My Shayeri Collection (DanisH)

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 12

Mohabat Aazmani Ho To Bs Itna Hi Kafi Hai Galib

Zara Sa Rooth Ker Dekho Manane Kon Ata Hai

Her Muskurahat Walay Ko KhushNaseeb Na Samjho


Faraz,
Kuch Log Muskuratay Hain Gham Chupanay Ky Liya.

Ghalat Nahin Zamane Main Lajawaab Hain Hum!


Samaj Sake Na Koi..Wo Kitaab Hain Hum!!!
Main tera koi nahi magar itna to bata
Dekh kar mujhko tere dil mein aata kya hai
Wo kabhi ankh bi jhapky to larz jata hun "SAHIL"
Mujhy saans say b ziyada hai zarorat us ki
Ae haasile khulus bata kya jawaab du ??
ye duniya puchti hai ke mein kyun udaas hun
Bari zalim hoti hai yak tarffa mohabat
Wo yaad to atty hain lakin yaad karty nahi

Tujhe Mohabbat Karni Nahi Ata


Mujhe Mohabbat ke sive Kuch Nahi Ata
Zindagi guzarne ke Do hi raste hain Ghalib
Aik Tujhe Nahi aata aik mujhe nahi aata..
Wafa K Rang Me Us Ko Mana Letey To Acha Tha
Aana Ki Jang Me Aksar Judai Jeet Jati Hai
Mera Saaf Sada Mizaj Tha Mujhe Ishq Honay Ki Kia
Khabar...
Teray ek Tabusam- e -Naaz Ne Mera sara Zouq
Badal Dia
Her aib sahi mujh main mager aaj b mujh ko
"mohsin"
doston ko bula deny ka andaaz nahi aaya

A waqt zara tu tham ja


Mujhe yaad KISI ko karne de
Mujhe pyar hai ek SANG DIL se
Jo koi BAAT mujhe na karne de

Na apne PAAS wo aane de


Na khud se DOOR wo jane de
Na DIL ko apne paas rakhe
Na aur kisi ka HONE de
Har waqt mujhe WO yaad aae
Phir DIL se ek awaaz aae
Ye k si CHAHAT hai us ki
Jo JEENE de na MARNE de.
Na tujhe chorr sakte hain tere ho bhi nahi sakte
Yeh kaisi bebasi hai aaj hum ro bhi nahi sakte
Yeh kaisa dard hai pal pal hamain tarpaye rakhta
hai
Tumhari yaad aati hai to phir sou bhi nahi sakte
Chhupa sakte hain aur na dikha sakte hain logon ko
Kuch aise daagh hain Dil per jo hum dho bhi nahi
sakte
Kaha to tha chorr denge yeh nagar phir ruk gaye
lekin
Tumhain paa to nahi sakte magar kho bhi nahi sakte

Hamara ek hona bhi nahi mumkin raha ab too


Jeeyen kaise ke tum se door reh bhi nahi sakte
Kaha kiun jhoot tum ne k tere he yaad aati he
tere ye baat ab muj ko na jany kiun rulati he
Tujhy bhooly nahe hein par yahe koshish me hein ab to
hijar he emtihan leta muhabat aazmati hai
Shekayat kiun karen tuj se hamen he sochna tha ye
muhabat na he karty hum ye kiun ab soch aati he
Haseenoo mein haseen sab se wo tha parda nasheen sb se
kahan maloom tha hum ko wo faqat hum se he rukh chupati he
"PoD" us meharban ne kia sila acha dia dekho!
k log ik bar marty hein mere jan har rooz jati he

Mohabbat Humse Na Hogi??


Suna hy Is Mohabt mE Bohat
Nuksan hota hai
Mehakta Jhoomta Jevan
Ghamo k Naam hota hai
Suna hai Chain Kho kr Wo Sehr
se Sham Rota hai
Mohabbat Jo b krta hai Bohat
Badnaam hota hai
Mohabbat Humse na hogi
Suna hai Is Mohabbat mai Kahin
bi Dil nahi lgta

Bina Uski Nigahon main Koi Mosam


nahi Jachta
Mohabat humse na hogi
Mohabat humse na hogi!!!!
Sunte Hain Ky Mil Jaati Hai Har Cheez Dua Se
Ik roz tumhein maang ke dekhenge Khuda se
Tum saamne hote ho to hai kaif ki baarish
Woh din bhi thy jab aag barasti thi ghata se
Ai dil tu unhein dekh ke kuch aise tadapana
Aa jaaye hansi un ko jo baithe hain khafa se
Duniya bhi mili hai gam-e-duniya bhi mila hai
Woh kyon nahi milta jise maanga tha Khuda se

Main sab keh doon zaroori to nahi


jo samjh sako meri khamoshi samjho
Bichar gaye hazaron log aik tum bhe sahe
Ab itni baat par kyun zindagi haraam karein

