The Weeran Mahal

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 29

Weeran

Ma h a l
Payshkash:
Majlis Al-Madinah-tul-‘Ilmiyyah
(Shu’ba Islahi Kutub)

Nashir:
Maktaba-tul-Madinah Bab-ul-Madinah Karachi

www.dawateislami.net
ۡ ۡ   ٰ     ٰ    ۡ  ٰ ۡ    ٰ ۡ  ۡ
   ۡ     !  "                
ٰ ٰ ۡ   ٰ ۡ   ۡ   
() *ۡ 0    , ٰ 0ۡ       / 
ۡ $ ()*ۡ +    ,-
    !.  ,'   #$ %#& $#'

Kitab Perhnay ki Du’a


Deeni kitab ya Islami sabaq perhnay say pehlay zayl mein di hui
Du’a perh li-jiye        
  jo kuch perhain gay yaad rahay ga.
Du’a yeh hay:

َ ََ ۡ
ۡ‫ك َوان ۡ ُش‬ َ ۡ َ َ ۡ َ ۡ َّ ُ ّٰ َ
‫حكمت‬ ِ ‫اللهم افتح علينا‬
َ ۡ ۡ َ َ َۡ َ َ َ َ َ ۡ َ َ ۡ َ َ
‫ ِل وا!ِكرام‬#‫علينا رحتك يـا ذا ال‬
Terjama:
Ay Allah (     )! Hum per ‘ilm-o-hikmat kay darwazay khol day aur
hum per Apni rahmat naazil ferma! Ay ‘azamat aur buzurgi walay!
(Al-Mustatraf, vol. 1, pp. 40)


Note:
Awwal aakhir aik bar Durood Shareef perh lain.

ii
www.dawateislami.net
Weeran Mahal iii

Table of Contents

Kitab Perhnay ki Du’a ............................................................................. ii

Weeran Mahal...........................1
Durood Shareef ki fazeelat ............................................................................1
Hanstay bastay ghar maut nay weeran kar diye!........................................3
Qabil-e-muzammat kon? ..............................................................................4
Baans ka jhonpra (Hikayat) .....................................................................5
Faani makan ki sajawaten .........................................................................5
Buland makan zameen bos kar dia (Hikayat).....................................6
Mayri zindagi ka Maqsad hay Huzoor  ko manana...........................7
Pur-asrar patthar (Hikayat) .....................................................................8
‘Aql mand kay karnay ka kaam...............................................................9
Jab kisi Dunyawi shay say khushi haasil ho to…...............................9
Ba-ronaq ghar daykh kar ro paray (Hikayat) .................................. 10
Dosron ki maut ka tasawwur ..................................................................... 11
Dosron ki qabr ka tasawwur ...................................................................... 11
Apni sakaraat, maut, Ghusl-o-kafan, Janazah-o-qabr ka dar-naak
tasawwur ....................................................................................................... 12
Maut ki yaad dilanay waalay ash’aar......................................................... 13
Rotay rotay hichkiyan bandhi hui then (hikayat) ................................... 14
Maut ki yaad kion zaroori hay! ................................................................. 15
Mizaj pursi par ghashi ................................................................................ 16
Subh kis haal mayn ki? (hikayat)............................................................... 16
Aabad makan weeran ho jaen gay............................................................. 16
iii
www.dawateislami.net
Weeran Mahal iv

Dunya barbad ho kar rahay gi! .................................................................. 17


Aaj ‘amal ka moqa’ hay! ............................................................................. 17
Dunya Aakhirat ki tayyari kay liye makhsoos hay .................................. 18
Kafan kay 16 Madani phool ....................................................................... 19
Kafan pahnanay ki niyyat ........................................................................... 20
Mard ka masnoon kafan............................................................................. 20
kafan ki tafseel ............................................................................................. 21
Kafan pehnanay ka tareeqah ...................................................................... 22

iv
www.dawateislami.net
ۡ ۡ   ٰ     ٰ    ۡ  ٰ ۡ    ٰ ۡ  ۡ
   ۡ     !  "                
ٰ ٰ ۡ   ٰ ۡ   ۡ   
() *ۡ 0    , ٰ 0ۡ       / 
ۡ $ ()*ۡ +    ,-
    !.  ,'   #$ %#& $#'

Weeran Mahal1
Shayad nafs rukawat dalay magar aap ye risalah pora parh
kar apni aakhirat ka bhala kejiye


Durood Shareef ki fazeelat
Nabi-e-Akram   ٖ     ! # %
" $  ka farman-e-‘aalishan hay: “jis nay
mujh par din bhar mayn aik hazar durood e paak parhay wo us waqt
tak nahin maray ga jab tak Jannat mayn apni jagah na daykh lay.

َ ُ ٰ َ ٰ َ ُ ّٰ َّ َ َ ۡ *‫ا‬
َ َ ۡ ُّ َ
‫ * م َّمد‬1‫ ت َعا‬/‫ا‬ ‫صل‬ ‫الب ِ ۡيب‬ ‫صلو‬

Hazrat Sayyiduna Junayd-e-Baghdadi  


  ! # &" '
 ( bayan farmatay
hayn kay mayra ayk baar Kofah jana huwa, wahan ayk sarmayah-
dar kay ‘aalishan mahal par nazar pari jis say ‘aysh-o-tana’um

1
Ye bayan Ameer-e-Ahl-e-Sunnat     " )" !"  * + , - . / nay ‘aashiqan-e-Rasool ki Madani
Tahreek, Dawat-e-Islami kay 3 din kay bain-aqwami Sunnaton bharay ijtimaa’ (21, 22,
23, Sha’ban-ul-Mu’azzam 1424 Hijri, 17-18-19 october 2003 Itwar Multan Shareef)
mayn farmaya tarmeem-e-izafay kay sath tahreeran haazir-e-khidmat hay.

1
www.dawateislami.net
Weeran Mahal 2

khoob jhalak raha tha, darwazay par ghulamon ka jhurmut tha aur
aik khush gulo kaneez ye naghmah aalaap rahi thi:

 ۡ ۡ  ۡ ۡ  
6#' 78  #  ; <= 3 4 
19 : 6> ?ۡ 0 12  3 4 5 #3 4

Yani aye makan! Tujh mayn kabhi gham daakhil na ho aur tayray
andar rahnay waalon ko zamanah kabhi bhi paamal na karay

Kuch ‘arsay ba’d mayra phir us mahal say guzar huwa to us kay
darwazay par siyahi chha rahi thi, naukar chakar ghaib thay aur us
Weeran Mahal par boseedagi-o-shikastagi kay aasar numayan thay,
zaban-e-haal muroor-e-zamanah kay hathon us ki na-payedari
zaahir kar rahi thi, fana kay qalam nay us ki diwaron par aaraish-o-
zaybaish ki jagah barbadi-o-ibrat ko ibadarat kar dia tha aur ab
wahan khushi-o-masarrat kay bajaye fana ki lay mayn ranj-o- wahshat
ka naghmah gonj raha tha! Mayn nay us mahal ki wahshat-angayz
weerani kay baray mayn daryaft kiya to ma’loom huwa kay sarmayah
dar mar gaya, khuddam rukhsat ho gaye, bhara ghar ujar gaya,
‘azeem-ush-shan mahal weeran ho gaya, jahan har waqt logon ki
aamad-o-raft say ronaq rahti thi ab wahan sannata chha gaya.

