Poetry 01

Download as txt, pdf, or txt
Download as txt, pdf, or txt
You are on page 1of 8

Suno!

Tum Azm waley ho


Bala ka zabt rekhtey ho
Tumhy koch bhee nahi ho ga
Magar daikho !
Jisey tum choray jatey ho
oosey to theek sey shayed
Bicherna bhi nahi ata,

Main sun ke uski sub baatain


Faqat itna hee kehta hoon
Khafa hona mana laina
Yeh sadiyon se riwayat hai
Muhabbat ki alamat hai
Gilay shikway karo mujh se
Tumhein poori ijazat hei
Magar ik baat meri bhi
Zara tum yaad rakh laina
Kabhi aisa bhi hota hai
Hawain rukh badalti hain
Khizaa-ain laut aati hain
Khataa-ain ho hee jati hain
Khata hona bhi mumkin hai
Khafa hona bhi mumkin hai
Hamesha yaad rakhna tum
TAALUQ ROOTH JAANEY SE
KABHI TOOTA NAHI KERTEY!!!!!!

Tum Kehti Ho Mujhay....


Phoolon Say Pyaar Hai....?
Magar Jab Phool Khiltay Hain To Unhain Tehni Say Tor Dalti Ho....
Tum Kehti Ho Mujhay Baarishoon Say Pyaar Hai...?
Magar Jab Baarish Hoti Hai To Chuppti Phirti Ho....
Tum Kehti Ho Mujhay Hawaoon Say Pyaar Hai....?
Magar Jab Hawa Chalti Hai Tu Khirkiyan Band Kar Leti Ho...
Phir Us Waqt....
Main Khof Zada Sa Ho Jata Hoon Jab Tum.....
Mujh Se Kehti Ho Mujhay Tum Say Pyar Hai......

ITNA hee yaad rakh MUJHEY,


Jaisey kisi kitaab me,
Beetey dino k DOST ka,
EK KHAT para huwa miley,
Lafz mitey mitey se hon,
Rang urra urra sa ho,
Lakin woh AJNABI na ho!
Uth ker terey galey lagey,
Beetey dino ki sab KHTAAYEN,
Bhooley huwey tamam sukh,
Guzrey huwey tamam dukh,
TUJH se kahey aur ro parey!!!!!!

Baat nilkley gi to phir durr talak jaye gi....


Log be wajhey udaasi ka sabub poochain gey....
Yeh bhi poochain gey keh tum itni pareshan keyun ho...
gungunatey huwey lamhon se gurezaa'n keyun ho....
Ungliyan uthain gi sookhey huwey balon ki taraf....
Ik nazar daikhain gey guzrey huwey salon ki taraf....
Chooriyon per bhi kayi tanz kiye jayen gey....
Kaanptey hathon pe fikrey bhi k'sey jayen gey....
Log zaalim hain har ik baat ka taanaa dain gey....
Baton baton me mera zikar bhi le aayen gey.....
Un ki baton ka zara sa bhi aser mat laina.....
Verna chehrey k taasur se samajh jayen gey....
Chahey kuch bhi ho sawalaat na kerna un se....
Merey baarey me koi..... baat na kerna un se....
Keyun keh....
BAAT NIKELY GI TO PHIR DURR TALAK JAYE GI!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

duniya ne ham pe jab koi ilzaam rakh diya


ham ne muqaabil us ke tera naam rakh diya
ik Khaas had pe aa ga_ii jab terii beruKhi
naam us ka ham ne gardish-e-ayyaam rakh diya
main larkhraa rahaa huuN tujhe dekh-dekh kar
tuune to mere saamane ik jaam rakh diya
itnaa sitam_zariif hai vo saahib-e-jamaal
us ne diya jalaa ke lab-e-baam rakh diya
insaan aur dekhe baGair us ko maan lay
ik Khauf kaa bashar ne Khudaa naam rakh diya
ab jis ke jii men aaye vohii paaye roshni
ham ne to dil jalaa ke sar-e-aam rakh diya
kyaa maslehat_shanaas thaa vo aadamii 'Qateel'
majabuuriyon ka jis ne wafa naam rakh diya

kabhi kabhi mere dil me khayal aata hai


keh zindagi teri zulfon ki narm chhaon me
guzarne pati to SHADAB ho bhi sakti thi
ye TEERAGI jo mere ZEEST ka muqaddar hai
teri nazar ki SHUAON me kho bhi sakti thi

