Hanfi Namaz Aur Hadeese Rasool

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 28

Sunni Jamiatul Ahnaaf

‫ﺑﺴﻢ اﷲ اﻟﺮﺣﻤﻦ اﻟﺮﺣﯿﻢ‬


‫اﻟﺼﻠﻮة واﻟﺴﻼم ﻋﻠﯿﻚ ﯾﺎ رﺳﻮل اﷲ ﺻﻠﻰ اﷲ ﻋﻠﯿﻪ وﺳﻠﻢ‬

HANFI NAMAZ AUR HADEESE RASOOLSabit Karne Wali Be'misal La'jawab KITAAB.

"HANFI NAMAZ AUR HADEESE RASOOL"

~☆Musannif☆~

Gaziye Ahlesunnat Munazire Islaam Fatahe Gair Muqallidiyat Hazrat Allama Wa Maulana Mufti Sufi Muhammad
Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla.

(Khalifah Huzoor Amine Shariat)

Founder- SUNNI JAMI'ATUL AHNAAF (MUMBAI)

Rabtah Number-
9146122911
9820672770

--------------------------------------------------------------------------------

‫ﺑﺴﻢ اﻟﻠ اﻟﺮﺣﻤ ﻦ اﻟﺮﺣﯿﻢ‬.


‫ وﻋﻠﻰ آﻟﻪ وﺻﺤﺒﻪ اﺟﻤﻌﯿﻦ ﺑﺎرك وﺳﻠﻢ ﺗﺴﻠﯿﻤًﺎ‬،‫ واﻟﺼﻠﻮة واﻟﺴﻼم ﻋﻠﻰ ﺧﺎﺗﻢ اﻷﻧﺒﯿﺎء واﻟﻤﺮﺳﻠﯿﻦ ﺳﯿﺪﻧﺎ وﻣﻮﻻﻧﺎ ﻣﺤﻤﺪ‬،‫رب اﻟﻌﺎﻟﻤﯿﻦ واﻟﻌﺎﻗﺒﺔ ﻟﻠﻤﺘﻘﯿﻦ‬ ‫اﻟﺤﻤﺪ ﻟﻠ‬
‫ اﻣﺎ ﺑﻌﺪ‬....‫ﻛﺜﯿﺮًا ﻛﺜﯿﺮا‬
open in browser PRO version Are you a developer? Try out the HTML to PDF API pdfcrowd.com
"HANFI NAMAZ AUR HADEESE RASOOL"

Kabhi Aap Ne Gaur Kiya Jis Tarah Hum Namaz Ada Karte Hain Yani Qayam Ruku Sujood, Qada Oola O Ukhra
Wagera Is Tarah Ki Namaz Ka Saboot Hadison Me Hai Ya Nahi?

Yani Huzoor Sal'lallahu Alaihi Wasallam Ne Kabhi Is Tarah Namaz Ada Farmai Hai Ya Nahi?

Hame Agar Dunya Bhar Ki Khurafaat Se WAQT Mile Tab To Hum Ispe Gaor Karege.

Shayed Yahi Wajah Ki FITNAE AHLEHADIS (Gair Muqallideen) Aaj Hamare Logon Ko Pakad Pakad Ke Hadees
Ki Kitaben Dikhate Hain Ki Dekho Huzoor Namaz Me Tangen Khoob Phailate The, Hath Naaf Ke Niche Nahi Sine
Pe Bandhte The, Rafa Yadain Karte The, Aameen Zor Se Kehte The, Aur Aap Log Imame Azam Abu Hanifa Ki
Maan Kar Nabi Ke Tariqe Ke Khilaf Namaz Padhte Hain.

Aap Log Imaan Nabi Par Laye Ya Imam Par?

Aise MAUQE Par Zimmedar Ulma Agar In Logo Ki Rehbari Na Kare To Phir Unhe Gumrah Hote Der Nahi Lagegi.

Alhamdulillah Jis Tarah Hum Hanfi Namaz Ke Jumla Arkan Ada Karte Hain Wo Sab Hadiso Se Bilkul Sabit Hai.

Gair Muqallideen Jo Karodon Hanfiyon Ki Namaz Ko Batil Mante Hain Aur Kehte Hain Ye Kufi Tariqae Namaz Hai
(Ima Azam Abu Hanifa Koofa Ke Rehne Wale The Aur Hum Unki TAQLEED Karte Hain, Alhamdulillah Aur Makki
Madani Namaz Wo Hai Jo Hum Padhte Hain).

Gair Muqallideen Imam Azam Abu Hanifa Ke Bade Gustakh Hain Unke Imam Azam Par Ye Mash'hoor Aiteraz
Hain.

1-ABU HANFIA NE TAMAM MASAYEL QAYAS SE BATAYE AUR HADEES KI MUKHALIFAT KEE.
open in browser PRO version Are you a developer? Try out the HTML to PDF API pdfcrowd.com
1-ABU HANFIA NE TAMAM MASAYEL QAYAS SE BATAYE AUR HADEES KI MUKHALIFAT KEE.

2-ABU HANIFA HADEES NAHI JANTE THE.

3-ABU HANIFA ARABI ZUBAN AUR USKE ASALEEB SE WAQAIF NAHI THE.

3-ABU HANIFA HADISE RASOOL AUR AASAARE.

SAHABA O AQWALE TABAEEN KO AHMIYAT NAHI DETE THE, UNHO NE JO BHI MASAYEL BAYAN KIYE
SAB QAYAS APNI RAAY SE BAYAN KIYE.

Aur Hum Hafiyon Par Gair Muqallideen Ke Ye Aiteraz Hain.

1-HANFI HAZRAAT ABU HANIFA KI TAQLEED JAMID (ANDHI TAQLEED) Karte Hain.

2-HANFI Hazraat Hadees Ka Ilm NAHI Rakhte Sirf FIQAH Aur Qayas Hi Jante Hain.

3-Hanfi Hazraat Sahi Hadis Ki Mukhalifat Karte Hain Aur Abu Hanifa Ke Qaul Ko Rasool Ke Qaul Par Fauqiyat
Dete Hain.

Aur Bhi Bahot Se Aiteraz Hain Jinke DANDAN SHIKAN Jawab Insha'allah Hum Aage Denge.

Ab Aaiye Hum Apni Namaz Ka Jayzah Hadise Pak Ki Roshni Me Lete Hain.

Hamari Namaz, Namaze Rasool Hai Ya Nahi???

Aur Jis Tarah Gair Muqallideen Namaz Padhte Hain Wo Tariqa Sahi Hai Ya Galat.

Hum Namaz Pe Khade Hote Hain Tab Dono Pairon Ke Beech 4 Ungal Ya Maximum 1 Balisht Ka Fasala Hota
Hai.

open in browser PRO version Are you a developer? Try out the HTML to PDF API pdfcrowd.com
Jabki Gair Muqallideen Tangon Ko Itna Phailate Hai Ki Beech Me Se 1 Gadha (Donkey) Nikal Jaye.

Namaze Me Dono Pairon Ke Beech Kitna Faisla Ho?

Namazi Is Tarah Khada Ho Ki Uske Pair Ki Ungliyan Qibla Rukh Ho Aur Aasani Se Ruku Aur Sajdah Kar Sake
Yani Bar Bar Pairon Ko Sukadne Ki Naubat Na Aye, Aur Namaziyon Ke Kandhe Apas Me Mile Huye Hon, Tange
Phailane Ki Surat Me Eik Dusre Ke Kandhe Door Ho Jayge Aur Is Tarah 2 Namziyon Ke Beech Kaafi Space
Paida Hoga, Jo Sunnat Ke Sarasar Khilaf Hai.

HADEES:

Huzoor Ne Farmaya, Qasam Hai Us Zaat Ki Jiske Qabze Me Meri Jaan Hai, Mai Shaitan Ko Dekhta Hun Ki Wo
Saff Ki Khali Jagah Me Ghus Jata Hai Jaise Bhed Ka Bachcha Hai.
{٩٧ - ‫ ﺻﻔﺤ‬،١ -‫ ﺟﻠﺪ‬،‫}ﺳﻨﻦ اﺑﯽ داود‬

HADEES:

Abdullah Bin Umar Se Marwi Hai Huzoor Ne Irshad Farmaya Safon Ko Sidha Karo Kandhon Ko Barabar Karo,
Khali Jagah Bhar Do, Apne Bhaiyon Ke Liye Narm Raho, Aur Shaitan Ke Liye Beech Me Jagah Na Chhodo.
{٩٧ - ‫ﺻﻔﺤ‬،١ - ‫ ﺟﻠﺪ‬،‫}اﺑﻮ داود‬

Ye ABU DAWOOD SHARIF Ki Hadis Hai Jo Hadis Ki 6 Sahi Kitabo Me Se 1 Hai.

