Tawbah Study Material

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 65

TAWBA

Taleef – DR. Saaleh Bin


Ghanam As Sadlaan

Romanised By
Sohela

1 The Way Of Salafiyyah


BISMILLAHIR RAHMAANIR RAHEEM

TAWBA
DR. Saaleh Bin Ghanam As Sadlaan

Tawba :- maayne , haqeeqat , fazeelat , aur sharaa’it

Tawba ki tareef
Tawba ka laghwi maayne :- Tawba lafz ‘taa waaw baa’
“tawb”se makhooz hai jiske maayne lautne ke hain, lihaza agar
koi apne gunah se laut aata hai to uske liye kaha jata hai “taaba
wa aataab”wo lauta usne ruju kiya , aur istelaah mein tawba kehte
hain dil se israar ki girah ko khol kar ‫ ﷲ‬ta’ala ki taraf lautne ko
phir ‫ ﷲ‬rabb ul aalameen ke tamaam huqooq ko bajaa lane ko , aur
lafz tawb aur lafz tawba dono ka maayne ek hai aur isse muraad
hai achchi tarah se gunah ko chord dena , aur ye maazirat ka
behtareen tareeqa hai.

2 The Way Of Salafiyyah


Shari’at mein tawba : - Shari’at islami mein
tawba kehte hain ‫ ﷲ‬ta’ala ke khauf se gunah ko chord dene, uski
qabaahat ko mehsus karne , maasiyat par naadim hone aur is baat
ka azm karne ko ke ab wo maasiyat ki taraf nahi lautega, agar is
par qudrat haasil ho , aur neyk aamaal ke zariye iska hattal imkaan
tadaruk wa talaafi karne ko .

Tawba ki haqeeqat
Tawba us dil ehsaas ko kehte hain jo gunahon ke irtekab par
nadaamat ke zariye payd ahota hai , aur aaindah ‫ ﷲ‬ki taraf
mutawajjah ho jana , aur gunahon se bachna aur saaleh amal kar
ke tawba ko sach saabit karna .

Tawba dar asal kiye hue amal par nadaamat ke ehsaas aaindah
amal , mann ‫ ﷲ‬ta’ala ki taraf tawajjah , aur gunah se bachne ke
irade ko kehte hain aur amal saaleh amali taur par tawba ko
wajood mein laata hai , isi tarah burey kaam se ruk jaane se bhi
tawba ho jati hai, tawba ek wajoodi amal hai jiske zaman mein
taaib ka apne rabb ki taraf mutawajjah hona, uski taraf lautna aur

3 The Way Of Salafiyyah


uski itaat ki pabandi karna nasib shamil hai , lihaza agar koi shaqs
mehaz gunah se baaz aa jaata hai , lekin ‫ﷲ‬ta’ala ki pasandeedah
cheezon ki taraf mutawajjah nahi hota , to wo tawba karne wala
naa hoga, illa ye ke tark gunah ke baad ‫ ﷲ‬ta’ala ki taraf ruju kare
, maasiyat par israar se baaz aa jaye aur apne dil ke andar pehle
tawba sabit kare, phir zubaan se tawba ke alfaaz adaa kare , aur
apne zehan dimag mein Jannat ke taqasul , aur ‫ ﷲ‬ta’ala ki waada
wa’eed ka istehzaar kare aur ‫ ﷲ‬ta’ala ne farmabardaron ke liye jo
neyk wade kiye hain aur nafarmanon ke liye jo jahannum ke azaab
ki dhamki di hai, usko yaad kare aur uspar baraabar qayam rahe ,
yahan tak ke uske khauf wa rijaa taqatwar aur mazboot ho jaye .
Aur ‫ ﷲ‬ta’ala se rughbat wa ruhbat se dua karne lage ke ‫ ﷲ‬ta’ala
us ki tawba ko qubool farmaaye, uske gunahon ko dhull daaley ,
uske burey aamaal wa ghaltiyon aur laghzishon ko maaf karey, in
sab maraahil se guzarne ke baad uski tawba muhaqqaq hogi, aur
wo ‫ ﷲ‬ta’ala ki naa pasandeedah cheezon se baaz reh kar ‫ ﷲ‬ta’ala
ki pasandeeda mehboob cheezon ki taraf mutawajja ho, phir
gunah se tawba ke baad dobara gunah naa kare jaisa ke doodh
thann se nikalne ke baad dobara waapas nahi hota aur apne dil se
nadaamat mehsus karle , aur apni zabaan se istaghfaar laazim
pakdey aur apne jism ki hifazat kare , ‫ ﷲ‬ka taqwa ikhtyar kare ,
4 The Way Of Salafiyyah
aur ‫ ﷲ‬ta’ala ke noor ki roshni mein iski itaa’at ksre iske sawaab
ka ummeedwar ho, aur uske iqaab se khauf khaaye aur apne
Khaliq ki taraf raaghib ho aur nafs ke sharr se apne aap ko mehfuz
rakhe aur usko taqwa ka paband banaye, aur ‫ ﷲ‬se dua kare ke
usey paak kare. Isliye ke wahi behtar taur par usey paak karne
wala hai wahi hai nafs ka rabb wa maula hai, aur ‫ ﷲ‬ta’ala usey
uske nafs ke hawale naa kare palak bhar ke liye .

“na OOZU biLLahi min ShUrOOri


anFUSinaa wa min SaYYi’aati
aamaaLinaa”

Qur’an Kareem mein tawba ke maayene

Qur’an majeed mein lafz tawba muta’addad maayene ke liye


waarid hua hai .

1. Tawba ba mayene nadaamat :- ‫ ﷲ‬ta’ala ka irshad hai “apne


payda karne waale kea age tawba karo aur apne ta’een halaak
kar daalo. [ surah- Baqara - 54 ]”
5 The Way Of Salafiyyah
“aur momino! Sab ‫ ﷲ‬ke aagey tawba karo take tum falaah
paao”[surah An Nur - 31]

2. Tawba ba maayene darguzar karna :- ‫ ﷲ‬ta’ala ka irshad hai


“beshak ‫ ﷲ‬ne payghambar par meherbani ki, aur muhajireen
aur ansaar par’ , yaani ‫ ﷲ‬ta’aala ne unko darguzar farmaya.

ek jagah aur irshad baari ta’ala hai :- “aur ‫ ﷲ‬momin mardon


aur momin auraton par meherbani kare’(Surah Al Ahzaab :-
73).

3. Tawba ba maayene kisi kaam se baaz aa jana :- Hazrat Musa


A.S ki zabani ‫ ﷲ‬ta’aala ka irshad hai :- ‘teri zaat paak hai ,
aur main tere huzoor mein tawba karta hun’. (Surah Al Araaf
:- 143). , yaani dekhne ke sawal se baaz aata hun .

Tawba ki fazeelat

6 The Way Of Salafiyyah


‫ ﷲ‬ta’ala ne tawba karne ka hukm diya , irshad baari ta’aala hai :-
‘aur mominon sab ‫ ﷲ‬ke aagey tawba karo taake tum falaah paao’
(Surah An Nur :- 3 ).

Aur ‫ ﷲ‬ta’aala ne tawba qubool karne ka wada farmaya hai ,,


irshad hai :- ‘aur wahi to hai jo apne bandon ki tawba qubool karta
hai ‘ (Surah Ash Shura :- 25).

Aur ‫ ﷲ‬ta’ala ne apne bandon ke liye afuw wa darguzar aur


maghfirat ki ummeed ke darwaze khol khol diye hain aur bandon
ko hukm diya ke ‫ ﷲ‬ta’ala ke jo do karam ki chaukhat ko ko laazim
pakdein aur buraaiyon ki maafi aur parda poshi , aur qabuliyat
tawba ke liye dua karte rahein , aur iski bhi dua karein ke rahmat
ilaahi se dur karne waali koi cheez unhein dur naa kare , aur bande
aur ‫ ﷲ‬ke darmiyan koi cheez haayil naa ho, uski rahmat wa karam
ka darwaza band naa ho, irshad baari ta’ala hai :- ‘ aye
payghambar ! meri taraf se logon se , keh do ke aye mere bandon
! , jinhone apni jaanon par ziyadati ki hai ‫ ﷲ‬ki rahmat se naa
nummeed naa hona, ‫ ﷲ‬to sab gunahon ko baksh deta hai, aur wo
to bakhashne wala meherbaan hai ‘(Surah Az Zumar - 53)

Lihaza jo bhi tawba karega istaghfar karega ‫ ﷲ‬ta ala uski tawba
ko qubool farmayega. ‫ ﷲ‬ta’ala ka irshad hai:-‘ aur wo jab koi
7 The Way Of Salafiyyah
khula gunah yaa apne haqq mein koi aur burai kar baithey hain to
‫ ﷲ‬ko yaad karte aur apne gunahon ki bakhshish maangte hain, aur
‫ ﷲ‬ke siwa gunah baksh bhi kaun sakta hai’,(Surah Al Emran –
135)

Aur ‫ ﷲ‬ta’aala ne apne un muttaqee bandon ki taareef ki hai jo


istaghfaar ki pabandi karte hain , irshad hai :-‘jo ‫ ﷲ‬se ilteja karte
hain ke aye parwardigar hum imaan le aaye so hum ko humare
gunah maaf farma aur dozakh ke azaab se mehfooz rakh , ye wo
log hain jo mushkilaat mein sabr karte, aur sach bolte aur ibaadat
mein lagey rehte , aur raah khuda mein kharch karte aur awqaat
sehr mein gunahon ki maafi maanga karte hain ‘.(Surah Al Emran
– 17)

Tawba karne waale ko ‫ﷲ‬ta’ala, apne hifz wa amaan mein rakhta


hai aur apni rahmaton se nawaazta hai,, apni barkaton se usey
nihaal karta hai , uski rizq mein wus’at aur duniyawai zindagi
mein aaraam se nawaazta hai , aur aakhirat mein hameshgi ki
azeem ush shaan nyamaton se nawaazega. Tawba karne walon ke
sawab wa ajar se mutaliq ‫ﷲ‬ta’ala ne farmaya hai :- ‘aise hi logon
ka sila parwardigaar ki taraf se bakhshish aur baagh hain jinke
niche nehrein beh rahi hain, aur wo us mein hamesha bastey

8 The Way Of Salafiyyah


rahenge , aur achche kaam karne walon ka badla bohat acha hai
‘.(Surah Al Emran - 136).

Phir ma’asi se kinara kashike baad istaghfaar karna bazaat khud


shadaabi khush haali , nasal ki kasrat , izzat wa quwwat mein izafa
ka sabab hai, ‫ ﷲ‬ta’ala ka irshad hai :-‘ aur kaha , apne parwardigar
se maafi maango ke wo bada maaf karne wala hai, wo tum par
aasmaan se lagataar menh barsayega , aur tumhein baagh ataa
karega aur umnein tumhare liye nehrein baha dega ‘.(Surah nuh –
10 – 12 ) .

Imaan hi ki wajah se ‫ﷲ‬ta’ala bandon par rahmat farmata hai aur


istaghfaar ki wajah se deen wa duniya ki barkaton se nawaazta hai
.

Rasoolullaah ‫ ﷺ‬ka irshad hai :- ‘jo shaqs istaghfaar ko laazim


pakadta hai , ‫ ﷲ‬ta’ala usko har gham se chhutkara deta hai , aur
har tangi se nikaal leta hai aur usko wahan se rizq deta hai Jahan
se usko ghumaan nahi hota ‘.

