Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique (Roman Urdu)

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 76

IMAMUL

AYIMMA
ABU BAKR
SIDDIQUE
SHAYKHUL HADEES WAT TAFSEER, HAZRATE
ALLAMA GHULAM RASOOL QASMI
ROMAN : ARMAAN MANJOTHI NOORI
IMAMUL AYIMMA
ABU BAKR
SIDDIQUE
SHAYKHUL HADEES WAT TAFSEER, HAZRATE
ALLAMA GHULAM RASOOL QASMI
ROMAN : ARMAAN MANJOTHI NOORI
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Title : Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Az Qalam : Allama Ghulam Rasool Qasmi
Language : Roman Urdu
Topic : Seerat Wa Fazail
Composing : Abde Mustafa Official
Transliteration : Armaan Manjothi Noori
Published By : Sabiya Virtual Publication
Year Of Publishing : January 2022 (Jumadi Al Ukhra
1443 Hijri)
Pages : 73

All Rights Reserved.


Sabiya Virtual Publication
Powered by Abde Mustafa Official

1
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique

Important Note
Sabiya Virtual Publication Mukhtalaf Zaraaye
Se Mausool Shuda Mawaad Ki Isha'at Kar Rahi Hai,
Kai Likhne Waale Apna Sarmaya Humein Shaaya
(Publish) Karne Ke Liye Irsaal Kar Rahe Hain, Hum
Ek Aham Wazahat Bayaan Karna Zaroori Samajhte
Hain Ke Humari Shaya Karda Kitabo Aur Risalo Ke
Mundarijaat (Contents) Ki Zimmedari Hum Is Hadd
Tak Lete Hain Ke Ye Sab Ahle Sunnat Wa Jama'at Se
Hai Aur Ye Bilkul Zaahir Bhi Hai Ke Har Likhari Ka
Talluq Ahle Sunnat Se Hai Aur Phir Ulama -e- Ahle
Sunnat Ki Kitabo Ka Mukhtalaf Zubaano Mein
Tarjuma Kiya Ja Raha Hai Jinke Baare Mein Kisi Ko
Koi Shak Nahin Hona Chahiye Aur Phir Baat Aati Hai
Lafzi Aur Imlayi Waghaira Ghalatiyo Ki To Jo Isha'at
Khaas Humari Janib Se Hoti Hai Yaani Wo Kitabein
Aur Risale Jo Team Abde Mustafa Official Ki
Peshkash Hoti Hain Unki Zimmedari Hum Lete Hain
Aur Jo Humein Dusre Zariyo Se Mausool Hota Hai Un
Mein Is Tarah Ki Ghalatiyo Ke Hawale Se Hum Bari
Hain Ke Wahan Hum Har Har Lafz Ki Chhaan Phatak
Nahin Karte
Team Abde Mustafa Official Ki Ilmi, Tehqeeqi
Aur Islahi Kitabein Aur Risale Kai Marahil Se

2
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Guzarne Ke Baad Shaya Hote Hain Lekin Iske
Bawajood In Mein Bhi Aisi Ghalatiyo Ka Paaya Jaana
Mumkin Hai Lihaza Agar Aap Unhein Paayein To
Humein Ittela Farmayein

Sabiya Virtual Publication


Powered by Abde Mustafa Official

3
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique

Sahaba E Kiram Me Alag Alag Khasais

ALLAH Karim Ne Apne Mehboob ‫ ﷺ‬Ke


Tamaam Sahaba E Kiram Aur Ahle Baite At’haar
Alaihimurrizwan Ko Mukhtalaf Shanein Ata Farmayi
Hai. Un Me Se Kisi Ek Ke Haalat Aur Kamalat Ka
Mutalah Kia Jaye To Yun Lagta Hai Ke Us Jaisa Koi
Dusra Nahi Hoga. lekin Jab Mukhtalif Sahaba Ka
Yakbargi Mutalah Kia Jaye To Surat E Haal Kuch Is
Tarah Saamne Aati Hai.
Hazrat Zaid Bin Haarisa Wahid Sahabi Hai Jinka
Naam Quraan Me Bayan Hua Hai.
ALLAH Ta'ala Ne Farmaya
‫فَل َمَا قَ ىٰض َزید ِّمن َها َو َط ًرا َزوَج ىنك ََها‬
(Surah Ahzaab Ayat 37)
Is Ummat Me Sab Se Pehle Teer Andaaz Saad
Bin Abi Waqaas RadiALLAH U Ta'ala Anho Hai
(Bukhari :4326)
Syedna Ali Murtaza RadiALLAH U Ta'ala Anho
Farmate Hai Ke : Maine Saad Ke Ilawa Kisi Ke Liye
Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ka Yeh Farmaan Nahi Suna Ke : Teer
Chala Tujh Par Mere Maa Baap Fida Ho
(Bukhari :2905, Muslim 6233)
4
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Hazrat Haram Bil Milhaan RadiAllah u Ta'ala
Anho Ne Gazwa Bair Ma'auna Me Shahadat Payi, Aap
Pehle Shaheed Hai Ke Apne Zakhm Ka Khoon Hath
Lekar Apne Chehre Par Dala Aur Farmaya :
Rab E Kabba Ki Qasam Main Kamyaab Ho Gaya
(Bukhari 4092)
Jung E Badr Me Ubaida Bin Saeed Lohe Ke
Libaas Me Malbus Hokar Maidan Me Utara. Syedna
Zubair Bin Awam Ne Use Pachhada Uar Us Par
Sawaar Ho Gaye Uski Aankh Me Neza Mar Kar Use
Qatal Kar Dia. Wo (Yaadgaar) Neza Khud
RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ne Hazrat Zubair Se Mang Liya. Phir
Wo Neza Khulfa E Rashdeen Ke Pass Aur Phir
Abdullah Bin Zubair Ke Pass Raha RadiAllah u Ta'ala
Anhum (Bukhari 3998)
Hazrat Haram Bil Milhaan RadiAllah u Ta'ala
Anho Ne Gazwa Bair Ma'auna Me Shahadat Payi, Aap
Pehle Shaheed Hai Ke Apne Zakhm Ka Khoon Hath
Lekar Apne Chehre Par Dala Aur Farmaya :
Rab E Kabba Ki Qasam Main Kamyaab Ho Gaya
(Bukhari 4092)
Jung E Badr Me Ubaida Bin Saeed Lohe Ke
Libaas Me Malbus Hokar Maidan Me Utara. Syedna
Zubair Bin Awam Ne Use Pachhada Uar Us Par
Sawaar Ho Gaye Uski Aankh Me Neza Mar Kar Use
5
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Qatal Kar Dia. Wo (Yaadgaar) Neza Khud
RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ne Hazrat Zubair Se Mang Liya. Phir
Wo Neza Khulfa E Rashdeen Ke Pass Aur Phir
Abdullah Bin Zubair Ke Pass Raha RadiAllah u Ta'ala
Anhum (Bukhari 3998)
Hazrat Zubair Bin Awaam Pehle Sahabi Hai
Jinhone ALLAH Ki Rah Me Talwar Uthhayi
(Asadulghaba Jild 2)
Aap Wo Azim Mujahid Hai Jinka Har Uzu
Jihaad Me Zakhmi Hua (Asad Ul Ghaba Jild 2)
Hazrat Talah Bin Ubaidullah RadiAllah u Ta'ala
Anho Wahid Sahabi Hai Jinhone RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ki
Taraf Aanwe Wale Teer Ko Apne Hath Par Liya Aur
Unka Wo Hath Sari Zindagi Ke Liye Shal Ho Gaya
(Bukhari : 3724)
Jung E Ohad Me Jab Log Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ke
Pass Bikhar Gaye To Hazrat Abu Talha RadiAllah u
Ta'ala Anho Apni Ek Dhaal Se Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ka
Difah Kar Rahe Thay, Aap Nihayat Zabardast Teer
Andaaz Thay, Aap Ne Us Din Tin Kamane Tordh Di.
Jab Koyi Aadmi Teero Ki Theli Lekar Waha Se Guzrta
To Nabi Karim ‫ ﷺ‬Use Farmate : Inhe Abu Talha Ke
Pass Bikhar Do, Jab Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ne Sar Mubarak
Uper Uthha Kar Kufaar Ki Fauj Ko Dekhna Chaha To

6
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Arz Karne Lage : Mere Maa Baap Fida Sar Niche
Karein, Dushman Ka Koi Teer Na Lag Jaye, Aapki
Gardan Par Meri Gardan Qurbaan.
(Bukhari Hadees 4064)
Hazrat Abu Talha RadiAllah u Ta'ala Anho
Ghazwa Hunain Me 20 Kafiro Ko Qatal Kiya
(Mustdark Al Hakim 5590, Asad Ul Ghaba Jild 5 Safah
414) Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ne Farmaya : Lashkar Me Abu
Talha Ki Awaz Hazaar Aadmiyon Ki Awaaz Se Behtar
(Yani Dushman Ke Liye Khaufnaak ) Hai (Mustadark
E Haakim : 5588)
Hazrat Ali Murtaza RadiAllah u Ta'ala Anho
Wahid Sahabi Hai Jinke Hatho Khaiber Fatah Huwa.
Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ne Farmaya : Kal Main Jhanda Uske
Hath Me Duga Jo ALLAH Aur Uske Rasool Se
Mahabbat Karta Hoga Aur ALLAH Aur Uske Rasool
Us Se Mahabbat Karte Hoge. Tamam Sahaba Raat
Bhar Is Umeed Par Rahe Ke Shayad Yeh Izzat Mujhe
Milegi. Lekin Agle Din Nabi Karim ‫ ﷺ‬Yeh Ajaz
Syedna Ali Murtaza RadiAllah u Ta'ala Anho Ko De
Dia. (Bukhari Hadees 2942, Muslim 6223)
Isi Tarah Jab Rasool E Karim ‫ ﷺ‬Ne Hazrat
Asama Bin Zaid RadiAllah u T'ala Anho Ko Ek
Lashkar Ka Salar Banaya To Kuchh Sahaba E Kiram
RadiAllah u Ta'ala Anhum Ne Kisi Dusre Ko Salar
7
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Banane Ki Tajwiz Di Isliye Ke Yeh Naujawan Hai Aur
In Me Imaamat Ahliyat Nahi Hai. Magar Nabi Karim
‫ ﷺ‬Ne Farmaya : ALLAH Ki Qasam Iska Walid
Mujhe Sab Se Zayda Pyaara Tha Aur Yeh Apne Walid
Ke Bad Mujhe Sab Se Zayda Pyara Hai
(Bukhari Hadees 3730, Hadees 6265)
Isi Tarah Jab Najraan Ke Logo Ne Aap ‫ ﷺ‬Se
Darkhwast Ki Ke Humare Sath Ek Amaanat Dar
Aadmi Bhej De To Aap ‫ ﷺ‬Ne Farmaya :
Main Tumhare Sath Amin Aadmi Bhejuga Jaisa
Ke Amin Hone Ka Haq Hia : Tamaam Sahab E Kiram
Ne Umeed Bandh Li Ke Shayad Yeh Izzat Mujhe
Milegi Lekin RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ne Farmaya : Aey Abu
Abdullah Bin Jarah Khade Ho Jao. Jab Wo Khade Ho
Gaye To Aap Ne Farmaya : Yeh Hai Is Ummat Ka
Amin (Bukhari Hadees 4380, Muslim Hadees 6254)
Isi Tarah Tamaam Sahaba E Kiram Maujud Thay
Magar Mehboob Karim ‫ ﷺ‬Ne Syedna Siddiq E
Akbar RadiAllah u Ta'ala Anho Ko Imaamat Ke
Musale Par Khada Ho Kar Namaz Padane Ka Hukm
Dia. Farmaya :
Ummul Mominin Siddiqa RadiAllah u Ta'ala
Anho Ne Arz Ki : Abu Bakar Ek Narm Dil Aadmi Hai
, Jab Aapki Jagah Par Khade Hoge To Logo Ko Namaz
Nahi Pada Sakege, Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ne Farmaya :
8
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Abubakar Se Kaho Logo Ko Namaz Padaye. Ummul
Mominin Ne Wahi Baat Dohrayi To Farmaya :
Abubakar Se Kaho Logo Ko Namaz Padaye, Tum
Yusuf Ke Zamane Waliya Ho. Abubakar Siddiq Ke
Pass Bulane Wala Aya Aur Aapne Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ki
Hayaat E Tayiba Me Logo Ko Namaz Padayi.
(Bukhari Hadees 678, Muslim Hadees 948)
Aap ‫ ﷺ‬Ne Hazrat Umar Farooq RadiAllah u
Ta'ala Anho Ko Namaz Padate Hue Suna To Farmaya
: Nahi Nahi Nahi, Abubakar Ko Chaiye Ke Logo Ko
Namaz Padaye (Abu Dawood, 4661)
ALLAH Aur Tamaam Mominin (Yani
Farishtein) Abubakar Ke Siwa Har Kisi Ka Inkaar Kar
Rahe Hai (Muslim Hadees 6181)
Syedna Ali RadiAllah u Ta'ala Anho Farmate
Hai Ke : Jab Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ne Namaz Ke Liye
Abubakar Sidiq Ka Intkhab Farmay To Main Bhi
Udhar Hi Maujood Tha Gayab Nahi Tha.
(Tarikh Ul Khulfa Safah 52)
Aapne Dekha Ke Kabhi To Tamaam Sahaba Ki
Maujudagi Me Syedna Ali Ul Murtaza RadiAllah u
Ta'ala Anho Ka Intkhaab Ho Raha Hai, Kabhi Tamaam
Sahaba Ki Maujudagi Me Syedna Usama Bin Zaid Ka
Intkhaab Ho Raha Hai, Kabhi Tamaam Sahaba Ki
Maujudagi Me Syedna Abu Abdullah Bin Jarah Ka
9
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Intkhaab O Raha Hai Aur Kabhi Tamam Sahaba Ki
Maujudagi Me Syedna Sidiq E Akbar Ka Intekhaab Ho
Raha Hai. Humne Sab Ki Ikathhi Shaan Bayan Kar Di
Hai.
EK Hadees Sharif Me Mukhtalif Sahaba E Kiram
Alalhimurrizwan Ki Mukhtlif Shaano Ka Tazkira Is
Tarah Maujood Hai : Meri Ummat Me Se Us Par Sab
Se Zayda Meharbaan Abubakar Hai, ALLAH Ke
Mamle Me Sab Se Zayda Sakht Umar Hai, Sab Se
Zayda Haya Wala Usman Hai, Sab Se Bada Qazi Ali
Bin Abi Talib Hai, Sab Se Bada Qari Abi Bin Kaab
Hai, Sab Se Zayda Mairas Ka Mahir Zaid Bin Saabit
Hai, Halaal Aur Haram Ka Sab Se Bada Aalim Muaz
Bin Jabal Hai, Har Ummat Ka Ek Amin Hota Hai Aur
Is Ummat Ka Amin Abu Ubaida Bin Jarah Hai.
(Tirmizi 3791, Ibn Majah 154)