Na Tha Koi Hamara Na Hum kisi K hain


Bus Ik Khuda Hamara Hum bhi usi k Hein,,
Mujh sy Kehti hai tery Sath Rahon gi Faraz
Bohat Pyar kerti hai Mujhy sy Udaasi meri
Talluq Toot Jaye Ga Mera Saary Zamany Say..!!
Mere Apne Khafa Hoon Gaye Tumhain Apna Bananay Say..!!
Tumhary Sath Rehnay Say Mujhe Tasken Milti Hai..!!
Bohut Takleef Hoti Tumhare Door Jany Say..!!
Mery Ghar Ko Jala Dena Magar Ya Zehen Main Rakhna..!!
Ujala Mil Nhi Sakta Kisi Ka Ghar Jalany Say..!!
Hamari Jaan Jaye Gi Phir Jaan Jao Gey..!!
Kay Hasil Kuch Nhi Hota Kisi Ko Azmany Say..!!

apni taqdeer mein to kuch aese hi silsile likhe hain faraz


kisi ne bhool kar apna liya to koi apna kar bhool gaya

Meri Maut Ke Baad Hi Tumko Ehsaas Hoga


Main Kitna Acha Dost Tha Teri Dosti Ke Liye

Koyi mila hi nahi jis ko wafa dete.


Her ik ne dokha diya kis kis ko saza dete.

ye humara zarf tha k khamosh rahe


daastan sunate to mehfil ko rula dete
Maine usse ek ishara kiya
Usne salaam likh ke bheja.Maine pucha tumhara naam kya hai?
Usne chand likh ke bheja.
Maine pucha tumhe kya chahiye?
Usne saara aasmaan likh ke bheja.
Maine pucha kab miloge?
Usne qyamat ki sham likh ke bheja.
Maine pucha kis se darte ho?
Usne muhabbat ka anjaam likh ke bheja.
Maine pucha tumhe nafrat kis se hai?
Usne..Mera hi naam likh ke bhejaa

Iss sadgi pey koun na mar ja-ay aay Khuda ,


Kartay hein qatal aur haath mein talwaar bhi nahin!!
Yaad aate ho bahut dil se bhulaane Walo!
tum hamain yaad karo, tum hamain kyon yaad karo!!

Pagal sa Ek larka hai


Jo mujhko acha lagta hai
MujhE dEkh kar wo hasta hai
MEri ankhon mEin wo basta hai
Har roz wo roop badalta hai

Har roop mEin acha lagta hai


Aankhon mEin uski masti thi
Wo baat baat pE hasta hai
Barish ki mast raaton mEin
Wo khoYa khoYa rEhta hai
Baaton mEin uski bEchaini
BEchain wo mujhko karta hai
Jaisa b hai
Pagal hai
DEEwana hai
PEr mujhE acha lagta hai

Koi Tum sy Poochay Kon Hoon Mai


Tum keh dena koi khass Nahi
Ek dost hai kacha paka sa
Ek jhooth hai adah sacha sa
Ek khawab adhora pora sa
Ek phool hai rokha sokha sa
Ek spna hai bin socha sa
Ek apna hai un dekha sa
Ek rishta hai anjana sa
Hqeeqat main afsana sa
Kuch pagal sa deewana sa
Bus ek bahana acha sa
Jeewan ka aisa sathi hai
Jo door ho tu kuch pass nahi

KOI TUM SY POOCHY KON HOON MAI


TUM KEH DENA KOI KHAS NAHI!!!

Dost Kya Khub Wafaon Ka Sila Detey Hain


Har Naye Mor Pe Ek Zakhm Naya Detey Hain
Tumse To Khair Ghari Bhar Ki Mulaqat Rahi
Log Sadiyon Ki Rafaqat Ko Bhula Detey Hain
Kaise Mumkin Hai Ky Dhowan Bhi Na Ho Aur Dil Bhi Jale
Chot Parti Hai To Pathar Bhi Sada Detey Hain
Kaun Hota Hai Musibat Mein Kisi Ka Aey Dost?
Aag Lagti Hai To Pate Bhi Hawa Detey Hain
Jin Pe Hota Hai Dil Ko Bharosa Tabish
Waqt Parne Pe Wohi Log Daga Detey Hai

Ye jo rishte hain sb k sb
Sbi kaghaz se rishte hain
Sbi dhagay k jese hain
Kbi b toot skte hain
Kisi b teen lafzon se
Tumhain mai "Aaq krta hon"

Tumhain "Azaad krta hon"


Hmara "Marna jeena khatam"
Isi liye to kehti hon
Ye sb mousam se rishte hain
Pal mai rang bdalte hain
Ye sary jhooty rishte hain
Kbi b toot skte hain
Judai hi muqaddar hai
In nazuk se rishton ka...
Isi bais kisi ko chahne se baz rehti hon...
Juda hone se darti hon
Main youn khone se darti hon....
Kache dhagon k rishton ko
Main Q kr man skti hon ?
Faqat ik hi hai rishta jo
hmesha mera rehta hai
Kbi khone ka dar Q ho
Mera RAB dil mai rehta hai
Faqat us k liye hi to
Main sab se piyar krti hon
Ma swa is k sb jhooty rishte hain
Jo pal mai toot skte hain......
Kisi b teen lafzon se......
Kisi b teen lafzon se......

You might also like