Aur darwaza e tawba ke dono patt khule huye hain, Jahan rahmat,
lutf ,wa karam aur niyamaton ke baad Naseem ke mu’tar jhonke
chalte rehte hain, ‫ ﷲ‬ta’ala ka irshad hai :-‘haan jisne tawba ki aur
imaan laya aur amal neyk kiye to aise log bahisht mein dakhil
9 The Way Of Salafiyyah
honge , aur unka zarra nuksaan naa kiya jayega , bahisht
jaawedani mein jiska ‫ﷲ‬ne apne bandon se waada kiya hai, aur jo
unki aankhon se poshida hai , beshak uska waada neykokaron ke
saamna aane wala hai ‘.(Surah Maryam – 60- 61).

Tawba se jo imaan aur amal saaleh naseeb hota hai aur uske
musbat asaraat zindagi mein martab hote hain, wo taaib ko burey
anjaam se mehfooz rakhte hain , lihaza tawba karne wale gumrahi
se dochar nahi honge, balke Jannat mein dakhil honge aur unpar
zarra barabar zulm nahi hoga.

Lihaza tawba ki barkaton ka kya kehna !! isse to rahmaton


ki baarish hoti hai , rizq mein kushadgi aati hai , khair wa bhalai
mein izafa hota hai , iske fazl se ‫ ﷲ‬ta’ala maal wa awlaad se
nawaazta hai , gunahon ko bakhashta hai , taaqat wa quwwat ,
hidayat wa rushd ataa farmata hai , ‫ ﷲ‬ta’ala bazaat khud saraapa
, afuww wa Ghafoor aur tawwaab hai, tawba qubool farmata hai,
gunahon ko bakhashta hai , din ko is gharaz se haath pehlaata hai,
ke raat ka gunehgar tawba karle, aur raat ko is gharaz se haath
pehlaata hai , ke din ka gunah karne wala tawba karle, ye mehaz
uska fazal wa ehsaan hai , lihaza aqalmand ko chahiye ke apne
rabb ki ita’at mein mashghool rahe , aur ‫ ﷲ‬ke muraqaba aur uske

10 The Way Of Salafiyyah


khauf se palak bhar ke liye ghafil naa ho, aur ‫ ﷲ‬ta’ala ki azmat
wa jabroot ka hamesha istehsaar rakhe . Khuloot wa jaloot har
jagah ussey darta rahe, ke uska ilm muheet hai,, uska ghussa sakht
hai, use darne walon ke dilon ko wo aman wa amaan se bhar deta
hai. Aur apne gunahon par naadim hone aur afsos karne walon ki
buraiyon ko mita deta hai gunahon ko maaf kar deta hai , tawba
ko qubool karta hia , darjaat ko buland karta hai , Aye ‫ ﷲ‬tu hi
sawal karne walon ki zaruraton ka malik hai, chup rehne walon
ke dilon ka haal tu hi jaanta , humein apni taraf se sachchi tawba
naseeb farma , kaamil Inayat naseeb farma , jiske baad naa kisi
taraddud ka shayba ho, aur naa nuks wa kami ka wahan se guzar
ho .

Fil faur tawba karna wajib hai


Chunke tamaam log tawba ke mohtaj wa mukallif hain , lihaza
har shaqs ko har waqt tawba wa istaghfaar karte rehna chahiye.
Kasrat se aise aise nusoos waarid hue hain jinse pata chalta hai ke
tawba mein jaldi karna farz hai . Isme taakheer ki koi gunjaish
nahi, aur mua’ayna (gunahon ka asar dekh lena) ke waqt tawba se

11 The Way Of Salafiyyah


umooman fayda nahi hota isliye ke us waqt tawba barbina zarurat
hoti hai . ikhtyar nahi, isliye un logon ki tawba ‫ ﷲ‬ta’ala qubool
fermata hai jo jahalat mein buraai kar daalte phir fauran tawba kar
lete hain ,, yaani iske ke ummeedein munqata hon, aur maut ke
parwane aa jayein, aur roohein nikaali jayein , aur admi apne
qaboo se baahar ho jaaye,‫ ﷲ‬ta’ala ka Irshad hai :- ‘ ‫ﷲ‬ta’ala unhi
logon ki tawba qubool fermata hai jo naadaani se buri harkat kar
baithte hain, phir jald tawba kar lete hain , pas aise logon par ‫ﷲ‬
meherbani karta hai , aur wo sab kuch jaanta , aur hukamt wala
hai aur aise logon ki tawba qubool nahi hoti jo saari umar burey
kaam karte rahe , yahan tak ke jab unmein se kisiki maut aa
maujood ho to us waqt kehne kagey ke main tawba karta hun aur
aur naa unki jo kufr ki haalat mein rahein , aise logon ke liye
humne azaab aleem tayyar kar rakha hai ‘.

Lihaza koi tawba karne wala jab apne kiye hue par naadim
hokar aur poore azm wa irade ke saath dil mein taqwa aur amal
saaleh ka beej botey hue apne rabb ki rahmat ki ummeed mein
tawba karta hai , to ‫ ﷲ‬ta’ala uski tawba qubool fermata hai ,usey
pareshan wa sar gardaan nahi chhodta , aur naa hi usko apne
darwaza se bhagaata hai, aur naa hi khauf ki haalat mein rakhta

12 The Way Of Salafiyyah


hai , balke uski rehnumai fermata hai , aur uski dastgiri fermata
hai , uske qadmon ko jamaata hai , uske raaste ko roshan fermata
hai , aise mauqe par bande ke liye ek hi rasta hai –

1. Tawba karne mein jaldi kare , yahan tak ke gunah ki zang se


uske dil par pardah naa padh jaye aur maasiyat uski tabiyat
saaniya naa ban jaye , phir uksa izala mushkil ho .
2. Maut wa marz se pehle hi tawba mein jaldi kare, aisi haalat
mein aise hazraat ko darna chahiye , jo dhoke mein padey
hue hain burey aamaal mein mubtila hain , maasiyat par
israar kiye jaa rahe hain .

Tawba karne mein aaj kal kar rahe hain, yahan tak ke jab maut
ka farishta saamne aa jata hai to kehte hain ab main tawba karta
hun , jabke gunah uske dil mein jamm chuka hota hai, jiski
wajah se apne aapko bhula deta hai , yahan tak ke masiyat ka
irtekab uski aadat wa fitrat Saniya ban jaata hai , jisse chhutkaar
apaan aur peecha chhudaana bahut mushkil hota hai , yahan tak
ke jab waqt mau’ood aa jata hai to tawba par majboor hota hai
, jabke yawba se pehle gumrahi wa dalaalat ke samandar mein
ghotey kha raha tha gunahon ne usko charon taraf se gheyr
rakha tha . Uski tawba to sirf isliye hoti hai ke uske jism mein

13 The Way Of Salafiyyah


gunah karne ki taaqat hi nahi hoti, is tarah ki tawba ko ‫ ﷲ‬ta’ala
qabool nahi karta , isliye ke usse dil mein sulah wa zindagi
mein isteqamat ki koi surat baaqi nahi rehti isliye bhi ke wo
iztarari tawba hoti hai ikhtiyari nahi, iski haisiyat maghrib se
suraj tulu hone ke baad ki tawba jaisi hai , aur Qayamat ke din
, aur ‫ ﷲ‬ta’ala ke azaab ko nazron se dekh lene ke baad waali
tawba jaisi hai.

Lihaza ek momin ko jahan tak ho sakey tawba mein jaldi


karni chahiye. Aur maut ka paygham aane aur zindagi ki umeed
munqata hone se pehle tawba kar leni chahiye warna phir tawba
se koi fayda nahi , ‫ ﷲ‬ta’ala humein iski taufeeq de.

Tawba mein taakheer karna aisa


gunah hai jisse tawba karna
zaruri hai

Banda jab koi gunah kar baithe aur uske dil mien tawba ka
khayal aaye to usey chahiye ke fauran tawba karle, ismein deyr
14 The Way Of Salafiyyah
naa kare . usey aaj kal par naa taaley, ummeedon ka sahara naa
le, isliye ke usko maaloom nahi ke uske din kab poorey ho jayein
, uski saans kab ukhad jaye, Quran majeed ne gunah ke aetraaf
aur tawba mien jaldi karne ki daawat di hai , Irshad baari ta’ala
hai :-

‘‫ ﷲ‬ta’ala unhi logon ki tawba qubool fermata hai jo nadani se buri


harkat kar baithtey hain, phir jald tawba kar lete hain, pas aise
logon par ‫ ﷲ‬meherbaani karta hai aur wo sab kuch jaanta aur
hikmat wala hai ‘.(Surah An Nisa - 18)

Is tarah ki tawba ka qubool hona , un logon ka haq hai, jo nadani


mein gunah kar baiththe hain , phir bohat jald tawba karte hain ,
ye wo haq hai jisey ‫ ﷲ‬ne apne zimme liya hai , mehez apni rahmat
wa karam wa fazal se.

Lihaza gunah se tawba karne mein jaldi karna ek aisa fareeza hai
, jisey fauran adaa karna wajib hai, ismein taakheer ki koi
gunjaaish nahi , aur agar is mein taakheer kare to us takheer par
bhi tawba zaruri hai , yaani tawba karne mein taakheer karna aisa
gunah hai jisse tawba zaruri hai .

15 The Way Of Salafiyyah


Tawba ke sharaayet

Tawba bohat badi neyki hai , isliye ke bande aur Rabb ke


darmiyan jo cheezein haayil ho jati hain, tawba unko zaaayil kar
deti hai , haayil hone waali ye cheezein insani nafs ke andar
khwahishat wa himakaton ki shakal mein maujood hoti hain ,
lihaza tawba nafs ko ummeedon se bhar deti hai aur dil ko sar
chashma e noor ki taraf rehnumaai karti hai .

Tawba us waqt tak sahih aur Maqbool nahi ho sakti jab tak ke
usmein wo sharaayet maujood naa hon jo tawba karne waale ki
tawba ko sach kae dikhlaye, ye sharaayet hasbe zail hain :-

1. Tawba khalis ‫ﷲ‬ta’ala ke liye ho :- isliye ke ‫ ﷲ‬ta’ala kisi


amal ko usi waqt qubool fermata hai jab wo khalis usi ke liye
ho, aur ussey uski raza chaahi gayi ho , uske hukm ke muafiq
aur uske ambiya ki itteba mein ho, lihaza har amal ko khalis
‫ ﷲ‬ta’ala ke liye hona chahiyeaur sahih bhi hona chahiye
yaani sunnat ke muafiq , isliye ke kabhi aisa hota hai ke amal
sahih hota hai lekin ‫ ﷲ‬ta’ala ke liye khalis nahi hota , lihaza
wo ghayr Maqbool hota hai aur kabhi khalis ‫ ﷲ‬ta’ala ke liye

16 The Way Of Salafiyyah


hota hai lekin sahih sunnat ke muafiq nahi hota lihaza wo bhi
ghayr Maqbool hai, is silsile mein hazrat Umar r.a ye dua
kiya karte the:- ‘allahumma aj’al kullahu salihan wa ja’alhu
liwajhika khalisan , wa laa taj’al li ahadin feehi shay’aa’ [aye
‫ ﷲ‬mere tamaam amal ko neyk wa saleh banaa de aur usey
khalis tere liye banaa de aur ismein se kuch bhi kisi aur ke
liye naa banaa] .
Lihaza tawba ka maqsad ‫ ﷲ‬ta’ala ki muhabbat uski
taazeem aur uski ummeed uske sawab ka lalach uske iqaab
ka khauf hone chahiyein taake kisi makhlooq ki chaaplusi ,
ya is duniya e doo ka koi aarzi maal wa mataa’ usse Maqsood
naa ho.

