Ponch Kar Ashq Apni Aankhon Say Muskrao To Koi Baat Banay

Download as doc, pdf, or txt
Download as doc, pdf, or txt
You are on page 1of 8

Ponch Kar Ashq Apni Aankhon Say Muskrao To Koi Baat Banay, Sar Jhukanay Say Kuch Nahin

Hota Sar Uthao To Koi Baat Banay, Zindagi Bheek Mein Nahin Milti Zindagi Barh Kay Cheeni Jaati Hay Apna Haq Sang-Dil Zamanay Say Cheen Pao To Koi Baat Banay, Rang Aur Nasal Zaat Aur Mazhab Jo Bhi Hay Aadmi Say Kamtar Hay Is Hakeeqat Ko Tum Bhi Meri Tarah Maan Jao To Koi Baat Banay, Nafraton Kay Jahan Mein Humko Pyaar Ki Bastiyan Basani Hain Door Rehna Koi Kamal Nahin Paas Aao To Koi Baat Banay...

meri duniya sanwaar de koi mujhe thoda sa pyaar de de koi meri dhadkanon ko ....betaab kar de meri aankhon ko intezaar de koi...... main bhool jau bekaraari ko....... mujhe itna qarar de de koi ....... apni baahon main qaid karle mujhe mujhko mujhse ......chura le koi....... uski aankhon k aansu le lu main khud pe yeh ikhtiyaar de koi meri duniya sanwaar de koi mujhe thoda sa pyaar de de koi

Yeh manjilen yeh rastay mushkilo bhari yeh dager..... Tu nahin hai mere sath to mushkilo ka hai safer...... Tham lay tu mera daman meri khushiyan nahi hai koi..... Na meri manjil na mera karwaan na humsafer hai koi............
Aa, ki meree jaan ko qaraar naheen hai taaqat-e-bedaad-e-intazaar naheen hai

dete haiN jannat hayaat-e-dahar ke badle nashsha ba_andaaza-e-KHummar naheen hai giriya nikaale hai teree bazm se mujh ko haay ! ki roone pe iKHtiyaar naheeN hai hamse 'abas hai gumaan-e-ranjish-e-KHaatir KHaak meiN ushshaaq kee GHubaar naheeN hai

dil se uThaa lutf-e-jalva haay ma'anee GHair-e-gul aainaa-e-bahaar naheeN hai qatl ka mere kiya hai 'ahad to baare waae ! akhar 'ahad ustuwaar naheeN hai toone qasam mai_kashee kee khaaee hai 'GHalib' teree qasam ka kuchch 'eitbaar naheeN hai !

Aah ko chaahiye ik 'umr asar hone tak kaun jeeta hai teree zulf ke sar hone tak ? daam har mauj meiN hai halqa-e-sad_kaam-e-nahaNg dekhaiN kya guzre hai qatre pe guhar hone tak

aashiqee sabr talab aur tamanna betaab dil ka kya rang karooN KHoon-e-jigar hone tak ? ham ne maana ke taGHaful na karoge, lekin KHaak ho jaayeNge ham tumko KHabar hone tak partav-e-khur se hai shabnam ko fana'a ki taaleem maiN bhee hooN ik inaayat ki nazar hone tak yak_nazar besh naheeN fursat-e-hastee GHaafil garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak GHam-e-hastee ka 'Asad' kis'se ho juz marg ilaaz shamma'a har rang meiN jaltee hai sahar hone tak

Jis bazm mein tu naaz say guftaar mein aaway, Jan kaalbud-e-Soorat deewar mein aaway... Saye key tarhe sath phiren hain sarv-o-Sanobar, Tu is qad dilkash say jo gulzaar mein aaway... Tay naaz-e-Girann mayegi-e-Ashk bja hai, Jab lakht-e-Jigar deeda-e-Khunbaar mein aaway... Day mujhko shikayat key ijazat k sitamgar! Kuchh tukh ko bhi mazaa mere aazar mein aaway... Us chashm-e-Fusoon-Gar ka agar paye ishara, Tooti k tarhe aaina guftaar mein aaway... Kaanton key zaban sookh gayi pyas say Ya Rab! Ik aabla-paa wadi-e-Purkhaar mein aaway... Mar jaun na kyun rashk say jab woh tan-e-Naazuk, Aaghosh-e-Kham-e-Halqa-e-Zunnaar mein aaway... Ghaarat gar-e-Namoos na ho gar hawwas-e-Zar, Kyun shahid-e-Gul baagh say bazaar mein aaway... Tub chaak-e-Girebann ka maza hai dil-e-Nallann, Jab ik nafas uljha hua her taar mein aaway... Aatishkadah hai seena mera raaz-e-Nihann say, Day waye, agar maariz-e-Izhaar mein aaway... Ganjeena-e-Ma'ani ka tilism usko samjhiyeh, Jo lafz k Ghalib! mere ashaar mein aaway...!