ajab na tha ke main BEGANA-ILM hokar


tere JAMAL ki RANAAYION me kho rahta
tera GADAZ badan teri NEEM BAAZ aankhen
inheen haseen FASANO mein mehav rahta

pukarteen mujhe jab TALKHIYAN zamane ki


tere labon se HALAWAT ke ghoont pee laita
HAYAT cheekhti phirti BARHANA-SAR aur main
GHANERI zulfon ke saaye me chhup ke jee laita

magar yeh ho na saka,


magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai
ke tu nahi tera gham teri JUSTJOO bhi nahi
guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jaise
ise kisi ke sahare ki aarzoo bhi nahi

zamaane bhar ke dukhon ko laga chuka hoon gale


guzar raha hoon kuch anjani RAHGUZARON se
MUHIB SAAYE meri SIMMAT bharte aate hain
HAYAT-O-MOUT ke PUR-HAUL KHAR-ZARON se
na koi JAGAH na manzil na roshni ka suragh
bhatak rahi hai KHEYALON me zindagi meri
inheen KHEYALON me rah jaoon ga kabhi kho kar
main jaanta hoon meri HUMNAFAS magar yunhi
kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai!!!!!!!

ab ke ham bichhray to shaayad kabhi Khawabon mein mila-en


jis tarah sukhey howay phool kitabon mein mila-en
Dhoondh ujaray howay logon mein wafaa kay moti
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabon mein mila-en
tu Khudaa hai na mera ishq farishton jaisa
dono insaan hain to kyon itane hijaabon mein mila-en
Gam-e-duniyaa bhi Gam-e-yaar mein shaamil kar lo
nashaa barhti hai sharabein jo sharaabon mein mila-en
aaj ham daar pe khenche gaye jin baaton par
kya ajab kal woh zamaane ko nisaabon men mila-en
ab na vo main hoon na tu hai na vo maazi hai `Faraaz',
jaise do shaKhs tamannaa ke saraabon mein mila-en

Woh loog bohat khush qismat thy


jo ishq ko kaam samajhty thy
Yeh kaam say aashiqi karty
Hum jeety ji masroof rahay
Kuch ihsq kiya kuch kaam Kia
Kaam ishq kay aarray aata raha or ishq say kam oolajhta raha
PHIR AAKHIR TANG AA KAR HUM NAY
DOONO KO AADHOORA CHHOR DIYA

Wo Larki bhi ek ajeeb paheli thee,


Peyase hont they aankh samandar thee,
Us k apne sae se dar lagta tha,
Soch k sehra main wo tanha hirni thee,
aate jese mosam ko dhasti thee,
hanste hanste palko se ro parti thee,
aadhi raat gawa deti thee chup reh kar,
aadhi raat chand se batain karti thee,
tez hawa ko rok kar apne aanchal se,
sookhe phool ekathe karti thee,
sab par zahir karti thee bhed apna,
sab se ek tasweer chupa rakhti thee,
kal shab chikna choor hova tha dil uska,
ya phir wo pehli bar khul k roe thee,
Mohsin keya jane keyo dhoop se be parwah,
wo apne ghar k dehleez par bethi rehti thee.

tu mera naam na poocha kar


Main tairee zaat ka hissa hoon
Main teri soch main shamil hoon
Main teri neend ka qissa hoon
main tairay khuwab ka hasil hoon
main tairee yaad ka mehvar hoon
Main lamha hoon....... jazba hoon
is jazbay ka koi naam nahee hai
tu maira naam na poocha kar

Ek taraf se DOLI uthi


Ek taraf se DOLI uthi, khushioun aur shehnaion ke sath,
k taraf se ARTHI uthi, gamo aur tanhaiyon ke sath,
Dono takra gaye, dekhne wale chakra gaye,
heed me se awaz ayee ya khuda ye kaisi khudai hai
MEHBOOB ki doli dekhne YAAR ki arthi ayee hai

kul rat janay kai howa!


Kuch dair pahlay nened say
Kuch Aashak milny a gye,

Kuch Khwaab thy tootay howay


Kuch Log b boohlay howay
Kuch Rastay bahtkay howay
kuch Gaard main Simtaay howay

Bay -Raabt si socahin thin


Ik Sahaks ki yadin thin.