2. Gunahon ko jadd se ukhaad phenkna :- chunke maasiyat ki


lazzat mein mashghool shaqs bohat kam hi apne amal ko ‫ﷲ‬
ke liye khalis kar paata hai , lihaza ek tawba karne waala is
baat ki koshish mein laga rehta hai ke apne dil se buraai ki
jadon ko ukhaad phenkein, taake dil paak wa saaf aur ‫ﷲ‬
ta’ala ke liye khalis ho jaye , issey achche aamaal saadar hon,
aur neyk niyyat se saadar hon, aur wo ‫ﷲ‬ta’ala ke nazdeek
Maqbool hon, agar maasiyat kisi haram kaam ke irtikaab
17 The Way Of Salafiyyah
mein hon, to fauran ussey baaz aajaye, aur kisi waajib ke
tark ki wajah se ho to fauran ussey chhutkara hasil karle, aur
usko uske haqdaar tak pahuncha de. Ya ussey halaal
karwaale .

3. Apne pichle gunahon par nadaamat karna :- lihaza taaib ko


fil faur gunah se baaz aajana chahiye aur mustaqbil mein us
gunah ki taraf naa lautne ka azm masmam kar lena chahiye ,
lihaza tawba us waqt tak sahih nahi hogi jab tak ke taaib apne
kiye par naadim sharmindah aur ghamgheen naa ho, yaani
aisi nadamat ho ke ussey wo ‫ ﷲ‬ta’ala ke huzoor aajizi wa
inkisari aur Inayat wa ruju ka putla ban jaye .

4. Dobara gunah naa karne ka pukhta iraada :- lihaza gunah


se tawba ke waqt dil mein ye than le ke aaindah us gunah ka
irtekab nahi karega . aur pichle gunahon ki talaafi kare aur
islah aur hamesha itaa’at karne aur marte dum tak maasiyat
se bachne ki niyyat karle , aur is baat ka pukhta iraada karle
ke tamaam ahkamat ko bajaalaayega aur mamnnu’aat se
ijtenab barteyga. Aur taa dum hayat uski pabandi karega .

18 The Way Of Salafiyyah


5. Maasiyat par israr naa ho :- israr ka matlab hai gunah ki
khwahish ko dil mein jamana, aur sharee’at ki mukhlifat par
barqarar rehna, dobara irtekab gunah ka azm rakhna isliye
ke israr ke saath tawba jhoothon ki tawba hai , jo log gunah
ko waqti taur par chhod dete hain aur mauqa milne par
dobara gunah karne ki taak mein rehte hain aur lazzat gunah
se unke dil aashnaahi rehte hain, lihaza hasb isteta’at gunah
ki tamanna karte rehte hain jabke ‫ ﷲ‬ta’ala ne wajoob
maghfirat aur dakhool Jannat ke liye buraiyon par adam israr
ya nafs par zulm naa karne ko shart qarar diya hai , ‫ ﷲ‬ta’ala
ka Irshad hai :- ‘ aur wo ke jab koi khula gunah yaa apne haq
mein koi aur burai kar baithte hain to ‫ ﷲ‬ko yaad karte aur
apne gunahon ki bakshish maangte hain, aur ‫ﷲ‬ke siwa
gunah baksh bhi kaun sakta hai , aur jaan boojh kar apne
af’aal par adey nahi rehte , aise hi logon ka sila parwardigar
ki taraf se bakshish aur baagh hain jinke niche nehrein beh
rahi hain , aur wo ismein hamesha basey raheinge, aur
achche kaam karne walon ka badla bohat achcha hai’. (Surah
Al Emran – 135 – 139 ).

19 The Way Of Salafiyyah


6. Amal saaleh ke zariye tawba :- tawba jis tarah dil wa zuban
se hoti hai usi tarah amal saleh (nek kaam) se bhi hoti hai ,
isliye ke amal saleh dil ke irade ka tarjuman hota hai , aur
amal saleh masiyat w agunah se parheyz ke liye behtareen
zariya aur awz saabit hota hai , lihaza ek tawba karne wala
shaqs lahw wa la’ab aur masiyat mein zaaye umar ki talafi
neyk amal aur apne ta’at wa ibadat se karta hai, taake
gunahon ke asraat ussey dhul jayein , lihaza agar wo tawba
karta hai aur masiyat se ijtenab barat ta hai, lekin neyk
aamaal se uski talaafi nahi karta to uski salah wa falah ki
ummeed kam hoti hai, lihaza tawba karne waale ko chahiye
ke faraaiz ki adaaigi mein pabandi kare, aur sattar se oopar
jo imaan ke ajzaa hain, hasb isteta’at unki pabandi kare.

7. Tawba karne wala barabar tawba karta hai :- aur koi aisa
amal kare jo tawba ke mukhalif wa manafi ho, isliye ke
tawba ki sehat uski takmeel aur uske mufeed hone ke liye ye
shart hai ke tawba mein musalsal pabandi ki jaye .

8. Qubuliyat ke waqt ke andar tawba ki jaye :- tawba ke


sharaayet mein se ye bhi hai ke qubuliyat tawba ke waqt hi
20 The Way Of Salafiyyah
mein tawba ki jaaye, yaani jaankini se pehle, maghrib se
aftab tulu hone se pehle .

Mazkura baton se wazeh hua ke tawba ek mukammil amal


hai , lihaza agar uski ek khususiyat mafqood hogi to uske
tamam khasaais khatam ho jayeinge. Theek Markab dawa ki
tarah ke agar uska ek jiza mafqood ho jaye to saare khawas
khatam ho jaate hain, lihaza agar koi tawba ki ek shart ki
pabandi kare aur doosre sharaayet mein ghaflat barte to uski
tawba ka koi aetbar naa hoga, yahan tak ke tamaam sharayet
ke saath tawba naa ki jaye.

Tawba ka waqt aur uski inteha


Tawba wa muqaam hai jo ibteda se lekar aakhri umar tak
band eke saath rehta hai. Aam log tawba ke hamesha muhtaj rehte
hain, lihaza tamaam makhlooq ko chahiye ke tawba kare aur
barabar tawba karte rahe, ‫ ﷲ‬ta’ala ka Irshad hai :- ‘aur momino !

21 The Way Of Salafiyyah


sab ‫ ﷲ‬ke aagey tawba karo taake tum falah paao’(Surah An Nur
- 31).

Aur agar muttlaq ho to uska hukm wajoob ka hota hai , lihaza


tamam umar us par tawba muttlaq taur par wajib hai, tawba ka
waqt poori umar hai, tawba har momin ki gharz wa ghayat hai, ‫ﷲ‬
ta’ala ne apne Afzal al ambiya ‫ ﷺ‬aur ambiya ke baad sab se Afzal
makhlooq se farmaya:- ‘beshak ‫ ﷲ‬ta’ala ne payghambar par
meherbani ki aur muhajireen aur ansaar par jo bawajood uske ke
un mein se baazon ke dil jald phir jaane ko the, mushkil ki ghadi
mein payghambar ke saath rahe , phir ‫ ﷲ‬ne unpar meherbani
farmai beshak wo unpar nihayat shafaqat karne wala aur
meherban hai’.(Surah At Tawba- 117).

Banda har waqt un tawba wa astaghfar ke muhtaj hai, jab


khud Rasool ‫ ﷲ ﷺ‬ko hukm hua tha ke apne aamaal ka ikhtetaam
tawba wa astaghfar se karein jaisa ke Irshad baari ta’ala hai:- ‘jab
‫ ﷲ‬ki madad aa pahunchi aur fatah hasil ho gayi aur tum ne dekh
liya ke log ghaul ke ghaul ‫ ﷲ‬ke deen mein dakhil ho rahe hain, to
apne parwardigar ki taareef ke saath tasbeeh karo, aur ussey
maghfirat mango beshak wo maaf karne wala hai’.(Surah An
Nasr).

22 The Way Of Salafiyyah


To Nabi ‫ ﷺ‬ko jab hukm hai to doosre log uske aur zyada
muhtaj hain, lihaza har shaqs ko poori himmat wa azm ke saath
ismein lag jaana chahiye apne nafs ka muhasiba karna chahiye ,
aur marte dum tak tawba karte rehna chahiye .

Koi banda aisa nahi jisne gunah aur burai naa ki ho , har
aadam ka beta khatakaar hai, beshak iblees ne ‫ ﷲ‬ta’ala ki izzat wa
jalal ki qasam kha rakhi hai ke jab tak insan ke jism mein jaan
haiwo usey gumrah karta rahega .

Hazrat Hasan r.a se riwayat hai , wo kehte hain ke iblees ko


jab zameen mein utara gaya to usne kaha, teri izzat ki qasam main
barabar insan ke peeche laga rahunga jab tak ke uske jism mein
jaan hai , is par ‫ ﷲ‬ta’ala ne farmaya:- ‘meri izzat ki qasam main
bani adam ke liye us waqt tak tawba ka darwaza band nahi
karunga jab tak uski jaan naa nikalne lagey’.

Lihaza tawba ka darwaza khula hua hai bhatakne waale uski


panah letey hain aur dalaalat wa gumrahi ki bhool bhulaiyon se
raah raasat par aatey hain, aur baaqi maandah zindagi mein neyk
amal karte hain , aur us din se pehle hi tawba wa astaghfar karte
hain , jisdin kisi ka imaan laana mufeed sabit nahi hota agar wo

23 The Way Of Salafiyyah


pehle se saheb imaan naa ho, aur apne imaan se neyk amal naa
kiya ho.

Ek aur riwayat Hazrat Abdullah Bin Amru r.a se riwayat hai,


Rasool ‫ ﷲ ﷺ‬ne farmaya :- ‘‫ ﷲ‬ta’ala us waqt tak bande ki tawba
qubool karta hai jab tak ke jaankini ka ghar gharah naa aajye.

Aur Ibn habeerah kehte hain- momin nafs agar apne imaan
se us waqt tak koi neyki naa kamaye jab ke aftab maghrib se naa
tulu ho jaye to uski kamaai usey faayda nahi pahunchayegi.

Tawba ka waqt us waqt shuru ho jata hai jab dil jalal Rabbani
aur azmat ilahi ko mehsus karne kagey. Us waqt banda apni tawba
ka elaan karta hai ,, uske siraat mustaqeem jisey ‫ ﷲ‬ta’ala ne apne
bandon ke liye nasb kiya hai aur jo bande ko raza e ilahi ki taraf
le jata hai , ‫ ﷲ‬ta’ala us raste par chalne ka hukm kuch is tarah diya
hai :- ‘aur ye ke mera seedha rasta yahi hai , to tum isi par chalna
, aur raaston par naa chalna ke (un par chal kar) ‫ ﷲ‬ke raste se alag
ho jaoge’. (Surah Al Anaam - 154).

Lihaza marz yaa maut saamne aane se pehle hi wo tawba


karta hai aur apni tawba se dil mein taqwaaur zindagi mein behtari
laata hai us waqt ummeed hayat baaqi rehti hai , nadaamat wa
sharmindagi ka ehsas sahih hota hai, buraiyon se baaz rehne ka
24 The Way Of Salafiyyah
sha’oor wa azm sahih hota hai, is aayat kareema ka yahi Maqsood
wa matloob hai :- ‘‫ ﷲ‬ta’ala unhi logon ki tawba qabool fermata
hai jo naadani se buri harkat kar baithte hain, phir jald tawba kar
lete hain , pas aise logon par ‫ ﷲ‬meherbani karta hai, aur wo sab
kuch janta aur hikmat wala hai’.(Surah An Nisa - 18).