Ise Gaor Se Padhiye. Huzoor Kandha Milane Ka Hukm De Rahe hain, To Kya Tango Ko Phailane Ke Bad
Kandhe Apas Me Mil Sakte Hain?

Huzoor Ne Farmaya Khali Jagah Bharo, Pairo Ko Phailane Se Kya 2 Namaziyon Ke Beech Aur Space Nahi
Badhega?

open in browser PRO version Are you a developer? Try out the HTML to PDF API pdfcrowd.com
Huzoor Ne Farmaya Apne Bhaiyon Ke Liye Narm Raho Kya Tango Pe Zor De Kar Phailane Se Aadmi Naram
Rahega Ya Kadak?

Gair Muqallideen Apni Is Halat Ko Hadise Se Sabit Kare.

Alhamdulillah Hum Hanfiyon Ka Namaz Me Khade Hona Sunnat Ke MUTABIQ Hai Aur Poore Taur Par Hadise
Rasool Pe Amal Hai.

Alhamdulillah Hum Sunni Hanfi Namaz Ko Allah Ka Farz Jaan Kar Uski Mohabbat Me Huzoor Ki Sunnaton Ke
Mutabiq Pure Ehtemam Se Ada Karte Hain.

Bekhayali Aur Susti Laparwahi Aur Namaz Ko Boojh Samajh Kar Padhna Ki Kisi Tarah Farz Pura Ho Bahot Buri
Baat Hai, Balki Namaz Ka Istekhafaf (Halka Janna) Kufr hai.

Gair Muqallideen Aksar Be-Topi Ke Nange Sar Namaz Padhte Hain Wo Topi Pahenne Ko Zaroori Khayal Nahi
Karte, Aur Jab Unhe Toka Jaye To Daleel Puchte Hain Ki Kahan Likha Hai Be-Topi Namaz Nahi Hogi?

Namaz Ke Aadaab Me Ye Shamil Hai Ki Pura Libas Pehne Sar Bhi Dhaka Ho Topi Ya Imame Se, Nange Sar
Namaz Na Padhe, Balki Ye Bhi Hai Jo Kapde Kaam Ke Waqt Pahenta Ho Uspe Namaz Na Padhe, Balki Saaf
Suthre Kapde Ho, Afsos Admi Sasural Jaye Ya Kisi Minister Ya Hakim Se Milne Jata Hai To Khoob Achche
Kapde Pahenta Hai Phir AHKAMUL HAKIMEEN (Badshao Ka Badshah) Ki Bargah Me Maile Kuchele Gande
Sande Kapde Pahen Ke Aata Hai?

Dil Me Agar Namaz Ki Ahmiyat Hogi To Amal Se Uska Izhar Bhi Hoga.

QURAN:

Aye Adam Ki Awlad Apni Zeenat Lo Jab Masjid Me Jao.


{Para-8, Ruku-10, Sure Araf, Ayat No-31}

open in browser PRO version Are you a developer? Try out the HTML to PDF API pdfcrowd.com
Is Ayat Me Namaz Ke Waqt Khubsurat Libas Pahenne Ki Targeeb Dee Gai, Aur Khubsurat Libas Wo Hai Jo
Sunnat Ke MUTABIQ O MAWAFIQ Ho.

HADEES:

Anas Bin Malik Farmate Hain, Huzoor Aksar Apne Sare Mubarak Ko Kapde (Imame) Se Dhaka Rakhte.
{71- ‫ ﺻﻔﺤ‬،‫}ﺷﻤﺎﺋﻞ ﺗﺮﻣﺬی‬

Huzoor Namaz Ke Ilawa Bhi Hamesha Sar Ko Kapde Se Badhe Rakhte The Aur Afsos Log Namaz Hi Me Nange
Sar Hote Hain.

Musannaf IBNE ABI SHAIBAH Jo Bukhari Se Pehle Ki Kitab Hai Hadees Ki, Usme 20 Hadise Namaz Topi Ya
AMAMA Pahen Ke Padhne Ki Maujood Hai Jise Tawalat Ke Khaof Se NAQL Nahi Kar Raha Hun.

HADEES:

Hazrat Mugirah Bin Shabah Gazwaye Tabook Ka 1 WAQIYA Bayan Karte Hain Huzoor Namaze Fajr Se Pehle
Qazaye Hajat Ke Liye Nikle Jab Wapas Huye To Wazu Farmaya Aur Wazu Me Apne Amame Pe Masah Kiya.
{Sahi Muslim, Jild-1, Safah-161}

Is Hadis Se Sabit Hua Huzoor Ka Namaz Sar Dhak Kar Padhna.

HADEES:

Huzoor Ke Sahaba Namaz Me Sajdah Karte To Unme Se Koi Topi Ya Imame Pe Sajdah Karta.
{‫ ﻋﻼﻣ ﺑﺪراﻟﺪﯾﻦ ﻋﯿﻨﯽ‬،‫ ﺷﺮح ﺑﺨﺎری‬،‫}ﻋﻤﺪةاﻟﻘﺎری‬

Is Hadees Se Sabit Hua Ki Sahaba Sab Ke Sab Topi Ya Amama Pahen Ke Hi Namazen Ada Karte, Kuch
Sahaba Topi Ya Ammae Pe Sajdah Karte Jo Mana Hai Yani Peshani Khuli Honi Chahiye.

open in browser PRO version Are you a developer? Try out the HTML to PDF API pdfcrowd.com
Sahaba Topi Ya Ammae Pe Sajdah Karte Jo Mana Hai Yani Peshani Khuli Honi Chahiye.

Mai Tamam Gair Muqallideen Se Kehta Hun 1 Marfoo Hadis Batao Jisme Ye Ho Ki Ba-Gair Topi Ke Namaz Bila
Karahat Jayez Hai?

Bagair Topi Ke Namaz Ki Chand Surten Hain.

1- Majboori Me Jaise Topi Na Ho Ya Koi Zakhm Sar Me Ho To Bila Karahat Namaz Ho Jayegi.

2- Susti Se Nanage Sar Kabhi Padh liya To Makruhe Tanzihi Hogi Yani Sawab Me Kami.

3- Nange Sar Namaz Padhne Ko Adat Bana Le To Makroohe Tehrimi Us Namaz Ka Dohrana Wajib Hai.

4- Nange Sar Padhna Sunnat Jaan Kar Ye Bid'at Hai.

5- Nange Sar Namaz Padhna Afzal Samjhe Aur Topi Pahenne Ko Bura Jane To Ye Kufr Hai.
{FATAWA QAZI KHAN, JIld-1, Safah-118}

Ab Gair Muqallideen Hi Batay Ki Unke Nadeek Nange Sar Namaz Padhna Kya Hai?

Ahlehadis Jamat Ke Baani Miya Nazeer Husain Dahelvi Likhte Hain,

"Juma Ki Namaz Ho Ya Koi Aur Namaz Rasulullah Aur Sahaba Amama Bandh Kar Padhte The.
{FATAWA NAZIRIYA, Jild-3, Safah-272}

Lijiye Aaphi Ke Aalim Ka Faraman Hai.

Maulana Sanaullah Amritsari Likhte Hain,


"Namaz Ka Masnoon (Sunnat) Tariqa Wahi Hai Jo Huzoor Se Bid-Dawam Sabit Hai Yani Badan Pe Kapde Aur
Sar Dhaka Ho Topi Ya Imame Se.

open in browser PRO version Are you a developer? Try out the HTML to PDF API pdfcrowd.com
Sar Dhaka Ho Topi Ya Imame Se.
{FATAWA SANAIYAH, Jild-1, Safah-524}

Gair Muqallideen Ke 1 Aur Alim Maulana Isameel Salfi Kehte Hain,


"Garaz Kisi Hadis Se Bhi Nange Sar Namaz Padhne Ko Adat Banana Sabit Nahi, Kapda Maujood Ho To Nange
Sar Namaz Padhna Zid Ya AQAL Ki Kami Se Hai.
{FATAWA ULAME AHLEHADEES Jild-4, Safah-286}

Hum Sunni Hanfi Namaz Shuru Karte WAQT Apne Dono Haton Ko Kano Ki Lao Tak Othate Hain Wo Is Tarah Ki
2no Anguthon Ka Sira Kaan Ki Lao Ko Lagta hai.