Ab Ek Thhathhe Marta Sumander Dekhe

Syedna Khalid Bin Walid Wahid Shaifullah Hai


Jinhone Ek Jung Me Nau (9) Talware Tordi
(Bukhari 4265)
Islam Ki Sab Se Pehli Shaheed Khatun Syedna
Amar Bin Yasir Ki Walida Syeda Sumaiyah Hai
(Asad Ul Gaba Jild 6 Safah 254)
10
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ki Do Shehzadiyon Ka Nikah
Sirf Syedna Usman Ghani Se Hua
(Ibn Majah 110, Mustdark Hakim 7011)
Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ki Char Shehzadiyah Hai Mgar
Jannati Aurato Ki Sardar Hone Ka Sharf Syeda
Fatimah Tul Zohra RadiAllah u Ta'ala Anha Ko Hasil
Hai (Bukhari 3624)
Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ne Farmaya : Jannati Burdo Ke
Sardar Syedna Abubakar Wa Umar Hai (Tirmizi 3666)
Aur Farmaya : Jannati Nau Jawano Ke Sardar
Syedna Hasan Husain Hai (Tirmizi 3768)
Mawakhat E Madina Ke Mauqa Par Nabi Karim
‫ ﷺ‬Ne Syedna Ali Ul Murtaza Ko Apna Bahi Qarar
Dia (Tirmizi 3720)
Azwaj E Muthiraat Me Se Ummul Mominin
Syeda Ayesha Sidiqa Aap ‫ ﷺ‬Ko Sab Se Zayda
Mehboob Hai (Bukhari 3775)
Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ne Jab Wisaal Farmaya To Aap
‫ ﷺ‬Ummul Mominin Syeda Sidiqa RadiAllah u Ta'ala
Anha Ke Sina Mubarak Par Taik Lagaye Hue Thay
(Bukhari : 4446)
Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ne Syedna Ubaidullah Bin
Abbas RadiAllah u Ta'ala Anho Ko Ummat Ka Aalim
Ka Laqab Dia (Mustdark E Hakim : 6390)
11
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Syedna Hujefa RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ke Razdaan Hai
Jis Raz Ko Unke Siwa Koi Nahi Janta (Bukhari 7361)
Syedna Abu Huraira Ko Hafiza Ata Hua
(Bukhari 118)
Syedna Abdullah Bin Masood Ka Laqab Sahib
Ul Nalain Hai (Bukhari 3742)
Syedna Anas Bin Malik Khadim Ul Rasool Hai
(Bukhari 6238)
Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ne Farmaya : Meri Ummat Ka
Pehla Lashkar Jo Samander Paar Jihaad Karega Unpar
Jannat Wajeeb Hai. Samander Paar Sab Se Pehle
Syedna Ameer Muawiyah Ne Jihaad Kiya
(Bukhari 2924,2788)
Mukhtalif Sahaba Ne Mukhtalif Gustakho Ko
Qatal Kia, Kaab Bin Ashraf Ko Syedna Muhammad
Bin Muslima RadiAllah u Ta'ala Anho Ne Qatal Kia.
(Bukhari,2510, Muslim 4664)
Abu Rafeh Yahudi Ko Syedna Abdullah Bin Atik
RadiAllah u Ta'ala Anho Ne Qatal Kia
(Bukhari 3022)
Ibn Khatal Ko Syedna Saeed Bin Haris
RadiAllah u Ta'ala Anho Ne Qatal Kia Jabke Wo Kaba
Ke Parda Ke Sath Chimta Hua Tha
(Ibn Abi Shaiba 8/535 Nisai 4067)
12
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Mukhtalif Jungo Me Mukhtalif Sahaba Ne Islami
Parcham Uthhaya, Gazwa Muta Me Sab Se Pehle
Hazrat Zaid Ne Jhanda Pakada Aur Shaheed Ho Gaye,
Phir Hazrat Jaafar Ne Jhanda Pakda Aur Shaheed Ho
Gaye, Phir Ibn Rawaha Ne Jhanda Pakda Aur Shaheed
Ho Gaye Aur Sab Se Aakhir Me Hazrat Khalif
Saifullah Ne Jhanda Pakda Hata Ke ALLAH Ne Unhe
Fatah Ata Farmayi (Bukhari Hadees 4262)
Gazwa Tabuk Me Parcham Syedna Abubakar
Siddiq RadiAllah u Ta'ala Anho Ke Hath Me Tha
(Asad Ul Ghaba 3/241)
Fatah E Khaiber Ke Mauqa Par Parcham Syedna
Ali Ul Murtaza RadiAllah u Ta'ala Anho Ke Hath Me
Tha, ALLAH Ne Unke Hatho Fatah Nasib Farmayi
(Bukhari 2942, Muslim 6223)
Fatah E Makka Ke Din Ansaar Ka Jhanda Hazrat
Saad Bin Abada Aur Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ka Jhanda Hazrat
Zubair Bin Awaam Ke Hatho Me Tha
(Bukhari Hadees 4280)
Achi Tarah Wajeh Hua Ke Gulistaan E Mustafa
Ke Har Phool Ki Alag Ranghat Hai Aur Alag
Khushboo Hai Aur Koi Bhi Apne Mehboob ‫ ﷺ‬Ki
Khususi Inayat Se Khaali Nahi.

13
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique

Kufaar E Quresh Ki Ahad Shikani

Sulah Hudaibiyah Ke Bayan Me Aap Pad Sakte


Chuke Hai Ke Hudaibiyah Ke Sulah Nama Me Ek
Shart Yeh Bhi Thi Ke Qabayil Arab Me Se Jo Qabila
Quresh Ke Sath Muhahida Karna Chahe Wo Quresh
Ke Sath Muhahida Kare Aur Jo Hazrat Muhammad ‫ﷺ‬
Se Muhahida Karna Chahe Wo Hazrat Muhammad
‫ ﷺ‬Ke Sath Muhahida Karein.
Chunache Isi Bina Par Qabila Bani Bakr Ne
Quresh Se Bahami Imadad Ka Muhahida Kar Liya Aur
Qabila Bani Khuzaa Ne RasoolAllah ‫ ﷺ‬Se Imadad
Bahami Ka Muhahida Kar Liya. Yeh Dono Qabile
Makka Ke Qarib Hi Me Aabad Thay Lekin In Dono
Me Arsa Daraz Se Sakht Adadwat Aur Mukhalifat
Chali Aa Rahi Thi.
Ek Muddat Se To Kufaar E Quresh Aur Dusre
Qabayil E Arab Ke Kufaar Musalmao Se Jung Karne
Me Apna Sara Zor Sarf Kar Rahe Thay. Lekin Sulah
Hudaibiyah Ki Badaulat Jab Musalmano Ki Jung Se
Kufaar Aur Dusre Kufaar Ko Itminaan Mila To Qabila
Bani Bakar Ne Qabila Bani Khuzaa Se Apni Purani
Adawat Ka Intqaam Lena Chaha Aur Apne Halif
Kufaar E Quresh Se Milkar Bilkul Achanak Taur Par
14
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Qabila Bani Khuzaa Par Hamla Me Kufaar E Quresh
Ke Tamam Rusa Yani Akrama Bin Abi Jahal,Safwan
Bin Umaiyah Wa Sahal Bin Amar Wagaira Bade Bade
Sardaro Ne Elaniyah Bani Khuzaa Ko Qatal Kiya.
Bechare Bani Khuzaa Is Khaufnaak Zalimana Hamla
Ki Taab Na La Sake Aur Apni Jaan Bachane Ke Liye
Haram E Kabba Me Panah Lene Ke Liye Bhage. Bani
Bakr Ke Awan Ne To Haram Me Talwar Chalane Se
Hath Rok Liya Aur Haram E Illahi Ka Ahtraam Kiya.
Lekin Bani Bakar Ka Sardar "Naufal" Is Qadr Josh E
Intqaam Me Aape Se Bahar Ho Chuka Tha Ke Wo
Haram Me Bhi Bani Khuzaa Ko Nihayat Bedardi Ke
Sath Qatal Karta Raha Aur Chilla Chilla Kar Apni
Qaum Ko Lalkarta Raha Ke Phir Yeh Mauqa Kabhi
Hath Nahi Aa Sakta. Chunache In Darinda Siffat
Khaufnaak Insano Ne Haram E Illahi Ke Ahtram Ko
Bhi Khaak Me Mila Dia Aur Haram E Kabba Ki
Hudood Me Nihayat Hi Zalimana Taur Par Bani
Khuzaa Ka Khoon Bahaya Aur Kufaar Quresh Ne Bhi
Is Qatal Wa Gaarat Aru Kasht Wa Khoon Me Khoob
Khoob Hissa Liya. (Zurqani Jild 2 Safah 289)
Zahir Hai Ke Quresh Ne Apni Is Harkat Se
Hudaibiyah Ke Muhahida Ko Amali Taur Par Tod
Dala. Kyonke Bani Khuzaa RasoolAllah ‫ ﷺ‬Swe
Muhahida Karke Aapke Halif Ban Chuke Thay, Isliye
15
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Bani Khuzaa Par Hamla Karna, Yeh RasoolAllah ‫ﷺ‬
Par Hamla Karne Ke Barabar Tha. Is Hamla Me Bani
Khuzaa Ke 23 Admi Qatal Ho Gaye.
Is Hadsa Ke Bad Qabila Bani Khuzaa Ke Sardar
Amr Bin Salem Khuzaai Chalis Admiyon Ka Wafad
Lekar Fariyad Karne Aur Imdaad Talab Karne Ke Liye
Madina Bargah E Risalat Me Pohche Aur Yahi Fatah
E Makka Ki Tamheed Huyi.
Seerat E Mustafa Safah 412
Syedna Abdullah Bin Abbas RadiAllah u Ta'ala
Anho Farmate Hai :
Ali (RadiAllah u Ta'ala Anho) Me 18 Khubiyah
Aisi Hai Ke Un Me Se Sirf Ek Bhi Unki Aakhirat
Sanwarane Ke Liye Kaafi Thi. Jab Ke Unki Tera
Khubiyah Aisi Hai Jo Sirf Unhi Ke Khasais Hai Aur Is
Ummat Me Kisi Dusre Ko Yeh Ajaz Haasil Nahi :
(Tibraani Auwsat : 8432)
Syedna Usmaan Ghani RadiAllah u Ta'ala Anho
Ko 12 Shane Aisi Hasil Hai Jo Is Ummat Me Kisi Ko
Haasil Nahi.
Isi Tarah Syedna Umar Bin Khataab RadiAllah u
Ta'ala Anho Ko 40 Chalis Se Zayid Shane Aisi Hasil
Hai Jo Is Ummat Me Kisi Ke Pass Nahi.
Syedna Abubakar Siddiq RadiAllah u Ta'ala
Anho Ko Sab Se Zayda Shane Aisi Hasil Hai Jo Is
16
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Ummat Me Kisi Ko Hasil Nahi. Kayi Aayat Me Se
Sirf Tin Aayat Taqriban 60 Ahadees Paish E Khidmat
Hai, Unme Se Baz Aayat Aur Ahadees Me Zimanan
Beshumar Khususiyat Maujood Hai Aur Khasais Ki
Majmuyi Taadad 80 Se Bhi Zayda Banti Hai. Apni
Aankho Se Padiye, Dimaag Se Sochiye Aur Dil Me
Utariye !

Syedna Siddiq E Akbar Ke Khasais


1 Quraan Aapko Saani Asnain Kahta Hai,
Farmaya :
ِّ َ‫اّلل اِّذ ا َخ َر َج ُه ال َ ِّذی َن َكف َُروا ث‬
َ‫ان‬ ُ ‫اِّ َل َتن ُص ُرو ُه فَقَد َن َص َر ُه ى‬
َ ‫ار اِّذ َیقُو ُل ل َِّصا ِّح ِّب ٖه َل َتح َزن اِّ َن ى‬
-‫اّلل َم َع َنا‬ ِّ ‫ی اِّذ ُه َما ِّف ال َغ‬
ِّ ‫اث َن‬
ُ ‫فَاَن َز َل ى‬
‫اّلل َس ِّكی َن َته َعل َی ِّه‬
Ya'ni Agar Tum Logo Ne Rasool Ki
Madad Na Ki To Beshak ALLAH Unki
Madad Farma Chuka Jab Kafiro Ne
Rasool Ko Bewatan Kia, Is Haal Me Ke
Wo Do Me Se Dusre Thay Jab Wo Dono
Ghaar Me Thay, Jab Wo Apne Sahabi Se
Farma Rahe Thay Gham Na Kar, Beshak
ALLAH Humare Sath Hai, Pas ALLAH

17
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Ne Ispar Apni Taraf Se Taskin Nazil
Farmayi
(Surah Tauba 40)
Is Aayat Ka Ek Ek Lafz Siddiqi Manaqib Aur
Khasais Se Labrez Hai :
ُ ‫نَ َص َر ُه ى‬
‫اّلل‬
Me Siddiq E Akbar RadiAllah u Ta'ala Anho Ke
Jariye Ki Gayi Madad Ka Zikr Hai
‫ی‬ ِّ َ‫ث‬
ِّ ‫انَ اث َن‬
Me Khalil Ki Khalwat Ka Urooj,Ghaar Me
Tanhayi Me ‫ اِّذ ُهمَا‬Ka Wasl Jise Dekh Kar Mufsirin Ki
Quwat E Mumiyaza Jawab De Gayi Ke Ahad Kon Hai
Aur Sani Kon Hai, ‫ َصا ِّح ِّب ٖه‬Ki Izaafat Me ‫ ا َس ىرى بِّ َعب ِّد ٖه‬Ka Aks,
‫ َو َل َتح َزن‬Ki Hosla Afzaiyah Aur ‫ ان اللہ معنا‬Me Ma'aiyat Ki
Rianaiyah Samjane Ke Liye Murtaza Karim Ki Jaisi
Basirat Chaiye, Syedna Ali Murtaza RadiAllah u
Ta'ala Anho Farmate Hai Ke :
Ya'ni ALLAH Ne ُ‫ اِّ َل َتن ُص ُروه‬Ke Alfaaz Me Tamaam
Logo Ki Mazmat Ki Hai Aur Abubakar Ki Madah Ki
Hai
(Ibn Asaakir Jild 30 Safah 291, Daur E Mansur 3 Ruh
Ul Ma'ani Jild 10 )
Yahi Baat Hazrat Syedna Hasan Basri Quds
Sirah Ul Aziz Ne Bhi Farmate Hai :
18
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
(Nawadraul Usool, Daur E Mansur, Ruh Ul Ma'ani
Jild 10)
Yahi Baat Imaam Shaibi Tabaee Rehamullah Ne
Bhi Farmayi Hai (Baghawi Jild 2/282)
Yahi Baat Hazrat Sufiyan Bin Aainiyah
Rehamullah Ne Bhi Farmayi Hai. (Qurtabi Jild 8)
ALLAH Ke Mehboob ‫ ﷺ‬Ke Wisaal Ke Bad
Ansar Ne Kaha Ke Ek Ameer Hum Me Se Hoga Aur
Ek Ameer Muhajirin Me Se Hoga. Syedna Farooq E
Azam Ne Farmaya : Kon Hai Jisme Yeh Tin Khubiyah
Ho ?
‫اذ هما ف الفار‬
‫اذیقول لصاحبہ‬
‫ل تحزن ان اللہ معنا‬
Yeh Sun Kar Sab Ne Hasin Wa Jamil Tariqe Se
Siddiq E Akbar RadiAllah u Ta'ala Anho Ke Hath Par
Bait Karli.
(Al Sunan Ul Kubra Lil Nisai 11219, Nawad Ul Usool 1077)
Hazrat Allama Syed Mehmood Aalusi
Allaihirehma Ne ‫ َل َتح َزن‬Ki Tafsir Karte Hue Yeh Kah
Kar Inteha Kardi Ke :
Ya'ni Sabit Hua Ke Hazrat Abubakar Sidiq
RadiAllah u Ta'ala Anho Ko Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ki