Phir dair tak main jagti rai,


Sochoon main Gum bethi rahi,
Ungli say thunday farsh per,
IK naam bus likhti rahi...

KUL RAT B WO RAT THI


KUCH DAIR PAHLY NENED SAY,
MAIN DAIR TAK JAGTI RAHI....

Bohat hee muddat k baad kal jab kitaab-e-maazi ko main ne khola


Bohat say chehray nazar me utrey
Bohat say naamo pe dil paseeja
Aik aisa safha bhi us me aya
Likha howa tha jo aansuon say
Keh Jis ka unwaan �HAMSAFAR� tha
Jo safha sab say hee motbarr tha
Kuch aur aansoo phir us pe tapkay
Phir us se aagey main parh na paya
Kitaab-e-maazi ko band kar k
Tumhari yadon me kho gaya main
Agar tu milta to kaisay hota
Inhi khayalon me so gaya main!!!!!!

Tum Mujhe Bhool Bhi Jaao To Yeh Haq Hai Tumko


Meri Baat Aur Hai Maine To Mohabbat Ki Hai

Mere Dil Ki Mere Jazbaat Ki Keemat Kya Hai


Uljhe Uljhe Se Khayalaat Ki Keemat Kya Hai
Maine Keyun Payar Kiya Tum se, Keyun Payar Kiya
In Pareshan Savaalaat Ki Keemat Kaya Hai
Tum Jo Yeh Bhi Na Bataao To Yeh Haq Hai Tumko
Meri Baat Aur Hai, ....

Tumko Duniya Ke Gham-O-Dard Se Fursat Na Sahi


Sab se Ulfat Sahi, Mujhse Hi Mohabbat Na Sahi
Main Tumhara Hoon, Yehi Mere Liye Kaya Kam Hai
Tum Mere Ho Ke Raho,Yeh Meri Kismat Na Sahi
Aur Bhi Dil Ko Jalaao To Yeh Haq Hai Tumko
Meri Baat Aur Hai, ..........

Jab seena gham se bhojal ho aur yaad kisi ki aati ho


Tab kamrey me band ho jana aur chupke chupke ro lena
Jab ankhain baagi ho jayen aur yaad me meri bhar aayen
Phir khud ko dhoka mat dena aur chupke chupke ro lena
Jab palkein karb se moondi hon aur sab samjhain tum soye ho
Tab munh per takkiya rakh lena aur chupke chupke ro lena
yeh duniya zaalim duniya hai, yeh baat bohat phelaaye gi
Tum saamney sab k chup rehna aur chupke chupke ro lena
Jab barish chehra dho daaley aur ashk bhi boondain lagti hon
Woh lamha hargiz mat khona aur chupke chupke ro Lena!!!!!!

IK dil walon ki basti thi,


jahan chand or sooraj rehtey thay,
kuch sooraj mann ka pagal tha,
kuch chand bhi shokh or chanchal tha,
basti basti phirtey thay,
har pal hanstey rehtey thay,

phir ik din dono rooth gaye,


or saare sapney toot gaye,
ab chand bhi us waqt aata hai,
sooraj jab so jata hai,
badal shab se kehte hain,
sooraj uljha sa rehta hai..
chand ke sath sitaare hain,
per sooraj tanha rehta hai!!!!!!

wo khwab tha bikhar gaya


khayal tha mila nahi
magar dil ko kya hua
ye kyun bujha pata nahi
har ek din udas din
tamam shab udasiyan
kisi se kya bichad gaye
k jaise kuch bacha nahi

Teray faraq kay lamhay shumaar kartay howay


Bikhar gayay hain tera intazaar kartay howay
Tou main bhi khush hoon koi us say ja kar kah day
Ager wo khush hay mujhay bey qaraar kartay howay
Main muskurata howa aainay main ubhroon ga
Woh ro paray ge achanak singhar kartay howay
Tujhay khaber he nahi koe toot gia hay
Mohabbatoon ko bohat paedaar kartay howay
Woh kah rahe the sumander nahi hai aankhoon main
Main un main doob gia ahtabaar kartay howay
Mujhay khaber thi kah ab loat kar na aaonga
Tuj ko yaad kia dard paar kartay howay