Ye Zahen Me Rahe Ki Ungliyan Na Khoob Mili Ho Na Khoob Chipki Hui Ho, Balki Unhe Unki Halat Pe Rakhe, Aur
Dono Hath Ki Hateliyon Ka Rukh Qibla Ki Janib Ho.

Gair Muqallideen, Naam Ke Ahlehadis Apne Dono Hath Aurton Ki Tarah Sirf Kandhe Tak Hi Uthate Hai, Aaiye
Dekhte Hain Hadeese Paak Ke Mutabiq Ahnaaf Ka Tariqa Sahi hai Ya Gair Muqallideen Ka.

HADEES:

Wa'il Bin Hujr Farmate Hain Mai Ne Nabiye Kareem ‫ ﺻﻠﯽ اﻟﻠ ﻋﻠﯿ وﺳﻠﻢ‬Ko Dekha Ki Jab Aap Namaz Shuru
Farmate To Rafa Yadain Karte Yahan Tak Ki Aapke Dono Anguthe Aapke Kano Ki Lao Ke Barbar Ho Jate.
{Sunane Nisai, Jild-1, Page-141, Sunane Abi Dawood, Jild-1, Page-112, Musannaf Ibne Abi Shaibah, Jild-2,
Page-406, Hadees No-2425}

Dekhiye Hadis Ki Kitni Badi Badi Aur Mustanad Kitabo Ka Hawala Maujood Hai.

HADEES:

Hazrat Malik Bin Huweris Farmate Hain Rasulullah Sal'lallahu Alaihi Wasallam Jab Takbeer Kehte To Dono Hatho
Ko Othate Yahan Tak Ki Unhe Kano Ke Qarib Kar Lete, Aur 1 Riwayat Me Hai Ki Kano Ki Lao Ke Barabar Kar

open in browser PRO version Are you a developer? Try out the HTML to PDF API pdfcrowd.com
Ko Othate Yahan Tak Ki Unhe Kano Ke Qarib Kar Lete, Aur 1 Riwayat Me Hai Ki Kano Ki Lao Ke Barabar Kar
Lete.
{Musannaf Ibne Abi Shaibah Volume-2, Page-407, Hadees No-2427}

Jis Kitab Ka Hawala Pesh Hua Hai Uske Likhne Wale Imame Bukhari Ke Dada Ustaz Hain Ilme Hadis Me
Mohaddis Ibne Abi Shaibah, Gair Muqallideen To Sirf Bukhari Ki Bat Karte Hain Aur Hum Ne Alhamdulillah Imam
Bukhari Ke Dada Ustaz Ka Hawala Pesh Kiya.

HADEES:

ABDULLAH BIN UMAR Se Riwayat Hai Huzoor Ne Farmaya, Jab Tum Me Se Koi Namaz Shuru Kare To Dono
Hathon Ko Othaye Aur Hateliyon Ka Rukh Qibla Ki Taraf Kare, Kyu Ki Allah Uske Samne Hota Hai.
{TABRANI, Jild-6, Safah-9, Hadees No-7801}

Hamari Namaz Ko Koofi Namaz Aur Apni Namaz Ko Makki Madni Namaz Kehne Wale Ahlekhabiso Dekho
Alhamdulillah Hum Ahnaaf Ki Namaz Ayen Hadees ke Mutabiq Shuru Aur Khatm Hoti Hai, Sayyedna Imam E
Azam ABU Hanifa Nomam Bin Sabit Koofi Radi'allahu Tala Anh Ne Koi Mas'ala Deeni Ibadaat O Mamlat Ka
Quran O Sunnat Ke Khilaf Nahi Bataya.

Mard Namaz Me Hath Naaf Ke Niche Bandhe.

Sine Pe Bandhne Ki Hadise Bhi Maujood Hain, Aur Imame Shafai Ke Muqallideen Jo Naaf Se Upar Bandhte Hain
Wo Bhi Sahi Hai. Hamara Naaf Ke Niche Bandhna Ye Bhi Sahi Hai.

Gair Muqallideen Kehte Hain Naaf Ke Niche Hath Bandhne Ki Koi Riwayat Maujood Nahi Siway Hazrat Ali Ke
Qaul Ke Aur Wo Bhi Zaeef Qaul Hai.

Ye Gair Muqallidon Ki Hadees Na Janne Ki Bina Par Hai.

Aurten Namaz Pe Chhati Pe Hath Bandhe Aur Mard Naaf Ke Niche Ahnaaf Ke Nazdeek Ye Sahi Hai.

open in browser PRO version Are you a developer? Try out the HTML to PDF API pdfcrowd.com
HADEES:

Hazrat Wa'il Bin Hujr Farmate Hain, Mai Ne Huzoor Ko Dekha Ki Aapne Namaz Me Apna Dayan (Right) Hath
Bayen Hath Pe Rakha Aur Use Naaf ke Niche Bandha.
{ ٣٩۵٩ - ‫ رﻗﻢ اﻟﺤﺪﯾﺚ‬،‫ وﺿﻊ اﻟﯿﻤﯿﻦ ﻋﻠﯽ اﻟﺸﻤﺎل‬،٣٢٢- ‫ ﺻﻔﺤ‬،٣ - ‫ ﺟﻠﺪ‬، ‫} ﻣﺼﻨّﻒ اﺑﻦ اﺑﯽ ﺷﯿﺒ‬

Ye Musannaf Ibne Abi Shaibah Ki Riwayat Hai.

Jis Tarah Huzoor Ka Farman Hadees Hai Usi Tarah Sahaba Ka Farman Asar Kehlata Hai.

ASAR:

Hazrat Ali Farmate Hain Namaz Me Sunnat Ye Hai Ki Apna Dayan Hath Bayen Hah Par Naaf Ke Niche Rakha
Jaye { ‫ } اﯾﻀًﺎ‬Ye Riwayat Bhi Musannaf Ki Hi Hai.

ASAR:

Hazrat Anas Faramte Hain 3 Chizen Nabuwwat Ki Sifaat Me Se Hai,

1- Sehri Me Der Karna.


2- Aftar Me Jaldi Karna.
3- Namaz Me Dayen Hath Ko Bayen Par Naaf Ke Niche Bandhna.
{ ‫ وﺿﻊ اﻟﯿﺪﯾﻦ ﻋﻠﯽ اﻟﺼﺪرﻓﯽ اﻟﺼﻠﻮ ة‬- ‫ ﺑﺎب‬،٣٢ - ‫ ﺻﻔﺤ‬-٢ - ‫ ﺟﻠﺪ‬،‫} اﻟﺠﻮ ﺮاﻟﻨﻘﯽ ﻋﻠﯽ اﻟﺒﯿ ﻘﯽ‬

Zaire Naaf Hath Bandhne Par Hamare Pas Kul 11 Riwayaat Kutbe Ahadees Me Maujood Hain, Tawalat (Lambai)
Ki Wajah Se Zaroori Hi Pesh Kar Diya Hai.

ALHAMDULILLAH Hum Ahnaaf Ka Tariqae Namaz Namaze Rasool O Namaze Sahaba Se Milta Hai.

open in browser PRO version Are you a developer? Try out the HTML to PDF API pdfcrowd.com
Gair Muqallideen Apna Dayan Hath Bayen Hath Ki Kohni Pe Rakh Kar Sine Pe Bandhte Hain, Agar Gair
Muqallidon Apne Is Amal Ko Siha Sitta (Hadis Ki 6 Sahi Kitaben) Se 1 Sahi Sareeh Marfoo Muttasil Hadees
Dikha Den To Ye FAQEER E HANFI KALEEM RAZVI Unhe Muh Manga Inam Dega.

Hamari Pesh Kardah Riwayat Ko Koi Gair Muqallideen Zaeef Kahe Ya Manne Se Inkar Kare To Aap Hum Se
Rabta Karen.

Namaz Me Jab Hath Bandhe Jayen To Wo Naaf Ke Niche Hon Aur Sidhe Hath Ko Ulte Hath Pe Is Tarah Rakhe Ki
Sidhe Hath Ka Angutha Aur Choti Ungli Se Ulte Hath Ki Kalai Pakde Aur Upar 3 Ungliyan Hon, Yani Sidhe Hath
Ko Ulte Hath Ki Kalai Pe Rakhna.

Gair Muqallideen Sidhe Hath Se Ulte Hath Ki Kohni Pakadte Hain Hatho Ko Bandhne Ka Ye Tariqa Hadees Ke
Khilaf Hai.