Hazrat Sayyiduna Junayd-e-Baghdadi    ! # &" '


 ( farmatay hayn:
mayn nay us Weeran Mahal ka darwazah khatkhataya to ayk
kaneez ki naheef (yani kamzoor) aawaz aai, mayn nay us say
pochha: Is mahal ki shan-o-shaukat aur is ki chamak damak kahan
gai? Is ki roshni, is kay jagmag jagmag kartay qumqumay kia huye?
Aur is mayn basnay waalon par kiya beeti? Mayray istifsar par woh
borhi kaneez ashk baar ho gai aur us nay Weeran Mahal ki dastan
gham-e-nishan sunana shuru’ ki aur kaha: Is kay makeen (yani
rahnay waalay) ‘aarzi taur par yahan rihaish pazeer thay, in ki
taqdeer nay in ko qasr (yani mahal) say qabr mayn muntaqil kar

www.dawateislami.net
Weeran Mahal 3

dia. Is Weeran Mahal mayn rahnay waalay har fard e khush haal
aur is kay saray asbab-o-maal ko zawal lag gaya, aur ye koi nai baat
nahin, dunya ka to yahi dastor hay kay jo bhi is mayn aata aur
khushyon ka ganj pata hay bil-aakhir woh maut ka ranj pata aur
weeran qabristan mayn pohanch jata hay, jo is dunya say wafa karta
hay ye us kay sath bay-wafai zaroor karti hay. Mayn nay us kaneez
say kaha: aik baar mayn yahan say guzar raha tha to is kay andar aik
kaneez ye naghmah ga rahi thi:

 ۡ ۡ  ۡ ۡ  
6#' 78  #  ; <= 3 4 
19 : 6> ?ۡ 0 12  3 4 5 #3 4

Yani aye makan! Tujh mayn kabhi gham daakhil na ho aur tayray
andar rahnay waalon ko zamanah kabhi bhi paamal na karay

Woh kaneez bilak bilak kar ronay lagi aur boli: Woh bad-naseeb
gulukarah mayn hi hon, is Weeran Mahal kay makeenon mayn say
mayray siwa ab koi zindah nahin raha. Phir us nay ayk aah-e-sard
dil-e-pur-dard say khaynch kar kaha: Afsoos hay us par jo ye sab
kuch daykh kar bhi (faani) dunya kay dhokay kay mayn mubtala
rahtay huye apni maut say ghaafil ho jaye. (Raud-ur- Riyahin, pp. 204)

Hanstay bastay ghar maut nay weeran kar diye!


Meethay meethay Islami bhaiyo! ‘Weeran Mahal’ ki hikayat apnay
makeenon (yani is mayn rahnay waalon) kay fana kay haathon
maut kay ghaat utarnay ka kaysa ibrat-nak manzar paysh kar rahi
hay! Aah! Woh log faani dunya ki aasaishon kay baais masroor o
shaadman, zawal-o-fana say bay-khauf, maut kay tasawwur say bay-
parwa, lazzaat-e-dunya mayn badmast thay. Is dar-e-napayedar
mayn yakayak maut say hamkanar honay kay andayshay say na-
balad, pukhtah-o-umdah makanaat ki ta’meerat karnay, in ko
deedah-zayb ashya say muzayyan (decorate) karnay mayn masroof

www.dawateislami.net
Weeran Mahal 4

thay, qabr kay andhayron aur is ki wahshaton say bay-niyaz jagmag


jagmag karti qindeelon aur qumqumon say apnay makanon ko
roshan karnay mayn mashghool thay, ahl-o-‘ayaal ki ‘aarzi unsiyyat,
doston ki waqti musahabat aur khuddam ki khushamadanah
khidmat kay bharam mayn qabr ki tanhai ko bhoolay huye thay.
Magar aah! Fana ka baadal yakayak garja, maut ki aandhi chali aur
dunya mayn ta-dayr rahnay ki un ki ummeeden khaak mayn mil
kar rah gaen, in kay masarraton aur shaadmaniyon say hanstay
bastay ghar maut nay weeran kar diye, roshniyon say jagmagatay
qusoor (yani mahallaat) say ghup andhayri quboor mayn unhen
muntaqil kar dia gaya. Aah! Woh log kal tak ahl-o-‘ayaal ki ronaqon
mayn shaadan-o-masroor thay aur aaj quboor ki wahshaton aur
tanhaiyon mayn maghmoom o ranjoor hayn.

Ajal nay na Kisra hi chhora na Dara


Isi say Sikandar sa Faatih bhi hara

Har ik lay kay kia kia na hasrat sidhara


Para rah gaya sab yonhi thath sara

Jagah ji laganay ki dunya nahin hay


Ye ‘ibrat ki jaa hay tamasha nahin hay

Qabil-e-muzammat kon?
Is hikayat kay aakhir mayn kaneez ki naseehat mayn bhi ‘ibrat kay
bay-shumar Madani phool hayn, magar afsoos hay us par jo dunya
ki nayrangiyan (yani farayb-kaariyan) daykhnay kay ba-wajood bhi
is kay dhokay mayn mubtala aur maut say yaksar ghaafil ho jaye.
Waqi’e jo dunyawi zindagi kay dhokay mayn par kar apni maut aur
qabr-o-hashr ko bhool jaye aur Allah Pak ko raazi karnay kay liye
‘amal na karay, nihayat hi qaabil-e-muzammat hay. Is kay dhokay
say bachnay ki hamayn hamara Allah Kareem khud tanbeeh farma

www.dawateislami.net
Weeran Mahal 5

raha hay. Chuna-chay Parah 22 Surah Faatir ki Aayat number 5


mayn irshad hota hay:

@ @      >  ٰ  @   
#! G  !ٰ HI /JGK LM & N0 DEF   6  A#9 #B 3#3C

Tarjama-e-Kanz-ul-Iman: Aye logo! Bay-shak Allah ka wa’dah


sach hay to hergiz tumhen dhoka na day dunya ki zindagi.

