammadur-Rasoolullah (SallAllahu Ta'ala Alaihi
Wasallam) Bushra Hai Barkat E Muhammadur-Rasoolullah
(SallAllahu Ta'ala Alaihi Wasallam) To Bushra Hai Maghfirat
Ghulamaan E Muhammadur-Rasoolullah (SallAllahu Ta'ala
41 | P a g e ZIKRULLAH

Alaihi Wasallam) Ke Liye Yeh Khaas Hai Unhiñ Ke Liye Aaya E


Kareema “‫عبادى‬ ‫( قل يا‬Qul Yaa ‘Ibaadi)” Baghaur Padhne Se
Malum Hoga.
To Ye Wo Bashaarateiñ Haiñ Ye Wo Khushiyaañ Haiñ
Jinko Unhone Qabool Nahiñ Kiya Humne Qabool Karliya
ٰ ْ ُ ْ ُ َُ
Quraan Kehta Hai, “‫لهم آلبشرى‬ (Lahum-ul-Bushraa)” Khaas
Unhiñ Ke Liye Bushra Hai Unke Ghair Ke Liye Nahiñ Hadees
Ne Bataaya Ke Is Bushra Ko Qabool Nahiñ Kiya Hai Ahle Najd
Ne Aur Zul Khuwaisira Tameemi Ki Awlaad E Maanavi Ne
(Aur Ye Haiñ Deobandi Maudoodi Ghair Muqallid Wahabi)
Shaikh E Najdi Ke Ittebaa' Aur Uski Zurriyat Ne Jis Bushra Ko
ٰ ْ ُ ْ ُ َُ
Qabool Nahiñ Kiya “‫لهم آلبشرى‬ (Lahum-ul-Bushraa)” Wo
Bushra Unke Liye Hai Bhi Nahiñ Wo Allah Ke Waliyoñ Aur
Dostoñ Ke Liye Hai Jinheiñ Koi Khauf Aur Gham Nahiñ Jin Ka
ُ ُ ُ ْ َ ُّ َ ْ َ
Dil “‫( تطم ِئن آلقلوب‬Tatma-innul Quloob)” Ke Misdaaq Saakin O
Mutma-in Hai.

‫آللهم صل على سيدنا موَلنا محمد وعلى آل سيدنا وموَلنا محمد وبارك وسلم‬

َّ ْ َ
ۚ ‫َفا ْس َت ْب ِش ُروآ ِب َب ْي ِع ُك ُم آَل ِذى َب َاي ْع ُتم ِب ِهۦ‬
(Para-11; Surah Taubah; Aayat-111)
42 | P a g e ZIKRULLAH

Basharat Haasil Karo Khusi Manao Is Bai'at Par Jo Tum


Rasool Se Kar Chuke Ho Yaani Iqraar E Ghulaami E
Muhammadur-Rasoolullah (SallAllahu Ta'ala Alaihi Wasallam)
Par Khushiyaañ Haasil Karo Ke Ye Wo Bushra Hai Jo Khaas
Hamaare Hi Liye Hai Aur Is Bushra Ko Bhi Najdi Ne “‫رد آلبشرى‬
(Radd Al Bushra)” Ke Misdaaq Radd Kardiya. Qabool Nahiñ
Kiya To Alhamdulillah;

‫ہللا رب محمد صل عليه وسلما نحن عباد محمد صل عليه وسلما‬

MAZEED KHUSHKHABRI
Bushra Ka Aur Bashaarat Ka Zikr Quraan Shareef
Farmaata Hai;
ْ‫َو َب ِشر َّآل ِذ َين آ َم ُنوآ َآ َّن َل ُه ْم َق َد َم ِص ْد ٍق ِع َند َر ِب ِهم‬
ِ
(Para-11; Surah Yunus; Aayat-2)
“Khushkhabri Dedo Bashaarat Dedo Unlogoñ Ko Jo Imaan Le
Aaye Haiñ Ye Ke Unke Waste Qadam E Sidq Hai.”