HADEES:

Hazrat Wa'il Bin Hujr Farmate Hain Maine Kaha Dekhu Huzoor Kis Tarah Namaz Padhte Hain?
To Mai Ne Dekha Aap Namaz Ke Liye Khade Huye, Takbeer Kahi, Aur Apne Dono Hath Uthaye Yahan Tak Ki
Kano Ke Qarib Kar Liye, Phir Apna Dayan Hath Bayen Hath Ki Pusht Pe Rakha Aur Kalai Ko Pakda.
{‫ ﺑﺎب ﻣﻮﺿﻊ‬،١۴١ - ‫ ﺻﻔﺤ‬،١ - ‫ ﺟﻠﺪ‬،‫ ﺳﻨﻦ اﻟﻨﺴﺎئ‬،‫ ﺑﺎب ﺗﻔﺮﯾﻊ اﺳﺘﻔﺘﺎح اﻟﺼﻠﻮ ة‬،١١٢ - ‫ ﺻﻔﺤ‬،١ -‫ ﺳﻨﻦ اﺑﯽ داؤد ﺟﻠﺪ‬،۵٧٧ - ‫ ﺻﻔﺤ‬،‫ﺻﺤﯿﺢ اﺑﻦ ﺣﺒﺎن‬
‫}اﻟﯿﻤﯿﻦ ﻣﻦ اﻟﺸﻤﺎل ﻓﯽ اﻟﺼﻠﻮ ة‬

Hawale Me HADEES Ki Mustanad Kitaben Sahi Ibne Habban Abu Dawood Aur Sunane Nisai. Jild Page Aur
Baab Ke Saath Likhi Gai.

Is Hadees Se 2 Baten Pata Chali Namaz Shuru Karte Waqt Kano Tak Hath Uthaye Jayen Aur Dusra Kohni Nahi
Balki Kalai Pakdi Jaye.

Ahlekhabiso Ka Kandhe Tak Hath Uthana Aur Kohni Pakadna Wo Hadison Se Dikhayen.

open in browser PRO version Are you a developer? Try out the HTML to PDF API pdfcrowd.com
HADEES:

Hazrat Sahal Bin Sa'ad Se Riwayat Hai, Ki Logo Ko (Sahaba O Tabaeen) Ko Hukm Diya Jata Ki Namaz Ke
WAQT Wo Apne Dayen Hath Se Bayen Hath Ki Kalai Pakde.
{‫ وﺿﻊ اﻟﯿﻤﻨﯽ ﻋﻠﯽ اﻟﯿﺴﺮی‬. ‫ ﺑﺎب‬،١٠٢- ‫ ﺻﻔﺤ‬،١ - ‫ ﺟﻠﺪ‬،‫}ﺻﺤﯿﺢ اﻟﺒﺨﺎری‬

Ye Sahi Bukhari Ka Hawala Hai Jiski Raat Din Ye Aqal Ke Dushman Rat Lagate Hain.

Dekho Imame Bukhari Ne Tamam Sahaba Aur Tabaeen Ka Muttafeqah Amal Tumhare Khilaf Bataya Hai.

Namaz Me Sar Khula Ho Ya Dhaka Ho Aur Pairon Ke Bich Kitna Fasla Ho Hath Kahan Tak Uthaye Jayen Aur
Kahan Bandhe Jayen Ise Samajahne Ke Bad Ab Hum Ye Batayen Ki Namaz Me MUQTADI (Imam Ke Piche
Namaz Padhne Wala) Sure Fathia Padhe Ya Na Padhe?

Aur Iske Siwa Koi Aur Surah Pade Ya Na Padhe.

Hum Hanafi Imam Ke Piche Na Sure Fatiha Padhte Hain Na Koi Aur Surah Padhte Hain, Aur Is Silsile Me Hamare
Pas Bahot See Sahi Marfoo AHADEES Maujood Hain.

(ALHAMDULILLAH) Gair Muqallideen (Ahlehadis) Imam Ke Piche Sure Fathia Padhte Hain, Aur Jo Nahi Padhta
Unke Nazdeek Uski Namaz Nahi Hoti.

IBTEDA ME IMAMO MUQTADI Sab Ke Liye Sure Fatiha Padhna Zaroori Tha Bad Me Huzoor E Pak Sal'lallahu
Alaihi Wasallam Ne Imam Ki Qirat Ko Muqtadi Ke Liye Kaafi Qarar Diya Yani Ab Koi Imam Ke Piche Na Sure
Fatiha Padhe Na Koi Aur Surah.

Gair Muqallideen Is Masle Me Kuch Hadise Pesh Karte Hain Aur Bhole Bhale Sunni Musalmano Ko Gumrah Karte
Hain Ki Jisne Imam Ke Piche Sure Fatiha Na Padhi Uski Namaz Hi Nahi Hui.

open in browser PRO version Are you a developer? Try out the HTML to PDF API pdfcrowd.com
Yad Rahe Namaz Me Qirat Karna Farz Hai Chahe Pure Quran Me Se Koi Sura Ya Kisi Sura Ki 3 Ayat Padhe Aur
Sure Fatiha Har Namaz Ke Shuru Me Padhna Wajib Hai Farz Nahi hai.

Agar Koi Bhool Se Sure Fatiha Na Padhe Aur Uski Jagah Koi Aur Sure 3 Ayat Ke Barabar Padh Le To Wo Akhri
Me Sajdah Sahu Kare Uski Namaz Ho Gai.

Hamare Imam Azam Sarkar Abu Hanifa Radi'allahu Tala Anh Ke Nazdeek Muqtadi Ko Jehri (Wo Namaz Jisme
Imam Zor Se Quran Pada Hai) Aur Sirri (Jisme Imam Ahista Quran Padhta Ho Jaise Zohar & Asar) Imam Ke
Piche Qirat (Sure Fatiha Ya Quran Ki Koi Surah Padhna Jayez Nahi Hai.

Is Masle Par Quran O Hadees Se Chand Dalilen Hazir Hain.

QURAN:

Aur Jab Quran Padha Jaye To Use Kaan Laga Kar Suno Aur Khamosh Raho Taki Tum Pe Rahem Ho.
{Para-9, Ruku-14, Sure Arafa Ayat-104}

Is Ayat Me Saaf Hai Ki Quran Padha Jaye To Chup Raho Magar Gair Muqallideen Imam Ka Qaran Padhna Nahi
Sunte Balki Piche Khud Bhi Sure Fatiha Padhte Hain. Kya Inka Ye Amal Quran Ke Khilaf Nahi?

Ahnaf Ki Namaz Ko Kufi Namaz Kehne Walo Tumhari Namaz To Quran O Sunnat Dono Ke Khilaf Hai.

Is Ayat Me LAFZE QURAN AAM Hai Aur Sure Fatiha Bhi Quran Hi Ka Hissa Hai Is liye Sure Fatiha Ho Ya Koi Aur
Surah Jab Imam Padhe To Muqtadi Ko Khamosh Rehna Zaroori Hai.

Jo Ayat Hum Ne Pesh Ki Uske Bare Allama FAKHRUDDIN Razi Apni Kitab Tafsire Kabeer Me, Aur Ibne Kaseer
Ne Apni Tafsire Kasir Me, Aur Ibne Qidama Hambali Ne AL'MUGNI Me, Aur Khud Gair Muqallideen Ke Shaikhul
Islam IBNE Taymiyah Ne Apne Fatawa Me Likha Hai Ye Ayat Namaz Me Imam Ke Quran Padhne Ke Bare Me
Nazil Hui Hai.

open in browser PRO version Are you a developer? Try out the HTML to PDF API pdfcrowd.com
HADEES:

ABDULLAH BIN ABBAS Se Marwi Hai Huzoor Ne Farz Namaz Me Qirat Ki Aur Aapke Piche Aapke Sahaba Ne
Bhi Baland Awaz Se Qirat Ki Jisse Huzoor Ko Qirat Karne Gad-Bad Hui Phir Ye Ayat Nazil Hui.
(TAFSIRE KABEER Jild-4, Safa-500)

HADEES:

IBNE JAREER NE ABDULLAH BIN MASOOD Se Riwayat Kiya Hai Huzoor Ne Sahaba Ko Namaz Padhai
Aapne Suna Piche Kuch Log Bhi Quran Padh Rahe Hain To Aapne Salam Pherne Ke Bad Farmaya Kya Tum
Log Sochte Samajhte Nahi?
Dekho Jab Quran Padha Jaye To Use Gaur Se Suno Aur Khamosh Raho Jaisa Ki Tumhe Allah Ne Hukm
Farmaya.
(TAFSIRE KABEER, Jild-4, Page-501)

IBNE TAIMIYAH Gair Muqallideen Ke Peshwa Kehte Hain,


"Salf Se Shohrat Ke Saath Ye Baat Mash'hoor Hai Ki Ye Ayat (Sure Araf Ki Ayat-104) Namaz Me Qirat Ke Bare
Me Hi Hai Aur Imam Ahmad Bin Hambal Se Iska Ijma NAQL Kiya Hai Ye Ayat Namaz Me Quran Padhne Ke Bare
Me Hi Utri Hai.
(FATAWA IBNE TAIMIYA Jild-23, Safah-269)

Hazaron Lakhon Karodon Rehmaten Aur Salam Ho Sayyedna Imame Azam Abu Hanifa Radi'allahu Tala Anh Par
Jinho Ne Quran O Sunnat Ki Roshni Me Fiqhi Masayel Bayan Farmaye Aur Ummat Ke Tamam Deeni Mamlat Ko
Allah O Rasool Ki Marzi Ke Mutabiq Ada Karne Ki Taleem Ata Farmai.