Baans ka jhonpra (Hikayat)


Meethay meethay Islami bhaiyo! Yaqeenan jo maut aur is kay
ba’d walay mu’amlaat say aagah hay woh dunya ki rangeeniyon aur
is ki aasaishon kay dhokay mayn nahin par sakta. Hazrat Sayyiduna
Wuhaib Bin Ward    ! # &" '
 ( farmatay hayn: Hazrat Sayyiduna
Nooh 01 2    nay ayk saadah say baans kay jhonpray mayn rihaish
ikhtiyar farmai. ‘Arz ki gai: behtar tha kay aap koi umdah makan
ta’meer farma laytay. Farmaya: jis nay is say chalay jana hay us kay
liye ye bhi bahut hay. (Tareekh-e-Dimashq, vol. 62, pp. 280)

Faani makan ki sajawaten


Afsoos! Musalmanon ki aik ta’dad maut ki janib ‘adm-e-tawajjuh
kay sabab aaj dunya mayn umdah umdah makanaat ki ta’meeraat
mayn munhamik (yani bay-intihaa masroof) nazar aa rahi hay.
apnay makanaat ko English tiled bath, American kitchen, Marble-
Flooring, Wardrobe, Grille-Work, Wood-Work, Extrawork say to
khoob sajaya jaa raha hay magar naykiyon kay zaree’ay apni qabr ki
sajawat ki taraf koi tawajjuh nahin. Ayk ‘arabi shaai’r nay kis qadr
dard bharay andaz mayn hamen samjhanay ki koshish ki hay,
mulahazah ho:

www.dawateislami.net
Weeran Mahal 6

@   @         P    @   @  
MK@ O 
 !@ =  V0#
S  W XY Z U  Q#
 + 1R!$ S93T
@  @      P  @   @ 
^ @  #$ U0 _ G`a& ٖ $   ]# #34 S  G#[ ,'
  g      @ 
S!@   d  @   e@  f :Q S!@  d  @   ; ,> B MK@ b cK@ O 
@   n &
   @     ٰ 
^ @    5#= ' m lK b  $ M kP h& 5 D ij &

Ash’aar ka Tarjama:
1. (Dunya ki haqeeqat aur Aakhirat ki ma’rifat (yani pahchan)
say) jahalat ki bina par to apnay makan ko zeenat daynay aur
sirf isi ko aabad karnay mayn laga huwa hay. aur (tayray
marnay kay ba’d) shayad tayra ghayr is makan ka Maalik ho
2. Jis ko ayyaam (ki gaari qabr ki taraf) khaynchti chali jaa rahi
hay wo goya maut say mil chuka (yani bahut jald mar jaye ga
3. Aur aadami (Dunyawi maqasid kay husool mayn) ummeed o
raja kay phanday mayn giriftar rahay halankay in hi jhooti
ummeedon mayn is ki halakat posheedah hay
4. Us jawan ka ajr Allah Paak (kay zimmah e karam) par hay jis
nay apnay (qabr o Aakhirat kay) mu’amlay ki Tadbeer ki aur
subh o shaam ki tayyari karnay mayn jaldi ki.

Buland makan zameen bos kar dia (Hikayat)


Sarkar   ٖ     ! # %
" $  ko umdah makanaat say kis qadr bay-
raghbati thi is baat ko ‘Abu Dawood Shareef) ki is riwayaat say
samajhnay ki koshish kejiye! Chunachay Hazrat Sayyiduna Anas
ٖ %
" 3    ! #
" 4  ( say riwayat hay kay aik din Rasoolullah     
  ! #
" $ 
kahen tashreef lay gaye ham bhi sath hi thay kay Tajdar-e-Risalat
  ٖ   
  ! # %
" $  nay aik buland imarat mulahazah ki to farmaya: ye
kia hay? ‘arz ki gai: ye fulah Ansari ki hay. (Ye sun kar) Huzoor # %
" $ 
  ٖ   
  ! khamosh ho gaye aur ye baat qalb e athar mayn rakh li.

www.dawateislami.net
Weeran Mahal 7

Hatta kay us imarat ka Maalik haazir huwa aur us nay Aap   ! # %
" $ 
  ٖ   ko (logon ki maujoodgi mayn) salaam ‘arz kia, Sarkar
  ٖ   
  ! # %
" $  nay us say i’eraaz kia, us (Ansari) any ye ‘amal kai
martabah kia yahan tak kay us (Ansari) shakhs nay apnay baaray
mayn na-raazi (ka izhar) aur i’eraaz jaan lia to us nay Janab-e-
Risalat   ٖ     ! # %
" $  kay As`hab say ye kayfiyat bayan kartay
huye kaha: Khuda ki qasm! Mayn Rasoolullah   ٖ     ! # %
" $  ko
na-raaz paata hon. Sahabah-e-Kiram )" 3   ! # " 4
 ( nay farmaya kay
Sarkar-e-Madinah   ٖ     ! # %
" $  tashreef lay gaye thay to tumhari
imarat daykhi. (Yani hamara andazah yahi hay kay tum say narazi
ka sabab tumhari ta’meer kardah buland imarat hay. ye sun kar)
woh (Ansari) apni imarat ki taraf lautay aur usay dhaa kar zameen
bos kar dia. (Abu Dawood, vol. 4, pp. 460, Hadees 5237)

Mayri zindagi ka Maqsad hay Huzoor  ko manana


Meethay meethay Islami bhaiyo! Ye hay Hazraat-e-Sahabah-e-
ٖ %
Kiram )" 3   ! # " 4  ( ka ‘ishq-e-Rasool     
  ! #
" $  . Mufassir e
Shaheer Hazrat-e-Mufti Ahmad Yar Khan    ! # &" '  ( is Hadees-e-

Pak kay tahat farmatay hayn: Mustafa Jaan-e-Rahmat ٖ     ! # %
" $ 
  nay inhen na to imarat dhanay ka hukm dia aur na hi ye

farmaya kay is tarah ki imarat banana jaaiz nahin, un Sahabi ko sirf


andazah hi huwa kay shayad Tajdar-e-Nubuwwat   ٖ     ! # %
" $  is
imarat kay sabab mujh say na-raaz ho gaye hayn, to in ka ye zehan
bana kay ye imarat mayray aur Mahboob kay darmiyan rukawat
ban gai lihaza usay dhaa dia. Is dhanay mayn maal ko barbad karna
nahin aur na hi ye fuzool kharchi hay balkay asl maqsood Mahboob
ko manana hay, agar imarat dhanay say Allah Paak kay Piyaray
Nabi   ٖ     ! # %
" $  raazi ho jaen to yaqeenan yaqeenan yaqeenan
soda nihayat hi sasta hay, Janab-e-Khaleel 01 2    to Riza-e-Ilahi
     kay liye farzand zabh karnay kay liye tayyar ho gaye thay.

www.dawateislami.net
Weeran Mahal 8

Hazrat Sayyiduna Isa’eel Zabeehullah


(Mirat-ul-Manajee, vol. 7, pp. 21)
01 2
    kay zabh say muta’lliq Qurani waaqi’ah mash`hoor-e-

ma’roof hay. Ye inhayn Hazraat 01 2  5 )   kay sath khaas tha ab koi
khuwab waghayrah mayn hukm paa kar apni aulad ko zabh nahin
kar sakta, agar karay ga to qaatil aur Jahannam ka haq-dar thahray
ga.

