Wazu Aur Gusal Ke at Glance

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 3

 

WUZU KAY FARAAEIZ:

 (yani woh baatein jin kay baghair wuzu hota hi nahi)Wuzu mein 4 farz hai :
1. payshaani kay baalon say thudi kay nichay tak aur ek kaan say dusaray kaan
tak muuhdhoona
2. doono haaton ko khuniyon samait dhoona
3. chauthaie (1/4) sar ka masah karna
4. doono paaon takhno samait dhoona. 

WAZU KI SUNNATEIN :
 (yani woh kaam jin kay baghair wazu to hojata hai magar naqis aurna mukammal
rahta hai)

WAZU KI 13 SUNNATIEN :

1. niyyat karna
2. bismillaah padhna
3. pahlay teen baar doono haat gattoon tak dhoona
4. miswaak karna
5. teen baar kulli karna
6. teen baar naak mein paani daalna
7. daari (beard) ka khilaal karna
8. haat paaon ki ungliyoon ka khilaal karna
9. har azoo ko teen baar dhoona
10. ek baar tamaam sar ka masah karna , yaani bheega hua haat sar par phairna
11. doono kaano ka masah karna
12. tarteeb say wazu karna
13. musalsal wazu karna , yaani ek azoo khuskh na honay paaye kay dusara azoo
dhooye _

GUSL KAY FARAAEIZ:


 (woh baatein jin kay baghair gusl hota hi nahi)Gusl mein 3 farz hai:
1. kulli karna
2. naak mein paani daalna
3. tamaam badan paani bahaana
 is tarah kay baal barabar jagah sukhi na rahay.

GUSL KI SUNNATIEN :

 GUSL MEIN 5 SUNNATIEN HAI


1.doono haat gattoon tak dhoona
2. na paaki door karnay ki niyyat karna
3. jis jagah badan par najasat (na paaki) lagi ho ussay dhoona
4. pahlay wazu karna
5. tamaam badan par teen baar paani bahaana
NAWAQIZ E WAZU : (wazu tootne wali cheezein)

 ( jin chezoon say wazu toot jata hai unhain nawaqiz e wazu kahtay haiaur woh 8
hai)1. pakhaana , peshaab karna , ya un doono raston say kisi aur cheez ka
nikalna2. reeh yaani hawa ka peechay say nikalna3. badan kay kisi muqaam
say khoon ya peep ka nikal kar beh jaana4. mooh bhar kar
qhai (vomiting) karna5. late kar ya take laga kar soona6. bimari ya kisi wajah say
bay hoosh ho jaana7. majnoon yaani deewana ho jana8. namaz (ruku aur sajday
waali) mein qaiqah maar kar hasna
 
Gusal tootne wali cheezein

1.. Mani (Semen) Ka Apni Jagah (Testicle/ Scrotum) Se Shahwat (Lust/


Excitement) Ke Saath Juda Ho Kar Azw Se Nikalna...
>>>(agar mani shahwat ke saath apni jagah se juda na hui, balki bojh uthane, ya
bulandi se girne ki wajah se nikli, ya peshaab ke waqt, ya waise hi kuch qatre
bina-shahwat nikal aaye to ghusl wajib nahi, haa, wazu toot jayega)
>>>(agar mani apni jagah se shahwat ke saath juda hui magar us shakhs ne apne
azw ko zor se pakad liya ki mani bahar naa ho saki, fir jab shahwat jaati rahi usne
azw chord diya ki ab mani baahar hui, to baahar nikalna shahwat se nahi hua
magar kyuki apni jagah se shahwat ke saath juda hui thi, is liye ghusl waajib hai)
2.. Night-fall...
>>>koi so kar utha aur badan ya kapde par tari (geelapan) paya, jis ke mani hone
ka yaqeen ya shak ho to ghusl waajib hai.
3.. sar-e-azw, aage ya peeche daakhil hona, dono par ghusl waajib karta hai,
chaahe shahwat ke saath ho ya bina-shahwat, inzaal (ejalucation) ho ya na ho.

Gusal ki sunatein
ग़स्
ु ल कब वाजिब है ?

 काफ़िर पर इस्लाम लाने के बाद।


 लड़का/लड़की का पन्द्रह (15) साल की उम्र से पहले बालिग़ होने पर।
 मुसलमान को मरने के बाद नमाज़े जनाज़ा से पहले नहलाना मुसलमानों पर
वाजिब है ।

ग़स्
ु ल कब सुन्नत है ?

 जम
ु े की नमाज़ के लिये, फ़ज्र का वक़्त शरू
ु होने या नमाज़ के बाद।
 दोनों ईदों के दिन, फ़ज्र के बाद।
 हज या उमरे के एहराम के लिये।
 हज करने वालों पर अरफ़े के दिन ज़ह
ु र का वक़्त शरू
ु होने के बाद।

ग़स्
ु ल कब मुस्तहब है ?

 शाबान की पन्द्रहवीं रात यानि शब-ए-बरात को।


 लड़का/लड़की के पन्द्रह(15) साल की उम्र होने पर अगर बालिग़ न हुए हों।
 मय्यत के नहलाने के बाद।
 जन
ु न
ू , मस्ती या बेहाशी के ख़त्म होने पर।
 मदीना-ए-मुनव्वरा में दाखि़ल होने पर।
 मुज़दलफ़ा में ठहरने के लिये दसवीं तारीख़ को फ़ज्र की नमाज़ के बाद।
 शैतान पर कंकरी फेंकने के लिये।
 तवाफ़े ज़ियारत के लिये।
 किसी गुनाह से तौबा करने के लिये।
 कुछ ख़ास नफ़ली नमाज़ों के लिये जो डर, मस
ु ीबत और परे शानी वग़ैरा दरू
करने के लिये पढ़ी जाती हैं।
 सफ़र से वापस अपने वतन पहुँचने पर।

You might also like