Namaz Me MUQTADI Ko Imam Ke Piche Sure Fatiha Ya Koi Aur Surah Padhna Jayez Nahi Hai.

Gair Muqallideen Imam Ke Piche Sure Fatiha Padhne Par Bahot Zor Dete Hain Aur Chahte Hain Ki Sab Ki
Namazen Kharab Ho.

open in browser PRO version Are you a developer? Try out the HTML to PDF API pdfcrowd.com
Namazen Kharab Ho.

Imam Ke Piche Sure Fatiha Padhne Ke Jawaz Me Gair Muqallideen Ke Pas Kul 4 Hadisen Hain Kash Use Bhi
Wo Sahi Se Samajhte To Ye Bakwas Na Karte.

Aur Alhamdulillah Imam Ke Piche Sure Fatiha Na Padhne Par Hamare Pas Quran O Ahadees Aur Tafaseer Aur
AQWALE Sahaba Se 50 Se Zaa'id Daleelen Maujood Hain.

FARMANE MUSTAFA Sal'lallahu Alaihi Wasallam.

HADEES:

Hazrat Abu Musa Ashari Se Marwai Hai Ki Rasulullah Sal'lallahu Alaihi Wasallam Ne Hame Sikhaya Jab Tum
Namaz Ke Liye Khade Ho Aur Tum Me Ka Koi Imamat Kare Pas Jab Imam Qirat Kare To Tum Khamosh Raho.
{Musnade Imam Ahmad Bin Hambal, Jild-4, Safa-415}

HADEES:

Hazrat ABU HURAIRAH Riwayat Karte Hain Huzoor Ne Faramaya Ki Imam Isi Liye Banaya Gaya Hai Ki Uski
IQTEDA Ki Jaye Jab Wo Allahu Akbar Keh Kar Niyyat Bandhe To Tum Usi Tarah Niyat Bandho Lo Aur Jab Wo
Qirat kare To Tum Log Chup Raho.
{Sahi Muslim, Jild-1, Safa-174, Abu Dawood Jild-1, Safa-105, Ibne Majah Safa-61, Nisai Jild-1, Safa-146,
Musnade Imam Ahmad Bin Hambal, Jild-2, Safah-376}

Is Hadees Ka Hawala, Maine Hadis Ki 5 Mustanad Kitabon Se Diya Hai.

HADEES:

HAZRAT JABIR SE MARWI Hai Huzoor Ne Faramaya,


Jo Jamat Se Namaz Padhe Uske Liye Imam Ki Qirat Kaafi Hai.
{Motta Imam Mohammad Page-98, Tahawi Page-106, Kitabul Asaar Jild-1, Safa-170., Dare Qutni Jild-1, Safa-
open in browser PRO version Are you a developer? Try out the HTML to PDF API pdfcrowd.com
{Motta Imam Mohammad Page-98, Tahawi Page-106, Kitabul Asaar Jild-1, Safa-170., Dare Qutni Jild-1, Safa-
122, Musnade Imam Ahmad Bin Hambal Jild-3, Safa-339}

Lijiye 5 Mash'hoor Hadees Ki Kitabon Ke Hawale.

Alhamdulillah Summa Alhamdulillah Imam Azam Abu Hanifa Noman Bin Sabit Koofi Radi'allahu Tala Anh Ka
Maslake Haq Quran O Hadees Ka Nichod Aur Khusala Hai.

Imam Ke Piche Padhi Jane Wali Har Namaz Ka Yahi Hukm Hai Ki Usme Sure Fatiha Ya Koi Aur Surah Na Padhi
Jaye.

HADEES:

Huzoor Ne Zohar Ki Namaz Padhai Salam Pherne Ke Bad Farmaya Tum Me Kis Ne Surah SABBIHISMA
RABBIKAL ALA Padhi?
1 Shakhs Ne Kaha Mai Ne, To Huzoor Ne Ispe Farmaya Yaqinan Mujhe Malum Hua Ki Tum Me Se Baz Logo Ne
Mujh Se Quran Padhne Me Gad'Bad Kara Dee.
{Muslim Jild-1, Safa-172, Abu Dawood, Jild-1, Safa-136.,Nisai-1, Safah-176}

Is Hadis Ka Hawala Mai Ne 3 Sahi Hadis Ki Kitabon Se Diya Hai.

Isse Pata Chala Sirri Namaz Me Bhi Qirat Karna Mana Hai.

HADEES:

IBNE ABBAS Se Marwi Hai Huzoor Ne Farmaya Imam Ki Qirat Tumhare Liye Kafi Hai Chahe Imam Jaher (Zor Se
Padhna) Karta Ho Ya Sirr (Ahista Padhna) Dono Surton Me Kaafi Hai.
{UMDATUL QARI SHARAH BUKHARI Jild-6, Safa-12}

Hum Ahlesunnat O Jamat Yani Huzoor Aur Sahaba Ki Sunnat Par Chalne Wale Aur Ummat Ke Behtareen Afraad

open in browser PRO version Are you a developer? Try out the HTML to PDF API pdfcrowd.com
Hum Ahlesunnat O Jamat Yani Huzoor Aur Sahaba Ki Sunnat Par Chalne Wale Aur Ummat Ke Behtareen Afraad
Yani Sahabae Kiram Jinhe Zubane Nabuwwat Se Nujoome Hidayat (Hidayat Ke Tare) Kaha Gaya Unke Ijmai
Faislon Ko Manne Wale Hain.

Aaiye Sahaba Ke Farman Aur Unka Amal Dekhen Kya Wo Qirat KHALAFUL IMAM (Imam Ke Piche Quran
Padhna) Ke Qayel The?

"HAZRAT ZAID BIN SABIT"ATA Se Marwi Hai Unho Ne Hazrat Zaid Se Pucha Imam Ke Sath Qirat Ke Muta'alliq
Sawal To Aapne Jawab Diya Imam Ke Saath Kisi Chiz Me Qirat Na Ki Jaye.
{Sahi Muslim Jild-1, Safa-215, Musannaf Abdur Razzaq, Jild-2, Safah-137, Musannaf Ibne Abi Shaibah Jild-1,
Safah-376}

Is Me Sahi Muslim Ke Ilawa Musannaf Abdur Razzaq Ka Hawala Bhi Hai Jo ILME HADEES Ki Sab Se Pehli
Kitab Hai.

ABAADLAYE ARBAH (Char Abdullah Naam Ke Mash'hoor Sahabi) Me Se 1 Hazrat Abdullah Bin Masood.
Abu Wail Kehte Hain Hazrat Abdullah Bin Masood Se Imam Ke Piche Quran Padhne Ke Bare Me Pucha Gaya To
Aapne Farmaya.
Khamosh Raho Tumhare Liye Imam Ka Padhna Kaafi hai.
{Musannaf Abdur Razzaq Jild 2, Safa 138, Musannaf Ibne Abi Shaibah, Jild 1, Safah 376, Motta Imam
Mohammad, Safah100}

Shabi (‫ )ﺷﻌﺒﯽ‬Kehte Hain Mai Ne 70 BADRI Sahaba (Jange Badr Jo Islam Ki Pehli Jang Hai Usme Sharik Hone
Wale) Ko Paya Jo Imam Ke Piche Qirat Se Mana Karte The.
{RUHUL MUAANI Jild-, Safah-152}

Amirul Momineen Gaizul Munafiqeen Hazrat Umar Bin Khattab Ka Faisla,


"Jo Imam Ke Piche Quran Padhe Uske Muh Me Patthar Bhar Diya Jaye”
{MOTTA IMAM MOHAMMAD Safa-102}

open in browser PRO version Are you a developer? Try out the HTML to PDF API pdfcrowd.com
Hazrat Sad Bin ABI WAQAS Ke Faisla. Mera Jee Chahta Hai Jo Imam Ke Piche Qirat Karta Ho Uske Muh Me
Angarah Bhar Diya Jaye.
{ MOTTA IMAM MOHAMMAD Safa-101}

Alhamdulillah Is Faqeere Hanafi Ne Sirf Ise Masle QIRAT KHALAFUL IMAM Par Kai Daleele Pesh Kee.