Nahin chahta hukoomat nahin saltanat hay paana


Mayri zindagi ka Maqsad hay Huzoor ko manana

َ ُ ٰ َ ٰ َ ُ ّٰ َّ َ َ ۡ *‫ا‬
َ َ ۡ ُّ َ
‫ * م َّمد‬1‫ ت َعا‬/‫ا‬ ‫صل‬ ‫الب ِ ۡيب‬ ‫صلو‬

Pur-asrar patthar (Hikayat)


Hazrat Sayyiduna Abu Zakariyya Taimi    ! # &" '( farmatay hayn:
Khaleefah Sulayman Bin ‘Abdul-Malik Masjid-e-Haraam Shareef
mayn maujood tha kay us kay paas aik patthar laya gaya jis par koi
tahreer kandah thi. Us nay aysay shakhs ko bulanay ka kaha jo is ko
parh sakay. Chuna-chay mash`hoor Taabi’i Buzurg Hazrat
Sayyiduna Wahab Bin Munabbeh    ! # &" '
 ( tashreef laye aur usay

parha, is par likha tha: ‘Aye Ibn-e-Aadam! Agar to apni maut kay
qareeb honay ko jaan lay to lambi lambi ummeedon say kanarah
kashi ikhtiyar kar kay apnay nayk amal mayn ziyadati ka saman
karay aur hirs-o-laalach aur dunya kamanay ki tadbeeren kam kar
day. (Yaad rakh!) agar tayray qadam phisal gaye to Roz-e-Qiyamat
tujhay nadamat ka saamna ho ga, tayray ahl-o-‘ayaal tujh say bay-
zar ho jaen gay aur tujhay takleef mayn mubtala chhor den gay,
tayray maan baap aur ‘azeez-o-ahbab bhi tujh say juda ho jaen gay,
tayri aulad aur qareebi rishtay-dar tayra sath na den gay. Phir to
laut kar dunya mayn aa sakay ga na naykiyon mayn iazafah kar

www.dawateislami.net
Weeran Mahal 9

sakay ga. pas us hasrat-o-nidamat ki saa’at say pahlay aakhirat kay


liye amal kar lay.’

Woh hay ‘aysh o ‘ishrat ka koi mahal bhi


Jahan taak mayn har ghari ho ajal bhi

Bas ab apnay is jahl say to nikal bhi


Ye jeenay ka andaz apna badal bhi

Jagah ji laganay ki dunya nahin hay


Ye ‘ibrat ki jaa hay tamashah nahin hay

‘Aql mand kay karnay ka kaam


Meethay meethay Islami bhaiyo! ‘Aql mand ko chahiye kay wo
apni guzashtah zindagi ka jaaizah lay, apnay gunahon par naadim
ho kar in say sachi taubah karay, ziyadah dayr zindah rahnay ki
ummeed kay dhokay mayn na paray balkay qabr o Aakhirat ki
tayyari kay liye fauran nayk a’maal mayn lag jaye, daulat-o-maal aur
ahl-o-‘ayaal ki mahabbat mayn na naykiyan chhoray na gunahon
mayn paray kay in sab ka sath to dam bhar ka hay aur naykiyan
qabr-o-aakhirat balkay dunya mayn bhi kaam aaen gi.

‘azeez, ahbab, saathi, dam kay hayn, sab chhot jatay hayn
Jahan ye taar tota, saray rishtay tot jatay hayn

Jab kisi Dunyawi shay say khushi haasil ho to…..


Meethay meethay Islami bhaiyo! Aysi fikr e Aakhirat usi waqt
haasil ho sakti hay jab kay ham maut ko har waqt apni aankhon kay
samnay rakhen aur is dar-fana (yani khatm honay janay waali

www.dawateislami.net
Weeran Mahal 10

dunya) ki faani ashyaa ki dil mayn kuch waq’at (yani qadr o


manzilat) hi na samjhen, balkay jab bhi is dunya ki kisi cheez ko
daykh kar khushi haasil ho to fauran ye baat yaad karen kay ye
cheez ‘anqareeb mujhay chhor day gi ya khud mujhay isay kar jana
par jaye ga.
Jab is bazm say uth gaye dost aksar
Aur uthtay chalay jaa rahay hayn barabar

Ye har waqt paysh-e-nazar jab hay manzar


Yahan par tayra dil bahalta hay kion kar

Jagah ji laganay ki dunya nahin hay


Ye ‘ibrat ki jaa hay tamasha nahin hay

Ba-ronaq ghar daykh kar ro paray (Hikayat)


Hazrat Sayyiduna Ibn-e-Mutee’    ! # &" '
 ( nay aik din apnay ba-
ronaq ghar ko daykha to khush ho gaye magar fauran rona shuru’
kar dia aur farmaya: ‘Aye khoob surat makan! Allah      ki qasm!
Agar maut na hoti to mayn tujh say khush hota aur agar aakhir-kar
tang qabr mayn jana na hota to dunya aur is ki rangeeniyon say
mayri aankhen thandi hoten.’ Ye farmanay kay ba’d is qadr roye
kay hichkiyan bandh gaen. (Ittihaf-us-Saaddah lil Zubaydi, vol. 14, pp. 32)

‘Meethay meethay Islami bhaiyo! Kamyab-o-‘aql mand wahi


hay jo dosron ko marta daykh kar apni maut yaad karay aur qabr-o-
aakhirat ki tayyari kar lay. Jaysa kay Hazrat Sayyiduna Ibn-e-
Mas’ood " 3    ! "# 4
 ( farmtay hayn:
ۡ   
"lY n$ p  ,ۡ ' !ۡ   "
Yani sa’adat mand woh hay jo dosron say naseehat haasil karay.
(Aidan)