19
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Bargah Me Wahi Maqaam Wa Martaba Hasil Hai Jo
Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ko Apne Rab Ki Bargah Me Hasil Hai
(Ruh Ul Ma'ani Jild 10 Safah 89)

ALLAH Ta'ala Farmata Hai :


(۱۷)‫َو َس ُی َج َن ُب َها الَت َقى‬
Aur Wo Jahannum Se Dur Rahega Jo Sab
Se Bada Muttaqi Hai
(Al Lail Aayat 17)
Allama Abul Hasan Wahidi Rehamullah Likhte
Hai :
Yani Itqa Se Muraad Abubakr Siddiq Hai, Yeh
Puri Ummat Ka Qaul Hai.
(Al Tafsir Ul Basit 24/88)

3 ALLAH Ta'ala Farmata Hai :


َ ‫اُو لىٰٓى‬-‫َل‬
‫ك‬ َ ‫َل یَس َت ِّوی ِّمنكُم َمن ا َن َف َق مِّن قَب ِّل الفَت ِّح َو ىقت‬
‫ِّن ال َ ِّذی َن ا َن َفقُوا مِّن بَع ُد َو ىق َتل ُوا‬
َ ‫اَع َظ ُم دَ َر َج ًة م‬
Yani Tum Me Se Jin Logo Ne Fatah
Makka Se Pehle Pehle ALLAH Ki Rah
Me Maal Kharch Kia Aur ALLAH Ki
Rah Me Jung Ladi Unka Darja Bohat
Buland Hai. Uske Bad Kharch Karne

20
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Wale Aur Jung Ladne Wale Unke Barabar
Nahi Ho Sakte
(Al Hadeed Aayat 10)
Tafseer Ibn Kaseer Me Hai Ke Imaan Walo Ko
Isme Koi Shak Nahi Ke Is Aayat Me Sidiq E Akbar
Sab Se Top Par Hai Aur Tamam Ambiyah Ki Ummato
Me Se Is Par Amal Karne Me Syed O Sardar Hai.
Unhone Apna Sara Maal ALLAH Ki Raza Ke Liye
Kharch Kar Dia (Ibn Kaseer Jild 4 Safah 404)
4 Syedna Sidiq E Akbar RadiAllah u Ta'ala Anho
Mardo Me Sab Se Pehle Imaan Laaye. (Tirmizi 3734)
5 Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ne Farmaya :
Ya'ni Maine Jisko Bhi Islam Ki Dawat Di Usne
Taal Matol,Tardud Aur Takhir Se Kaam Liya Siwaye
Abubakar Ke, Jab Maine Uske Samne Apne Nabuwat
Ka Zikr Kiya To Usne Bila Taakhir Qabool Kia Aur
Tardud Nahi Kia. Aur Sath Hi Yeh Alfaaz Bhi Hai Ke
‫فلم یفر ولم ینکر‬
(Sirat Ul Nabwitul Ibn Ishaq 1/183 Sirat Nabwiyah
AL Ibn Hishaam 1/22 Dalail Nabuwat Lil Behqi
Hadees 476)
6 Hazrat Aamir Taabaee Farmate Hai Ke Maine
Hazrat Ibn Abbas RadiAllah u Ta'ala Anho Se Puchha
: Logo Me Sab Se Pehle Islam Kon Laya ? To Unhone
21
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Farmaya : Kya Tumne Hazrat Hasaan Ka Qaul Nahi
Suna ?
Tarjumah :
Jab Tum Arbaab E Wafa Ki Dastaan E Gham
Chedo To Apne Bhai Abubakar Ko Zaroor Yaad
Karna, Jo Kuchh Usne Kar Ke Dikhaya.
Wo Nabi Ke Bad Tamaam Logo Me Sab Se
Afzal Aur Qaabil E Aitmaad Tha Aur Apni Zimedari
Ko Sab Se Zayda Nibhane Wala Tha. Wo Dusre
Nmber Par Tha, Nabi Ke Pichhe Pichhe Tha,Uski
Risalat Ki Gawahi Badi Pasandida Thi, Rasoolo Ki
Tasdiq Karne Wale Pehle Logo Me Se Tha.
In Ashaar Me Syedna Sidiq E Akbar RadiAllah
u Ta'ala Anho Ke Saat Khasais Ka Zikr Hai.
7 Hazrat Saeed Bin Musiyab Farmate Hai Ke
Abubakar Siddiq Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ke Liye Wazir Ki
Tarah Thay, Huzur Aap Se Tamaam Mamlaat E
Mashwara Lete Thay, Wo Islam Me Aapke Saani
Thay, Wo Ghaar Me Aapke Saani Thay, Wo Badar Ke
Din Arsh Me Aapke Saani Thay, Qo Qabar Me Aapke
Saani Hue, Aur RasoolAllah ‫ ﷺ‬Kisi Ko Unse Aagey
Nahi Samjhate Thay. (Mustdark Al Hakim )
Is Ek Hadees Me Syedna Siddiq E Akbar
RadiAllah u Ta'ala Anho Ke Saat Khasais Mazkur Hai.

22
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
8 Aap Ke Chehare Ke Jamaal Ki Wajh Se Aap
Ko Atiq Kaha Jata Tha, Nabi Kairm ‫ ﷺ‬Ne Aapka
Naam Atiq Rakha Ya'ani Jahannum Se Aazaad
(Tibraani Kabeer Hadees 4 Ta 11)
9 Hazrat Hakim Bin Saad Farmate Hai Ke Maine
Hazrat Ali RadiAllah u Ta'ala Anho Ko Qasam Kha
Kar Farmate Hue Suna : ALLAH Ne Aasman Se
Abubakar Ka Nam "Siddiq" Nazil Farmaya.
Majmah Ul Kabeer Lil Tibrani 14, Majmah Ul
Zawaid 14295)
10 Yani Mujhe Aasman Par Le Jaya Gaya To
Main Jis Aasman Se Bhi Guzra, Har Aasman Par Apna
Naam Muhammad RasoolAllah Aur Apne Naam Ke
Pichhe Abubakar Siddiq Likha Hua Paaya (Musnad
Abi Ya'ala 6600)
11 Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ne Mairaj Ke Bad Hazrat
Jibrayil Amin Allah issalam Se Farmaya : Meri Qaum
Meri Tasdqi Nahi Karegi. Unhone Arz Kia : Kyon
Nahi ? Abu Bakar Siddiq Aapki Tasdiq Karege
(Fazail Al Sahaba 116)
Imaam Qurtabi Allaihirrehma Likhte Hai :
Yani Abubakar Siddiq Ka Naam Siddiq Hone
Opar Tamaam Musalmano Ka Ispar Ijmah Hai Jis
Tarah Syedna Muhammad ‫ ﷺ‬Ke Rasool Hone Par
23
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Sab Ka Ijmah Hai, Aur Jab Yeh Baat Sabit Ho Gayi
Aur Aapka Siddiq Hona Sahi Thhehra Aur Aapka
RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ka Saani Hona Sahih Thhehra To
Phir Jaiz Nahi Ke Koi Siddiq Ke Baad Aap Se Aagey
Qadam Rakhe (Tafseer Qurtabi Jild 5 Safah 262)
12Bade Bade Sahaba E Kiram Aapki Targib Se
Imaan Laaye : Syedna Usmaan Ghani,Syedna Talha,
Syedna Zubair, Syedna Saeed Bin Abi Waqaas,
Syedna Usmaan Bin Mazaaun, Syedna Abu Ubaida
Bin Jarah , Syedna Abdul Rehman Bin Aauf,, Syedna
Abu Salma Aur Syedna Raqam RadiAllah u Ta'ala
Anhum. (Al Rizya Ul Nazar 1/91)
13 Apne Bohat Se Ghulaamo Hazrat
Bilaal,Hazrat Aamir Bin Fahira,Hazrat Umme Amis
Wagairahum Ko Kharid Kar Aazad Kia
(Al Riyaaz Ul Nazar Jild 1/133)
14 Sahib Al Rasool To Tamaam Sahaba E Kiram
Alaihimurrizwan Hai Magar Jiski Sahabiyat Ka Inkaar
Kufr Hai Wo Faqat Abubakar Siddiq RadiAllah u
Ta'ala Anho Hai Isliye Ke Quraan Me Apako Sahabi
Kaha Gaya Hai.
15 Agli Kitabo Me RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ki Tasweer
Mubarak Ke Sath Hazrat Abubakar Ki Tasweer Bhi Is
Tarah Bani Hui Thi Ke Unhone RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ke
24
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Qadmo Ko Pakda Hua Tha. Ahl E Kitaab Ka Aqeedah
Tha Ke Yeh Huzur ‫ ﷺ‬Ke Baad Aap ‫ ﷺ‬Khalifa Hai
(Tibraani Awsat 8231, Tibrani Kabeer 1518, Dalail Ul
Nabuwat Lil Behqi 2/258 Al Wafa Safah 56,57,
Tafseer Ibn Kaseer 2/348)
16 Aap ‫ ﷺ‬Ki Char Pushtein Sahabi Hai Walid E
Girami,Khud Siddiq E Akbar, Beta Aur Pota
RadiAllah u Ta'ala Anhu, (Al Majma Ul Kabeer 11)
17 Mardo Me Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ke Sab Se Zayda
Mehboob Thay
(Bukhari 3662)
18 Aap Ko Tahband Latka Kar Bandhane Ki
Ijazat Thi, RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ne Farmaya : Jisne Takbur
Karte Hue Apna Tahband Lamba Rakha ALLAH
Qayamat Ke Din Uski Taraf Nazar E Rehmat Nahi
Farmayega, To Abubakar Siddiq RadiAllah u Ta'ala
Anho Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah ‫ ﷺ‬Mere
Tahband Ki Ek Side Latki Rahti Hai , RasoolAllah ‫ﷺ‬
Ne Farmaya Tum Takbur Ki Wajh Se Aisa Nahi Karte
(Bukhari 3665)
19 Abubakar Siddiq Ko Jannat Ke Tamaam
Darwazo Se Pukara Jayega
(Bukhari Hadees 1897,2841,3216,3666, Muslim
Hadees 2371,2372)
25
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Aap RadiAllah u Ta'ala Anho Is Ummat Me Sab
Se Pehle Jannat Me Dakhil Hoge
(Mustdark E Hakim 4500)
21 Hazrat Abu Darda RadiAllah u Ta'ala Anho
Farmate Hai Ke RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ne Mukhtsar Sa
Khutba Irshad Farmaya, Phir Jab Apne Khutbe Se
Farig Hue To Farmaya : Aey Abubakr Khade Ho Jao
Aur Khitab Karo, Abubakar Khade Ho Gaye Aur
Khitaab Farmaya Aur Nabi Karim ‫ ﷺ‬Se Mukhtsar
Kitaab Kia, Phir Jab Abubakar Apne Khitaab Se Faarig
Hue To Aap ‫ ﷺ‬Ne Farmaya Ey Umar Khade Ho Jao
Aur Khitaab Karo, Umar Khade Ho Gaye Aur Unhone
Bhi Khitaab Farmaya Aur Nabi Karim ‫ ﷺ‬Aur
Abubakar Se Mukhtsar Kitaab Kia
(Mustdark Al Hakim Hadees 4556)
Aap ALLAH Aur Uske Rasool Ki Taraf Bulane
Wale Pehle Khatib Thay
(Taarikh Ul Khulfa Safah 33, Gazali Ibn Asakir )
22 Hazrat Abu Darda RadiAllah u Ta'ala Anho
Farmate Hai Ke Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ne Farmaya : Beshak
ALLAH Ta'ala Ne Mujhe Tum Logo Ke Pass Bheja
To Tum Sab Ne Kaha Tum Jhoote Ho Aur Abubakar
Kahta Raha Sacha Hai Aur Usne Apni Jaan Aur Apne
Maal Ke Jariye Madad Ki. Kya Tum Log Aisa Nahi
Kar Sakte Ke Mere Yaar Ko Mere Liye Rahne Do ?
26
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
(Bukhari Hadees 3661,4640)
23 Hazrat Arwa Bin Zubair Farmate Hai Ke :
Maine Hazrat Abdullah Bin Amaro RadiAllah u Ta'ala
Anhuma Se Sawal Kia Ke Mushrikin Ne RasoolAllah
‫ ﷺ‬Ke Sath Sab Se Baza Zulm Konsa Kia Tha ?
Unhone Bataya Ke Nabi Karim Namaz Pad Rahe
Thay, Uqba Bin Abi Maait Ne Aakar Apni Chaadar
Aapke Gale Me Daal Kar Aap Ka Shiddat Se Gala
Dabana Shuru Kar Dia, Phir Hazrat Abubakar
RadiAllah u Ta'ala Anho Aaye Aur Usko Dhaka De
Kar Aap ‫ ﷺ‬Se Dur Kiya, Phir Yeh Aayat Padi : Kya
Tum Ek Mard E Khdua (MazAllah ) Isliye Qatal Karna
Chahte Ho Ke Wo Kahte Hai Ke Mera Rab ALLAH
Hai Halake Yaqinan Wo Tumhare Pass Tumhare Rab
Ki Taraf Se Chamkati Hhui Nishaniyah Le Kar Aaye
Hai.(Bukhari Hadees 3678,3856)
Yeh Hadees Digar Kutub Me Tafsilan Is Tarah
Mazkur Hai : Hazrat Asma Binte Abubakar RadiAllah
u Ta'ala Anha Se Puchha Gaya Ke RasoolAllah ‫ﷺ‬
Par Mushrikin Ki Taraf Se Sab Se Sakht Din Konsa
Aaya ?
Farmaya : Ek Martaba Mushrikin Masjid E
Haram Me Bethhe RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ke Bare Me
Batein Kar Rahe Thay Ke Yeh Humare Bhooto Ko Is
Tarah Is Tarah Kahte Hai. Isi Dauran RasoolAllah ‫ﷺ‬
27
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Masjid Me Dakhil Hue. Wo Sab Khade Hokar
Puchhane Lage Ke Aap Humare Bhooto Ke Bare Me
Is Tarha Is Tarah Kahte Hai ?
Farmaya : Kyun Nahi ?
Wo Sare Ke Sare Toot Pade. Ek Aadmi Chikhta
Hua Abubakar Ke Pass Pohcha Aur Kaha : (Ya Sidiq
E Akbar) Apne Sahib Ko Pohch. Abubakar Fauran
Nikal Gaye Aur Unhone Zulfe Rakhi Hui Thi, Aap
Masjid Me Dakhil Hue Aur Kahe Ja Rahe Thay : Tum
Logo Ka Bura Ho, Kya Tum Is Mard E Khuda Ko
MazAllah Qatal Karna Chate Ho Jo Kahta Hai Ke
Mera Rab ALLAH Hai Aur Tumhare Pass Rab Ki
Taraf Se Wajeh Nishaniyah Lekar Aaya Hai. Unhone
RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ko Chordh Dia Aur Abubakr Par
Hamla Kar Dia. Abubakar Jab Humare Pass Wapas
Aaye To Aap Apni Zulfo Me Se Jahan Bhi Hath Lagate
To Baal Ukhad Kar Hath Me Aa Jate Thay, Aur Aap
Farmate Thay :
‫تبارکت یا ذاالجالل والیکرام‬
(Musnad Hamidi : 324 Nawad Ul Usool 1079,
Musnad E Abi Yahla 52 Hilyatul Aauliya Jild 1 Safah
62,63) Isnad Sahih
Yahi Hadees Mustdark Me Syedna Anas Bin
Malik RadiAllah u Ta'ala Anho Se Marwi Hai Aur
Uske Aakhri Alfaaz Yeh Hai :
28
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Yani Logo Ne Puchha Yeh Kon Hai ? Dusro Ne
Jawab Dia Yeh Abu Qahafa Ka Beta Hai (Mehboob
Ka) Deewana (Mustdark Hakim Hadees 4480)
Yeh Waqiah Siddiqi Khasais Se Labrez Hai, Sirf
Maal Hi Nahi Balek Jaan Ki Baazi Laga Dene Ke
Ilawa Ek Ek Satar Me Siddiq E Akbar Wafadariyah
Apni Inteha Ko Chhu Rahi Hai.
Mazid Likhte Dekhe :
Siddiq E Akbar RadiAllah u Ta'ala Anho Nabi
Karim ‫ ﷺ‬Ke Bad Sab Se Zayda Bahadur Thay.
Syedna Ali Al Murtaza RadiAllah u Ta'ala Anho Ne
Farmaya : Abubakar Tamam Logo Se Zayda Bahadur
Hai : (Majmah Ul Zawaid 14333)
25 Hazrate Abubakar Siddiq RadiAllah u Ta'ala
Anho Ke Bete Abdul Rehman Jung E Badar Aur Ohad
Me Kafiro Ke Sath Thay, Unhone Muqable Ke Liye
Musalmano Ko Lalkaara To Unka Muqabala Karne Ke
Liye Hazrat Abubakar Siddiq Khade Hue, To
RasoolAllah Ne Farmaya :
Yani Hume Apni Jaan Se Istfada Ka Mauqa
Dijiye
(Al Istiyaab Safah 411)
Jab Hazrat Abdul Rehman Bin Abibakar
Musalman Hue To Arz Kia Abajaan : Jung E Badar Me
Aap Kayi Bar Meri Talwar Ki Zad Me Aaye Magar
29
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Maine Aap Se Darguzar Kia, Hazrat Abubakar Siddiq
Ne Farmaya :
Agar Tum Mere Samane Aa Jate To Main Kabhi
Dar Guzar Na Karta (Seerat Ul Halbiyah 2/404)
Hazrat Abubakar Siddiq RadiAllah u Ta'ala
Anho Ke Walid Abu Qahafa Ne Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ki
Shaan Me Beadabi Ki To Aapne Unhe Thhapad Mar
Dia Jis Se Wo Gir Gaye , Nabi Karim ‫ ﷺ‬Se Arz Kia
To Aap ‫ ﷺ‬Ne Farmaya : Ainda Aisa Mat Karna,
Unhone Arz Kia ; ALLAH Ki Qasam Agar Mere Pass
Talwar Hoti To Main Use Qatal Kar Deta
( Daur E Mansur 6/297 Seerat Ul Halbiyah 2/405)
26 Hijrat Wali Hadees Me Syedna Siddiq E
Akbar RadiAllah u Ta'ala Anho Ke Kam Az Kam Saat
Khasaais Maujood Hai :
Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ne Siddiq E Akbar Ko Apne
Sath Hijrat Ke Liye Muntkhib Farmaya.
RasoolAllah ‫ ﷺ‬Rozana Subah Sham Siddiq E
Akbar Ke Ghar Tashrif Le Jate Thay, Ibn Dagana Ne
Siddiq Ki Shan Me Wahi Alfaaz Bole Jo Syeda
Khadeejah Tul Kubra RadiAllah u Ta'ala Anha Ne
Pehli Wahi Ke Nuzul Ke Waqt Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ki
Shaan Me Bole Thay, Siddiq E Akabr Ne Dunia E
Islam Ki Pehli Masjid Makka Sharif Me Apne Ghar
Me Banayi Thi, Siddiq E Akbar Ke Quraan Padne Par
30
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Kafiro Ki Auratein Aur Bachhe Aap Par Parwana
Waar Girte Thay, Siddiq E Akbar Ne ALLAH Ke
Zimme Par Bharosa Kia Aur Ibn Dagana Ka Zima
Wapas Kar Dia, Siddiq E Akbar Ne Sawari Ke Liye
Do Untniyah Kharidi Aur Unhe Khususi Giza Khilate
Rahe (Bukhari Hadees 2297,3905)
26 Hijrat Ki Raat Siddiq E Akbar Kabhi Nabi
Karim ‫ ﷺ‬Ke Agey Chalte Kabhi Pichhe Chalte Kabhi
Daye Chalte Aur Kabhi Baye Chalte Thay,
RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ne Farmaya : Abubakar Yeh Kya Hai
? Arz Kia Ya RasoolAllah Samne Se Dushman Ka Dar
Lagta Hai To Aapke Samne Aa Jata Hun, Jab Aapke
Pichhe Se Dushman Ka Dar Lagta Hai To Pichhe Aa
Jata Hun, Isi Wajh Se Kabhi Daye Aur Kabhi Baye
Hota Hun Taake Aapko Nuqsaan Na Pohche. Is Raat
RasoolAllah ‫ ﷺ‬Apni Ungliyon Ke Bal Chalte Rahe
Hata Ke Qadam E Nazul Chhil Gaye, Jab Abubakar Ne
Yeh Dekha To Aapko Apne Kandho Par Uthha Liya
Aur Daud Pade Hata Ke Gaar Tak Le Aaye Aur Utar
Dia (Al Wafa Safah237)
27 Hijrat Ke Mauqa Par Kufaar Ne Nabi Karim
‫ ﷺ‬Aur Siddiq E Akbar Ko Pakadne Wale Ke Liye
Inaam Muqrar Kia
(Mustdark Hakim Hadees 4481)