Agar Gair Muqallideen 1 Sahi Marfoo Hadis Aisi Pesh Karen Jisme Qirat Ka Takeedi Hukm Huzoor Aur Khulafae
Rashedeen Ka Ho Aur Qirat Na Karne Wale Ko Waeed (Daraya Gaya) Ho To Wo Pesh Kare, Magar Yaad Rahe
Us Hadees Ka Sahi Hona Aur Hamari Pesh Kardah Ahaadees Ka Zaeef Hona Kisi Mohaddis Ke Qaul Se Na Ho
Balki Hadees Hi Se Ho To Ye Faqeere Hanfi Muh Manga Inaam Dega.

"Batil Se Dabne Wale Aye Asmaan Nahi hai Hum,


100 Baar Kar Chuka Hai Tu Imtehan Hamara"
(Dr.Iqbal)

Hum Hanafi Namaz Me Sure Fatiha Ke Bad Ahista Aameen Kehte Hain Aur Gair Muqallideen Zor Se.

Aur Silsile Me Wo Kuch Hadise Awam Ko Dikha Kar Ye Zahir Karna Chahte Hain Ki Hanfiyon Ki Namaz Durust
Nahi Hai, Is Tarah Bholi Bhaali Awam Asaani Se Unke Fareb Ka Shikar Ho Kar Hanfiyat Se Bad-Zann Hone Lagti
Hai.

Aaiye Is Maslae Aameen Ko Hum Puri Tarah Se Aapko Samjha Den Aur Dono Taraf Ki Dalilon Ka Ba-Nazre
AMEEQ Jayezah Len.

Lafz Aameen Ka Tarjama Hai "AISA HI HO" Aur Aameen 1 Dua Hai Aur Dua Ahista Honi Chahiye Iska Saboot
Quran O Hadees Se Pesh Hai.

Hazrat Musa Alaihissalam Ne Allah Ki Bargah Me Dua Kee, Jis Pe Hazrat Haroon Alaihissalam Ne Aameen
Kaha Ispe Quran Me Irshad Hua.

open in browser PRO version Are you a developer? Try out the HTML to PDF API pdfcrowd.com
Kaha Ispe Quran Me Irshad Hua.
"Tum Dono Ki Dua Qubool Hui"
{Para-11, Ruku-14, Sure Yunus Ayat-89}

Is Par Tafseer Ki Kitabon Me Aaya Hai.

Dar Asl Hazrat Musa Alaihissalam Dua Farma Rahe The Aur Hazrat Haroon Uspe Aameen Keh Rahe The Aur
Allah Pak Ne Hazrat Haroon Ki Aameen Ko Bhi Dua Kaha.
{TAFSIRE DURRE MANSOOR Jild-3, Safah-107.. TAFSIRE KHAZIN Jild-2, Safah-306, TAFSIRE IBNE
KASEER, Jild-1, Safah-31}

In Tasafeer Ko Gair Muqallideen Bhi Motabar Mante Hain Utha Kar Dekh Len.

Sahi Bukhari Me Hazrat ATAA Bin Abi Ribah Se Manqool Hai, Aameen 1 Dua Hai.
{Sahi Bukhari Jild-1, Safah-107}

Sabit Hua Ki Aameen Dua Hi Hai To Dua Ko Kis Tarah Mangana Chahiye Ye Bhi Hum Quran Se Hi Pata Karen.

QURAN:

Apne Rab Se Dua Karo Gid-Gidate Aur Ahistah Beshak Had Se Badhne Wale Use Pasand Nahi.
{Para-8, Ruku-14, Sure Araf Ayat-55}

Hazrat Zakriya Alaihissalam Jo Hazrat Maryam Ke Khalu Aur Allah Ke Nabi Hain Unki Dua Ka Haal Bayan Karte
Huye Quran Me Aaya Hai.

QURAN:

Aur Pukara Usne Apne Rab Ko Ahistah.


{Para-16, Sure Maryam Ayat-3}

open in browser PRO version Are you a developer? Try out the HTML to PDF API pdfcrowd.com
Aap Sahi Hadees Mangte Hain? Alhamdulillah Hum Ne Quran Se Hawale Pesh Kiye.

Imam Ke Sure Fatiha Pura Hone Par Imam Aur MUQTADI Sab Ko Ahista Aameen Kehna Chahiye, Is silsile Me
Hadeese Pak Ka Irshad Padhen.

HADEES:

ALQUMA Apne Walid Wa'il Bin Hujr Se Riwayat Karte Hain. Huzoor Ne Padha, GAIRIL MAGDUBI ALAIHIM
WALADDALEEN Aur Aapne Aameen Kaha Aur Aameen Kehne Me Awaz Ko Ahista Kiya.
{Tirmizi Sharif, Jild-1,Page-34}

Hadees:

Wa'il Bin Hujr Kehte Hain Mai Ne Huzoor Ke Saath Namaz Padhi Jab Aapne Waladdal'leen Kaha To Ahista Se
Aameen Kaha.
{Musnade Imam Ahmad Bin Hambal, Hadis No-18756}

Isse Pehle Hum Ne Quran Ka Hawala Diya Aur Aaj 2 Hadisen Pesh Kee, Aameen Bissir (Ahista Aameen Kehna)
Par.

Ab Aaiye Hum Gair Muqallideen Ka Haal Pata Karen, Jo Chilla Chilla Kar Masjidon Ka Sukoon Barbard Karte
Hain, Unke Pas Kya Daleel Hai?

Gair Muqallideen Zor Se Aameen Kehne Par Is Hadis Ko Pesh Karte Hain.
HADEES:

Wail Bin Hujr Se Riwayat Hai Huzoor Ne Waladdal'leen Padha To Aameen Kaha Aur Awaz Ko Baland Kiya Mera
Khayal Hai Ki Huzoor Hame Taleem De Rahe The.
{١٨۶- ‫ﺻﻔﺤ‬،٢-‫}اﻋﻼء اﻟﺴﻨﻦ ﺟﻠﺪ‬

open in browser PRO version Are you a developer? Try out the HTML to PDF API pdfcrowd.com
{١٨۶- ‫ﺻﻔﺤ‬،٢-‫}اﻋﻼء اﻟﺴﻨﻦ ﺟﻠﺪ‬

Is Hadis Ko Gair Muqallideen Aksar Pesh Karte Hain, Jab Ke Isi Hadis Me Rawi Ka Kehna Hai Huzoor Me
Taleem Dene Ke Liye Zor Se Aameen Kahi Taki Logo Ko Pata Chale Waladdal'leen Ke Bad Aameen Kehna
Chahiye.

Ye Hadis Taliman Thi Na Ki Hamesha Ka Hukm.

Iske Ilawa Bhi 2-4 Hadise Gair Muqallideen Pesh Karte Hain Unka Bhi Haal Dekhen.

Dare Qutni Aur Hakim Ne Hazrat Abu HURAIRAH Se In Alfaz Me Hadis Naql Ki, Jab Huzoor Sure Fatiha Ki Qirat
Se Farig Huye To Baland Awaz Se Aameen Kaha.