www.dawateislami.net
Weeran Mahal 11

Dosron ki maut ka tasawwur


Ghaflat kay sath maut ko yaad karnay say ye sa’adat haasil nahin ho
gi kay is tarah to insan hamayshah janazay daykhta hi rahta hay aur
kabhi kabhi mayyit ko apnay haathon say qabr mayn bhi utarta hay.
maut ka tasawwur is tarah kejiye kay tanhai mayn dil ko har tarah
kay Dunyawi khayalaat say paak kar kay apnay un doston aur
rishtay-daron ko yaad kejiye jo wafaat paa chukay hayn, tasawwur
hi tasawwur mayn un faut shudgan mayn say baari baari har aik ka
chahrah samnay layiye aur un kay hasb-e-haal khayal kejiye kay wo
kis tarah dunya mayn apay apnay mansab-o-kaam mayn mashghool,
lambi lambi ummeeden baandhay Dunyawi ta’leem kay zaree’ay
mustaqbil ki behtari kay liye koshan thay aur aysay kaamon ki
tadbeer mayn lagay thay jo shayad saalha saal tak mukammal na ho
saken, Dunyawi karobar kay liye koshishon mayn masroof thay, isi
ki aasaishen inhen mahboob aur isi ka aaram inhen marghoob tha.
Woh yon zindagi guzar rahay thay goya inhen kabhi marna hi
nahin, maut say ghaafil, khushyon mayn bad-mast aur khayl
tamashon mayn har dam magan thay. In kay kafan bazar mayn aa
chukay thay laykin woh is say bay-khabar dunya ki rangeeniyon
mayn gum thay. Aah! Isi bay-khabari kay ‘aalam mayn yakayak
inhen maut nay aa liya aur woh andhayri qabron mayn utar diye
gaye. In kay maan baap gham say nidhaal ho gaye, in ki baywaen
bay-haal ho gaen, in kay bachay bilaktay rah gaye, mustaqbil kay
Haseen khuwabon ka aainah chakna chor ho gaya, ummeedayn
malya-mayt ho gaen, in kay kaam adhoray rah gaye, dunya kay liye
in ki sab mahnaten raaigan gaen.

Dosron ki qabr ka tasawwur


Is tasawwur kay ba’d ab in ki qabr kay halaat kay baray mayn ghaur
kejiye in kay badan kaysay gal sar gaye hon gay, aah! In kay Haseen
chahray kaysay maskh ho kar bigar chukay hon gay, woh khilkhila

www.dawateislami.net
Weeran Mahal 12

kar hanstay thay to munh say phool jhartay thay, magar aah! Ab in
kay woh chamkeelay khobsurat daant jhar chukay hon gay aur
munh mayn peep par gai ho gi, in ki moti moti dilkash aankhen
ubal kar rukhsaron par bah gai hon gi, sanwar sanwar kar rakhay
huye in kay raysham jaysay baal jhar kar qabr mayn bikhar gaye
hon gay, in ki bareek uonchi khobsurat naak mayn keeray ghus
gaye hon gay, in kay gulab ki pankhariyon ki maanind patlay patlay
naazuk honton ko keeray kha rahay hon gay. Woh nanhay nanhay
bachay jin ki titli baaton say ghamzadah dil khil uthtay thay qabr
mayn in ki zabanon par keeray chimtay hon gay, nu-jawanon kay
qaabil-e-rashk tawana, warzish jism mayn mil gaye hon gay, in kay
tamam jor alag alag ho chukay hon gay.

Apni sakaraat, maut, Ghusl-o-kafan, Janazah-o-qabr ka dar-


naak tasawwur
Ye ‘tasawwur’ karnay ba’d ye sochye kay aah! Yay haal ‘anqareeb
mayra bhi honay waala hay, mujh par bhi naza’ (sakaraat) ki
kayfiyyat taari ho gi, haye!! Naza’ ki sakhtiyan! Maut ka aik jhatka
talwar kay hazar-war say sakht ho ga!!! Aankhen chhat par lagi hon
gi, ‘azeez-o-aqaarib jama’ hon gay, maan ‘mayra laal, mayra laal’
kah rahi ho gi, baap mujhay ‘bayta bayta’ kah kar pukar raha ho ga,
behnen ‘bhaiya bhaiya’ ki sadaen laga rahi hon gi. Chahnay walay
aahen aur siskiyan bhar rahay hon gay, phir isi cheekh-pukar kay
pur hol mahool mayn rooh qabz kar li jaye gi. ‘Azeezon mayn
kuhram mach jaye ga, koi aagay barh kar mayri aankhen band kar
day ga, mujh par kapra urha dia jaye ga. phir ghassal ko bulaya jaye
ga, mujhay takhtay par lita kar Ghusl diya jaye ga aur kafan
pehnaya jaye ga, aah-o-fughan kay shour mayn ghar say mayra
Janazah rawanah ho ga, mayn nay jis ghar kay andar saari umr

www.dawateislami.net
Weeran Mahal 13

basar ki, kal tak jinhon nay naaz uthaye, aaj wahi mayra Janazah
utha kar qabristan ki taraf chal paren gay, mujhay tanha chhor kar
sab kay sab palat jaen gay, mayra dil behlanay kay liye koi bhi
wahan na thahray ga. haye! Haye! Phir qabr mayn mayra jism galna
saran shuru’ ho jaye ga, isay keeray khana shuru’ kar den gay, wo
keeray pata nahin mayri seedhi aankh pahlay khaen gay ya kay ulti
aankh, mayri zaban pahlay khaen gay ya mayray hont, haye! Haye!
Mayray badan par kis qadr aazadi kay sath keeray rayng rahay hon
gay, naak, kaan aur aankhon waghayrah mayn ghus rahay hon gay.
Yon apni maut aur qabr kay halaat ka baari baari tasawwur
bandhye, qabar kay dabanay Munkar Nakeer ki aamad, in kay
suwalaat aur qabr kay ‘azabaat kay khayalaat dil mayn laiye aur
apnay aap ko in paysh aanay walay mu’amlaat say daraiye. Is tarah
maut ka tasawwur karnay say          dil mayn maut ka ihsaas
payda ho ga, naykiyan karnay aur gunahon say bachnay ka zehan
banay ga, maut ko yaad karnay kay liye maheenay mayn kam az
kam aik baar andhayra kar kay ya tanhai mayn isi Weeran Mahal
naami bayan ka cassette sunna neez ye ash’aar parhna sunna
         bay-had mufeed rahay ga.

Maut ki yaad dilanay waalay ash’aar


Qabr rozanah ye karti hay pukar
Mujh mayn hayn keeray makooray bay-shumar
Yaad rakh mayn hon andhayri kothri
Tujh ko ho gi mujh mayn sun wahshat bari
Mayray andar to akayla aaye ga
Haan magar a’amaal laytay aaye ga

www.dawateislami.net
Weeran Mahal 14

Narm bistar ghar pay hi rah jaen gay


Tujh ko farsh e khaak par dafnaen gay
Ghup andhayri qabr mayn jab jaye ga
Bay-amal! Intihaa ghabraye ga
Kaam maal o zar nahin kuch aaye ga
Ghaafil insan yaad rakh pachhtaye ga
Jab tayray saathi tujhay chhor aaen gay
Qabr mayn keeray tujhay kha jaen gay
Qabr mayn tayra kafan phat jaye ga
Yaad rakh naazuk badan phat jaye ga
Tayra ik ik baal tak jhar jaye ga
Khoob-sorat jism sab sar jaye ga
Aah! Ubal kar aankh bhi bah jaye gi
Khaal udhar kar qabr mayn rah jaye gi

Saanp bichhu qabr mayn gar aa gaye!