Yani jo log bar binaá jahalat wa nadani se gunahon ka irtekab


kar daalte hain aur hidayat ka rasta bhool jate hain, chaahe us
nadani ki muddat lambi hoy a mukhtasar , jahalat ki ye muddat
maut ke qareeb tak nahi pahunchti hai. Isliye ke rooh jab jism se
parwaz kar jaati hain aa uksi niyyat hi baqi rehti hain aa irada hi
sahih hota hai garche ‫ ﷲ‬ta’ala ki rahmat bohat wase’ee hoti
hai.uska afuww aam hota hai aur tawba karne waale ki tawba ko
wo mehez apne fazl wa karam se qabool fermata hai. Lekin ‫ﷲ‬
ta’ala aise logon ke liye tawba ka darwaza band ferma deta hai jo
burai karte rehte hain yahan tak ke jab maut ka farishta aa jata hai
to kehta hai ab main tawba karta hun , lihaza is tarah ke log
taaibeen (tawba karne walon) ke zumre mein nahi aate. Isliye ye
ma’aasi mein mubtila rehte hain gumrahi mein phanse rehte hain
yahan tak ke jab maut ko apni aankhon se dekh leta hai aur zindagi
se naa ummeed ho jata hai to tawba karne ki khwahish karta hai

25 The Way Of Salafiyyah


jabke gunah usko charon taraf se gheyr leta hai, aur nijaat ke saare
raste band ho jate hain , lihaza aise mauqe par tawba ka kya
ma’ani ? lihaza masiyat ke irtekab , laghu, aur wajibaat aur faraaiz
se ghaflat mein apne qeemti waqt ko zaaye karna kisi haal mein
jayaz nahi .

Hazrat Safwan Bin Asaal se Riwayat hai Rasool ‫ ﷲ ﷺ‬ne


farmaya:- ‘beshak janib maghrib ek khula hua phatak hai jiski
chawdaai sattar saal ki masafat hai ye darwaza tawba ke liye
barabar khula rahega yahan tak ke aftab udhar hi se tuloo ho jaye,
lihaza jab aftab udhar hi se tuloo hoga to kisi shaqs ka imaan usey
fayda nahi pahunchayega agar wo pehle se imaan nahi laya tha ya
apne imaan se neyki nahi kamai thi’. (Ibn Majah)

Aur ek Riwayat Abdullah Bin Amru r.a se marwi hai Nabi


‫ ﷺ‬ne farmaya :- ‘beshak ‫ ﷲ‬ta’ala us waqt tak bande ki tawba
qabool fermata hai jab tak ke usko jaankini ke waqt ghar ghara
naa aa jaye’.

Lihaza awqat nikalne se pehle tawba ki taraf jaldi karo,


gunahgar ke ye kehne se pehle gunahon se bacho:- ‘aye
parwardigar ! mujhe phir duniya mein wapas bhej de take main
usmein jisey chhod aaya hun neyk kaam kiya karun, hargiz nahi
26 The Way Of Salafiyyah
ye ek aisi baat hai ke wo usey zabaan se keh raha hoga aur uske
saath amal nahi hoga , aur unke piche barzakh hai jahan wo
rahenge us din tak ke dobara uthaye jayeinge’.(Surah Mominoon
:- 99 - 100).

Tamaam gunahon se tawba ka


imkaan

Lihaza jo shaqs apne nafs ki haqeeqat aur uski jablat wa fitrat ko


pehchan lega usey is baat ka poora yaqeen ho jayega ke uska nafs
hi uski har burai ka sar chashma aur har kharabi ki jadd hai , wahi
usko Halakat wa tabahi ke gadhon mein girata hai aur burai wa
khasare ke dahanon mein dhakeylta hai.

Makhlooq mein ‫ ﷲ‬ta’ala ki ye sunnat wa qanoon jaari wa saari


hai ke jo uske raste par chalega uske deen ki itteba karega , wo
kamyab , Kamran hoga. Sayadat wa qiyadat uske haath mein
aayegi aur jo ‫ ﷲ‬ta’ala ki hidayat ko chhodega uske raste se ijtenab
bartega uski sharee’at se munh mod lega shaytan ke raste par

27 The Way Of Salafiyyah


chalega wo apne amal ko gharat karega . halaak hoga, door tak
bhatak jayega , yahi wajah hai ke shirk azeem tareen aur qabeeh
tareen gunah hai, uske murtakab ke liye yahi kaafi hai ke wo
raandah dargah hai, rahmat ilahi se bahot door hai us par Jannat
haram hai, jahannum uska thikana hai. ‫ ﷲ‬ka Irshad hai:- ‘aur jaan
rakho ke jo shaqs ‫ ﷲ‬ke saath shirk karega ‫ ﷲ‬uspar bahisht ko
haram kar dega aur uska thikana dozakh hai, aur zalimon ka koi
madadgar nahi’.(Surah Al Maidah :- 72).

Iske bawajud uske liye tawba mumkin hai , ‫ﷲ‬ta’ala ka Irshad hai
:- ‘(aur payghambar ) kuffar se keh do ke agar wo apne af’aal se
baaz aajayein to jo ho chuka wo unhein maaf kar diya jayega
‘.(Surah Al Anfaal:- 38).

Tawba ka darwaza huma waqt khula hai ismein wahi dakhil hota
hai, jiska zameer uthta hai aur jo ‫ ﷲ‬ki panah mein aana chahta hai
aur dar dar bhatakne aur gumrahi ki bhool bhulaiyon mein ghum
ho jane ke baad ‫ ﷲ‬ta’ala ke seedhe raste par aana chahta hai, ‫ﷲ‬
ta’ala ki taraf lautne ki khwahish uske andar angdaai leti hai.

Shirk se kamtar gunah do tarah ke hote hain

28 The Way Of Salafiyyah


Qism awwal :- wo gunah jo ‫ ﷲ‬ta’ala ke haqq se mut’aliq hote hai.

Iski do qismein hain:- A. gunah kisi wajib ko chhodne ka ho jiski


talafi mumkin ho, jaise namazein, roza, hajj, lihaza is tarah ke
huqooq ki adaaigi ke saath saath tawba bhi zaruri hai jab bhi uspar
qadir ho , aur baaz gunahon mein to kaffara ke saath tawba lazim
hai jaise qasmein kha kar tod dena, aur zihar karna , waghayra.

B. jahalat aur ‫ ﷲ‬ta’ala ki sahih marifat naa hone ki wajah se gunah


hua ho,halal wa haram ki tameez mein gunah hua ho, is tarah ke
gunah mein sirf tawba kafi hai aur is tarah ke gunah mein kufr
lazim aata ho to shahadatayn ka dobara iqrar zaruri hai, aur un
cheezon ka isbaat karna zaruri hai jinka inkar kar chuka hai , jabke
unka isbaat zaruri tha. Is tarah uske bar aks aur agar jahalat aur
laparwahi wa aeraaz ki wajah se gunah sarzad hua ho to husool
ilm zaruri hai, lihaza deen ki sahih maloomaat hasil karna chahiye
jinke zariye gunahon se bacha jaa sakey.

Qism duwwam :- wo gunah jo bandon ke huqooq se mut’aliq hote


hain.yani wo gunah jo huqooq ul ibaad se mut’aliq ho , iski bhi
do qismein hain, :-

29 The Way Of Salafiyyah


A. Wo huqooq jinki talafi unke misl se ho jati hai, jaise maal
wa zakhm , aur talf shuda ya chori wa ghasb shuda cheezon
ki qeemat waghayra . is tarah ke huqooq ko saheb haq tak
pahuncha dena zaruri hai , aur agar wo cheez maujud naa ho,
to us jaisi cheez wapas karde, isliye ke ye mehez uska haq
hai, lihaza haqq wa saheb haqq tak pahuncha dena zaruri hai.

Aur agar saheb haq ka pata naa chale to uski taraf se sadaqa kar
de, aur qisaas walon ko qisaas lene ka poora mauqa dena bhi
zaruri hai , aur agar mazloom logon ke huqooq un tak pahunchaye
jayein aur tawba par iktefa kare aur nadamat ka izhar kare aur
dobara aisa jurm naa karne ka azm kare to ‫ ﷲ‬taála aur uske
darmiyan tawba sahih hai, lekin mazloom aadmi ka haq uske
zimme baqi rahega jiska mutaliba fil faur karna sahih hoga. Aur
agar tangi ki wajah se uska haq naa ada kar sakey to ‫ ﷲ‬ta’ala se
afuww wa darguzar ki ummeed rakhe aur uske fazl wa karam ko
peysh nazar rakhe ke wo kitne gunahon ko maaf kar deta hai, aur
buraiyon ko achchaaiyon mein badal deta hai.

B. Wo huqooq jinki talafi apne misl se nahi hoti, balke uski saza
doosri cheez hoti hai, jaise qazaf ,ke uski saza kodey mein
aur zina , uski saza rajm yaa kodey mein, aur jahan tak

30 The Way Of Salafiyyah


gheebat , chughlkhori , waghayra ka taluq hai to unke
mutakab gunehgar hain, azaab ke mustahiq hain, agar is
tarah ke gunah karne wale saheb haq se maaf naa karale aur
ye gunah bande aur ‫ ﷲ‬ke darmiyan poshida ho aur uska ilm
kisi shaqs ko naa ho to uski tawba us par nadamat aur usse
baaz reh ka rho sakti hai. Is tarah asie shaqs ke liye jiski
gheebat kiya hai bohat zyada astaghfar karna chahiye aur
apne aapko jhutlana chahiye , aur agar kisi aurat ke saath
zina kar liya hai to uske saath bohat zyada ahsan karna
chahiyelihaza uske liye dua aur astaghfar karna chahiye, aur
burai ki jagah par uski bhalai ko bayan karna chahiye aur jis
ke haq mein qazaf ka irtekab kiya hai uski iffat wa paak
Damani ka tazkirah karna chahiye aur uske liye astaghfar
karna chahiye.

Wo gunah jinse tawba wajib hai

Mazhab islam aam islah ke liye sabse pehle insani nafs ki paaki
par zor deta hai, uske andaruni khufiya jazbat ka jaayzah lene aur

31 The Way Of Salafiyyah


uske johri anaasir mein silaah wa falaah ka beej boney ke liye
badi mehnat aur jadd o jehad sarf karta hai. Insan ke andaruni wa
bairuni wajood mein bohat saare achche burey awaamil wa
asbaab musallat hote hain phir nafs ammarah bis soo’(buraiyon
ka hukm dene wala) hai aur shaytan insan ke har mod par ghaat
lagaye baitha rehta hai, aur usko falaah wa sa’aadat ki raahon se
hataane ki koshish karta hai.

Aur chunke insan ki tarkeeb mein bohat saare gharaayer , jazbaat


wa shahwaat maujud hain lihaza wo aksar tawazan ke raste se
bhatak jata hai aur masiyat mein mubtila ho jata hai , aur gunahon
ki wadiyon mein pad jata hai , phir tab’ee khwahishaat , nafsani
iradon , aur mukhtalif tarah shahwaton ki asal ya to jahalat hai jo
apne tamam aasaar wa asaraat ke saath waar karti hai yap hir usko
un cheezon ka ilm hota hai lekin usmein kamzori wa aajizi hoti
hai ke un buraiyon ko apne dil se khatam nahi kar paata. Lihaza
nafs ki zang ko chhudane usko gandagiyon se dhone aur usey saaf
shafaaf karne ke liye tawba aur ita’at ke saaye aur ita’at wa
istaslam ki panah se behtar koi cheez nahi .

‘aur jisne ‫( ﷲ‬ki hidayat ki usi) ko pakad liya wo seedhe raste


lag gaya’(Surah Al Emran- 101).

32 The Way Of Salafiyyah


Aur banda us waqt tak taaib nahi hota jab tak ke har tarah ke
muharramaat (haram cheezon) aur tamam gunahon se nijaat naa
hasil karle, aur har tarah ke gunahon ke irtekab se mehfuz wa
mamoon naa ho jaye, un gunahon aur masiyaton mein se sabse
bada gunah shirk hai.