ZARA MUSKRAO NA
gamo ki jo faseel hay wo iskader taweel hay
gazeb to hay ye ek nahi faseel der faseel hay
tum iski har mundare par charage dil jalao na
ZARA MUSKRAO NA
ZARA MUSKRAO NA
wo phir say yad a gya jo rooth ker chala gya
usay khyal b nahi kisi ka dil dukha gya
ab uski mithi yad main shabo ko jag jag kar
ZARA MUSKRAO NA
ZARA MUSKRAO NA
ye ghem hamesha ay gay ye dil ynhi julain gay
magar khushi k atay hi ye ghem b bhool jain gay
malol ho k ghem say tum zara pulkon pe yunhi
sitaray jilmilao na ye ansoo pee b jao na
ZARA MUSKRAO NA
ZARA MUSKRAO NA

kisi k u bicharnay say


kisi k yaad anay say
buhat say loog rotay hain
k rona aik rewayat hai
rewayat toor jata hon
tumhari yaad anay per
main aksar muskarata hon

Hans k bola karo.... bulaya karo


Aap ka ghar hai aaya jaya karo
Muskurahat hai husan ka zevar
Roop barhta hai muskuraya karo
Had se barh kar haseen lagtay ho
Jhooti qasmein zaroor khaya karo
Hukm karna bhi ek sakhavat hai
Hum ko Khidmat koi bataya karo
Baat karna bhi badshahat hai
Baat karna na bhool jaya karo
Ta-ke dunya ki dil kashi na ghatay
Nit naye pairehan mein aaya karo
Kitnay saada mizaj ho tum Adam
Us gali mein bohat na jaya karo !!!!

baarishon k mosam main


tum ko yaad kerne ki
aadatain purani hai
magar ab ki bar socha hai
adatain badal dalain
phr khayal aya k
adatain bdalne se
barishen nhin ruktin

Kahray Rehnay Se Kya Hasil..?


Hua To Bus Yehi Ho Ga..
Hawain Dil Dukhain Gi..
Nigahain Bheeg Jain Gi..
Chalo Ander Chalay Jaoo..
Suna Hai Jo Marzi Se Chala Jaye..
Woh Phir Wapis Nahin Ata..!!

Ek masoom si mohabbat ka itna hi fasana hai,


ek kagaz ki haveli aur baarish ka zamana hai
uff ye kya sharte mohabbat kya shart-e-jamana hai
aawaz bhi zakhmi aur vo geet bhi gaana hai.
us paar utarne ki umeed bahut hi kum hai
kashti bhi purani aur toofan ko bhi aana hai
koi samjhe ya na samjhe ye raze mohabbat
kisi shaks ko ankho se ye sher sunana hai
ek bholi si ada, aaj koi fir ishq ki jid par hai
fir aag ka dariya hai, aur fir doob ke jaana hai

Ek Din Kantay Ney Phool Sey Poocha Key "Aey Phool!"


Mujhey Tumhari Mohabbat Sey Kya Haasil Howa?
Mujhey Dekhtay Hi Har Koi Apney Tevar Badal Leta Hai Shayad
Is Liye Key Main Unhain Zakhmi Kar Deta Hoon
or Duniya Tum Par Marti Hai,
Tumhari Khushboo Lenay Ko Tarasti Hai,
Lakin Mujhe Tumhari Mohabbat Sey Kya Mila?
Phool Yeh Sada Sun Kar Muskuraya or Kehnay Laga
Tumhain To Khush Hona Chahiye Jis Par Duniya Marti Hai !
Woh Tumharey Bagair Aik Pal Bhi Nahi Reh Sakta.
Jab Mujhey Koi Tum Sey Juda Karta Hai,
To Main Mar Jata Hoon!
Q Key Main
Sirf Tum Sey Mohabbat Karta Hoon!!!

Terii baate.n hii sunaane aaye


dost bhii dil hii dukhaane aaye

phuul khilate hai.n to ham sochate hai.n


tere aane ke zamaane aaye

aisii kuchh chup sii lagii hai jaise


ham tujhe haal sunaane aaye

ishq tanhaa hai sar-e-manzil-e-Gam


kaun ye bojh uThaane aaye
dil Dha.Dakataa hai safar ke hangaam
kaash phir ko_ii bulaane aaye

ab to rone se bhii dil dukhataa hai


shaayad ab hosh Thikaane aaye

kyaa kahii.n phir ko_ii bastii uja.Dii


log kyuu.N jashn manaane aaye

so raho maut ke pahaluu me.n 'Faraz'


niind kis vaqt na jaane aaye

You might also like