TEHQEEQ:

Is Hadis Me 1 Rawi Is'haq Bin Ibraheem Binil Ulaa Az'Zubaidi Hai, Siha Sitta Ke Mohaddiseen Ne Iski Riwayat Ko
Nahi Liya Imam Nisai Uske Bare Me Kehte Hain LAISA BI SIQAH ( ‫ )ﻟﯿﺲ ﺑﺜﻘ‬Ye Admi SIQAH Nahi Hai, Imam abu
Dawood Kehte Han LAISA BI SHAIYIN Ye Koi Chiz Nahi. Mohammad Bin Aof Taai Ne is Riwayat Ko Jhutlaya.
{TALEEQ, Jild-1,Safah-93. Bazalul Majhood Sharah Abu Dawood, Jild-2, Page-102}

Zor Se Aameen Kehne Par 1 Aur Hadees Gair Muqallideen IBNE MAJAH Ki Pesh Karte Hain,

Hazrat Abu Hurairah Kehte Hain Logo Ne Zor Se Aameen Kehna Chhod Diya Halaki Jab Huzoor Aameen Kehte
To Masjid Gonjne Lagti.
Is Hadis Me 1 Rawi Bishar Bin Rafe Hai Jiske Bare Me Imam Bukhari Kehte Hain LA YUTABEO FEE
HADEESIHI ( ‫ )ﻻ ﯾﺘﺎﺑﻊ ﻓﯽ ﺣﺪﯾﺜ‬Yani Hadis Me Koi Iska Itteba Nahi Karta, Imam Hambal Kehte Hain Ye Bishar Bin
Rafe Zaeef Hai, Imam Nisai Kehte Hain LAISA BIQAWWIYUN (Ye Mazboot Nahi Hai) Ibne Habban Kehte Hain
‫ ﯾﺮوی اﺷﯿﺎء ﻣﻮﺿﻮﻋﺔ‬Ye Shakhs Jhooti Hadis Bayan Karta Hai.
{Ba-Hawala.. TALEEQ Jild-1, Safah-94}

open in browser PRO version Are you a developer? Try out the HTML to PDF API pdfcrowd.com
Phir Padhiye Gaor Se Ye Hain Ahlehadis Hone Ka Dawa Karne Wale Ahlekhabiso Ko Haal Khud Jhooti Zaeef
Kamzoor Hadise Pesh Karte Hain Aur Hanfiyon Se Sahi Hadis Ka Mutalba Karte Hain.

Iske Ilawa Bhi Ye Jo Hadis Pesh Karte Hain Unka Yahi Haal Hai Magar Bechari Awam Nabi Ke Farman Ke Naam
Se Inke Fareb Me Aajati Hai.

Letifah- Jab Sure Fatiha Ke Bad Zor Se Aameen Kehna Bahot Zaroori Aur Sunnate Moakkedah Hi Hai Aapke
Nazdeek To Aap Log 4 Rakat Wali Namaz Jaise Isha Ki Usme Aap Bhi Shuru Ki 2 Hi Rakat Me Chilla Kar
Aameen Kehte Ho Aakhri 2 Rakat Me Ahista, Pata Chala Aap Bhi Aadhe Hanfi Ho.

Agar Zor Se Aameen Hi Sunnat Hai To 4ron Rakat Me Hona Chahiye Na Ki 2 Me Hi.

KHAS ELAN.
Tamam Gair Muqallideen Masla Aameen Pe 1 Sahi Hadis Pesh Kare Aur Hamari Pesh Kardah Hadison Ka Zof
Sabit Kare Aur Muh Manga Inam Is Faqeere Hanfi Kaleem Razvi Se Hasil Kare.

Mere AAQA Sarkar Alahazrat Mujaddide Deen O Millat Imam Ahamd Raza Khan Radi'allahu Tala Anh Kya Khoob
Farmate Hain,
"Soona Jangal Raat Andheri Chhaai Badli Kaali hai, Sone Walon Jagte Rahiyo Choron Ko Rakhwali Hai."

RAFA (Uthana) Yadain (Dono Hath)...

Namaz Shuru Karte Waqt Dono Hathon Ka Kaan Ki Lo Tak Tekbire Tehrima (Allahu Akbar) Kehte Huye Hath
Uthana Sab Ke Nazdeek MUTTAFAQUN ALAIH Masla Hai Isme Kisi Ka Ikhtelaf Nahi.

Lekin Ruku Me Jate Aur Ruku Se Uthte Huye Aur Tisri Rakat Ke Liye Uthte Huye Bhi Dono Haton Ko Uthana Hai
Ya Nahi?
Urfe Aam (Aam Bol Chal) Me Isi Ko Rafa Yadain Kehte Hain.

open in browser PRO version Are you a developer? Try out the HTML to PDF API pdfcrowd.com
Aur Yahi Wo Rafa Yadain Hai Jiska Hukm Mansookh Ho Chuka Hai.

Is Silsile Me Hum Hanfiyon Ke Pas Bahot See Ahadeese Pak Aur Aqwale Sahaba O Tabaeen Aur Ijmae Ummat
Se Bahot See Daleelen Maujood Hain, (ALHAMDULILLAH) Aur Jo Gair Muqallideen (Ahle Huggies) Pesh Karte
Hain Insha'allah Aage Me Hum Uska Bhi Bhar'poor Ilmi Jayzah Lege.

Tarke Rafa Yadain Par Hum Ahnaaf (Imam Azam Abu Hanifa Ke Muqallideen) Ke Pas Ye Sahi Hadisen Maujood
Hain.

HADEES:

ALQUMAH Se Marwi Hai Ki Hazart Abdullah Bin Masood Ne Farmaya Kya Mai Tume Rasoolullah Sal'lallahu
Alaihi Wasallam Ki Namaz Na Padhaon?
Pas Aap Ne Namaz Padhi To Usme Sirf Pehli Martabah Hi Apne Dono Hoton Ko Uthaya.
{Tirmizi Sharif, Jild-1, Safah-35. Musannaf Ibne Abi Shaibah, Jild-1, Page-236}

Dekhiye Huzoor Ka Amal Kya Tha? Hazrat Abdullah Ibne Masood Ne Bata Diya Ki Huzoor Rafa Yadain Nahi
Karte The.

Imam Tirmizi Is Hadees Ke Bare Me Farmate Hain Ye Hadees Hasan Hai.

Phir Imame Tirmizi Likhte Hain, Ahle ILM Sahaba O Tabaeen Me Se Bahot Se Hazraat Isi Ke Qayel The Ke Rafa
Yadain Na Kiya Jaye.

TEHQEEQ:

IBNE HAZAM ZAHERI Ne Apni Kitab Almohalla ( ‫ )اﻟﻤﺤﻠّﯽ‬Volume-4, Page-88 Pe Is Hadees Ko Sahi Likha Hai
Iske Ilawa Imame Ahmad Bin Hambal, Dare Qutni, Ibne Qatan, Ibne Daqeeq Malki, Aur Ahlehuggies Ke Peshwa
Ibne Taymiyah Aur Imame Nisai Ke Nazdeek Bhi Ye Hadees Sahi Hai.

open in browser PRO version Are you a developer? Try out the HTML to PDF API pdfcrowd.com
Ibne Taymiyah Aur Imame Nisai Ke Nazdeek Bhi Ye Hadees Sahi Hai.
{١٧٩- ‫ ﺻﻔﺤ‬،‫}ﮐﺸﻒ اﻟﻤﻌﻀﻼت‬

Lijiye Hum Ne Hadees Aur Uski Puri Tehqeeq Pesh Kee.

HADEES:

ALQUMAH Se Marwi Hai Wo Abdullah Bin Masood Se Riwayat Karte Hain Ke Rasulullah Sal'lallahu Alaihi
Wasallam Takbire Oola Me Hi Apne Dono Haton Ko Uthate Phi Nahi Othate The.
{Sharah Muaniyul Asaar, Jild-1, Page-110}

HADEES:

ABU HANIFAH (Imam Azam) Hammad Se Wo Ibraheem Nakhi Se Wo Aswad Se Riwayat karte Hain Ki Abdullah
Bin Masood Pehli Takbeer Me Hi Dono Hath Uthate Phir Iske Bad Kisi Waqt Nahi Uthate Aur Is Baat Ko Wo
Huzoor Se Naql Karte Hain.
{Musnade Imam Azam, Jild-1, Page-355}

Gair Muqallideen Musalmano Se 2-4 Maslon Me Hi Hamesha Ulajhte Rehte Hain Maloom Hota Hai Tamam Deen
Inhe 2-4 Maslon Me Hai.

Aur Khuda Ki Qudrat Dekhiye Unhi Masayel Me Inhe Muh Ki Khani Padti Hai Phir Bhi AQAL Thikane Nahi Aati.
"‫ﺮ ﺧﻮا ﯽ ﮐﻦ‬ ‫"ﺑ ﺣﯿﺎ ﺑﺎش وآﻧﭽ‬
Jab Tujhe Haya Na Rahe To Jo Chahe Kar, Hum Ne Taqriban Masayel Ko Quran Aur Sahi Hadees Se Sabit kiya
Jispe Ahnaaf (Hanfiyon) Ka Amal Hai.