1. Shirk sabse bada gunah hai

Shirk ki haqeeqat ye hai ke banda kisi ghayrullah ko ‫ ﷲ‬ta’ala ka


humsar banaye. Aur usse utni aur waisi hi muhabbat karne lage
jaisi ke ‫ ﷲ‬ta’ala se muhabbat ki jati hai, lihaza usse dua maange
usko pukare ,usse madad talab kare , shirk jaise azeem gunah ko
bakhshwane ke liye sirf tawba aur tawheed khalis ek zariya hai .
Chahe ye shirk akbar ho shirk asghar , shirk asghar ki misal ,jaise
mamooli riyakari, makhlooq ke liye tasna’, wa banawat
ghayrullah ki qasam , jaise kisi shaqs ka kisi shaqs se kehna ke
mere liye to ‫ ﷲ‬aur tere alawa koi nahi, , maine ‫ ﷲ‬aur tum par
bharosa kiya, lihaza ek taaib ko ‫ ﷲ‬ta’ala ke liye apni tawheed ko
khalis kar leni chahiye. Aur ‫ ﷲ‬ta’ala ke liye mushrikon se adawat
moll leni chahiye aur shirkon ki narazgi se ‫ ﷲ‬ka taqarrub hasil kar
lena chahiye. Aur sirf ‫ ﷲ‬ta’ala ko wali , ilaah , mabood, naasir,
33 The Way Of Salafiyyah
wakeel , hafiz, aur madadgar banana chahiye, aur ‫ﷲ‬ta’ala ke liye
niyyat khalis kar leni chahiye uske hukm ki itteba karni chahiye
uske nawahi wa mamnoo’aat se ijtenab karna chahiye uski rizaa
ka khwahishmand hona chahiye.

2. kufr

kufr ek bohat bada gunah aur azeem tareen jurm hai, kufr ki wajah
se tamam aamaal zaaye ho jate hain. Aur uska murtakab hamesha
hamesh ke liye dardnak azaab aur bhayanak saza mein giraftar ho
jata hai. Kufr ke tamam anwaa’ wa aqsaam wa doosri jagah par
mufassil tareeqe se bayan ho chuka hai, is sab ke bawajood ‫ﷲ‬
ta’ala ne har us kafir ke liye tawba ka darwaza khol rakha hai, jo
apne kufr wa inaad se baaz aana chahta hai, aur dayra islam mein
dakhil hona chahta hai aur ‫ ﷲ‬ki taraf lautna chahta hai, ‫ﷲ‬ta’ala
ka Irshad hai- ‘aye payghambar kuffar se keh do agar wo apne
af’aal se baaz aajayein to jo ho chuka wo unhein maaf kar diya
jayega aur agar phir wahi harkat karne lageinge to agle logon ka
jo tareeq jaari ho chuka hai, wahi unke haq mein badta
jayega’.(Surah AL Anfaal - 38).

34 The Way Of Salafiyyah


3. Nifaq

Nifaq ek mazman aur andaruni bimari hai, basa awqaat aisa hota
hai ke ek aadmi nifaq se bhara rehta hai lekin khud usko uska
shu’oor nahi hota, ye aisi bimari hai jo logon ki nigaah se
poshidah rehti hai, aur aksar wa bayshtar khud munafiq shaqs se
poshidah rehti hai , lihaza wo apne aap ko muslih samajhta hai
jabke haqeeqat mein wo mufsid hota hai , ye aisi poshidah bimari
hai ke agar wo kisi shaqs ko lag jaye aur wo tawba ke zariye uska
izala naa kare to ‫ ﷲ‬ta’ala se wo qalb Saleem ke saath nahi mil
sakta . ‫ ﷲ‬ta’ala humein qauli wa amali nifaq se mehfuz rakhe, ‫ﷲ‬
ta’ala ka Irshad hai:- ‘kuch shak nahi ke munafiq log dozakh ke
sabse niche ke darje mein honge aur tum unka kisiko madadgar
naa paaogey’.(Surah An Nisa - 145).

Aur ‫ ﷲ‬ta’ala ki rahmat bohat wasee’hai, uski panah mein aane


walon ke liye kabhi tang nahi hoti , aur uska fazl wa karam aam
hai har tawba karne ke liye ye fayz aam hai, lihaza jo koi bhi ‫ﷲ‬
ta’ala ki Inayat ikhtyar karna chahta hai, ‫ ﷲ‬ta’ala ki panah mein
aana chahta hai, nifaq aur munafiq se bara’at chahta hai usko
chahiye ke is aayat kareema par amal kare. Aayat ye hai :- ‘haan
jinhone tawba ki , aur apni halat ko durust kiya aur ‫ ﷲ‬ki rassi ko

35 The Way Of Salafiyyah


mazboot pakada, aur khaas ‫ ﷲ‬ke farmabardar ho gaye to aise log
mominon ke zumre mein honge, aur ‫ ﷲ‬anqareeb mominon ko
bada sawab dega’.(Surah An Nisa- 145).

Lihaza munafiq ki tawba ke liye ye shart hai ke ‫ ﷲ‬ta’ala ki rassi


ko mazbooti ke saath pakadle, aur apne deen ko ‫ﷲ‬ta’ala ke liye
khalis karle, aur riyakari ki aalaaish se usko paak kare, ye sab
karne ke baad wo mominon ki saff mein dakhil ho sakta hai .

Aur anqareeb mominon ko bada sawab dega .

4. Fisq se tawba

Har tarah ke fisq wa fujoor se tawba wajib hai, chahe wo amali


fisq ho jis mein masiyat yaa ‫ ﷲ‬ke hukm ki nafarmani hoti hia , ya
aetqadi fisq , jaise ke ahel bid’at wa khurafat ki fisq waghayra .
phir dil mein taqwa payda kar lene se tawba sahih ho jati hai , ke
banda ‫ﷲ‬ta’ala ki ita’at bajalaye, ‫ ﷲ‬ta’ala ke noor hidayat se
rehnumai hasil karle uski rahmat ki ummeed aur uske iqaab ke
khauf se aur masiyat ko chhod de aur kitab wa sunnat ko mazbooti
se thaam le. Aur nafsani khwahishat wa jazbaat se maghloob naa
ho, balke ita’at aur khauf ilahi se nafs ko qaboo mein rakhe.

36 The Way Of Salafiyyah


5. Bid’at se tawba

Bid’at kehte hain har us khud sakhta tareeqe ko jo kitab wa sunnat


ke mutabik naa ho aur naa hi kitab wa sunnat se mustambit ho.

Mubtadee’(bid’ati ki tawba):- ek bid’ati ki tawba us waqt


mukammil hogi jab wo ye maaloom karle ke wo jis aqeede yaa
amal par qayam hai wo bid’at hai, phir apni ghalti ka aetraf kare
aur usse baaz aa jaye , aur sabiqa aetqaad aur amal ke bar khilaf
sahih aqeeda wa amal ko apnaye . Aur agar uska bura amal usey
bhala maaloom ho aur usko wo achcha samajhta rahe to jab tak
uska ye aqeeda rahega uski tawba mukammal naa hogi , bid’at se
tawba har haal mein mumkin hai jab bhi ‫ ﷲ‬ta’ala usey hidayat de,
aur haq ke liye uska seena khol de aur sharee’at ke ahkaam aur
deen ke usool wa qawaaid ki rehnumai mil jaye yahan tak ke haq
us par waazeh ho jaye aur us par usko isteqamat hasil ho jaye to
uski tawba qubool hogi . ‫ﷲ‬ta’ala ka Irshad girami hai :- ‘ aur agar
is naseehat par kaarband hote jo unko ki jati hai , to unke haq mein
behtar aur (deen mein) zyada sabit qadmi ka maujub hota , aur
hum unko apne yahan se ajar azeem bhi ataa farmate aur seedha
rasta bhi dikhate’.(Surah An Nisa – 66 - 68).
37 The Way Of Salafiyyah
6. Zina aur qazaf se tawba

Zina aur qazaf se tawba ke waqt ‫ ﷲ‬ta’alaki bargaah mein sidq dil
se tawba kare, tawba ke saath ladki ladki waale ke saath ahsaan
kare, unke liye dua wa astaghfar kare unki taraf se sadaqa kare
aur usi tarah ke deegar neykk aamaal kare jinse unke aezaa mein
takhfeef hi, usi tarah apni buhtan tarashi par naadim ho aur jispar
buhtan lagaya hai uske saath ahsaan kare, uske liye astaghfar
karle aur jis par tohmat lagai uski taareef wa Tauseef kare.

7. Sood se tawba

Sood se tawba yun hogi ke asal maal wapas lele, aur sood ke
nafa ko wapas karde agar nafa le chuka hai aur soodi maamlaat
ko kulli taur par khatam karde.

8. zulm se tawba

zulm ki do qismein hain.

Awwal zulm nafs :- ye aisa zulm hai jo kisi wajib ko chhodne


ya haram kaam ka irtekab karne she hota hai aur tawba wa
astaghfar zaruri hai ,kisi amr ko chhodne ya nahi ka irtekab
38 The Way Of Salafiyyah
karne se , donon ka shumar burai, khata , aur gunah mein se
hota hai , lihaza iska tadarak yun hoga ke chhoote hue wajibaat
ko adaa kiya jaye aur haram kaam se baaz raha jaye chahe wo
kaisa hi ho, aur imaan , tawheed , aut tamam faraaiz jinhein ‫ﷲ‬
ta’ala ne jism wa jaan par farz farmaya hai unko chhodna bhi
gunah hai, lihaza taaib ko chahiye ke haqeeqat tawheed wa
imaan ki taraf laut aaye un faraaiz ko adaa kare jo unse chhoot
gaye hain ,chahe wo namaz ho ya roza, hajj ho ya zakaat yaa
deegar faraaiz.

Chunke insan ka har amal yaa to uske liye hota hai yaa uske
khilaf, lihaza apne khilaf padne waale amal se astaghfar zaruri
hai , kabhi insan be buniyad baatil ghalat fehmiyon aur
sooe’zann mein mubtila ho jata hai, garche usko zaban par nahi
laata. Lihaza jab uspar waazeh ho jaye ke uska ghuman
baddghuman hai , to uspar astaghfar aur tawba zaruri hai, isliye
ke is tarah ke sooe’zann wa baddghumani ko agar zaban par
laye yaa uske mutabiq amal kare to use azaab ho sakta hai.

Duwwam doosre par zulm :- ye hota hai ke yaa to khoon mein


, ya maal mein, ya phir aabroo mein, is tarah ke zulm se sarzad
hone par saaheb haq tak haq ki adaaigi zaruri hai, agar bataur

39 The Way Of Salafiyyah


qarz maal liya hai to wo qarz khwah ka ahsan mand ho yahan
tak ke qarz adaa karde aur agar qarz chhodkar mar jaye, to uski
rooh us waqt tak marhoon qarz rahegi jab tak ke qarz adaa naa
kar diya jaye, warna phir Qayamat ke din uske hasanaat mein
se agar hasanaat hain to adaa kiye jayeinge, tawba ke waqt har
musalman ko uska poora ehtemaam karna chahiye khaas taur
par huqooq ul ibaad ki adaaigi ka poora iltezaam karna chahiye
.

Aur bande par ye wajib hai ke haq ki taraf ruju kare haq ki
talaash wa justuju mein rahe . Nafs ke meylanat aur khwahish
ki aalodgiyon se paak saaf rehne ki koshish kare ‫ﷲ‬ta’ala ke
darbar mein tawba wa astaghfar karta rahe, har waqt zikr mein
mashghool rahe gunah par israr naa kare aur behayaee se gunah
par fakhar naa kare. Is tarah se ‫ ﷲ‬ta’ala uske gunah ko maaf
farma dega. Aur laghzish ko bakhsh dega . aur usey apne
muttaqee bandon ke zumre mein shamil farma dega. Jiske
baare mein ‫ ﷲ‬ta’ala ka Irshad hai:- ‘ aur wo log ke jab unse koi
fahesh kaam sarzad ho jata hai , ya aur kisi tareeqe se wo apne
nafson par zulm kar baithte hain to wo aise gunah ki wajah se
maghfirat talab karte hain aur jo koi maghfirat chaahe apne

40 The Way Of Salafiyyah


gunahon se ‫ ﷲ‬ki janib ruju ho kar aur uspar bazid naa ho jo wo
kar chuka hai, jis ko wo achchi tarah janta hai ‘(Surah Al Emran
– 136).