31
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
28 Sulah Hudaibiyah Ke Mauqa Par Syedna
Farooq E Aazam RadiAllah u Ta'ala Anho Ne Jab
Hazrat Abu Jandal RadiAllah u Ta'ala Anho Ki
Sifarish Ki To RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ne Farmaya : Main
ALLAH Ka Rasool Hun, Main Uski Nafarmani Nahi
Karta Aur Mera Madadgar Hai Alkh.
Phir Jab Hazrat Farooq E Aazam RadiAllah u
Ta'ala Anho Ne Hazrat Siddiq E Akbar RadiAllah u
Ta'ala Anho Se Baat Ki To Unhone Bhi Bilkul Wahi
Alfaaz Dohraye Jo RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ne Farmaye Thay
(Bukhari 2731)
29 Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ne Farmaya : Maine Har Kisi
Ke Ehsaano (Yani Khidmat) Ka Badla De Dia Hai,
Siwaye Abubakar Ke (Tirmizi Hadees 3661)
30 Aap Jaan Aur Maal Se Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ki
Khidmat Me Sab Se Aagey Thay (Bukhari 467)
31 Aap ‫ ﷺ‬Ne Masjid E Nabwi Ki Jagah Apni
Jaib Se Kharidi (Sharah AL Nawawi 2/200)
32 Siddiq E Akbar Ne Ghar Ka Sara Samaan
RasoolAllah ‫ ﷺ‬Par Qurbaan Kar Dia Aur Hazrat
Umar RadiAllah u Ta'ala Anho Ne Farmaya : ALLAH
Ki Qasam Main Kisi Mamle Me Abubakar Se Aagey
Nahi Bad Sakta
(Tirmizi Hadees 3675, Abu Dawood 1678)
32
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Is Mauqa Par Siddiq E Akbar Se Nabi Karim ‫ﷺ‬
Ne Puchha Ke Ghar Walo Ke Liye Kya Chhod Kar
Aaye Ho ? To Aapne Arz Kia : Main Unke Liye
ALLAH Aur Uska Rasool Chhod Kar Aaya Hun
(Tirmizi Hadees 3575, Abu Dawood 1678)
Sufiyah Farmate Hai Ke Yeh Sab Se Pehla
Sufiyana Jumla Tha Jo Siddiq E Akbar Ki Zubaan Par
Aaya.
33 Nabi Karim ‫ ﷺ‬Aapke Maal Me Is Tarah
Tasruf Farmate Thay Jaise Apna Zaati Maal Ho
(Musnaf Abdul Razzaq Hadees 20397)
34 Badar Ki Jung Me Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ke Liye
Arsa Taiyaar Kia Gaya Usi Me Abubakar Siddiq
RadiAllah u Ta'ala Anho Thay, Dono Ke Siwa Aur Ki
Nahi Tha (Dalail Ul Nabuwwat Lil Behqi Hadees 941)
35 Hazrat Ibn Abbas RadiAllah u Ta'ala Anho
Farmate Hai Ke Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ne Gazwa Badr Ke
Din Yeh Dua Farmayi :
Aey ALLAH ! Main Tere Samne Tera Mere Sath
Wada Paish Karta Hun. Aey ALLAH ! Agar Tu Chahe
(Ke Aaj Musalmaan Nakaam Ho To Phir Aaj Ke Bad
Dunia Me) Teri Ibaadat Nahi Ki Jayegi, Pas Hazrat
Abubakar RadiAllah u Ta'ala Anho Ne Aapka Hath
Mubarak Pakad Lia Aur Arz Kia : Ya RasoolAllah
33
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Itna Kafi Hai (Aapne Dua Karne Me Inteha Kar Di
Hai) Phir Nabi Kairm ‫ ﷺ‬Apne Khaima Se Bahar
Nikale Aur Aap Yeh Aayat Pad Rahe Thay, An Qarib
Kufaar Ka Lashkar Shikasat Khayega Aur Yeh Sab
Pithh Phair Kar Bhagege (Bukhari Hadees 3953)
36 syedna Ali AL Murtaza RadiAllah u Ta'ala
Anho Farmate Hai Ke :
ALLAH Ki Qasam Hum Jab Bhi Kisi Bhalayi
Ki Taraf Barde Abubakar Hum Se Aagey Nikal Gaya
(Al Majmah Ul Auwsat Lil Tibrani 7168, Majmah Ul
Zawaid : 14332)
(37) Fateh Makka Ke Mauqa Par Syedna
Abubakar Siddiq RadiAllah u Ta'ala Anho Apne Walid
E Girami Syedna Abu Qahafa RadiAllah u Ta'ala Anho
Ko Islam Qabool Karane Ke Liye Lekar Nabi Karim
‫ ﷺ‬Ki Khidmat Me Hazir Hue, Aap ‫ ﷺ‬Ne Farmaya :
Mujhe Khud Unke Pass Jane Ka Mauqa Dia Hota
Siddiq E Akbar Ne Arz Kia : Yeh Unki Zimedari Thi
Ke Aapke Pass Aate, Farmaya : Hume Unka Lihaaj
Hai Unke Bete Ke Ehsaano (Khidmaat) Ki Wajh Se
(Majmah Ul Zawaid 14339)
38 ALLAH Ta'ala Napasand Karta Hai Ke Abu
Bakar Se Koi Galti Ho (Al Majmah Ul Auwsat Lil
Tibrani Kamafi Majmah Ul Zawaid Hadees 14328,
Kanzul Umaal Jild 11 Safah 250)
34
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
39Agar Abu Bakar Ka Imaan Tamaam Jahano
Ke Imaan Ke Sath Tola Jaye To Abubakar Ka Imaan
Bhari Hai
(Ibn Aadi Hadees 1012, Fazail E Sahaba Hadees 653)
40hazrat Jabir Bin Abdullah RadiAllah u Ta'ala
Anho Farmate Hai Ke Ek Martaba RasoolAllah ‫ﷺ‬
Ne Hazrat Abu Darda RadiAllah u Ta'ala Anho Ko
Siddiq E Akbar RadiAllah u Ta'ala Anho Ke Aagey
Chalate Dekha To Farmaya Tum Us Shakhs Ke Aagey
Kyun Chal Rahe Ho Jis Se Behtar Shakhs Par Nabiyon
Ke Baad Suraaj Tuluh Nahi Hua.
Fazail Al Sahaba Hadees 137, Al Majmah Ul Auwsat
Lil Tibrani Hadees 7306 Majmah Ul Zawaid Hadees
14313
41 Bakr Bin Abdullah Muznayi Tabayi
Rehamhullahu Ta'ala Farmate Hai :
Yani Abu Bakar Zayda Namazo Aur Rozo Ki
Wajh Se Logo Se Aagey Nahi Nikale Balke Us Raaz
Ki Wajh Se Aagey Nikale Hai Jo Inke Sine Me Hai :
(Fazail Al Sahaba 118, Nawadarul Usool 1269)
42 Syedna Siddiq E Akbar RadiAllah u Ta'ala
Anho Is Ummat Me Se Is Ummat Par Sab Se Zayda
Meharbaan Thay
(Tirmizi Hadees 3790)

35
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
43 Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ne Hazrat Hasaan Bin Saabit
RadiAllah u Ta'ala Anho Ko Aapki Manqbat Padne Ka
Hukm Dia, Farmaya :
Yani Suna Main Sunana Chahta Hun
(Mustdark E Hakim 4468)
44 Suleh Hudaibiyah Ke Mauqa Par Jab Arwa
Bin Masood Ne Nabi Karim ‫ ﷺ‬Se Kaha Ke : Aap Ke
Sathi Aapko Chhordh Jayege, To Syedna Siddiq E
Akbar Ne Us Se Farmaya :
Yani Apne Bhoot Laat Ka Hasb E Aadat Jakar
Peshab Pi, Kya Hum Aap ‫ ﷺ‬Se Bhagege Aur Aap ‫ﷺ‬
Ko Chhordh Dege ? (Bukhari 2731)
45 Hazrat Ayesha Siddiqa RadiAllah u Ta'ala
Anha Farmati Hai Ke RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ne Apne Marz
E Wafaat Me Mujh Se Farmaya : Abubakar Aur Apne
Bhai Ko Mere Pass Bulao, Taake Me Tahrir Likh Du,
Mujhe Dar Hai Ke Koi Khawaish Karne Wala
Khawaish Na Kare Aur Kahne Wala Kahta Na Phire
Ke Main Zayda Haqdar Hun,
Halake ALLAH Aur Tamam Mominin (Yani
Farishtein) Abubakar Ke Siwa Har Kisi Ka Inkaar Kar
Rahe Hai.
Imaam Ahmad Ne Yeh Alfaaz Bhi Riwayat
Farmaye Hai :

36
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
ALLAH Ki Panah Ke Mominin Abubakar Par
Ikhtlaaf Kare (Fazail E Sahaba 227)
Is Hadees Me Kai Khasais Hai Jinki Quwwat E
Alfaaz Dunia E Islam Par Bhari Hai.
46 Hazrat Abu Musa Ashaari RadiAllah u Ta'ala
Anho Farmate Hai Ke Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ko Taklif
Shadeed Ho Gayi, To Farmaya :
Abubakar Se Kaho Logo Ko Namaz Padaye,
Hazrat Ayesha Ne Arz Kia Wo Narm Dil Wale Aadmi
Hai, Jab Aapki Jagah Par Khade Hoge To Logo Ko
Namaz Nahi Pada Sakege, Farmaya :
Abubakar Se Kaho Logo Ko Namaz Padaye,
Ummul Mominin Ne Wahi Baat Dohrayi, To Farmaya
: Abubakar Se Kaho Logo Ko Namaz Padaye, Tum
Yusuf Ke Zamane Waliya Ho, Phir Qaasid Unke Pass
Gaya Aur Unhone Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ki Hayaat E
Taiyaba Me Logo Ko Namaz Padayi :
(Bukhari Hdees 678, Muslim 948)
47 Aap ‫ ﷺ‬Ne Farmaya : Kisi Qaum Ko Zaib
Nahi Deta Ke Abubakar Ki Maujudagi Me Koi Dusra
Imaamat Karaye (Tirmizi Hadees 3673)
48 Aap Ne Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ki Hayat E Taiba Me
Satra Namaze Padayi
(Fatah Ul Bari 2/193)