Kia karay ga bay-amal gar chha gaye

َ ُ ٰ َ ٰ َ ُ ّٰ َّ َ َۡ *
َ َ ۡ ُّ َ
‫ * م َّمد‬1‫ ت َعا‬/‫ا‬ ‫صل‬ ‫الب ِ ۡيب‬ ‫صلوا‬

Rotay rotay hichkiyan bandhi hui then (hikayat)


Meethay meethay Islami bhaiyo! Hamaray Buzurgan-e-Deen "    " )" '
 (

  ! maut-o-qabr-o-Aakhirat ko paysh-e-nazar rakha kartay thay,
yahi wajah hay kay woh gunahon say mujtanib (yani dor) aur
naykiyon par musta’id (yani tayyar) rahtay aur is dar-e-fana ki
‘aarzi lazzaton mayn munhamik ho kar mutmain ho janay kay

www.dawateislami.net
Weeran Mahal 15

bajaye khauf-e-Khuda say giryah kanaa rahtay. Chunachay Hazrat


Sayyiduna Yazeed Raqashi    ! # &" '  ( farmatay hayn kay ham
Hazrat ‘Aamir Bin ‘Abdullah    ! # &" '( kay paas haazir huye. Rotay
rotay un ki hichkiyan bandhi hui then, ham nay sabab-e-giryah
daryaft kia to farmanay lagay: Mujhay us taweel tareen) raat ka
khauf rula raha hay jis ki subh Yaum-e-Qiyamat hay, yani qabr ki
raat jonhi khatm ho gi Qiyamat ka din shuru’ ho jaye ga lihaza is
kay hosh-ruba tasawwur nay tarpa rakha hay.
(Al-Mujalasah, vol. 1, pp. 199)

Maut ki yaad kion zaroori hay!


Meethay meethay Islami bhaiyo! Qabr-o-Hashr kay Ahwaal ko
samnay rakh kar hamaray Buzugan-e-Deen hamen bhi maut ki
yaad aur is ki aamad say qabl is ki tayyari ki targheeb dilatay hayn.
chunachay Hujjat-ul-Islam Hazrat Sayyiduna Imam Muhammad
bin Muhammad bin Muhammad Ghazali    ! # &" '
 ( farmatay hayn:
woh shakhs kay jis ko maut say shikast khaani ho mitti jis ka
bichhona, keeray jis kay anees (yani saathi), Munkar Nakeer jis kay
mumtahin (yani Imtihan laynay walay), qabr jis ka thikana, zameen
ka payt jis ki Qiyam gaah, Qiyamat jis ki wa’dah-gaah aur Jannat ya
Jahannam jis ka maurid (yani pohnchnay ki jagah) ho usay sirf
maut hi ki fikr honi chahiye woh sirf isi ka zikr karay, isi kay liye
tayyari karay, isi ki Tadbeer karay, isi ka muntazir rahay aur haq ye
hay kay apnay aap ko faut shudah logon mayn shumar karay aur
khud ko mara huwa tasawwur karay, kion kay jo cheez aa kar rahay
gi wo qareeb hay. (Ihya-ul-Uloom, vol. 5, pp. 191)

Nabiyon kay Sardar   ٖ     ! # %


" $  ka farman-e-‘aalishan hay: ‘aql
mand woh hay jo apnay nafs ka muhasabah karay aur maut kay
ba’d kay mu’amlaat kay liye tayyari karay.

(Tirmizi, vol. 4, pp. 207, Hadees 2467)

www.dawateislami.net
Weeran Mahal 16

Mizaj pursi par ghashi


Buzurgan-e-Deen   ! "    " )" ' ( maut aur is dunya say koch kar janay ko
bahut kasrat say yaad kartay balkay basa auqaat in par maut aur
qabr-o-Hashr ki is fikr-o-khauf ka aysa ghalabah hota kay in par
bay-hoshi taari ho jaati. Chunachay Hazrat Sayyiduna Yazeed
Raqashi    ! # &" '
 ( (say jab koi ‘arz karta: kia haal hay? To) farmaya
kartay: Maut jis ka mau’id (yani wa’day ka waqt), zameen kay
neechay jis ka thikana, qabr jis ka ghar, keeray jis kay anees (yani
ۡ ۡ
ۡ   
saathi) hon aur isi kay sath sath isay Y t: 4 srq  (bari ghabrahat yani
Qiyamat) ka bhi intizar ho, us ka haal kia ho ga? ye farma kar aap
  
  ! # &" '
 ( par riqqat taari ho jaati hatta kay rotay rotay bay-hosh ho
jatay. (Al-Mustatraf, vol. 2, pp. 477)

Subh kis haal mayn ki? (Hikayat)


Isi tarah Hazrat Sayyiduna Malik Bin Dinar    ! # &" '
 ( say kisi nay
pocha: aap nay subh kaysay ki? Farmaya: us shakhs ki subh kis haal
mayn ho gi jo ayk ghar (yani dunya) say dosray ghar (yani aakhirat)
ki taraf janay waala ho aur kuch pata na ho kay Jannat mayn jana
hay ya Dauzakh thikana hay. (Tambeeh-ul-Ghafileen, pp. 306)

Meethay meethay Islami bhaiyo! Hamayn bhi chahiye kay in


Buzurgan-e-Deen ki Mubarak Madani fikr say iktisaab-e-fayz
kartay huye maut aur Aakhirat ki tayyari ka zehan banaen aur is
bay-sabaat (yani kamzoori), ‘aarzi aur faani dunya par ietimaad o
itminaan kay bajaye Aakhirat ki tayyari mayn mashghool rahen.

Aabad makan weeran ho jaen gay


Ameer-ul-Mu`mineen Hazrat Sayyiduna Umar Bin ‘Abdul ‘Azeez
 
  ! # &" '
 ( nay apnay ayk khutbay mayn irshad farmaya: Aye logo!
Dunya tumhara baaqi rahnay waala thikana nahin hay, ye to wo
dar-e-na-payedar hay jis kay liye Allah Pak nay fana hona aur is kay

www.dawateislami.net
Weeran Mahal 17

rahnay waalon par yahan say rukhsat ho jana likh dia hay.
‘anqareeb mazboot aur aabad makan tot phot kar weeran ho jaen
gay, aur in makanaat kay kitnay hi aysay makeen (yani rahnay
walay) hayn jin par rashk kia jata hay jald rukhsat ho jaen gay. Pas
aye logo! Allah Pak tum par rahm farmaye is (dunya) mayn say
umdah cheez (naykiyan) lay kar achhay haal mayn niklo aur
toshah-e-safar lay lo. Pas behtareen toshah taqwa aur parhayzgari
hay. (Ihya-ul-Uloom, vol. 5, pp. 201)

Dunya barbad ho kar rahay gi!