Dil ko gunahon ke taaluq se door


karne ke wasaail

Har aqalmand wa bahosh shaqs ko chahiye ke gunahon ke anjam


aur masiyaton le awaqib se darta rahe . isliye ke gunah zeher
halahal hai . Uske bohat bure asaraat hain uski kadwahat uski
mithaas se kahin badh kar hai, lihaza aqalmand wahi hai jo apne
liye zaade raah tayyar karle taake aasani se apne parwardigar ke
huzoor pahunch sakey. Isliye ke ‫ ﷲ‬ta’ala aur bande ke darmiyan
koi rahem wa Rishta wa qurabat nahi, balke ‫ ﷲ‬ta’ala barabari
insaf ke saath qayam hai adal ke saath faisla karne wala hai ,
lihaza jahan wo Ghafoor wa Raheem hai wahin sakht azaab wala
bhi hai , khabardar, khabardar…

41 The Way Of Salafiyyah


Dil se gunah ke mutaaliq ko khatam karne ke liye mandarje zeyl
cheezein muaawin hain :-

1. Maloom ho ke gunah agar ghaflat ki wajah se sarzad ho to


uske ilaaj ka tareeqa hasool ilm hai. Lihaza taaib ko chahiye
ke hidayat ke raste ko apnaye hasool ilm mein lag jaye, ilm
ki daawat de , uske mutabik amal kare, aur ye aetqad rakhe
ke gunah nuksandeh hai ussey ijtenab baratna wajib hai, aur
qur’an kareem ki dhamkiyon ko yaad kare aur nafarmanon
ke liye jo wa’eedein aayein hain unko bhi yaad karein . Aur
mukhtalif qaumon par unke gunahon ki wajah se jo azaab
aaye hain unko bhi yaad kare.
Aur agar gunah khwahishat nafs ke ghalbe ar nafs ke
burey maylaanaat ki wajah se hai to uska ilaaj sabr aur
ehtesaab hai aur ghussa wa shahwat ki aag ko thandi
karne ke liye wazu aur namaz se behtar koi cheez nahi,
lihaza aise mauqe par wazu karke namaz shuru kar deni
chahiye aur waqt ko ‫ ﷲ‬ta’ala ke taqwa mein guzarna
chahiye aur uski ita’at se apne nafs ka tazkiya karna
chahiye , aur burey akhlaaq se aur buri khaslaton se nafs
ko paak karna chahiye .

42 The Way Of Salafiyyah


2. ‫ ﷲ‬ki panah pakadna; jo shaqs sidq dil se ‫ ﷲ‬ki panah pakadta
hai, aur tamaam ahwal mein uski taraf ruju karta hai, ‫ ﷲ‬usko
apni kifaalat mein le leta hai, aur usko apne daaimi do
dushmanon par fatah wa Nusrat ataa fermata hai, wo do
dushman hain nafs ammarah aur shaytan mardood, aur ‫ﷲ‬
ta’ala usey kabhi beyaar aur madadgar nahi chhodta ‫ ﷲ‬ta’ala
ka Irshad hai:- ‘aur isne ‫ ﷲ‬ki hidayat ki usi ko pakad liya wo
seedhe raaste lag gaya’(Surah Al Emran -101).
Aur ye ke ‫ ﷲ‬ki rassi ko mazbooti se thaam le aur ‫ ﷲ‬ki rassi
qur’an majeed hai, aur uske ahkaamaat par amal kare, aur
uske hidayat hasil kare , hamesha uski tilawat kare aur
waqiyaat se naseehat hasil kare.

3. Duniya mein hi saza mil jaane se darta hai, basa awqaat ,


bandah gunah ki wajah se rizw se mehroom rehta hai, usi
tarah agar masiyat par israr karta rahe to faqr wa maraz se
darta rehta hai.

43 The Way Of Salafiyyah


4. Apne khane ko paak kare aur haram luqma peyt ke andar
jaane naa de. Haram luqme ke saath ibaadat waise hi hai jaise
koi samandar mein imaarat khadi kare.

5. Banda is baat ko yaad kare ke wo kal ‫ ﷲ‬ta’ala ke rubaru


khada hoga. ‫ ﷲ‬ta’ala uske tamaam aamaal ka hisab lega.
Lihaza maasiyat ki faani wa waqti lazzat par nazar rakhe aur
uske natije mein jo daaimi saza milti hai uska istehzar kare
aur apne un gunahon se darta rahe jo kar chuka hai aur har
us cheez se aur jagah se door rahe jo usey ‫ ﷲ‬ta’ala se door
karde.

6. Is baat ka istehzar rakhe ke wo apne rabb se jald hi milne


wala hai, har waqt usko is baat ka dhadka laga rahe ke pata
nahi kis waqt maut ke shikanje mein aa jaye, aur maut ke
baad koi bhi uzr qabil qubool nahi, phir is duniya ke baad
Jannat ya jahannum ke alaawa koi ghar nahi, phir Qayamat
ke din aur us din ki haulnaki ko yaad kare aur ‫ ﷲ‬ta’ala ki
sakht pakad aur dardnak azaab ko zehan mein rakhe.

44 The Way Of Salafiyyah


7. Burey saathiyon se door rehne ki koshish ; is gharaz ke liye
bure humnashiyon se door rehna chahiye aur uski jagah par
neyk wa saleh humnashiyon ko ikhtiyar karna chahiye jo
usey ‫ ﷲ‬ki yaad dilaaye, ‫ ﷲ‬ke raste par lagaaye aur ulema
kiraam har zamane mein ghata top andheriyon ke roshan
chiraag rahe hain, lihaza ulemaa ki suhbat mein baithna
chahiye unke ilm wa Irshad se istefadah karna chahiye usse
bohat fayda hota hai.

8. Shaytan ke wasaawis se ‫ ﷲ‬ta’ala ki panah maangna chahiye;


‫ ﷲ‬ta’ala ka Irshad hai:- ‘aur agar tumhein shaytan ki janib se
koi waswasa paida ho to ‫ ﷲ‬ki panah maang liya karo, beshak
wo suntan jaanta hai’(Surah Fussilat- 36).

9. Astaghfar sabse badi neyki hai; lihaza ji shaqs ko bhi ye


ehsaas ho ke uske qaul wa amal mein nuqs hai yaa wo
khwahishaat se maghloob hai, yaa rizq waghayra mein kami
hai to usko tawba wa astaghfar karna chahiye . isliye ke is
mein shifaa hai agar sidq wa ikhlaas ke saath tawba wa
astaghfar kiya jaye to zarur asar karta hai .

45 The Way Of Salafiyyah


10. Zyada baat karne, aur zyada khaane se parheyz aur ‫ﷲ‬
ta’ala ki ita’at har jagah wa har haal mein honi chahiye , ‫ﷲ‬
ta’ala ka Irshad hai :- ‘kuch shak nahi ke neykiyan gunahon
ko door kar deti hain par unke liye naseehat hai jo naseehat
qubool karne waale hain’(Surah Hood 114).

Irtekab gunah se aajiz shaqs ki


tawba ka hukm
Jab koi gunehgar gunah ke irtekab se maazoor wa aajiz ho
jaye yaani uske andar gunah karne ki taqat wa quwwat hi naa ho,
kya aise shaqs ki tawba sahih hai ? jaise wo chor jiska haath kaat
diya gaya , ya wo zani jiska zakar (azao tanasil) kaat diya gaya
ho, yaa wo jhootha gawah jiski zabaan kaat di gayi ho, usi tarah
har wo shaqs jis par koi had jaari ho jati hai to uski irtekab gunah
ki qudrat wa taqat ko khatam kar diya jata hai, aise shaqs ki tawba
bhi sahih hai, gunahon ke azm wa irada aur qudrat hone par
irtekab se usko tawba karni chahiye aur shaytan ke aise wasawis
se bhi ke jin se wo lazzat gunah se dil hi dil mein mehfuz ho, balke
46 The Way Of Salafiyyah
usko to useey nafrat karni chahiye.is tarah ke waswason ke mauqe
par agar uske dil mein tawba wa astaghfar ka khayal aaye to ye
uske liye behtar wa achcha hai.

tawba ke ma’awUn aUr waSaaiL


Tawba har shaqs ke haq mein farz ayn hai, ussey koi shaqs
mustaghna nahi, isliye agar koi shaqs jismani aezaa se irtekab
gunah se maazoor hai, lekin qalbi gunah yaa dil mein gunah ke
irade se mazoor nahi agar ussey bhi mehfuz ho to shaytani
waswase se mehfuz nahi jo kam se kam insan ko zikr e ilahi se
rok dete hain aur agar ussey bhi mehfuz ho to ghaflat ‫ﷲ‬ke ilm ke
hasool mein kami, uske asma wa sifaat ki marifat mein kami jaise
naqaais mein to har insan giraftar rehta hai, is sab ke peysh e nazar
har insan tawba , astaghfar ka muhtaj hai, aur har insan ko siraat
mustaqeem ki taraf ruju karna laazim hai, lekin wo saa’il kya hain
jo insan ko tawba par ubharte hain ya uski tawba ke liye mumad
wa ma’awun sabit hote hain ? ye ye muta’addad cheezein hain
jiska tazkirah yahan kiya jaa raha hai :-