37
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
49 Quraan Me Aapko Sab Se Bada Muttaqi Kaha
Gaya Hai (Al Layl Aayat 16)
Is Aayat Se Siddiq E Akbar Ka Afzal, Aaraaf Aur
Alam Hona Hai. Ala Hazrat Shah Imam Ahmad Raza
Khan Barelvi Rehamhullah Likhte Hai :
Jab Siddiq E Akbar Is Ummat Ke Sab Se Bade
Muttaqi Hai To Laazim Hua Ke Aap Hi ALLAH Ke
Sab Se Bade Aarif Ho (Al Jawal Ul Inqa Safah 68)
50 Aap Khawabo Ki Tabeer Ke Sab Se Bade
Mahir Thay (Al Riyaaz Ul Nazar 1/59)
51 Aap Ilm Ul Nisaab Ke Sab Se Bade Mahir
Thay (Muslim Hadees 6395)
52 Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ne Hazrat Hasaan Bin Saabit
Ko Hukm Dia Ke Abubakar Se Apni Naitein Durusat
Karwaye (Muslim Hadees 6395)
53 Aapne Sab Se Pehle Quraan Jamah Farmaya
(Bukhari Hadees 4986)
54 Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ne Jis Taklif Me Wisaal
Farmaya Usi Dauran Apne Sar Mubarak Par Patti
Bandhe Hue Nikale Aur Mimber Par Tashrif Farma
Hue, Aur ALLAH Ki Hamd Wa Sana Ke Bad
Farmaya :
ALLAH Ta'ala Ne Ek Banda Ko Dunia Ke
Darmiyan Aur Jo ALLAH Ke Pass Hai Uske
38
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Darmiyan Ikhtiyar Dia Pas Us Bande Ne Usko Ikhtiyar
Kar Liya Jo ALLAH Ke Pass Hai, So Hazrat
Abubakar Siddiq RadiAllah u Ta'ala Anho Rone Lage
To Hazrat Abu Saeed Khudri Farmate Hai Ke Maine
Apne Dil Me Kaha : Is Buzurag Ko Kya Chiz Rula
Rahi Hai, Agar ALLAH Ne Ek Bande Ko Dunia Ke
Darmiyan Aur Jo ALLAH Ke Pass Hai Usme
Ikhtiyaar Diya Hai Aur Us Bande Ne Usko Ikhtiyaar
Kar Liya Hai Jo ALLAH Ke Pass Hai ? Pas
RasoolAllah ‫ ﷺ‬Hi Wo Bande Thay Aur Hazrat
Abubakar Siddiq RadiAllah u Ta'ala Anho Hum Sab
Se Zayda Ilm Wale Thay, Aap Ne Farmaya : Aey
Abubakar ! Tum Mat Ro, Beshak Logo Me Sab Se
Zayda Apni Sohbat Aur Maal Se Khidmat Karne Wala
Abubakar Hai Aur Agar Me Apni Ummat Me Se Kisi
Ko Khalil Banta To Abubaakr Ko Khalil Banata ,
Lekin Islam Ke Aitbar Se Bhai Hone Ka Rista Aur
Dosti Apni Jagah Qayam Hai, Masjid Me Koi Darwaza
Baqi Nahi Rakha Jayega Magar Isko Band Kar Dia
Jayega Siwaye Abubakar Ke Darwaza Ke.
(Bukhari Hadees 466, 467, Muslim Hadees 617)
Is Hadees Me Siddiq E Akbar Ke Kai Khasais
Mazkur Hai. Is Hadees Ke Pash E Nazar Aur Imamat
Wali Hadees Ke Paish E Nazar Ulma Ne Puri Ummat

39
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Ka Ijmah Bayan Kia Hai Ke Aap Tamaam Sahaba Me
Sab Se Bade Aalim Hai
(Ibn Bataan 2/115, Fatah Ul Bari Lil Ibn Rajab
4/117, Al Abana An Usool Al Diyana Az Imaam Abul
Hasan Ashaari Safah 105, Minhaj Ul Sunnah 4/211
Fatawa Shami 5/552)
Yahi Hai Wo Khutba Jo Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ka
Aakhri Khutba Hai, Jo Hajjatul Wadah Ke Tin Mah
Baad Misjad E Nabwi Me Dia Gaya, Aakhri Yaadgar
Khutbe Ke Taur Par Mahabbat Walo Ke Liye Zubaani
Yaad Karne Ke Qabil Hai.
Hazrat Arwa Bin Zubair Farmate Hai Ke
Abubakar Siddiq RadiAllah u Ta'ala Anho (Apne
Zamane Me) Tamaam Inasano Se Bade Aalim Thay
(Musnad E Ahmad 24434)
55 Aap Ne Mehboob Karim ‫ ﷺ‬Ke Wisaal Ke
Waqt Sab Se Zayda Jurrat Aur Istqaamat Ka Muzahira
Farmaya. Siddiq E Akbar RadiAllah u Ta'ala Anho Ne
Jab Quraan Sharif Ki Aayat ‫ ما محمد ال رسول‬Tilawat Farmayi
To Sahaba E Kiram Allah irehmurrizwan Ki Hairaani
Dur Ho Gayi Aur Sab Ko Yaqin Aa Gaya Ke Habib
KARIM ‫ ﷺ‬Wisaal Farma Chuke Hai. Syedna Ibn
Abbas RadiAllah u Ta'ala Anho Farmate Hai Ke Hume
Aise Lagta Tha Jaise Log Is Aayat Ka Mafhum Aaj

40
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Tak Nahi Samjh Sake Thay. Jab Log Waha Se Rukhsat
Hue To Har Ek Ki Zubaan Par Yahi Aayat Thi
(Bukhari 1241,1242)
56 Sahaba E Kiram Me Ikhtlaaf Hua Ke Nabi
Karim ‫ ﷺ‬Kaha Dafan Kia Jaaye Is Bare Me Kisi Ke
Pass Koi Ilm Nahi Tha, Magar Siddiq E Akbar Ne
Bataya Ke : Maine Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ko Farmate Suna
Hai Ke Nabi Jahan Wafaat Paate Hai Wahi Dafan Hote
Hai (Qurtabi Jild 4 Safah 220, Ibn Majah 1628)
Allama Suyuti Allahirrehma Likhte Hai :
Abubakar Siddiq RadiAllah u Ta'ala Anho
Tamaam Sahaba Me Sab Se Zayda Sunnat Ke Aalim
Thay, Jaisa Ke Sahaba Ne Ek Se Zayda Martaba Aapki
Taraf Ruju Kia Aur Aap Zaroorat Ke Waqt Nabi Karim
‫ ﷺ‬Ki Hadees Lekar Samne Aaye, Jo Unhe Hifz Thi
Aur Dimag Me Hazir Thi, Aur Wo Baqi Sahaba Ke
Pass Nahi Thi (Taarikh Ul Khulfa Safah 35)
57 Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ne Ek Aurat Se Farmaya Ke
Agar Ainda Aao Aur Mujhe Na Pao To Abubakar Se
Mil Lena
(Bukhari Hadees 7220, Muslim Hadees 6179)
58 Aap ‫ ﷺ‬Ne Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ke Wisaal Ke
Bad Aap ‫ ﷺ‬Ke Logo Se Kiye Hue Wade Pure Kiye :
(Bukhari 3137)
41
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
59 Murtdeen Aur Munkirin Khatam E Nabuwat
Ka Muqabala Kia (Bukhari 1399,1400)
60 Syed Ul Mursalin ‫ ﷺ‬Ke Wisaal Sharif Ke
Bad Murtdeen Ne Zakaat Dene Se Inkaar Kia To
Syedna Siddiq E Akbar Ne Farmaya :
Jis Ne Namaz Aur Zakaat Me Farq Samja
ALLAH Ki Qasam Main Uske Khilaaf Jung Karuga.
Baqi Sahaba E Kiram Rizwan Is Baat Ko Samjh Na
Sake. Phir Behas Mubahise Ke Bad Unpar Wajeh Ho
Gaya Ke Siddiq E Akbar Haq Par Hai. Lihaja Sab Ne
Siddiq E Akbar Ki Baat Ki Taraf Ruju Farmaya.
(Bukhari Hadees 1399, Muslim Hadees 124)
61 Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ne Farmaya : ALLAH
Napasand Karta Hai Ke Abubakar Se Khata Ho
(Majmah Ul Zawaid 14328)
62 Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ki Wafaat Siddiq E Akbar
RadiAllah u Ta'ala Anho Ki Wafaat Ka Sabba Bani,
Aapka Jism Ghata Gaya Hata Ke Aapki Wafaat Ho
Gayi, (Mustdark E Hakim Hadees 4465)
63 Quraan Wa Sunnat Me Sab Se Zayda Tafzil
Ke Sige Aap Ke Liye Istemaal Hue Hai Maslan :
‫ ا َع َظ ُم دَ َر َج ًة‬Al Hadeed 10
‫ الَت َقى‬Al Layl 17
Afzalul Ummat Abu Dawood

42
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Khairussahabah Bukhari Aalamu Bukhari
Arhamu Tirmizi
‫امن الناس عیل رسول اللہﷺ‬
Bukhari
‫ احق بالمامتہ‬Mustdark Hakim
‫ اشجع‬Majmah Ul Zawaid
In Me Se Har Siga Aapki Khususiyat Hai.
Hazrat Umar Bin Al Khataab RadiAllah u Ta'ala
Anho Farmate Hai Ke Abubakar Humare Aqa Wa
Sardar Thay Aur Hum Sab Se Behtar Thay Aur Hum
Sab Se Zayda RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ko Pyaare Thay
(Bukhari Hadees 3668, Tirmizi Hadees 3656,
Mustdark Hadees 4488)
Syedna Farooq E Aazam RadiAllah u Ta'ala
Anho Ne Farmaya : ALLAH Ta'ala Ki Qasam Mujhe
Apni Gardan Katwa Dena Manzur Hai Magar Main Us
Qaum Ka Ameer Nahi Ban Sakta Jis Me Abubakar
Maujood Ho(Bukhari 6830)
Syedna Farooq E Aazam RadiAllah u Ta'ala
Syedna Akbar Ke Sariya Bosa Dia Aur Farmaya :
Yani Main Qurbaan Jao, Agar Aap Na Hote To
Hum Halaak Ho Jate
(Al Riyaaz Ul Nazar Jild 1 Safah 148)

43
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Syedna Ali Murtaza RadiAllah u Ta'ala Anho Se
Manqul Sab Se Zayda Manaqib Wa Khasais Aap Hi
Ke Hai.
Syedna Abu Huraira RadiAllah u Ta'ala Anho Ne
Farmaya :
ALLAH Ki Qasam Jiske Siwa Koi Mabood
Nahi, Agar Abu Bakar Khalifa Na Banaye Jate To
ALLAH Ki Ibadat Na Ki Jaati
(Al Riyaaz Ul Nasar Jild 1 Safah 148)
Abhi Humane Siddiq E Akbar Aur Farooq E
Azam RadiAllah u Ta'ala Anha Ke Ikathe Khasais Ka
Zikr Nahi Kia Jin Me Is Ummat Ka Koi Tisra Afraad
Shamil Nahi. Khulfa E Salsa Ke Khasais Jinme Koi
Chotha Shamil Nahi Aur Khulfa E Arba Ke Khasais
Jinme Koi Panchva Shaamil Nahi, Magar Abubakar
Siddiq Har Jagah Shamil Hai. Agar Manaqib Shumar
Karte Waqt Is Nukte Ko Zehan Me Rakhege To In Sha
ALLAH Chasham E Tahqeeq Roshan Ho Jayegi.
Aey Aziz ! Khasais E Siddiq Number Dekar
Likhte Hue Numbero Ko Sambhalana Mushkil Ho
Gaya, Sirf Bukhari Sharif Me Hi Aapke "Khasais" Ki
Taadad 20 Se Zayda Hai, Yeh To Sirf Khasais Ki Baat
Hai Jabke Syedna Siddiq E Akbar Ke Manaqib Ginane
Se Ulma Aaziz Aa Chuke Hai.

44
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Imaam Nawawi Rehamhullah Likhte Hai
Yani Siddiq E Akbar Ke Kitane Hi Maratib Hai
Aur Aapne Kitani Hi Yaadein Chhordi Hai , Unke
Manaqib Ka Shumar Aur Fazail Ka Ihata ALLAH
Azzwajal Ke Siwa Kon Kar Sakta Hai?
47 ‫ صفحہ‬2 ‫)تحز یب السما واللغات جلد‬

Kitaab Asna Al Matlib Me Shaan E Siddiq E


Akbar

Imaam Shams Ul Deen Muhammad Bin Al


Juzari Rehamhullah Mutwafa Hijri 83 Ne Khawarij Ka
Muqabla Karne Ke Liye Syedna Ali Ul Murtaza
RadiAllah u Ta'ala Anho Ke Manaqib Par Kitaab Asna
Al Matlib Fi Manqib E Ali Ibn Abi Ta'ib Tahrir
Farmayi, ALLAH Karim Unhe Jaza E Khair Ata
Farmaye. Lekin Isi Kitaab Me Shan E Siddiq E Akbar
Aur Afzaliyat E Siddiq E Akbar Par Bhi Is Qadr
Ahadees Le Aaye Hai Ke Hairan Kar Dia, Taake Koi
Shakhs Manaqib E Murtaza Karim Ki Aad Me Galat
Fayda Na Uthhaye Aur Afzaliyat E Shaikhain Ke
Inkaar Ka Darwaza Na Khole.
Imaam Juzari Ne Asna Al Matlib Me 95 Ahadees
Aur Aqwaal Bayan Farmaye Hai, Lekin Kisi Sahib Ne
45
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Iski Urdu Sharah Ke Bahane 95 Me Se Sirf 45 Ahadees
Wa Aqwal Ki Sharah Ki Hai Jisme Puri Ummat Aur
Khud Imam Juzari Ke Aqeede Se Bhi Ikhtlaf Kiya Hai.
Humne Asal Kitaab Asna Al Matalib Dekhi To Wajeh
Hua Ke Un 45 Ahadees Wa Aqwal Ke Andar Bhi Aur
Unse Aage Mazid Afzaliyat E Siddiq E Akbar Aur Rad
E Batil Par Wajeh Ahadees Aa Rahi Thi. Kitaab Asna
AL Matlib Me Rad E Baatil Par Ahadees Aur Shaan E
Siddiq E Akbar Par Bhi Mulahija Karein
1 Imaam Juzari Bukhari Sharif Ke Hawale Se
Likhte Hai :
Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ne Wafaat Sharif Ki Taklif Me
Tamam Darwaze Band Kar Dene Ka Hukm Dia
Siwaye Abu Bakar Ke Darwaze Ke (Asna Al Matlib
Hadees 20)
Kitaab Ke Maulif Imaam Juzari Khud Iski
Sharah Karte Hue Farmate Hai Ke Yeh Hukm Siddiqi
Khilaafat Aur Imaamat Ke Paish E Nazar Tha
(Asna AL Matlib Safah 24)
2 Imaam Juzari Rehamhullah Ne Kitaab Asna
AL Matlib Safah 36 Par Unwaan Bandha Hai Ke :
Syedna Ali Ka Syedna Abubakar Wa Umar Ki Bait
Karna
Is Unwaan Ke Tahat Hadees Likhte Hai Ke :