Unke Rab Ke Paas Unke Rab Ke Huzoor Wa Nazdeek Is


Aayat Ki Sharah Wa Tafseer Meiñ Hazrat Allama Qaazi Ayaaz
43 | P a g e ZIKRULLAH

(Radi Allahu Ta'ala Anhum) Mutavaffi 500H Meiñ Shifa


Shareef Ke Andar Zaid Bin Aslam Aur Hazrat Hasan Basri Aur
Hazrat Qataada (Radi Allahu Ta'ala Anhum) Se Marvi Hai Ke
Wo Farmaate Haiñ Ke Wo Muhammad (SallAllahu Ta'ala
Alaihi Wasallam) Haiñ Ke Shafaa'at Farmaate Haiñ Hazrat
Abu Sa’eed Khudri Se Hai Ke Qadam E Sidq Se Muraad
Shafaa'at E Rasoolullah (SallAllahu Alaihi Wasallam) Hai.
To Khushkhabri Dijiye Ahle Imaan Ko Ke Unke Liye
Qadam E Sidq Unke Liye Muhammadur-Rasoolullah
(SallAllahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Ka Nihaayat Muqarrab
Hona Aur Aapka Shafaa'at Farmaana Aur Aap Ki Shafaa'at Ka
Maqbool Hona Nihaayat Darja E Khushi Aur Masarrat Aur
Bashaarat Hai To Yeh Ahle Imaan Ke Liye Hai Munkireen E
Shafaa'at Ke Liye Nahiñ Munkireen E Shaan E Mehboobiyat E
Rasool Ke Liye Nahiñ Yeh Khushi Wa Bashaarat Unke Liye Hai
Jo Imaan Laaye Aur Jo Unse Muhabbat Karte Haiñ Jo Unke
Upar Durood O Salaam Padha Karte Haiñ Jo Unko Apna
Waseela Samajhte Haiñ Jinki Rabb Ta'ala Ke Yahaañ
Shunvaayi Hai Jin Ki Shafaa'at Maqbool Hai Aur Jo Uske Liye
Maazoon Haiñ Wo Rabb Ta'ala Ke Bohot Bade Muqarrab
Haiñ Ke Itna Muqarrab Koi Dusra Nahiñ Hai Aur Unka Ye
Martaba Hai Ke Mehboobiyat Ki Unki Wo Shaan Hai Ke Rabb
Ta'ala Se Jo Arz Kareñge Ba Misdaaq Is Hadees Shareef Ke
44 | P a g e ZIKRULLAH

Ke “‫َلعطينه‬ ‫ ”لئن سالتنى‬Mujh Se Jo Bhi Maañge Maiñ Zaroor


Duñga To Ye Badi Bashaarat Wa Khushkhabri Hai Ahle Imaan
Ke Liye Ke Muhammad Rasoolullah (SallAllahu Ta'ala Alaihi
Wasallam) Uske Liye Haiñ Us Ke Rabb Ke Huzoor Yaani
Shafaa'at Farmaayeñge Hamaari To Jo Shafaa'at E Rasool Ka
Munkir Hoga Aur Unki Mehboobiyat O Martaba Wajaahat Ka
Munkir Hua Ke Us Wajaahat O Mehboobiyat Ki Wajah Se
Unki Shafaa'at Qubool Hai To Jis Ne Us Ko Radd Kiya Usne
Bushra Ko Radd Kiya Qubool Nahiñ Kiya To Alhamdulillah
Hum Bushra Ko Qubool Kar Rahe Haiñ Quraan Shareef Meiñ
Aaya;
ُ‫ّٰللا َی ْغ ِفر‬ ِؕ ّٰ ‫ُق ْل ٰی ِع َب ِاد َی َّآل ِذ ْی َن َآ ْس َر ُف ْوآ َع ٰٰۤلى َآ ْن ُف ِسه ْم ََل َت ْق َن ُط ْوآ ِم ْن َّر ْح َم ِة‬
َ ّٰ ‫ ِآ َّن‬-‫ّٰللا‬
ِ
ُ‫ ِآ َّن ٗه ُه َو ْآل َغ ُف ْو ُر َّآلر ِح ْیم‬-‫ُّآلذ ُن ْو َب َج ِم ْی ًع ؕا‬
(Para-24; Surah Zumr; Aayat-53)
Kehdo Aye Mehboob Aye Mere Ghulaamo! Yaani Aye
Ghulaamaan E Muhammad (SallAllahu Ta'ala Alaihi
Wasallam) Hazrat Maulana Room Ne Tehreer Farmaya Hai Ke
(‫( قل يا عباد“ )بنده خود خوآند آحمد در شاد جملہ عالم رآ بخوآں‬Qul Yaa
‘Ibaad)” Apna Banda Keh Kar Rasool E Khuda Ne “‫عبادى‬ ‫يا‬
(Yaa ‘Ibaadi)” Keh Kar Quraan Meiñ Pukaara Hai Aur
Mishkaat Shareef Ki Do Hadeesoñ Meiñ Aaya Hai Ek Hazrat
45 | P a g e ZIKRULLAH