47 The Way Of Salafiyyah


1. Jinki ibadatein ussey chhoot chuki hain imkaan bhar uska
tadarak kare.
2. ‫ ﷲ‬ta’ala ki taraf mutawajjah ho, uski raza ke liye amal kare,
uski azmat wa qudrat , uski raza wa naaraazgi ki azmat , uske
wade wa wa’eed ko yaad kare, aur us par barabar qayam rahe
, yahan tak ke uska dil roshan ho jaye aur wo apne asal ki
taraf laut aaye jis par ke ‫ ﷲ‬ta’ala usey paida farmaya hai.
3. Nafs ka muhasiba karne mein jaldi karni chahiye aur har
gunah se marne se pehle tawba an nasuh kar lena chahiye aur
faraaiz ki adaaigi mein jo taqseer hoti hai, uska tadarak kar
lena chahiye , aur muzalim ko ahel muzalim tak wapas kar
dena chahiye, aur ussey agar kisiko koi takleef pahunchi hai
chahe wo zaban se ho ya haath se yad il se to usko halal kara
lena chahiye, phir apne upar jo zulm kiya hai usko yaad
karna chahiye aur uska poora yaqeen kar lena chahiye ke
nafs ki ita’at mein uski halaakat hai Qayamat ke din, aur uski
nafaermani mein nijaat hai aakhirat ke din , lihaza poore
azm wa iaraade ke saath nafs ki sarjansh karni chahiye, aur
barabar uski khwahishat mein lagham lagaye aur usko
mutham karne ki koshish karni chahiye, usko apne rabb ki
yaad dilana chahiye, jiski taraf usey ek din zarur jana hai.
48 The Way Of Salafiyyah
4. Gunahon ke adoun se apne aapko door rakhna , buri suhbat
se bachna , aur saathi wa dost jab tak buri haalaton mein hon
us waqt tak unka muqat’aa karna aur ahel khair aur neyk
logon ki suhbat ikhtyar karna, jo ghaflat ke waqt usey yaad
dilaaye, aur yaad ke waqt uski madad kare, aur inhiraf ke
waqt usey seedha kare, aur usey haq aur siraat mustaqeem ki
taraf le jaye.
5. Zahiri aur batini amal ki islah ke gharz se sidq dil se ‫ ﷲ‬ta’ala
ki taraf ruju karna.
6. Maasiyat par israar se dil ko paak rakhna , yaani dil mein
uska pukhta irada ho, ke khwahishat ki roo mein nahi
baheyga. Agarche us gunah se baaz aa chuka ho , aur dil ki
paaki hotii hai, barabar nafs ko muhtam thehrane usey ,
daraane aur usko qur’an ki wa’eedon aur nafarmaniyon ke
akhbar se khabardar rakhne se aur un logon ke qisse sunaane
se jinpar gunahon ki wajah se masaa’ib aa chuke hain, aur
duniya hi mein uski saza mil jaane aur gunahon ki wajah se
hissi wa maanwi rizq se mehrumi ke waqiyaat sune.
7. Har gunah ko kisi naa kisi tawba par khatam kar de aur ‫ﷲ‬
ta’ala ke fazl wa karam par bharosa karte huye, aur uske
afuw wa karam ki ummeed mein gunahon par israar nahi
49 The Way Of Salafiyyah
karna chahiye isliye ke ‫ ﷲ‬ta’ala jahan Ghafoor wa Raheem
hai, wahin uska azaab bhi sakht hai, lihaza jo log uske hukm
ki mukhalifat karte hain,unhein darna chahiye ke koi fitna
yaa azaab al aleem naa gheyr le, lihaza ek momin ko bhalai
wa khair ki taraf hidayat ki ummeed rakhni chahiye aur dil
mein ehsas hona chahiye ke uska dil rahmaan subhanah ki
do ungliyon ke darmiyan hai.
8. Aur agar soodi karobar mein maloos ho to apna asal maal
wapas karle aur soodi manafi wapas karde usey naa khud
khaaye aur naa kisi musalman ko khilaye.
9. Agar gunah bandon ke huqooq se mutaaliq hon maslan kisi
ka maal naa haq tareeqe se le liya hoy aa kisise ghasb kar
liya ho, to is tarah ke maal ko wapas karna aur qudrat hone
par is zimme se sabakdosh hona zaruri hai. Aur agar qudrat
naa ho to uska azm hona chahiye ke qudrat hote hi fauri taur
par wapas kardega. Aur agar saheb haq ka pata naa chale to
saheb haq ki niyat se musalmanon kea am masaaleh mein
kharch karega is tarah saheb haq ko uska ajar pahunch
jayega.
10. Aur ye ke poore ikhlas ke saath ‫ ﷲ‬ta’ala ke liye neyk
amal kare aur ye neyk amal sunnat Rasool ‫ﷺ‬ke muwafiq ho,
50 The Way Of Salafiyyah
aaaaaaur hidayat ki raah par chale, ilm seekhe aur sikhaye
aur uski daawat de. Aur us par amal kare ‫ ﷲ‬ta’ala ki ita’at
ko lazim pakde , zindagi ke har qaul wa amal aur harkat wa
saknaat mein ‫ ﷲ‬ta’ala se husne zann rakhe, uski rahmat par
bharosa rakhe aur uske afuw wa darguzar se mayoos naa ho.

Tawba se pheyrne wali cheezein


Nafs insani chunke jismani fitrat ki taraf bhagta hai aur insan
ko jismani lazzat wa khwahishat par ubharta hai aur ma’asi dil ko
kamzor kar dete hain, khair wa bhalai ka irada ahista ahista
kamzor padta jata hai, yahan tak ke khair ke irade se bilkul hi
bahar nikal jata hai aur ma’asi doosri tarah ke ma’asi ka beej
botey hain aur iska darakht barg wa baalaatar rehta hai, iski chand
wujoohaat hain jin mein se baaz ka tazkirah yahan kiya jaa raha
hai:-

1. Rahmat ilahi ki wus’at aur uske afuw wa karam ka aetqad


yahan tak ke baaz gunah ke murtakib hazraat se jab
naasehana andaz mein baat ki jaati hai irtekab gunah se unko
mana kiya jata hai to be saakhta bol uthte hain ke ‫ ﷲ‬ki rahmat
badi wasee’hai wo tamaam gunahon ko maaf karne wala hai

51 The Way Of Salafiyyah


aur ye bhool jata hai, ke ‫ﷲ‬ta’ala ki maghfirat jahan
wasee’hai wahin uska iqaab bhi bohat sakht hai. Aur
mujrimon se uske azaab ko koi nahi rok sakta . lihaza jo
shaqs gunah par israar ke saath uske afuw wa karam par
aetmad kare wo ma’aanad aur ghamandi hai.
2. Khwahish ki takmeel fauri wa naqad lazzat hai, aur is naqad
lazzat ko chhodna aaindah ki lazzat ki ummeedein nafs par
giraan guzarta hai.
3. Aaj kal par daalna aur ummeedon se dhoke khaana.
4. Maal jama karne ka hars wa haws.
Lihaza insan maal jamaa karne mein is tarah lag jaata hai aur
apne dil wa dimaag ko ismein is tarah mashghool rehta hai,
ke apne aakhri anjaam se ghafil ho jata hai . Aur maut ke
baad ki tayyari ko bhool jaata hai.
5. Ghaflat wa jahaalat, ye donon cheezein bandah ko haram
khwahishat ki takmeel ke waqt Khushi par ubharti hain , aur
ye Khushi is baat par dalaalat karti hai ke , is haram cheez
mein uski khwahish bohat shaded hai aur jiski nafarmani kar
raha hai uski qadr wa manzilat ke nawaqif hai aur is
ma’asiyat ke burey anjaam aur khatarnaki se jahil hai.

52 The Way Of Salafiyyah


6. Gunah ko Chhota samajhna jiski wajah se bandah irtekab
gunah ke waqt ‫ ﷲ‬ta’ala se khauf nahi khata.

Sidq dil se tawba karne ki


alaamatein
Mehez tawba ke alfaaz zabaan se adaa karna sidq dil se
tawba karne ki daleel nahi jab tak ke taaib aise neyk aamaal naa
karne lagey jo tawba ka amali jaame ho, aur jisse ye maaloom ho
ke waaqey mein usne amali taur par tawba kiya hai aur uski
maghfirat aur qabuliyat mutawaqey hai. Lihaza agar koi shaqs sirf
ye kahe ke maine tawba ki to ye us waqt tak kaafi nahi jab tak ke
uske saath aise aamaal naa hon jinse maaloom ho ke waqey mein
usne tawba ki hai.

Taaib ke sidq dil se tawba karne ki alamatein zayl hain :-

1. Amali taur par gunah se parheyz aur gunah ke bajaaye neyk


aamaal ka iltezam , jo daleel hai is baat ki ke dil bedaar hai
sha’oor zindah hai.

53 The Way Of Salafiyyah


2. Maafaat ki talafi ka azm wa qasad , aur aaindah islaah haal
haal ka pukhta iradah , agar maazi mein faraaiz ki adaaigi
mein susti hoti haito uski qazaa kare agar kisi se zalimana
taur par kuch le liya hai to usey wapas kar de agar koi aisi
ghalti ki hai jismein koi taawaan nahi to us par hazn wa
malaal ka izhaar kare ye daleel hai is baat ki ke ‫ ﷲ‬ta’ala ki
azmat uske dil mein hai aur khauf uske andar hai, wo ‫ﷲ‬
ta’ala se pur ummeed hai, aur ‫ ﷲ‬ta’ala ke paas jo kuch hai
uska khwahish mand hai.
3. Duniya is par tang hone lagey jaisa ke hazrat kaab bin malik
aur unke donon saathiyon par hui thi lihaza us par hazn wa
bakaa taari ho jaye. Lahu wa la’ab aur hansi Khushi se
bezaar ho jaye.
4. Aur tawba ke baad uska haal behtar ho jaye.
5. Aur pal bhar ke liye ‫ ﷲ‬ta’ala ke makar (giraft) se mutma’in
naa ho zindagi bhar ussey darta hai, yahan tak ke maut ka
farishta aa jaye, aur rooh qabz karte waqt farishta ye kahe.
‘jin logon ne kaha ke humara parwardigar ‫ﷲ‬hai phir wo
us par qaayam rahe un par farishte utreinge (aur kahnge) ke
naa khauf karo aur naa ghamnaak ho aur bahisht ki jiska tum
se waada kiya jata tha Khushi manao .
54 The Way Of Salafiyyah
6. Khauf nadaamat aur Hasrat se kudhta rahe un gunahon par
jo ussey sarzad ho chuke hain aur uske bure anjaam se .
7. Apne rabb se anqareeb milne ka istehzaar rakhe har waqt
maut aa jaane ka intezar aur ye ke maut uski jooti ke feete se
bhi qareeb hai.
8. Sachchi tawba ki sabse badi alaamat hai ‫ ﷲ‬aur uske Rasool
‫ ﷺ‬ki muhabbat, aur tamaam mominon ki muhabbat , aur aise
aamaal jo us muhabbat ke mutaqazi hon.

Aam aur khaas tawba


Insaan kabhi kisi khaas gunah ya makhsus tarah ke gunahon ko
yaad karta hai to ussey tawba karta hai, kabhi aam tawba karta hai
aur us mein tamaam tarah ke gunahon se baaz rehne ki niyyat
karta hai, jinhone ‫ ﷲ‬ta’ala napasand fermata hai aur us par
nadamat ka izhar karta hai aur kulli taur par ita’at ka irada karta
hai, uski tafseel ye hai:

1. Jab ek gunah se tawba kare lekin doosre gunah par masar


rahe , maslan hashyash peene se tawba kare , aur sharab
peene qayam rahe , ya ek aurat ke zina se tawba kare lekin
doosri aurat ke zina par qayam rahe, aise shaqs ki tawna

55 The Way Of Salafiyyah


sahih nahi hai, is liye ke usne gunah se tawba nahi ki hai.
Balke ek gunah ko chhod kar doosre gunah ko ikhtyar kiya
hai. Lihaza aisa shaqs taaib nahi kehlayega.

2. Ek gunah se tawba kare lekin doosre gunah mein mubtila rahe,


aur dono gunahon mein koi mujanisat naa ho, maslan baaz
gunahon se tawba kare , lekin baaz doosre gunahon se tawba
naa kare. Maslan qatal aur yateemon ke maal khaane se tawba
kare ,lekin sharaab peene aur ghalat kaari par qaayam rahe. Is
tarah ki tawba ko khaas tawba kaha jaata hai. Is tawba ka hukm
ye hai ke tawba us gunah se mutaliq sahih hogi jisse usne tawba
ki hai, is shart ke saath ke chhodey hue gunah us amal ke liye
shart naa ho, jaise ke tamaam aamaal ke liye imaan shart hai,
‫ ﷲ‬ta’ala ka Irshad hai:- ‘aur jo shaqs aakhirat ka khwastgaar
ho, aur usmein itni koshish kare jitni usey laayaq hai aur wo
momin bhi ho to aise hi logon ki koshish thikane lagti
hai’(Surah Al Isra - 19).

Aur jahan tak us gunah ka taluq hai jisse usne tawba nahi ki haito
wo gunah uske zimme baqi rahega jab tak ke ussey tawba naa
kare , lihaza waazeh ha uke har gunah ke liye ek makhsus tawba

56 The Way Of Salafiyyah


hai, jo farz hai uska taluq doosre gunah se naa hoga jis tarah ek
gunah doosre gunah se mutaliq nahi hota, maslan agar koi shaqs
ek farz ko adaa karta hai aur doosre farz ko chhod deta hai, to
chhodey hue farz par usko saza mileygi. Aur adaa kiye huye farz
ka usey azaab mileyga. Aur chhoote huye ek farz ki wajah se adaa
kiya hua doosra farz baatil naa hoga. Maslan agar koi shaqs
namaz padhta hai aur zakaat deta hai lekin roza nahi rakhta aur
hajj nahi karta , to roza aur hajj adaa naa karne par uski namaz wa
zakaat baatil naa hogi.