46
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Abubakar Se Kaho Logo Ko Namaz Padaye
(Asna Al Matalib Hadees 39)
Isi Muqam Par Syedna Murtaza Karim
RadiAllah u Ta'ala Anho Farmate Hai Ke : Humne
Khub Gaur Kia, Pas Jise RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ne Humare
Deen Ke Liye Pasnad Farmaya Humane Use Apni
Dunia Ke Liye Bhi Pasnad Kar Liya
(Asna Al Matalib Hadees 39)
4 Syedna Ali RadiAllah u Ta'ala Anho Ne Siddiq
E Akbar RadiAllah u Ta'ala Anho Se Riwayat Kia Hai
Ke RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ne Farmaya :
Ya'ani Jab Bhi Koi Banda Gunah Kar Bethhe To
Wuju Karke Do Raqatein Pade Aur ALLAH Se
Istagfaar Kare To ALLAH Use Zaroor Bakhsh Dega
(Asna Ul Matalib Hadees 48)
Is Hadees Me Syedna Ali Al Murtaza RadiAllah
u Ta'ala Anho Ki Sanad Nabi Karim ‫ ﷺ‬Tak Siddiq E
Akbar RadiAllah u Ta'ala Anho Ke Waste Se Pohch
Rahi Hai Aur Is Me Yahi Shaan E Siddiq E Akbar
Wajeh Ki Gayi Hai.
Imaam Juzari Likhte Hai Ke : Meri Sanad
Syedna Ibn Abbas RadiAllah u Ta'ala Anho Tak Jati
Hai, Wo Nabi Karim ‫ ﷺ‬Phir Abubakar,Phir Umar
Phir Usmaan Aur Phir Ali Al Murtaza RadiAllah u

47
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Ta'ala Anhum Ki Sohbat Me Rahe, Yeh Sanad Sab Se
Ala Aur Mazbut Hai
(Asna Ul Matalib Safah 83)
5 Hazrat Ibne Abbas RadiAllah u Ta'ala Anha
Farmate Hai Ke Main Logo Me Khada Tha, Log Umar
Bin Khataab Ke Liye ALLAH Se Dua Kar Rahe Thay
Aur Aapko Apni Char Payi Par Rakha Gaya Tha, Ek
Aadmi Mere Pichhe Tha Jisne Apni Kohni Mere
Kandhe Par Rakhi Huyi Thi, Wo Kah Raha Tha :
ALLAH Tujh Par Raham Farmaye, Mujhe Yaqin Tha
Ke ALLAH Tujhe Tere Dono Yaro Se Mila Dega,
Main RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ko Kasrat Se Farmate Hue
Suna Karta Tha Ke : Main Aur Abubakar Aur Umar
Thay, Aur Abu Bakar Aur Umar Ne Aisa Kia, Main
Aur Abubakar Aur Umar Gaye, Mujhe Yaqin Tha Ke
ALLAH Tujhe Un Dono Se Mila Dega. Maine Pichhe
Murdh Kar Dekha To Wo Hazrat Ali Bin Abi Talib
Thay (Asna Al Matalib Hadees 65)
6 Imaam Juzari Safah 64 Par Unwaan Qayam
Karte Hai :
‫ابوبکر و عمر سیدا کهول اهل الجنتہ‬
Phir Hadees Likhte Hai :
Yani Aey Ali Abubakar Aur Umar Dono
Nabiyon Aur Rasoolo Ke Bad Tamaam Insano Ke
Sardar Hai Ahl Jannnat Ke Burdhe Ho Ya Jawaan HO
48
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
(Asna Ul Matalib Hadees 69)
Is Hadees Me Syedna Abubakar Wa Umar
RadiAllah u Ta'ala Anho Ko Nabiyon Ke Bad Puri
Insaaniyat Ke Sardar Syed Ul Naas Qaraar Dia Gaya
Hai, Jannati Burdho Ke Sardar Aur Phir Jannati Nau
Jawano Ke Bhi Sardar Kaha Gaya Hai Aur Hashiye
Me Taariq Tantawi Kahte Hai Yeh Hadees Sahi Hai.
Imaam Ul Ummat Siddiq E Akbar Safah 27
7 Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ne Farmaya : Aakhari Zamane
Me Ek Qaum Nikalegi Unhe Rafzi Kaha Jayega, Wo
Islam Se Nikal Chuke Hoge
(Asna Ul Matalib Hadees 70)
Ek Hadees Is Tarah Bhi Hai Ke :
Yani Yeh Log Ahl Bait Ki Mahabbat Ka Bahana
Karege (Tibrani Kabeer Hadees 12822)
Imaam Juzari Ne Safah 72 Par Baqayeda
Unwaan Qayam Kar Dia Ke :
Ya'ni Mauzo Par Masah :
Yaha Hadees Likhte Hai Ke RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ne
Farmaya : Musafir Tin Din Aur Tin Ratein, Muqim Ek
Din Aur Ek Raat Masah Kare
(Asna Ul Matalib Hadees 81)
Is Hadees Ko Bayan Karne Ka Maqsad Is Qayde
Ki Taraf Ishara Karna Hai Ke : Ahl Sunnat Ki Alamat
49
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Yeh Hai Ke Abu Bakar Wa Umar Ko Afzal Jano,
Usman Aur Ali Se Mahabbat Karo Aur Mauzo Par
Masah Jazi Samjho
(Sharah Aqaid Nasfi Safah 150, Takmil Ul Imaan
Safah 78, Fatawa E Razwiyah Jild 9 Safah 61)
9 RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ne Farmaya : Mere Hauz Ke
Char Kone Hai, Ek Abubakar Ke Hath Me Hoga,
Dusra Umar Ke Hath Me, Tisra Usman Ke Hath Me
Aur Chotha Ali Ke Hath Me. Jo Abubakar Se
Mahabbat Karta Hoga Aur Umse Bugz Rakhta Hoga,
Abubakar Use Nahi Pilayega, Jo Umar Se Mahabbat
Rakhta Hoga Aur Abubakar Se Bugz Rakhta Hoga
Umar Use Nahi Pilayega. Jo Usman Se Mahabbat
Karta Hoga Aur Ali Se Bugz Rakhta Hoga Usman Use
Nahi Pilayega. Jo Ali Se Mahabbat Karta Hoga Aur
Usman Se Bugz Rakhta Hoga Ali Use Nahi Pilayega.
Aur Jisne Abu Bakar Ke Bare Me Achhi Baat Ki Usne
Deen Ko Qayam Kiya, Jisne Umar Ke Bare Me Achhi
Baat Ki Usne Haq Wajeh Kiya, Jisne Usman Ke Bare
Me Achhi Baat Ki Wo ALLAH Ke Noor Se Chamak
Uthha, Jisne Ali Ke Bare Me Achhi Baat Ki Usne
Mazbut Rasi Ko Pakada Jo Toot Nahi Sakti, Jisne
Mere Sare Sahaba Ke Bare Me Achhi Baat Ki Wo
Momin Hai
(Asna Ul Matalib Safah 88)
50
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Is Hadees Ko Zara Gaur Se Pade, Isme Char Yaar
E Mustafa Ka Zikr Maujud Hai, Shaikhain Ki Jordi
Alag Aur Khatnain Ki Jordi Alag Bayan Huyi Hia, Phir
Tamaam Sahaba Ka Zikr Bhi Maujud Hai.
11 Imaam Juzari Allaihirrehma Ne Syedna Ali Al
Murtaza RadiAllah u Ta'ala Anho Se Mahabbat Me
Ifraat Tafrit Karne Walo Ke Bare Me Bhi Hadees
Bayan Kar Di Ke : Aey Ali Aap Ki Misaal Isa Jaisi
Hai. Unse Yahudiyon Ne Bugz Rakha Hata Ke Unki
Maa Par Ilzaam Laga Dia Aur Unse Isaiyon Ne
Mahabbat Ki Aur Unko Us Muqam Par Mana Jis Ke
Wo Haqdar Nahi Thay. Phir Syedna Ali Al Murtaza
RadiAllah u Ta'ala Anho Ne Farmaya Ke Mere Bare
Me Do Tarah Ke Aadmi Halak Ho Jayege. Had Se
Zayda Mahabbat Karne Wala Jo Meri Shaan Is Tarah
Bada Chada Kar Bayan Karega Jis Ka Me Haqdar Nahi
Hun Aur Mujh Se Bugz Rakhne Wala Jise Mera Bugz
Majbur Karega Ke Mujh Par Ilzaam Lagaye.
(Asna Ul Matalib Hadees 28)

Mahabbat Me Yahi Zaydati Bgaad Paida Karti


Hai Aur Syedna Ali Al Murtaza RadiAllah u Ta'ala
Anho Ne Is Se Digar Muqamat Par Bhi Manah
Farmaya Hai, Yani Aey ALLAH Hum Se Bugz
Rakhne Wale Har Shakhs Par Laanat Bhej Aur Hum
51
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Se Mahabbat Me Gulu Karne Wale Par Bhi Laanat
Bhej (Ibn Abi Shaiba Jild 7 Safah 507)
Isi Mahabbat Ka Bahana Karne Walo Ke Bare
Me Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ne Farmaya :
‫ینتحلون حب اهل البیت‬
(Tibrani Kabeer Hadees 12822)
Aisi Mahabbat Ko Ulma Ne Biddat Aur Fisq
Likha Hia. Allama Abu Shakur Salmi Rehamhullah
Allay ‫ القول ف الرافضة‬Ke Unwan Ke Tahat Likhte Hai :
Unme Se Baz Ne Kaha Ke Ali Zayda Ilm Wale
Hai Abubakar Aur Umar Se, Unme Se Baz Ne Kaha
Ke Ali Aur Ahl Bait Mahabbat Ke Zayda Haqdar Hai,
Yeh Sab Nazriyat Biddat Aur Fisq Hai
(Al Tahyid Abu Shakur Salmi Safah 182)
Zaahid Mahbbat Wale Ko Syedna Ali Al
Murtaza RadiAllah u Ta'ala Anho Kode Marte Thay
(Hilaytul Aauliya 6/492)
Yeh Sirf Zahid Mahabbat Ki Saza Hai Jabke Assi
(80) Kordo Wala Farmaan Alag Hai.
Wajeh Hua Ke Mahbbat Ka Shariat Ke Tabeh
Hona Zaroori Hai, Na Ke Zaati Jazbat Ke Tabeh.
Hadees Sharif Me Hai Ke : Tum Main Se Koi Bhi Us
Waqt Tak Momin Nahi Ho Sakta Jab Tak Uski
Khawahishat Meri Shariat Ke Tabeh Na Ho
52
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
(Sharah AL Sunna Lil Bagwi 104)
Mazid Wazahat Dekhiye :
11 Kitaab Ke Aakhir Me Safah 89 Par Imaam
Juzari Yeh Unwaan Qayam Karte Hai Ke :
Yani Jis Ne Abubakar Aur Umar Se Mahabbat
Ki Usne Ali Se Mahabbat Ki :
Is Surkhi Ne Asna Ul Matalib Ki Har Hadees Ke
Sath Abu Bakar Wa Umar Ko Shamil Kar Dia, Aur
Bata Dia Ke Jahan Hubbe Syedna Ali Karim Ki Baat
Hogi Waha Shaikhain Karimain Pehle Hoge. Is
Unwaan Ke Tahat Char Ashaar Bhi Likhte Hia Aur
Lutf Ki Baat Yeh Hai Ke Imaam Juzari Rehamhullah
Ne Unhi Shairo Par Kitaab Khatam Kardi Hai, Wo
Ashaar Yeh Hai :
Tarjumah :
Main ALLAH Ki Aur Uski Aayat Ki Qasam Kha
Kar Gawahi Deta Hun, Aisi Gawahi Jis Se Mujhe
Apne Jahannum Se Chhutkare Ki Umeed Hai, Ke
Abubakar Aur Uske Bad Wale Tino Sache Imaam Hai.
Yeh Charo Nabiyon Ke Bad Tamaam Makhluq Se
Afzal Hai, Jiska Yeh Mazhab Na Ho Wo Haq Se Hata
Hua Shakhs Hai
(Asna Ul Matalib Aakhari Safah )