Asmaa Bint E Zaid Se Hai Aur Ek Hazrat Sobaan Se Jo Wali


Haiñ (Ghulaam Aazad Kardah) RasoolAllah (SallAllahu Ta'ala
Alaihi Wasallam) Ke Donoñ Hadeesoñ Ka Mazmoon
Mutaqaarib Hai Suna Maine Ke Farma Rahe Haiñ RasoolAllah
(SallAllahu Ta'ala Alaihi Wasallam)

‫يا عبادى آلذين آسرفوآ على آنفسهم َلتقنطوآ من رحمة ہللا آن ہللا يغفر آلذنوب‬
‫جميعا وهو َل يبالى‬
To Yahaañ Huzoor Aayat Nahiñ Padh Rahe Haiñ Agar Ye
Aayat Padhte Huve To “‫( قل‬Qul)” Se Shuru Karte Tarjuma Ho
Raha Hai Aye Mere Ghulamoñ Jinhone Gunah Kiye Haiñ Allah
Ki Rehmat Rehmatal-lil-‘Aalameen Se Na Umeed Na Ho Allah
Ta'ala Saare Gunaahoñ Ko Bakhsh Deta Hai Aur Usey Kuch
Parvaah Nahiñ To Ye Farmaan E Muhammad Mustafa
(SallAllahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Rab Ta'ala Ke Farmaan Wa
Ijaazat Se Hai “‫( قل‬Qul)” Yaani Keh Do Jis Ke Kehne Ka Hukm
Hai Huzoor Keh Rahe Haiñ Ke Jo Mera Ghulaam Hogaya To
Allah Ta'ala Uske Gunaahoñ Ko Baksh Deta Hai Wo Ghafoor
Hai Raheem Hai Magar Ye Khaas ‘Ibaadi Ke Liye Ghulaamaan
E Muhammadur-Rasoolullah (SallAllahu Alaihi Wasallam) Ke
Liye Hai Jisne Ghulaami E Rasoolullah Ko Radd Kardiya Usne
Maghfirat O Rehmat E Ilaahi Ki Bushra Ko Radd Kardiya,
46 | P a g e ZIKRULLAH

‫آنه هو آلغفور آلرحيم‬


Ghafoor Raheem Hai Gunaahoñ Ko Bakhsh Deta Hai Raheem
Rehmat Waala Hai To Maana Ghafoor Raheem Ke Yeh Huve
Ke Allah Ta’ala Gunaahoñ Ko Bakhsh Deta Hai Apni Rehmat
Se Aur Aur Rehmat Haiñ Rehmatal-lil-‘Aalameen To Maana
Huve Shafaa'at E Muhammadur-Rasoolullah Se Allah Ta'ala
Maghfirat Farma Deta Hai ‘Ibaad E Muhammad (SallAllahu
Ta'ala Alaihi Wasallam) Ke Saare Gunaahoñ Ko Bakhsh Deta
Hai Is Khushkhabri Ke Liye “‫وسلما‬ ‫نحن عباد محمد صل عليه‬
(Nahnu ‘Ibaadu Muhammadin Salla ‘Alaihi Wasallama)” Ka
Iqraar Bohot Zaroori Hai Ye Wo Nemat Hai Jis Ke Liye Quraan
Shareef Meiñ Aaya:
َِّ َ ‫َآ َل ْم َت َر إ َلى آَ َّلذ َين َب َّد ُل ْوآ ِن ْع َم َت‬
ً‫ّٰللا ُكـ ْفرآ‬ ِ ِ
(Para-13; Surah Ibrahim; Aayat-28)
Kya Aap Ne Nahiñ Dekha Un Logoñ Ki Taraf Jinhone
Badal Diya Allah Ki Nemat Ghulaami E Muhammadur-
Rasoolullah Ko Naa-Qadri Se Aur Ye Hai Allah Ka Wo Ahsaan
Jis Ko Quraan Shareef Meiñ Farmaaya Hai:
ً ْ ُ َ ْ ْ َ َ َ ْ َ ْ ْ ُ ْ َ َ ُ ّٰ َّ َ ْ َ َ
‫لقد من ّٰللا على آلمؤ ِم ِنین ِآذ بعث ِفی ِهم رسوَل‬
(Para-4; Surah Aal Imraan; Aayat-164)
47 | P a g e ZIKRULLAH