Karoron Shafi’yon kay kay ‘Azeem Payshwa Hazrat Sayyiduna
Imam Shaafi’i    ! # &" '
 ( nay aik shakhs ko naseehat kartay huye
irshad farmaya: ‘Bay-shak dunya phisalnay ki jagah aur zillat ka
ghar hay, is ki aabadi barbad honay wail aur is kay saakineen yani
baashinday qabron mayn ponhachnay waalay hayn, is say jo kuch
jama’ kia hay woh har surat is say juda hona hay aur is ki daulat
mandai, tangdasti mayn badalnay waali hay, is mayn ziyadati
haqeeqat mayn tangi hay aur is mayn tangi dar-asl aasani hay. Pas,
Allah      ki bargah mayn ghabra kar taubah kar aur is kay ‘ata
kardah rizq par raazi rah, daar-e-baqa (yani Aakhirat) kay ajr ko
daar-e-fana (yani dunya) kay badlay mayn zaai’ na kar, tayri zindagi
dhalta saayah aur girti diwar hay, apnay ‘amal mayn ziaydati aur
amal (yani dunyawi ummeed) mayn kami kar.’
(Manaqib-ush-Shafi’I lil Baihaqi, vol. 2, pp. 178)

Aaj ‘amal ka moqa’ hay!


Hazrat Sayyiduna ‘Ali Shayr-e-Khuda " 3    ! #
" 4 ( nay aik martabah
Kofay mayn khutbah daytay huye irshad farmaya: ‘Bay-shak
tumharay baray mayn mujhay is baat ka khauf hay kay kahen tum
lambi lambi ummeeden na baandh baytho aur khuwahishaat ki
payrwi mayn na lag jao, yaad rakho! Lambi ummeden aakhirat ko

www.dawateislami.net
Weeran Mahal 18

bhula dayti hayn, aur khabardar! Nafsani khuwahishaat ki payrwi


rah-e-Haq say bhatka dayti hay, khabardar! Dunya ‘anqareeb peeth
phayrnay waali aur jald aanay waali hay, aaj ‘amal ka din hay hisab
ka nahin aur kal hisab ka din ho ga, ‘amal ka nahin.’ (Aidan, 58)

Dunya Aakhirat ki tayyari kay liye makhsoos hay


Hazrat Sayyiduna ‘Usman-e-Ghani " 3    ! #
" 4 ( nay sab say aakhiri
khutbah jo irshad farmaya is mayn ye bhi hay: ‘Allah Pak nay
tumhen dunya mahaz is liye ‘ata farmai hay kay tum is kay zaree’ay
Aakhirat ki tayyari karo, is liye ‘ata nahin farmai kay tum isi kay ho
kar rah jao, bay-shak dunya mahaz faani aur aakhirat baaqi hay.
Tumhayn faani (dunya) kahen behka kar baaqi (aakhirat) say
ghaafil na kar day, fana ho janay waali dunya ko baaqi rahnay waali
aakhirat par tarjeeh na do kion kay dunya ka rishtah qata’ honay
waala hay aur bay-shak Allah Paak ki taraf lautna hay. Allah Pak say
daro kion kay us ka dar is kay ‘azab kay liye (rok aur) dhaal aur
Allah Paak tak pohanchnay ka zaree’ah hay.’

(Manaqib-ush-Shafi’i, vol. 2, pp. 178)

Hay ye dunya bay-wafa aakhir fana


Chal diye dunya say sab shah o gada

Meethay meethay Islami bhaiyo! Bayan kay aakhir mayn Sunnat ki


fazeelat aur chand Sunnatayn aur aadab bayan karnay ki sa’adat
haasil karta hon. Farman-e-Mustafa   ٖ     ! # %
" $  ‘Jis nay mayri
Sunnat say mahabbat ki us nay mujh say mahabbat ki aur jis nay
mujh say mahabbat ki woh Jannat mayn mayray saath ho ga.’

(Ibn-e-‘Asakir, pp. 178)

www.dawateislami.net
Weeran Mahal 19

Seenah tayri Sunnat ka Madinah banay Aaqa


Jannat mayn parosi mujhay tum apna banana

َ ُ ٰ َ ٰ َ ُ ّٰ َّ َ َۡ *
َ َ ۡ ُّ َ
‫ * م َّمد‬1‫ ت َعا‬/‫ا‬ ‫صل‬ ‫الب ِ ۡيب‬ ‫صلوا‬

Kafan kay 16 Madani phool


6 Farman-e-Mustafa   ٖ   
  ! # %
" $  :

1. Jo mayyit ko kafan day to is kay liye mayyit kay har baat kay
badlay mayn aik nayki hay. (Tareekh-e-Baghdad, vol. 4, pp. 263)

Hazrat ‘Allamah ‘Abd-ur-Rauf Munawi    ! # &" ' ( Hadees-e-


Pak kay is hissay ‘jo mayyit ko kafan day’ kay tahat farmatay
hayn: Ya’ni ‘Jis nay apnay maal say mayyit kay kafan ka
intizaam kia’ (Al-Taiseer, vol. 2, pp. 442)

2. Jo mayyit ko kafan day Allah Pak usay Jannat kay bareek aur
motay raysham ka libaas pahnaye ga. (Al-Mustadrak, vol. 1, pp. 690,
Hadees 1380)

3. Jo kisi mayyit ko nahlaye, kafan day, khushbu lagaye, janazah


uthaye, Namaz parhay aur jo naaqis baat nazar aaye isay
chhupaye wo apnay gunahon say aysa paak ho jata hay jaysa jis
din maa kay payt say payda huwa tha. (Ibn-e-Majah, vol. 2, pp. 201,
Hadees 1462) is hissah-e-Hadees ‘naaqis baat’ say murad ye hay
kay: ‘Jo baat zaahir karnay kay qaabil na ho jaysay chahray ka
rang siyah ho jana’

4. ‘Apnay murdon ko acha kafan do kion kay wo apni qabron


mayn aapas mayn mulaqaat kartay aur (achhay kafan say)
tafakhur kartay (yani khush hotay) hayn’
(Al-Firdaus, vol. 1, pp. 98, Hadees 317)

www.dawateislami.net
Weeran Mahal 20

5. Jab tum mayn say koi apnay bhai ko kafan day, to usay achha
kafan day. ( Muslim, pp. 470, Hadees 943)

6. Apnay murdon ko safayd kafan mayn kafnao. (Tirmizi, vol. 2, pp.


301, Hadees 996)

Kafan pahnanay ki niyyat


 Kafan pahnanay ki niyyat: Riza-e-Ilahi panay aur sawab-e-
aakhirat kamanay kay liye apni maut kay ba’d khud ko
pahnaye janay waalay kafan ko yaad kartay huye ada-e-farz kay
liye mayyit ko Sunnat kay mutabiq kafan pahnaon ga

 Mayyit ko kafan dayna ‘farz-e-kifayah’ hay, (Bahar-e-Sharee’at, vol.