53
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique

Shaan E Siddiq Syedna Ali Ul Murtaza


RadiAllah u Ta'ala Anho Ki Zubaani

1 Hazrat Muhammad Bin Hanfiyah Farmate Hai


Ke Maine Apne Walid (Syedna Ali) Se Arz Kiya :
RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ke Baad Logo Me Afzal Kon Hai ?
Farmaya : Abubakar, Maine Arz Kiya Phir Kon ?
Farmaya : Phir Umar, Aur Mujhe Andesha Huha Ke
Ab Yeh Na Kahe Ke Usmaan , Maine Arz Kia Phir
Aap Hoge, Farmaya : Main Musalmano Me Se Ek
Aadmi Hun (Bukhari 3671, Abu Dawood : 4629)
2 Syedna Ali RadiAllah u Ta'ala Anho Ne
Farmaya :
Qasam Hai Us Zaat Ki Jiske Qabza E Qudrt Me
Meri Jaan Hia, Hum Jab Bhi Kisi Bhalayi Ki Taraf
Bade Hai Abubakar Hum Se Sabqat Le Gaye Hai
(Majmahul Zawahid Hadees 14332)
3 Syedna Ali Ul Murtaza RadiAllah u Ta'ala
Anho Ne Farmaya : Aey Logo ! Mujhe Batao Tamaam
Logo Se Zayda Bahadur Kon Hai ? Logo Ne Kaha :
Aey Ameer Ul Mominin Aap, Farmaya : Maine
Humesha Apne Barabar Wale Ko Lalkara Hai , Mujhe
Batao Sab Se Zayda Bahadur Kon Hai ? Logo Ne Kaha
54
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Hum Nahi Jante, Aap Bataye Kon Bahadur Hai ?
Farmaya : Abubakar. Jab Badar Ka Din Aaya To
Humne RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ke Liye Ek Arsha Taiyar
Kia, Humne Kaha RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ke Sath Kon
Rahega Taake Koi Mushrik Aapki Taraf Badane Ki
Himmat Na Kare ?
To ALLAH Ki Qasam Hum Me Se Koi Qarib
Na Gaya Siwaye Abubakar Ke Jo RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ke
Sar Par Talwar Lahraye Pehra De Rahe Tha, Jab Bhi
Koi Dushman Aap ‫ ﷺ‬Ki Taraf Badta To Abubakar
Use Aarde Hatho Lete, To Yahi Hai Tamama Logo Se
Zayda Bahadur.
Phir Syedna Ali Al Murtaza RadiAllah u Ta'ala
Anho Ne Farmaya : Maine RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ko Dekha
Ke Quresh Aapko Tarah Tarah Ki Taklifein De Rahe
They Aur Kah Rahe Thay Ke Kya Aap Hi Humare
Khudao Ki Bajaye Ek Khuda Ki Baat Karte Hai ? To
ALLAH Ki Qasam Hum Main Se Koi Aap ‫ ﷺ‬Ke
Qarib Na Gaya Siwaye Abubakar Ke. Abubakar Kisi
Ko Mar Rahe Thay, Kisi Ko Ghasit Rahe Thay Aur
Kisi Ko Dhake De Rahe Thay Aur Kah Rahe Thay
:Tum Logo Ka Bura Ho, Kya Tum Us Mard E Khuda
Ko (MazAllah ) Qatal Karna Chahte Ho Jo Yeh Kahta
Hai Ke Mera Rab ALLAH Hai ? Phir Syedna Ali Ul
Murtaza RadiAllah u Ta'ala Anho Ne Apne Uper Wali
55
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Chadar Uthhayi Aur Itna Roye Ke Dhardhi Mubaarak
Tar Ho Gayi, Phir Farmaya : Logo ! Main Tumhe
Qasam De Kar Puchhta Hun Ke : Kya Aal E Firon Ka
Momin Afzal Hai Abubakar ? Log Khamosh Ho Gaye
, Farmaya : Mujhe Jawab Kyun Nahi Dete ? ALLAH
Ki Qasam Abubakar Ka Ek Lamha Aal E Firon Ke
Momin Jaiso Se Afzal Hai, Usne To Apna Imaan
Chhupaya Tha Magar Yeh Wo Marda Hai Jisne Apne
Imaan Ka Elaan Kia Tha
(Majmah Ul Zawahid 14333)
5 Syedna Ali Ul Murtaza RadiAllah u Ta'ala
Anho Farmate Hai Ke : Nabi Akram ‫ ﷺ‬Ne Mere
Martabe Aur Abubakar Ke Martabe Ko Khub Samjah
Kar Faisla Dia Aur Farmaya : Abu Bakar Khade Ho
Jao Aur Logo Ko Namaz Padao. Aap Ne Mujhe Namaz
Padane Ka Hukm Nahi Dia, Lihaja RasoolAllah ‫ﷺ‬
Ji Shakhs Ko Humara Deeni Paishwa Banane Par Razi
Hai Hum Use Apna Dunawi Paishwa Banane Par Kyun
Na Razi Ho
(Asna Ul Matalib Fi Manaqib Ali Ibn Abi Talib
Hadees 43, Al Riyaz Ul Nazar Jild 1 Safah 81)
6 Syedna Ali Ul Murtaza RadiAllah u Ta'ala
Anho Ne Farmaya : ALLAH Ne Abubakar Ko Hum
Sab Se Behtar Jana Aur Use Hum Par Wilayat De Di
(Mustdark E Hakim Hadees 4756)
56
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
7 Syedna Ali Ul Murtaza RadiAllah u Ta'ala
Anho Farmate Hai Ke : ALLAH Ki Qasam, ALLAH
Ne Aasman Se Abubakar Ka Naam "Siddiq" Nazil
Farmaya
(Al Majmah Ul Kabeer Lil Tibrani Hadees 14,
Majmah Ul Zawahid Hadees 14295)
8 Syedna Ali RadiAllah u Ta'ala Anho Farmate
Hai Ke : Maine RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ko Farmate Huye
Suna Ke : Abubakar Se Behtar Shakhs Par Suraj Tulu
Nahi Hua : (Al Riyaaz Ul Nazar Jild 1 Safah 136)
9 Hazrat Ali Shair E Khuda RadiAllah u Ta'ala
Anho Ne Farmaya Ke : RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ke Bad
Tamaam Logo Se Afzal Abubakar Hai Aur Abubakar
Ke Bad Sab Se Afzal Umar Hai
(Ibn Abi Shaiba Jild 8 Safah 574, Musnad Ahmad
836, Ibn Majah 106, Al Sunnat Ibn Abi Aasim 1233)
10 Hazrat Ibn Abbas RadiAllah u Ta'ala Anho
Farmate Hai Ke Main Logo Me Khada Tha, Log Umar
Bin Khataab Ke Liye ALLAH Se Dua Kar Rahe Thay
Aur Aapko Apni Char Payi Par Rakha Gaya, Ek
Aadmi Mere Pichhe Tha Jisne Apni Kohni Mere
Kandhe Par Rakhi Huyi Thi, Wo Kah Raha Tha :
ALLAH Tujh Par Rehmat Farmaye, Mujhe Yaqin Tha
Ke ALLAH Tujhe Tere Dono Yaro Se Mila Dega,
57
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Main RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ko Kashrat Se Farmate Hue
Suna Karta Tha Ke : Main Aur Abubakar Aur Umar
Thay, Aur Abubakar Aur Umar E Aisa Kia, Main Aur
Abubakar Aur Umar Aye, Mujhe Yaqin Tha Ke
ALLAH Tukhe In Dono Se Mila Dega. Maine Pichhe
Murdh Kar Deta To Wo Hazrat Ali Bin Abi Talib
Thay.
(Muslim Hadees 6178, Bukhari Hadees 3677,3685,
Ibne Majah Hadees 98, Sharah Al Sunnah Hadees
3890)
11 Syedna Imaam Zainul Aabedeen RadiAllah u
Ta'ala Anho Se Kisi Ne Puchha Ke RasoolAllah ‫ﷺ‬
Ke Sab Se Zayda Qarib Kon Tha? Aapne Farmaya :
Wahi Log Qarib Thay Jo Ke Aaj Bhi Qarib Hai Aur
Aapke Pehlu Me Aram Farma Rahe Hai
(Musnad Ahmad Hadees 16714, Fazail Al Sahaba Al
Daar Qutani Hadees 35)
12 Syedna Ali RadiAllah u Ta'ala Anho Farmate
Hai :
Yani Main Jise Paoga Ke Mujhe Abubakar Wa
Umar Se Afzal Kahta Hai Use Muftari Ki Saza Ke
Taur Par Assi Korde Maruga
(Fazail Ul Sahaba Al Ahmad 49,387, Al Mautlif Wal
Mukhtlif 3/92)

58
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
13 Hazrat Alqama Tabayi Rehamhullah Ne
Mimber Par Hath Mara Aur Farmaya : Hume Ali
(RadiAllah u Ta'ala Anho) Ne Is Mimber Par Bethh
Kar Khitaab Farmaya, Aap Ne ALLAH Ki Hamd Wa
Sana Bayan Ki Phir ALLAH Ko Jis Qadr Manzoor
Tha Bayaan Farmaya, Phir Farmaya : Khabardar !
Mujhe Itlah Mili Hai Ke Kuchh Og Mujhe Abubakar
Aur Umar Par Fazilat Dete Hai, Agar Maine Uske Bare
Me Pehle Saza Ka Elaan Kar Dia Hota To Main Un
Logo Ko Saza Deta ,Lekin Main Elaan Se Pehle Saza
Ko Napasand Karta Hun, Jis Ne Ainda Aisa Kaha Wo
Bohtaan Bandhane Wala Hoga Aru Use Bohtaan
Bandhane Wale Muftari Wali Saza Milegi,
RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ke Bad Tamam Logo Me Sab Se
Afzal Abubakar Hai, Phir Umar, Phir Un Logo Ke Bad
Hum Me Naye Naye Waqiyat Hue Jin Ka Faisala
ALLAH Farmayega.
14 Imaam E Aazam Abu Hanifa RadiAllah u
Ta'ala Anho Riwayat Karte Hai Ke : Ek Aadmi Syedna
Ali RadiAllah u Ta'ala Anho Ke Pass Aaya Aur Kaha
Maine Aap Se Behtar Koi Nahi Dekha. Aapne
Farmaya : Kya Tumne Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ko Dekha Hai
? Usne Kaha Nahi. Farmaya : Kya Tumne Abubakar
Aur Umar RadiAllah u Ta'ala Anho Ko Dekha Hai ?
Usne Kaha Nahin.
59
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Farmaya : Agar Tum Kahte Ke Maine Nabi
Karim ‫ ﷺ‬Ko Dekha Hai To Main Tumhe Qatal Kar
Deta, Aur Agar Tum Kahte Ke Maine Abubakar Aur
Umar Ko Dekha Hai To Main Tumhe Kode Marta.
(Kitaab Ul Aasaril Abu Yusuf Hadees 924)
15 Hazrat Ibrahim Nakhayi Tabayi Rehamhullah
Ke Pass Ek Aadmi Ne Kaha : Mujhe Abubakar Aur
Umar Ki Nisbat Ali Se Zayda Mohbbat Hai, Aapne
Farmaya : Aisi Batein Karni Hai To Humari Majlis Me
Mat Bethh, Agar Tumhari Baat Syedna Ali Bin Abi
Talib RadiAllah u Ta'ala Anho Ne Sun Li To Wo
Tumhri Pust Par Kode Marege
(Hilaytul Aauliyah Jild 6 Safah 492)

Shaikh Abdul Haq Mohdeesh E Dehlvi


Allaihirrehma Farmate Hai :
Hazrat Ali Al Murtaza RadiAllah u Ta'ala Anho
Ke Itane Khutbaat Aur Faisale Abu Bakar Wa Umar
Ki Madah Wa Sana Me Manqul Hai Ke Unpar Itlah
Paane Ke Baad Kisi Baagi Ke Pass Bhi Dum Marne Ki
Gunjaish Nahi Rahti. Agar Ulma E Ahl Sunnat
Abubakar Wa Umar Ki Afzaliyat Balke Uski
Qata'aiyat Par Istdalaal Karne Ke Liye Sirf In Dalail
Par Hi Iktfa Karle To Yeh Dalail Is Maqsad Ke Liye
Kafi Waafi Hai (Takmil Ul Imaan Safah 64)
60
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique

Tamaam Sahaba E Kiraam Aur Puri


Ummat Ka Faisla

1 Hazrat Abdullah Bin Umar RadiAllah u Ta'ala


Anho Farmate Hai Ke RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ke Zamane
Me Hum Kisi Ko Abubakar Ke Barabar Nahi Samjate
Phir Umar Phir Usman
(Bukhari Hadees 3697, Abu Dawood 4627)

2 Imaam E Aazam Abu Hanifa Rehamhullah


Ta'ala Farmate Hai :
RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ke Bad Sab Se Afzal Abubakar
Hai Phir Umar Phir Usman Phir Ali RadiAllah u Ta'ala
Anhum (Fiqah Akbar Safah 3)

3 Imaam E Malik Farmate Hai :


Sab Se Afzal Abubakar Hai Phir Umar, Kya Isme
Koi Shak Hai ?
(Sawaiq E Mohriqa Safah 57, Fatah Ul Maugis 3/127)
Imaam Shafai Allaihirrehma Farmate Hai :
Tamaam Log Abu Bakar Ki Khilafat Par Muttafiq Ho
Gaye, Yeh Isliye Huwa Ke RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ke Bad
Log Majboor Ho Gaye To Aasman Ki Chhat Ke
61
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Nichhe Abubakar Se Afzal Kisi Ko Na Paya, Bas Apni
Gardan Uske Hawale Kar Di.
(Taarikh Ul Khulfa Safah 45)
5 Imaam Ahmad Bin Humble Rehamhullah Ka
Aqeedah Is Tarah Hai :
Ya'ani Imaam Ahmd Bin Humble Afzaliyat Ki
Tartib Yun Batate Thay : Abubakar, Umar, Usman Ali
(Al Sunnat Ul Khalaal Hadees 607)
6 Imaam Bukhari Allaihirehma Farmate Hai Ke
: Tamaam Sahaba Me Sab Se Afzal Abubakar Hai Phir
Umar Phir Usman Phir Ali. Me Isi Aqeede Par Zinda
Raha, Usi Par Maruga Aur In Sha Allah Isi Par
Qayamat Ke Din Uthhauga (Tahzib Ul Tahzib 5/480)
7 Imaam Abul Hasan Asha'ari Rehamhullah
Likhte Hai :
Ya'ani Abubakar Siddiq Puri Jamaat Me
Tamamm Khaslato Me Sab Se Afzal Thay Jin Ki Bina
Par Imaamat Ka Haqdar Bana Jata Hai, Ilm Ke Lihaaj
Se, Zohad Ke Lihaj Se, Quwat E Raaye Ke Lihaaj Se
Aur Ummat Ki Siyasat Ke Lihaaj Se Aur Uske Ilawa
Digar Wajah Ki Bina Par
105‫ ص‬324‫البانتہ ازامام ابو الحسن الشعری متوف ھ‬
8 Qazi Baqalani Rehamhullah Mutwafa Hijari
403 Likhte Hai : Har Musalman Aaqil Balig Par Yeh
62
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Janana Wajeeb Hai Ke Imaam Ul Mursalin Aur Ameer
Ul Mominin, Muhajirin, Muhajirin Wa Ansaar Me Se
Nabiyon Aur Rasoolo Ke Bad Allah Ki Tamaam Tar
Makhluqaat Se Aagey Abubakar Siddiq Hai
Siddiq E Akbar Puri Ummat Se Afzal Thay,
Imaan Me Rajeh Thay, Aapka Faham Sab Se Kamil
Tha, Ilm Sab Se Wafar Tgha, Hilm Sab Se Zayda Tha
Aur Isi Chiz Ko Aap Ka Farmaan Wajeh Kar Raha Hai
Ke :
Yani Agar Abubakar Ka Imaan Tamaam Ruh E
Zamin Walo Ke Imaan Ke Sath Tola Jaye To
Abubakar Ke Imaan Ka Palda Bhari Hai
10 Hazrat Data Gang Bakhsh Allaihirehma
Farmate Hai : Siddiq E Akbar RadiAllah u Ta'ala Anho
Ambiyah E Kiram Allaihissaalm Ke Bad Tamaam
Makhluqaat Se Aagey Hai Aur Kisi Ke Liye Jaiz Nahi
Hai Ke Un Se Aagey Qadam Rakhe
(Kashf Al Mahjub Safah 69)
Agar Tahqeeq Ke Sath Kisi Sufi Ka Naam
Janana Chahte Ho To Wo Abubakar Siddiq Hai
(Kashf Al Mahjub Safah 32)
Hazrat Imaam Gazali Allaihirrehma Farmate Hai
Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ke Bad Sab Logo Me Afzal Abubakar

63
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Hai Phir Umar Phir Usman Phir Ali RadiAllah u Ta'ala
Anhum (Ahya Uloom Safah 119)
Syedna Gaus E Aazam Shaikh Abdul Qadir
Jillani Quds Sirah Farmate Hai : Khulfa E Rashdeen
Ne Khilafat Ba Zor E Shamshir Ya Jabran Hasil Nahi
Ki Thi Balke Maasrin Par Unko Fazilat Hasil Thi.
(Guniytul Talibin Safah 158)
13 Shaikh Akbar Mohiyundeen Ibn Arbi Quds
Sira Farmate Hai :
Jan Lo Ke Ummat E Muhammad ‫ ﷺ‬Me Koi
Shakhs Aisa Nahi Hai Jo Abubakar Se Afzal Ho
Siwaye Hazrat Isa Allaihissalam Ke
(Futuhaat E Makiyah Baab 93 )
14 Mauruf Darsi Kitaab Sharah Aqaid Nasfi Me
Hai Ke :
Tamam Ambiyah Ke Bad Sab Se Afzal
Abubakar Siddiq Hai
(Sharah Aqid Nasfisafah 150)
15 Ahl Sunnat Ke Aqaid Ki Taqriban Har Kitaab
Me Imaam E Aazam Allaihirrehma Ka Qaul Maujud
Hai Ke Ahl Sunnat Ki Alamat Yeh Hai :
Abubakar Wa Umar Ko Afzal Manana Aur
Usman Wa Ali Se Mahabbat Karna (Sharah Aqaid
Nasfi Safah 150 Tamheed Ul Abi Al Kausar Al Salmi