Allah Ne Bohot Ahsaan Farmaaya Hai Musalmaanoñ Par


Jab Ke Usne Unke Andar Apna Rasool Bheja To Bushra Hai
Ghulaami E Muhammad RasoolAllah (SallAllahu Ta'ala Alaihi
Wasallam) Ke Allah Ta’ala Unke Saare Gunaahoñ Ko Bakhsh
Deta Hai Aur Wo Ghafoor Raheem Hai To Yaad Rahe Ke
Ghafoor Ke Saath Raheem Aana Ye Ishaara Hai Is Taraf Ke
Allah Ta'ala Gunaahoñ Ko Bakhsh Deta Hai Ba-Shafaa'at E
Muhammad RasoolAllah (SallAllahu Ta'ala Alaihi Wasallam)
Aur Ye Khaas Hai Ghulaamaan E Muhammad Ke Liye
(SallAllahu Ta'ala Alaihi Wasallam) Aur Is Ki Misaaleiñ Quraan
Shareef Meiñ Bohot Haiñ.

SHAFAA'AT E RASOOL ‫ﷺ‬

‫اب َع َل ْي ِه ۚ ِإ َّن ُهۥ ُه َو آَ َّلت َّو ُآب آَ َّلر ِح ُيم‬


َ ‫َف َت َل َّق ٰى َء َآد ُم ِمن َّر ِب ِهۦ َك ِل َٰم ۢۡ ٍت َف َت‬
(Para-1; Surah Baqarah; Aayat-37)
Rab Ta'ala Ne Kuch Kalimaat Hazrat Aadam (‘Alaihis-
Salaam) Ke Dil Par Ilqaa Farmaye To Un Kalimaat Ke Saath
Tauba Ki Beshak Rab Ta'ala Tauba Ka Qubool Karne Waala
Hai Aur Rehmat Waala Hai Hazrat Umar (Radi Allahu Ta’ala
Anhu) Se Ye Hadees Hai Ke Jab Hazrat Aadam (‘Alaihis-
Salaam) Ne Ba-Waseela E Janaab Muhammad (SallAllahu
48 | P a g e ZIKRULLAH

Ta'ala Alaihi Wasallam) Tauba Ki To Aapki Tauba Qubool Huvi


Ek Muddat Tak Girya Karte Rahe Kuch Shunvaayi Na Huvi To
Wo Jo Ilqaa Hua Hai Wo Waseela Janaab E Sarvar E
Kaayenaat Ke Muta’lliq Hai Aur Is Aayat Meiñ Tawwaab O
Raheem Ka Aana Ishaara Hai Us Aaya E Kareema Ki Taraf Jis
Meiñ Tawwaab-ar-Raheema Aaya Wo Is Tarah Hai;
ُ َ َ َ ُ ْ ُ َّ ُ ُ َ َ َ ْ َ ْ َ َ ّٰ ‫َ َ ْ َ َّ ُ ْ ْ َّ َ ُ ْٰۤ َ ْ ُ َ ُ ْ َ ُ ْ َ َ ْ َ ْ َ ُ و‬
‫ولو آنهم ِآذ ظلموآ آنفسهم جاءوك فاستغفر آ ّٰللا و آستغفر لهم آلرسول لوجدوآ‬
‫ّٰللا َت َّو ًآبا َّر ِح ْی ًما‬
َ ّٰ
(Para-5; Surah Nisaa; Aayat-64)
Agar Wo Zulm Kareiñ (Gunaah Kareiñ) To Teri Khidmat
Meiñ Haazir Hoñ (Aye Mehboob Tum Bhi Unki Shafaa'at Karo
To Paayeñge Allah Ko Tawwaab Raheem Tauba Ka Bohot
Zyada Qubool Farmaane Waala Rehmat Waala) To Haq Ta'ala
Irshaad Farmaata Hai Ke Jab Aadam (‘Alaihis-Salaam) Ne Aap
Se Waseela Kiya To Allah Tawwaab Raheem Hai Ke Tauba
Qubool Farmaata Hai Apni Rehmat Se Ke (Wo Rehmatal-lil-
‘Aalameen Hai) Yaani Apne Mehboob Ki Shafaa'at Se Aur Ek
Misaal Is Aayat E Kareema Meiñ Hai;
49 | P a g e ZIKRULLAH