Koye Omeed bar Nahin Aate Koye Sorat Nazar Nahin Aate Mout Ka Ek Din Moheyn Hay Neend Keyon Raat Bar Nahin Aate Aagay Aate The Hal_e Dil Pay Hansi Ab Kise Baat Pay Nahin Aate Janta Hon Sawab Tahat_o zahid Par Tabeyat Edar Nahin Aate Keyon Na cheykhon K yaad kartay Hain Mayre Awaz Gar Nahin Aate Ham Wahan Hain Jahan Say Ham Ko b Kuch Hamare Khabar nahin Aate Martay Hain Arzo Main Marnay Ke Mout Aate Hay Par Nahin Aate Kahbay Kis Monh Say Jao Gay GHALIB Sharam Tum Ko Magar Nahin Aate

tuu dost kisii kaa bhii sitam_gar na hu_aa thaa auro.n pe hai vo zulm ki mujh par na hu_aa thaa chhoraa mah-e-naKhshab kii tarah dast-e-qazaa ne Khurshiid hanoz us ke baraabar na hu_aa thaa taufiiq ba andaaz-e-himmat hai azal se aa.Nkho.n me.n hai vo qataraa ki gauhar na hu_aa thaa jab tak kii na dekhaa thaa qad-e-yaar kaa aalam mai.n motaqid-e-fitanaa-e-mahashar na hu_aa thaa mai.n saadaa dil aazurdagi-e-yaar se Khush huu.N yaanii sabaq-e-shauq mukarrar na hu_aa thaa dariyaa-e-ma_aasii tunuk abhii se hu_aa Khushk meraa sar-e-daaman bhii abhii tar na hu_aa thaa jaarii thii asad daaG-e-jigar se mere tahasiil aatash_qadaa jaagiir-e-samandar na hu_aa thaa

Ye na thi hamaari qismat k visaal-e-yaar hota Agar aur jeete rehte yehi intazaar hota Tere wa'de par jiye ham to ye jaan jhooT jaana K khushi se mar na jaate agar aaitbaar hota Teri naazuki se jaana k baNdha tha ehed booda Kabhi tu na toR sakta agar ustavaar hota Koi mere dil se poocHe tere teer-e-neem-kash ko Ye khalish kahaN se hoti jo jigar k paar hota Ye kahaN ki dosti hai k bane hain dost naaseh Koi chaarah-saaz hota koi gham-gusaar hota Rag-e-sang se Tapakta wo lahu k phir na thamta Jise gham samajh rahe ho ye agar sharaar hota Gham agar-cheh jaaN-gusal hai pe bachein kahaN k dil hai Gham-e-ishq gar na hota gham-e-rozgaar hota KahuN kis se main k kya hai shab-e-gham buri bala hai Mujhe kya bura tha marna agar eik baar hota Huey mar k ham jo ruswa huey kiyuN na gharq-e-darya Na kabhi janaazah uThta na kahiN mazaar hota Usey kaun dekh sakta k yagaana hai wo yakta Jo doi ki bu bhi hoti to kahiN do-chaar hota Ye masaail-e-tasavvuf, ye tera bayaan Ghaalib Tujhe ham walee samajhte jo na baadah-khwaar hota

Hai bus keh har ik un keh isharay maiN nishaN aur Kartay haiN mohabbat to guzarta hay gumaaN aur Ya rab, woh na samjhay haiN na sumjhaiN gay meree baat Day aur dil un ko jo na day mujh ko zubaaN aur Abroo say hai kya us nigahay naaz ko paywand Hai teer muqarrar, magar us kee hai kamaN aur Tum sheher main ho to, humain kya ghum jab uthain gay Lay aeyn gay bazar say ja kar dil-o-jaaN aur Har chand subak dast hooay butshikani maiN Hum hain to abhee rah maiN hay sang-e-giraN aur Hay khoon-e-jigar josh maiN dil khol keh rota Hotay jo kaee deeda-e-khooN naabah_fishaN aur Marta hoon is awaz peh har chand sir ur jaaey Jillaad ko laikin woh kahay jaaen keh "HaaN aur" Logon ko hay khursheed-e-jahaN taab ka dhoka Har roz dikhata hooN main ik daagh-e-nihaN aur Layta, na agar dil tumhain deta, koee dum chaen Karta, jo na marta koee din, aaho-o-fuGHaN aur Paatay nahiN jab rah to chaRh jaatay haiN naalay Ruktee hai meri taba' to hotee hay rawaN aur HaiN aur bhee dunya maiN sukhanvar bohot achhay Kehtay hain keh 'Ghalib' ka andaaz-e-bayaN aur

1. diyaa hai dil agar usko, bashar hai kya kahiye ? huwa raqeeb to ho, naamaabar hai, kya kahiye 2. yeh zid, ki aaj na aave aur aaye bin na rahe qaza se shikwa hamaiN kis qadar hai kya kahiye ? 3. rahe haiN yoN gah-o-be_gah ki koo-e-dost ko ab agar na kahiye ki dushman ka ghar hai, kya kahiye ? 4. zah-e-karishma ki yoN de rakhaa hai hamko fareb ki bin kahe hee unhaiN sab KHabar hai, kya kahiye ? 5. samajh ke karte haiN baazaar meiN woh pursish-e-haal ki yeh kahe ki sar-e-rehguzar hai, kya kahiye ? 6. tumhaiN naheeN hai sar-e-rishtaa-e-wafa ka KHayaal hamaare haath meiN kuchch hai, magar hai kya, kahiye ? 7. unhaiN sawaal pe zoam-e-junooN hai, kyoN laDiye ? hame jawaab se qata'a-e-nazar hai, kya kahiye ? 8. hasad sazaa-e-kamaal-e-suKHan hai, kya keeje sitam, bahaa-e-mata'a-e-hunar hai, kya kahiye ? 9. kaha hai kisne ki 'GHalib' buraa naheeN lekin siwaay iske ki aashuftaa_sar hai kya kahiye ?

You might also like