64
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Safah 165, Fatawa E Razwiyah Jild 9 Safah 61, Takmil
Ul Imaan Safah 78, Nibraas Safah 302 Sharah Fiqah
Akbar 63, Qazi Khan Jild 1 Safah 46, Al Bahr Al Raiq
Jild 1 Safah 288 )
16 Imaam Sharfudeen Nawawi Imaam Suyuti
Allaihirrehma Farmate Hai :
Yani Is Par Ahl Sunnat Ka Ittefaq Hai Ke Sahaba
Me Sab Se Afzal Abubakar Hai Phir Umar RadiAllah
u Ta'ala Anho (Sharah Nawawi Ala Muslim Jild 2
Safah 272 Taarikh Ul Khulfa Safah 37)
17 Imaam Qurtabi Shareh Muslim Allaihirrehma
Likhte Hai :
RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ke Bad Siddiq E Akbar Ki
Afzaliyat Ahl Sunnat Ka Aqeedah Hai, Yeh Aisa
Aqeedah Hia Jise Quraan Aur Sunnat Qatai Taur Par
Sabit Karte Hai, Abubakar Siddiq RadiAllah u Ta'ala
Anho Ki Afzaliyat Hai, Phir Umar Farooq. Is Me Agle
Pichhale Aima Me Se Kisi Ek Ne Bhi Ikhtlaaf Nahi
Kiya. Aur Ahl Biddat Ke Aqwaal Ki Koi Ahmiyat
Nahi. Yeh Log Darmiyan Hai Is Mukffar Ke Jis Ki
Gardan Mari Jaye Aur Is Faasiq Qarar Diye Gaye
Biddati Ke Jiska Kalma Bhi Qabool Nahi Aur Uski
Hujjat Mardud Hai.
18 Mujjadid E Alfsaani Allaihirrehma Farmate
Hai Ke :
65
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Shaikhain Ki Afzaliyat Baqi Ummat Par Qatayi
Hai, Inkar Wahi Karega Jo Jahil Ho Ya Mutaasab Ho
(Maktubaat E Rabbani Jild 2 Safah 36)
19 Hazrat Mujjadid E Alfsaani Allaihirrehma Ke
Khalifa Badrudeen Hindi Allah irrehma Likhte Hai :
Tamam Silsilo Ko Dar Haqiqat Hazrat Siddiq E Akbar
RadiAllah u Ta'ala Anho Se Intsaab Hai
(Hazraat Al Qudas Safah 23)
Hazrat Abdul Aziz Dabaagi Allaihirrehma
Farmate Hai : Nabi Karim ‫ ﷺ‬Ki Ummat Me Ek
Shakhs Bhi Hazrat Abubakar Ka Faiz Bardasht Karne
Ki Taaqat Nahi Rakhta Tha Aur Na Hi Aapke Qarib
Aane Ki Taaqat Rahta Tha, Khawa Sahaba Me Se Ho
Ya Unke Ilawa Fateh Kabir Ke Afraad Me Se
(Jawahir Ul Bahaar 2/359)
21 Imaam Abdul Wahaab Sharaani Allaihirehma
Farmate Hai : Muhammadi Aauliyah Me Sab Se Afzal
Abubakar Hai, Phir Umar, Phir Usman,Phir Ali (Al
Yawaqiyat Wal Jawahir Safah 437)
22 Allama Abdul Aziz Parharawi Allaihirehma
Likhte Hai :
Ulma Par Wajeeb Hai Ke Masla Afzaliyat E
Siddiq Wa Umar Ko Khususi Ahmiyat De
(Nibraas Safah 302)

66
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
23 Ala Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan Barelvi
Rehamhullah Ta'ala Farmate Hai : Ahl Sunnat Ki
Tamaam Kutub E Aqaid Me Afzal Ul Bashar Bad Ul
Ambiyah Abubakar Hai
(Fatwa E Razwiyah Jild 9 Safah 61)
Niz Ala Hazrat Ne Charo Khulfa E Rashdeen Ko
Apne Apne Zamane Ka Gaus Qaraar Dia Hai
(Malfuzaat Safah 237)
24 Humare Murshid Karim Qutub Aqtaab Faqih
E Aazam Peer Sain Mufti Muhammad Qasim Mashuri
Quds Sirah Farmate Hai : Isme Koi Shak Nahi Hai Ke
Ahl Sunnat Wa Jamaat Ka Yahi Aqeedah Hai Ke
Hazrat Abubakar Siddiq RadiAllah u Ta'ala Anho
Tamaam Sahaba Se Afzal Hai, Phir Hazrat Umar
Farooq RadiAllah u Ta'alaa Anhuma
(Qasim E Wilayat Safah 202)
25 Hakim Ul Ummat Allama Mufti Ahmad Yar
Khan Naimi Rehamtullah Allai Tahrir Farmate Hai :
Bad Ambiyah Abubakar Siddiq Ka Bada Parhezgaar
Hona Bhi Quraan Se Sabit Aur Bade Parhezgaaro Ka
Afzal Hona Bhi Quraan Se Sabit Hai, Lihaja Afzaliyat
E Siddiq Qatayi Hai, Iska Munkir Gumrah Hai
(Tafseer Noor Ul Irfaan Safah 983)

67
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
26 Hazrat Shaih Ul Islam Wal Muslimin Khawaja
Muhammad Qamarudeen Sialavi Allaihirrehma
Farmate Hai :
Yani Agar Tum Gaur Aur Tadbir Se Kaam Lo,
To Tumhe Malum Ho Jayega Ke Abubakar Fazilat Aur
Zohad Me Jameeh Sahaba Se Aagey Hai, Aapke Fazal
Wa Kamaal Aur Martabe Ke Liye RasoolAllah ‫ ﷺ‬Ka
Yeh Irshad Girami Kafi Hai Ke Abubakar Mere
Kaan,Aankh Aur Ruh Ke Bamanzila Hai.
(Mazhab E Shia Safah 85)
27 Hazrat Gazali Daura Allama Syed Ahmad
Saeed Shah Kazmi Rehamtullah Allai Farmate Hai :
Syedna Siddiq E Akbar Wa Syedna Umar Farooq
RadiAllah u Ta'ala Anhuma Ki Tafzil Jamih Sahaba E
Kiram Bashumul Hazrat Ali Murtaza Rizwanullah
Ta'ala Allai Ajmain Par Ahl Sunnat Ka Ijmayi
Aqeedah Hai. Is Aqeedah K Mukhalif Sunni Nahi Hai.
Uski Iqtadah Jaiz Nahi Hai.
Hazrat Ameer Muawiyah RadiAllah u Ta'ala
Anho Ko MazAllah Faasiq Kahne Wala Hargiz Sunni
Nahi Hai. Tamaam Sahaba E Kiram Rizwanuyllah
Ta'ala Allaih Ajmain Ahl Sunnat Ke Nazdik Bil Ittefaq
Wajeeb Ul Ahtraam Hai. Isliye Aise Shakhs Ki Iqtadah
Bhi Durusat Nahi.
Syed Ahmad Saeed Kazmi 9 Aug 1969
68
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
28 Hazrat Allama Syed Mehmood Ahmad Razvi
Rehamtullah Allai Farmate Hai : Ambiyah Wa
Mursalin Ke Bad Tamaam Makhluqaat E ILLAHI Jin
Wa Inas Wa Malaika Se Afzal Siddiq E Akbar Phir
Farooq E Aazam Phir Usman Gani Phir Ali Al Murtaza
RadiAllah u Ta'ala Anhum Hai
(Deen E Mustafa Safah 162)
29 Hazrat Abul Bayan Peer Muhammad Saeed
Ahmd Mujadidi Rehamtullah Allai Likhte Hai :
Wajeh Rahe Ke Khalifa E Rasool Syedna Siddiq
E Akbar RadiAllah u Ta'ala Anho Itqa,Akram,Aazam
Darja, Arham,Afzal Ul Ummat, Aalam,Alam Bil
Sunnat, Ashjah Jaise Isme Tafzil Ke Saigo Se Malqub
Hai(Sarmaya Millat Ka Nigehbaan Safah 163)
30 Hazrat Allama Gulaam Rasool Sahib Saeedi
Rehamtullah Allai Likhte Hai : Tamaam Sahaba Me
Hazrat Abu Bakar RadiAllah u Ta'ala Anho Sab Se
Zayda Ilm Aur Fazal Wale Thay
(Naimtul Bari Jild 2 Safah 555)
31 Aashiq E Rasool Aur Khidmat Ka Maidan Ho
Ya Fanafil Rasool Ke Martabe Ki Baat Chale, Jihaad
Aur Khatam E Nabuwat Ka Maarika Ho Ya Afzaliyat
Wa Ilmiyat Ki Behas Ho, Siddiq Ke Bagair Qadam
Nahi Uthhata.

69
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Quraani Irshado Me, Ahadees Ki Tasrihaat Me,
Fiqah Ki Kitabo Ke Andar Imaamat Ke Abwaab Me,
Aqaid Ki Har Har Kitaab Me, Sufiyah Ki Kitabo Me
Al Taarif Se Lekar Saif Ul Maluk Tak Ki Kutub Me
Charo Khulfa E Rashdeen Allaihimurrizwan Ko Bil
Tartib Bayan Kia Ja Raha Hai, Hata Ke Jumuah Ke
Khutbo Me Khaurul Khalq Bad Ul Ambiyah Abubakar
Al Siddiq Ki Sadaye Gung Rahi Hai.
Har Musnif Mizaaj Aur Tahqeeq Shiaar Ko
Manana Pdta Hai :
Naar E Siddiqi Ya Siddiq E Akbar
Naar E Farooqi Ya Farooq E Aazam
Naar E Usmani Ya Usman E Gani
Naar E Haideri Ya Ali
‫صیل اللہ عیل محمد والہ واصحابہ وسلم‬

70
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
Our Books In Roman Urdu :
(1-13) Bahaar -e- Tehreer (Ab Tak 13 Hisso Mein)
(14) Allah Ta'ala Ko Uparwala Ya Allah Miyan Kehna
Kaisa?
(15) Azaan -e- Bilal Aur Suraj Ka Nikalna
(16) Ishqe Majazi - Muntakhab Mazameen Ka Majmua
(17) Gaana Bajana Band Karo, Tum Musalman Ho!
(18) Shabe Meraj Ghause Paak
(19) Shabe Meraj Nalain Arsh Par
(20) Hazrate Owais Qarni Ka Ek Waqiya
(21) Dr. Tahir Aur Waqar -e- Millat
(22) Taqreer Karne Waala Kaisa Ho?
(23) Ghaire Sahaba Mein Radiallaho Ta'ala Anho Ka
Istemal
(24) Ikhtelaf Ikhtelaf Ikhtelaf
(25) Chand Waqiyaat -e- Karbala Ka Tehqeeqi Jaayeza
(26) Binte Hawwa By Kanize Akhtar
(27) Sex Knowledge
(28) Hazrate Ayyoob Alaihissalam Ke Waqiye Par
Tehqeeq
(29) Aurat Ka Janaza By Janabe Ghazal Sahiba
(30) Ek Aashiq Ki Kahani Allama Ibne Jauzi Ki Zubaani
(31) Huzoor Ki Shaan In The Quraan - Mufti Ahmad Yaar
Khan Nayeemi Rahimahullahu Ta'ala
(32) Husne Mustafa Aur Kalame Raza - Maulana Sajjad
Ali Faizi

71
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
(33) Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooqe Aazam -
Huzoor Tajushshariah Rahimahullahu Ta'ala
(34) Kya Hazrate Bilal Radiallaho Ta'ala Anho Ka Rang
Kaala Tha?
(35) Hazrate Bilal Ke Islam Laane Ka Waqiya Kya Tha?
(36) Sharah Mishkaat (Kitabul Iman) - Mufti Ahmad Yaar
Khan Nayeemi Rahimahullahu Ta'ala
(37) Chand Ghair Motabar Kitabein - Maulana Hasan
Noori
(38) Tirmizi (Part 1)
(39) Aaiye Namaz Seekhein (Part 1)
(40) Sharah Mishkaat (Kitabul Ilm) - Mufti Ahmad Yaar
Khan Nayeemi Rahimahullahu Ta'ala
(41) Sahih Bukhari Aur Ilme Ghaib - Allama Muhammad
Abdul Qadir
(42) Difa -e- Kanzul Iman - Huzoor Tajushshariah
Rahimahullahu Ta'ala
(43) Pehle Farz Nafl Baad Mein - Aala Hazrat
Rahimahullahu Ta'ala
(44) Qiyamat Ke Din Logon Ko Kis Ke Naam Ke Saath
Pukara Jayega
(45) Yaare Ghaar By Dr. Asif Ashraf Jalali
(46) Tie Ka Mas'ala - Huzoor Tajushshariah
Rahimahullahu Ta'ala
(47) Sawaneh Tajushshariah - Mufti Dr. Yunus Raza
(48) Huzoor Tajushshariah Aur Bukhari Shareef Ki Pehli
Hadees Ka Dars - Maulana Muhammad Raza Markazi
72
Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
(49) Huzoor Tajushshariah Ke Kalaam Mein Muhawraat
Ka Istemal - Muhammad Kashif Raza Shaad Misbahi
(50) Hussamul Haramain
(51) Haque Par Kaun? By Allama Muhammad Zafar Attari
(52) Shirk Kya Hai?
(53) Qurbani Ka Bayaan From Bahaar -e- Shariat
(54) Zibah Ka Bayaan From Bahaar -e- Shariat
Aulia -e- Rijalul Hadees By Allama Abdul Mustafa Aazmi
(55) Eisaiyat Se Islam Tak - Allama Ghulam Rasool
Qasmi
(56) Zambik Ka Maana Aur Masla -e- Durood - Allama
Syed Ahmad Sayeed Kaazmi
(57) Islami Taleem (Part 1) - Allama Mufti Jalaluddin
Ahmad Amjadi
(58) Muharram Mein Kya Jaiz Aur Kya Najaiz? - Allama
Tatheer Ahmad Razvi
(59) Muharram Mein Nikah By Abde Mustafa Official
(60) Islami Zindagi - Mufti Ahmad Yaar Khan Nayeemi
Rahimahullahu Ta'ala
(61) Riwayato Ki Tehqeeq (Part 1)
(62) Riwayato Ki Tehqeeq (Part 2)
(63) Sharahe Kalaame Raza - Al Hafiz Al Qaari Maulana
Ghulam Hasan Qadri

73
ABOUT US
Abde Mustafa Official Is A Team
From Ahle Sunnat Wa Jama'at
Working Since 2014 On The Aim To Propagate
Quraan And Sunnah
Through Electronic And Print Media.

We are :
Writing articles, composing & publishing books, running
a special matrimonial service for Ahle Sunnat

Visit our official website :


www.abdemustafa.in
about thousand of articles & 150+ tehqeeqi pamphlets
& books are available in Urdu, Roman Urdu & Hindi

E Nikah Matrimony
www.enikah.in
If you are searching a Sunni Life Partner then visit and find.
there is also a channel on Telegram
t.me/Enikah (Search “E Nikah Service” on Telegram)
Find & Follow us on Social Media Network :
/abdemustafaofficial
for more details WhatsApp on +919102520764

OUR BRANDS :

VIRTUAL PUBLICATION E NIKAH MATRIMONY SERVICE powered by Abde Mustafa Official

You might also like