1, pp. 817)

Mard ka masnoon kafan


 Lifafah yani chadar

 Izar yani tehband

 Qamees ya’ni kafni. Aurat kay liye in 3 kay sath sath mazeed 2
ye hayn:

 Aurhni

 Seenah band. (‘Aalamgeeri, vol. 1, pp. 160)

 Jo na-baaligh hadd-e-shahwat ko pohanch gaya wo baaligh kay


hukm mayn hay yani baaligh ko kafan mayn jitney kapray diye
jatay hayn isay bhi diye jaen aur is say chhotay larkay ko 1
kapra aur chhoti larki ko 2 kapray day saktay hayn aur larkay
ko bhi 2 kapray diye jaen to achha hay aur behtar ye hay kay

www.dawateislami.net
Weeran Mahal 21

donon ko pora kafan den agarchay aik din ka bachah ho.


(Bahar-e-Shari’at, vol. 1, pp. 819)

 Sirf Ulama-o-Mashaikh ko ba-imamah dafan kia jaa sakta hay,


‘aam logon ki mayyit ko ma’ iamamah dafnana mana’ hay.
(Madani Wasiyyat Namah, pp. 4)

 Mard kay badan par aysi khushbu lagana jaaiz nahin jis mayn
za’faran ki aamayzish ho aurat kay liye jaaiz hay. (Bahar-e-
Sharee’at, vol. 1, pp. 821)

 Jis nay Ihraam bandha (aur isi haalat mayn wafat pai) hay us
kay badan par bhi khushbu lagaen aur us ka munh aur sar
kafan say chhupaya jaye. (Aidan)

Kafan ki tafseel
 Lifafah (yani chadar): yani mayyit kay qad say itni bari ho kay
donon taraf bandh saken

 Izar (yani tehband): choti (yani sar kay shuru’) say qadam tak
yani lifafay say itna chhota jo bandish kay liye zaaid tha

 Qamees (yani kafni): garden say ghutnon kay neechay tak aur
ye aagay aur peechay donon tarf barabar ho is mayn chak aur
aasteen na hon. Mard-o-aurat ki kafni mayn farq, mard ki
kafni kandhon par cheeren aur aurat kay liye seenay ki taraf

 Aurhni : 3 hath yani dayrh gaz ki honi chahiye

 Seenah band: pistan say naaf tak aur behtar ye hay kay raan
tak ho. (Bahar-e-Shari’at, vol. 1, pp. 818) umooman tayyar kafan
khareed lia jata hay is ka mayyit ka qad kay mutabiq Masnoon
size ka hona zaroori nahin, ye bhi ho sakta hay kay itna

www.dawateislami.net
Weeran Mahal 22

ziyadah ho kay Israaf mayn daakhil ho jaye, lihaza ihtiyaat isi


mayn hay kay than mayn say hasb e zaroorat kapra kata jaye

 Kafan achha hona chahiye yani mard ‘Eidain-o-Jumu’ah kay


liye jaysay kapray pehanta tha aur aurat jaysay kapray pehan
kar maikay jaati thi us qeemat ka hona chahiye. (Bahar-e-
Sharee’at, vol. 1, pp. 818)

Kafan pehnanay ka tareeqah


Ghusl daynay kay ba’d aahistah say badan kisi Paak kapray say
ponch lejiye takay kafan tar na ho, kafan ko 1 ya 3 baar ya 5 ya 7
baar dhoni dejiye, is say ziyadah nahin, phir is tarah bichhaiye kay
pahlay lifafah yani bari chadar is par tehband aur is kayo par kafni
rakhye, ab mayyit ko is par litaiye aur kafni pehnaiye, ab sar, daarhi
(aur daarhi na ho to thori) aur baqya tamam jism par khushbu
malye, woh a’za jin par sajdah kia jata hay yani payshani, naak,
haathon, ghutnon aur qadamon par Kaafor lagaiye. Phir Izar yani
tehband lapaytye, pahlay baen yani ulti jaanib say phir seedhi jaanib
say. Phir lifafah bhi isi tarah pahlay baen yani ulti jaanib say phir
seedhi jaanib say lapaytye takay seedha opar rahay. Sar aur paon ki
taraf baandh dejiye kay urnay ka andayshah na rahay. Aurat ko
‘kafni’ pehna kar us kay baal do hissay kar kay kafni kayo par
seenay par daal dejiye aur aurhni peeth kay neechay say bichha kar
sar par laa kar munh par niqab ki tarah daal dejiye kay seenay par
rahay kay us ka tol (yani lambai) aadhi peeth say seenay tak hay aur
‘arz (yani chaurai) aik kaan ki lau say dosray kaan ki lau tak hay
phir ba-dastor Izar o Lifafah lapaytye phir sab kay opar seenah band
pistan kay opar say raan tak laa kar bandhye. (mazeed tafseel kay
liye Bahar-e-Shari’at jild Awwal safhah 817 ta 822 ka mutala’ah
farmaiye)

www.dawateislami.net
Weeran Mahal 23

Sunnaten seekhnay kay liye Maktaba-tul-Madinah ki 2 kitabayn


(1) 312 safahaat par mushtamil kitab ‘Bahar-e-Shari’at’ hissah 16
aur (2) 120 safahaat ki kitab ‘Sunnatayn aur Aadab’ hadyatan
haasil kejiye aur parhye, Sunnaton ki tarbiyat ka ayk behtareen
zaree’ah Dawat-e-Islami kay Madani Qafilon mayn ‘Aashqan-e-
Rasool kay sath Sunnaton bhara safar bhi hay.

Lotnay rahmaten Qafilay mayn chalo


Seekhnay Sunnaten Qafilay mayn chalo

Hon gi hal mushkilen Qafilay mayn chalo


Khatm hon shaamten Qafilay mayn chalo

َ ُ ٰ َ ٰ َ ُ ّٰ َّ َ َۡ *
َ َ ۡ ُّ َ
‫ * م َّمد‬1‫ ت َعا‬/‫ا‬ ‫صل‬ ‫الب ِ ۡيب‬ ‫صلوا‬

Ye rislah parh laynay kay


ba’d sawab ki niyyat say
kisi ko day dejiye.

www.dawateislami.net

You might also like