Masala Rafa Yadain Ruku Me Jaate Aur Uthte Aur Tisri Rakat Me Khade Hote Waqt Dono Hatho Ko Uthana
Hadees Ke Khilaf Hai Aur Hum Ahnaaf Ka Amal Alhamdulillah Hadeese Pak Aur Sahaba Ke Amal Ke MUTABIQ
Hai.

open in browser PRO version Are you a developer? Try out the HTML to PDF API pdfcrowd.com
HADEES:

Abdullah Bin Umar Kehte Hain Mai Ne Rasulullah Sal'lallahu Alaihi Wasallam Ko Dekha Jab Aap Ne Namaz
Shuru Farmai, To Apne Dono Hathon Ko Uthaya Yahan Tak Ke Apne Kandhon Ke Barabar Kiya Aur Jab Rukoo
Me Jate Aur Sar Uthate To Apne Hatho Ko Nahi Uthate Na Dono Sajdon Ke Beech Uthate.
{Sahi Abu Awana, Jild-2, Safah-90}

TEHQEEQ:

Imam Abu Awanah Ne Hazrat Sufyan Bin Aynah ( ‫ )ﺳﻔﯿﺎن ﺑﻦ ﻋﯿﯿﻨ‬Tak Is Hadees Ki Kul 4 Sanaden Zikr Kee. Jinme
Se Chothi Sanad Imam Bukhari Ke Ustaz Imam Humaidi Ki Hai. Aur Ye Hadees Musnade Humaidi Me Inhi Alfaaz
Ke Saath Aai Hai.
{Musnade Humaidi, Jild-2, Safah-277, Hadis No-624}

HADEES:

Hazrat Bara Bin Aazib (‫ )ﺑﺮاء ﺑﻦ ﻋﺎزب‬Se Riwayat Hai Rasoolullah Sal'lallahu Alaihi Wasallam Namaz Shuru Karne
Ke Liye Apne Dono Haath Uthate, Yahan Tak Ke Aap Ke Dono Anguthe Dono Kano Ki Lo Ke Qareeb Ho Jate
Phir Iske Bad Hath Nahi Uthate.
{ABU DAWOOD, Jild-1, Safah-125, Musannaf Abdur Razzaq Jild-2, Safah-70, Musannaf Ibne Abi Shaibah, Jild-1,
Safah-236, Tahawi, Jild-1, Safah-110}

Is Silsile Me Bahot See Ahadees Hamare Pas Hai Par Itne Hi Par Bas Karta Hun."AQAL MAND RAA ISHARA
KAAFI AST"

Ab Zara Sahabae Kiram Jo Bargah Nabuwwat Ke Faiz Yaafta Hain Sab Ke Sab Aadil O Rashid Hain Unka Bhi
Amal Dekho Kyu Ki Hame Sahaba Ki Pairawi Ka Hukm Hua Hai.

Hazrat Abdullah Bin Abbas Farmate Hain, Wo 10 Sahaba Jinhe Huzoor Ne Dunya Hi Me Jannat Ki Basharat Dee,
Wo Log Shuru Namaz Me Hi Hath Uthate Phir Nahi Uthate.
open in browser PRO version Are you a developer? Try out the HTML to PDF API pdfcrowd.com
Wo Log Shuru Namaz Me Hi Hath Uthate Phir Nahi Uthate.
{Umdatul Qari Sharah Bukhari, Volume-5, Page-272}

Hazrat Aswad Kehte Hain Mai Ne Hazrat Umar Bin Khattab Ko Dekha Ki Unho Ne Pehli Takbeer Me Hi Hath
Uthaya Phir Nahi Uthaye.
{TAHAWI Jild-1, Safah-111}

Mazeed Bahot See Riwayaat Hain Magar Ahlesunnat Ahle'jannat Ko Ye Kaafi Hai.

Namaz Ka Masnoon Tariqa (Sunnat Ke Mutabiq) Aur Wo Masayel Jisme Ahlehuggis Hum Se Ulajhte Hain
Jaise,Be'gair Topi Ke Namaz Padhna, Tangon Ko Khoob Phailana, Hath Kandhon Tak Uthana, Hath Sine Pe
Bandhna, Imam Ke Piche Sure Fatiha Padhna. Zor se Aameen Kehna, Rafa Yadain Karna.
In Sab Masayel Ko Puri Tafseel Se Mai Ne Quran-O-Hadees Ki Roshni Me Bayan Kar Diya Hai.

Ab 2 Aur Masle Aise Hain Jisme Inka Ikhtelaf Hai Jise Mukhtsar Bata Kar Khtam Kar Raha Hun.

Namaz Ke Akhri Rakat Puri Hone Par Hum Jo BaithTe Hain Use Qadah Kehte Hai Jisme Attahiyat Aur Durood
Aur Dua Masoorah Padh Kar Hum Salam Pherte Hain.

Is Qade Me Baithne Ka Sunnat Tariqa Ye Hai Ke Ulta Pair Bichay Sidha Pair Khade Rakhe Aur Sidhe Pair Ki
5wo Ungliyan Qible Ki Taraf Ho, Aur Ulte Pair Pe Sureen (Chutad) Ko Rakhe.
Nigahen Daman Pe Ho Aur Dono Hath Ki Hateli Ghutno Ke Upar Ho Aur Sidhe Ho Aur Dono Hath Ki Ungliyon Ka
Rukh Qible Ki Taraf Ho.
Ahlehuggis Jab Baithe Hain To Dono Pairo Ko Bahar Nikal Kar Sureen Ke Bal Zameen Pe Baithe Hain Jaise Ki
Aurten Baithti Hai, Ye Sunnat Ke Khilaf Hai.

HADEES:

Wa'il Bin Hujr Kehte Hain Mai Ne Rasulullah Sal'lallahu Alaihi Wasallam Ke Piche Namaz Padhi, Jab Aap Qadah
Me Baithe To Apna Bayan (Ulta) Pair Bichaya Aur Usi Pe Baith Gaye, Riwayat Kiya Is Hadis Ko Saeed Bin

open in browser PRO version Are you a developer? Try out the HTML to PDF API pdfcrowd.com
Me Baithe To Apna Bayan (Ulta) Pair Bichaya Aur Usi Pe Baith Gaye, Riwayat Kiya Is Hadis Ko Saeed Bin
Mansoor Aur Tahawi Ne Aur Iski Sanad Sahi Hai.
{Asarus Sunan, Jild-1, Safah-123}

SAHABA KA AMAL: Abdullah Bin Umar Farmate Hain Namaz Me Sunnat Ye Hai Ki Aapka Sidha Paon Khada
Rakhe Aur Uski Ungliyan Qibla Rukh Ho Aur Ulta Pair Bicha Kar Uspe Baith Jaye.
{Sahi Bukhari Jild-1, Safah-114, Sunane Nisai, Jild-1, Safah-173}

Ye Sunnat Tariqa Hai Qade Me Baithne Ka.

Ab Attahiyat Me Jo Shahadat Ki Ungli Se Hum Ishara Karte Hain Wo Sirf 1 Martaba Hai Ahlehuggis Bar Bar Ungli
Se Ishara Karte Hai,
Jo Galat Aur Hadees Ke Khilaf Hai.

HADEEES:

Hazrat Abdullah Bin Zubair Se Riwayat Hai Huzoor Apni Ungli Se Ishara Karte Aur Use Harkat Nahi Dete.
{ABU DAWOOD, JILD-1, SAFAH-149... NISAI, JILD-1, SAFAH-187}

Ye Ho Gai Ahnaaf Ki Mukammal Namaz Hadees Se Sabit.

Allah Kareem Imame Azam Abu Hanifa Noman Bin Sabit Radi'allahu Tala Anh Ki Qabr Par Noor O Nikhat Ki
Barish Ata Farmaye Jinho Ne Is Ummat Pe Ahsane Azeem Farmay Ki Tamam Deeni Mamlat O Ibadaat Ko Theek
Sunnate Nabawi Ke Mutabiq Ada Karna Sikhaya.

Guzarish, Har Sunni Musalman Bhai Behen Ko Chahiye Ki Zaruriyare Deen Ko Apne Maslak Ke Ulma Se Sikhen.

Namaz Jab Sunnat Ke Mutabiq Hogi Tabhi Wo Qabool Hogi Is liye Hame Apni Namaz, Wazu, Gusl, Halal O
Haram Ki Jankari Rakhna Farz Hai Is liye Apne Shaher Ke Sunni Aalim Se Apni Namaz Ki Islah Kare.
Yaad Rakho Jo Ulma Ki Sohbat Me Nahi Baithte Wahi Log Wahabi/Deobandiyon Ke Makro Fareb Ka Shikar
Hote Hain..."Tammat Bil Khair"
open in browser PRO version Are you a developer? Try out the HTML to PDF API pdfcrowd.com
open in browser PRO version Are you a developer? Try out the HTML to PDF API pdfcrowd.com

You might also like