3. Tawba ki teesri qism ye hai ke tamaam gunahon se tawba


ki jaye aisi tawba jo tamaam gunahon ka ihata karle , usey
aam tawba kehte hain, jiske baad koi gunah baqi nahi
rehta jo usne apni zindagi mein kiya hai lihaza jis bande
ka ye haal hua uske tamaam gunah maaf kar diye jaate
hain is shart ke saath ke tawba ke baad ‫ﷲ‬ta’ala ke
awaamir ko bajaa laye, aur nawahi se baaz rahe, aur jis
maamle mein bhi ussey Kotahi hui ho, chahe wo maamla
bada ho ya Chhota us par sidq dil se naadim ho, aur
aaindah tawba ke sharaayet ki takmeel mein laga hua ho.

57 The Way Of Salafiyyah


Mukammil tawba (tawba an
nasuh)
Chunke har mukallif shaqs par tawba wajib hai hlihaza
tawba karne waale shaqs ki koshish ye honi chahiye ke uski tawba
mukammil wa taam ho jo uske tamaam gunahon ka ahata karle
aur koi gunah us tawba ke daayre se baahar naa reh jaye. Har tarah
ki maasiyat ke asar ko tawba ke zariye se mita de. Jis tarah ke din
ki Roshni raat ki siyahi ko mita deti ahi , aisi tawba kare ke usmein
apne poore azm wa irade ko laga de, tawba karne mein jaldi kare
tawba par qayam rehne ka azm musmam ho yahan tak ke maut aa
jaye. Gunahon se aisi kinara kashi ikhtyar kare ked il mein uska
khayal bhi aane naa de jis tarah ke doodh dobara than mein jaa
nahi sakta usi tarah taaib dobara gunah ka irtekab nahi kar sakta .
aisi tawba jiski ibteda nadamat wa sharminadgi se ho aur jiski
inteha neyk aamaal aur ita’at wa farmabardari par ho, phir barabar
tawba ke baad dil mein zikr ilahi ho aur gunah wa masiyat ke
asaraat se dil ko saaf karta rahe aur is baat par nafs ko ubharta rah
eke phir dobara gunah ka irtekab nahi karega, is tarah ye bhi lazim

58 The Way Of Salafiyyah


hai ke tawba sirf ‫ ﷲ‬ta’ala ke liye ho sehat , yaa maal ki hifazat ,
ya kisi duniyawi gharz ke hasool , ya kisi ke iqaab ke khauf , ya
kanoon ki pakad , yaa masiyat ki adam maujudgi ke liye naa ho,
balke gunah se isliye nafrat ho jaye ke ussey ‫ ﷲ‬ta’ala aur uske
Rasool ‫ ﷺ‬naaraaz honge.

Isi tarah ek taaib ki ye bhi koshish honi chahiye ke uski


tawba uske tamaam gunahon ka ahata kare, ek gunah se tawba
karke doosre gunah mein mubtila ho, isliye ke masiyat mein pade
huye yaa lazzat masiyat ki yaad se maza lene ki surat mein ‫ﷲ‬
ta’ala uski tawba ko qubool nahi fermata hai, aur naa hi uski
tawba sahih sabit hoti hai, isliye is surat mein usey neyk kaam ki
taufeeq nahi milti , isi tarah lazzat se aashna ked il mein shayad
yahi neyk amal ka irada paida hota ho, isliye ke gunahon ki kasrat
se uske dil mein zang lag jata hai. Aur us waqt usse chhutkara
hasil karna bada mushkil hota hai. Bande ke liye ye zaruri hai ke
har tarah ki burai se ijtenab barte, aur door rahe, isliye ke burai
se door hote hi khud ba khud bhalai ke qareeb aa jayega. Lihaza
agar koi banda jhoot se tawba karlento phir wo zina aur gharur
mein mubtila nahi reh sakta , lihaza jab ek gunah se tawba karle
to phir doosre gunahon se bachne aur tawba karne mein lag jaye

59 The Way Of Salafiyyah


yahan tak ke tamaam gunahon se paak ho jaye. Aur uska dil saaf
wa paak ho jaye.

Phir ye maaloom hona chahiye ke insan ke har azau par


tawba lazim hai, lihaza aankh ki tawba ye hai ke muharim ki taraf
nigah naa uthaye , haath ki tawba ye hai ke haram cheez ko haath
se naa chhuye, kaan ki tawba ye hai ke haram cheez naa suney,
sharmgah ki tawba ye hai ke zina se door rahe. Aur ye ke banda
maafaat ki talafi mein lag jaye , lihaza har chhote huye farz ki
qaza kare har saheb haq ko pahuncha de , aur is badan ko ‫ ﷲ‬ta’ala
ke awamir ki baja aawari mein laga de jisko haramkari mein
istemal kar chuka hai, aur is jism ke andar halal ghiza pahunchane
ki koshish kare jismein haram ghiza pahuncha chuka hai, shub
haat aur haram ki jagahon se hattal imkan door rahe.

Tawba kisse toot ti hai


Ye baat pehle bayan ho chuki hai ke tawba wo muqam hai
jo muqam tawba mein dakhil hone ke baad se umar ki akhri saans
tak bande ke saath rehta hai, lihaza banda jab poore azm wa irade
ke saath sachchi tawba karta hai, to usko chahiye ke phir gunah
ka khayal dil mein naa laaye jis tarah ke doodh phir dobara than

60 The Way Of Salafiyyah


mein nahi wapas ho sakta usi tarah sachi tawba karne wala dobara
gunah nahi kar sakta . Lihaza agar wo tawba ke baad dobara
gunah ka irtekab karta hai to uski tawba toot jati hai, isliye tawba
ki sehat ki ek shart ye bhi hai ke tawba barqarar rahe, tootne naa
paye. Aur agar koi banda kisi khaas gunah se tawba karta hai phir
us gunah ka irtekab kar leta hai to wo apni tawba ko todne wala
hoga apne us taza gunah ke zariye.

Yahan ye masla saamne aata hai ke agar koi shaqs gunah se


tawba karta hai phir tawba ke baad us gunah ka irtekab kar leta
hai, to kya tawba se pehle wala gunah bhi laut aayega aur tawba
tootne ki surat mein pehla aur doosra dono gunahon ki saza ka
mustahiq hoga ? aur agar us par israr ki halat mein mar gaya to
uska kya hoga aur agar purana gunah yani tawba se pehle wala
gunah kulli taur par khatam ho jaye to usey sirf tawba ke baad
wale gunah ki saza milegi.

Mere nazdeek sahih ye hai ke jis gunah se tawba kar liya hai
uski saza usey nahi milegi yani tawba tootne ke bawajud usey
pehle gunah ki saza nahi milegi is liye ke wo gunah tawba ki
wajah se khatam ho gaya hai, aur tawba ki wajah se uski haisiyat
aisi hoti hai goya ke usne gunah kiya hi nahi lihaza jab wo aisa ho

61 The Way Of Salafiyyah


jata hai ke usne gunah kiya hi nahi to uska gunah bhi uski taraf
nahi lautega. Aur usey sirf tawba ke baad wale gunah ki saza
milegi isliye tawba ek neyki hai, aur dobara gunah karna burai
hai. Lihaza ye baad mein aane wali burai pehle ki neyki ko khatam
nahi karegi jis tarah ke tawba ke baad wala gunah uske baad mein
aane wali neyki ko batil nahi karega.

Tawba karne walon ke tabqaat


Tawba karne walon ke mukhtalif darjaat wa tabqaat hain jo
unke ahwaal ke ikhtilaf aur aamaal ke tanwa’ par mabni hai , aur
is lihaz se bhi ke tawba umar ke akhri lamhaat tak unke saath hoti
hai aur wo tawba par isteqamat ke saath qayam rehte hain , yahan
taaibeen ke chaar darjaat hain :-

1. Ismein wo log aate hain jo zindagi ke akhri lamhaat tak


tawba par qayam rehte hain , aur tawba ke baad dobara
gunah ke irtekab ka khayal dil mein nahi laate , ye nafoos
mutmainnah wale log hain jo tawba kea ala darje par qayam
hain , isliye ke siraat mustaqeem par chalte hain , ita’at ilahi
ko lazim pakde rehte hain, ‫ﷲ‬ta’ala ke ahkaamaat wa
awaamir ko bajaa late hain , aur nawaahi wa mamnu’aat se

62 The Way Of Salafiyyah


parheyz karte hain har masiyat se door rehte hain , har us
akhlaq se paak hote hain jisse rabb ul izzat wal jalal khush
nahi hote, tawba ka ye sabse buland wa baala darja hai.

2. Ismein wo log hain jo isteqamat ki raah par chalte hain


zindagi bhar ita’at ilahi ko apnaye rehte hain lekin kulli taur
gunahon se parheyz nahi kar paate, be ikhtyar taur par baaz
saiyyi’aat mein mubtila ho jate hain lekin gunahon ke baad
fauran apne nafs ko laanat malaamat karte hain aur apni
tawba ki tajdeed karte hain , gunah naa karne ke azm wa
irade ko dohrate hain, burai par Nadim hote hain ke unse ye
gunah kyun sarzad hua aur faut shuda bhalai par kaff afsos
milte hain ye bhi tawba ka buland darja hai, agarche pehle
darje se kamtar hai .

3. Teesra darja un logon ka hai jo ek muddat tak tawba par


qayam rehte hain phir tabiyat ma’asi ki taraf maaíl hoti hai
aur shahwat inpar Ghalib aa jati hai . lihaza neyk amal ke
saath bura amal bhi mila dete hain , uske bawajud bhi wo
apne nafs ko laanat wa malamat karte hain, apni Kotahi par
afsos karte hain, apne kiye par pachtaate hain apne nafs ko
63 The Way Of Salafiyyah
qabu mein karne ki koshish karte hain, lekin tawba karne
mein pas wa peysh karte hain, ummeedein unki lambi hoti
hain , is tarah ke log kkhatarnak mod par hote hain , isliye ke
ho sakta hai tawba karne ki muhlat naa mile aur maut aa jaye
aur us waqt apni Kotahi ka ehsas ho jab nadamat se kuch
faida nahi.

4. Chautha darja, ye wo log hain jo kuch dino tak tawba par


qayam rehte hain phir unka nafs ammara jismani fitrat ki
taraf maa’il ho jata hai aur shahwaai jazbaat ko bhadka kar
usey gumrah kar deta hai, phir wo is tarah ke gunahon aur
maasiyaton mein pad jate hain ke phir tawba ke baare mein
nahi soch paate , is tarah ke logon ke liye poora khatrah rehta
hai ke unka bura khatima ho jaye agar wo usi tarah nafs ki
itteba karte rahein aur akhri anjaam se beparwah hokar
zindagi ki roo mein beh jayein .

Lihaza aaqil aur khushnaseeb shaqs wo hai jo apne nafs


ko gumrahi se rok de aur usey ita’at ilahi mein laga de,
raah rasat aur siraat mustaqeem par aa jye , kitab

64 The Way Of Salafiyyah


Mubeen k noor se Roshni hasil kare aur sayyadul
mursaleen ki sunnat par chalne ki koshish kare.

Aye ‫ ﷲ‬humein taqwa naseeb farma, humare nafs ko


paak farma , beshak tu hi acha paak karne wala hai , tu hi humare
nafs ka wali wa maula hai’.‘rabbana zalamnaa anfusanaa wa
illam taghfirlanaa wa tarhamnaa , lanakoonanna minal khasireen,
rabbanaghfir warham wa tajawuz amma anta bihi aalamu innaka
antal aazal akram anta alamu wa ghayraka laa yalamu wa
sallallaahu alaa nabiyyinaa muhammadan wa alaa aalihi
washaabihi wa ajmaeen’.

65 The Way Of Salafiyyah

You might also like