َّ ُ َّ ٰ َّ َ َ ْ َ ۡۢ ٰ َ ُ ْ َ َ َٰ َ ْ َ َ َ ْ َ َ َ َ ُ ُ ْ َ َ َّ َ َّ
‫اس ِفى‬ ِ ‫ين يكـتمون ما آنزلنا ِمن آلب ِين ٰ ِت وآلهدى ِمن بع ِد ما بينه ِللن‬ ‫ِإن آل ِذ‬
ْ ُ َّ َ َ ْ ُ َ ْ َ َ ْ ُ َ َ َّ َ َّ َ ُ َّ َ ُ ُ ُ َ ْ َ َ ُ َّ َ ُ ُ ُ َ ْ َ َ َٰ ْ ُ َٰ ْ َ
‫آل ِكـت ِب ۙ آول ِئك يلعنهم ّٰللا ويلعنهم آلل ِعنون* ِإَل آل ِذين تابوآ وآصلحوآ وبينوآ‬
ُ ‫َف ُا ْو َٰل ِئ َك َآ ُت‬
ُ‫وب َع َل ْي ِه ْم ۚ َو َآ َنا آَ َّلت َّو ُآب آَ َّلر ِحيم‬
(Surah Baqarah; Para-2; Aayat-159,160)
Beshak Jo Log Chupa Rahe Haiñ Us Cheez Ko Jo Hum Ne
Utaari Saaf Raushni Aur Hidaayat (Kinaaya Hai Naat E Nabi
SallAllahu Ta'ala Alaihi Wasallam Se Shifa Shareef Dekhiye) Is
Ke Baad Ke Hum Usey Khoob Waazeh Taur Par Bayaan
Farma Chuke Ye Wo Haiñ Ke Allah Un Par Laanat Karta Hai
Aur Allah Waale Laanat Karte Haiñ (Jin Par Ye Laanat Padh
Rahi Hai Wo Ye Kehte Haiñ Kisi Ko Bura Nahiñ Kehna
Chaahiye) Magar Wo Jinhone Tauba Ki Aur Apni Islaah Ki Aur
Zaahir Kar Diya (Jisey Chupa Rahe The Yaani Naat E Nabi
SallAllahu Ta'ala Alaihi Wasallam) To Ye Wo Haiñ Ke Unki
Tauba Maiñ Qubool Farmauñga Aur Maiñ Tawwaab O
Raheem Huñ To Yahaañ Tawwaab Raheem Ne Ye Ishaara
Kiya Ke Wo Aayat Yaad Karo Jo Upar Guzri,
ٰۤ ْ َ
‫َول ْو َآ َّن ُه ْم ِآذ َّظ َل ُم ْوآ َآ ْن ُف َس ُه ْم‬
Jab Mere Mehboob Ki Khidmat Meiñ Haazir Hoñge To
Paayeñge Allah Ko Tawwaab O Raheem Us Ke Baghair Nahiñ
Yaani Rauza E Rasool Pe Haazir Hoñ Jis Ki Haazri Ka Inkaar
‫‪50 | P a g e‬‬ ‫‪ZIKRULLAH‬‬

‫‪Kar Rahe Haiñ Aur Is Baare Meiñ Sahih Mutavaatir Ahaadees‬‬


‫‪Ka Inkaar Kar Rahe Haiñ Ad-Durar-us-Saniyyah Dekheiñ Aur Is‬‬
‫‪Mukhtasar Meiñ Zyada Ki Gunjaayish Nahiñ.‬‬

‫آلـلـهـم ربـنـا َل تزغ قلوبنا بعد آذ هديتنا وهب لنا من لدنك رحمة آنك آنت‬
‫آلوهاب آللهم صل على سيدنا وموَلنا محمد وآله وآصحبه وبارك وسلم بعدد‬
‫كل ذرة وقطرة وريشة وشعرة آلف آلف في آلف آلف مرة في كل لمحة آضعافا‬
‫مضاعفة آلى يوم آلقيامة آللهم مغفرة لذنوبنا وقضاء لـحـاجـاتـنـا وآصَلحا َلعمالنا‬
‫ووقاية من شح آنفسنا وكـفاية عن شر آعمالنا و تحفظنا بها من جميع آلبَلء‬
‫وآلبلوى آلخارج من آَلرض وآلنازل من آلسماء ‪ . . . . . .‬بها عمن سوآك آللهم‬
‫آسئلك بـهـا فـرحنا بماذآ وعلى ماذآ ولماذآ آلى يقوم آلقيامة في آهلنا وعيالنا‬
‫وآوَلدنا ومريدنا ومدرستنا ومسـجـدنـا ومـن معنا وفى جميع آلمسلمين‬
‫وآلمسلمات آَلحياء منهم وآَلموآت آللهم آجعل بركاتها فيهم وفيهن آلى يوم‬
‫آلقيامة وصلى ہللا تعالى عليه خير خلقه محمد وآصحبه آجمعين‬

You might also like