Waqia Karbala

Download as txt, pdf, or txt
Download as txt, pdf, or txt
You are on page 1of 3
At a glance
Powered by AI
The passage discusses how Muslims mourn the martyrdom of Imam Hussain ibn Ali and his companions on the day of Ashura (10th Muharram) every year. It explains the events that took place in Karbala where Imam Hussain and his family were brutally massacred by the army of Yazid.

The passage explains that Muslims mourn on Muharram to remember the sacrifice of Imam Hussain ibn Ali and his companions who were martyred in Karbala while defending the teachings of Islam against the tyrannical rule of Yazid.

The passage provides details of the events in Karbala where Imam Hussain, his family members including his young son Ali Asghar, and his companions were denied water and brutally killed by the army of Yazid despite Imam Hussain's calls for justice and freedom.

Dosto aaj ki is video main main aap ko bataun ga kay Har saal lakhon caror

musalman Muharram 1 gham kay mahiny kay toor par kiun manaty hain

main aaj ki is video main koi falu baat nahi karu ga aur mera bolny ka andaz jesa
kay amuman dusri videos main hota hai is video main wesa nahi ho ga
main sirf upna faraz samj kar aaj ki yea video Imam Hussain ibne Ali aur karbal kay
72 shaheedo ki yaad main bna raha hu

Muharram islamic saal ka phecla mahina hai is mahiny ko Muharram is wja say kaha
jata hai kiun kay Yea wo mahina hai jis mahiny main Jang ya phir katal
karna haram hai Lakin Allah tallah nay Yazeedion kay dillion par assi mohren laga
di thi kay Wo sheetan kay b baap ban pethy thy
Isi Mahiny ki 10 tareekh yani kay 10 Muharram ko Nawas-e-Rasool Hazrat Imam
Hussain Ibne Ali Ko bedardi say Shaheed kiya gaya

Aaj Puri dunya main lakhon karoro musalman Imam Hussain Ibne Ali Aur un kay 72
shohda ki yaad main har saal Galiyon , Mohaly , Shaheeron Aur Sarkon par
Aahtejaj karty hain , in kay aahtejaaj karny ki wja kya hai, yea kiun aahtejaaj
krty hain , aaj ki is video main main bus yahi bataun ga

Imam Hussain Ibne Ali jub choty thy to Rasool Allah saww Imam Hussain ibne Ali Ki
Gardan Mubarak kay bosay lety thy yani kay aap saww Imam Hussain ibne Ali
Ki Gardan Mubarak par Pyar krty thy kiun kay aap saww ko pta tha kay 1 din meri
umat kay kuch loog mery hussain ki Gardan mubrak ko qalam kar dy gay
aur bedardi say shaheed kar dy gay

Rasool Allah saww nay Mimber par khary ho kar farmaya '' Pehchan lo yea Hussain hai
Isy kabi takleef maat dena Is ki hamesha madad karna Jis nay
Hussain say Muhabat ki us nay Mug say muhabat ki ''

Imam Hussain Ibne Ali nay jub nanny Shahzada e Ali Asghar kay lyea pani ka sawal
kiya to yazeedi lashkar main say kisi nay b unhain pani nahi diya
Imam Hussain ibne Ali upny lyea nahi, sirf aur sirf 6 maah kay choty sy bachy
Shahzada e Ali Asghar kay lyea pani manga tha
Yahan par mera 1 sawal hai '' 6 Maah ka bacha kitna pani pe sackta hai ? sirf pani
kay kuch katry
Lakin yazeedion nay phir b 6 maah kay bachy k lyea pani na diya

Maloon Harami hurmala nay 3 muu wala teer chalaya jo Shahzada e Ali Asghar kay Gala
Mubarak ko cherty hwy nikal gaya
Aab yahan par mera 1 sawal hai '' Agar aap kisi kay baap hain aur aap kay 6 maah
kay bachay ka'' jo abi bool tak nahi sackta '' agr us ka kata hua gala
aap kay hath main ho to aap ki halat kesi ho gi ?''
us kay baad agr bachy ki lash ko us ki maa kay samny kiya jaye to us maa ki kya
halat ho gi
mery is sawal ka jawab sirf aur sirf 1 bazameer maa aur aur sirf 1 bazameer baap he
day sackta hai

Jub Hazrat Ghazi Abbas Alamdar Bibi Sakina kay lyea pani leny k lyea gaye aur rasty
main hazaron yazeedion nay aap par hamla kiya aur aap kay
Bazu mubarak ko kat diyea us waqat Zameen kesy kanpi ho gi Allah ka farsh kesy hila
ho gaya

Bibi Sakina jo kay Imam Hussain ibne Ali ki choti beti thi Aap Upny Baba Mola Imam
Hussain kay seeny par sar rakh ke soti thin
aap ki beti aap kay dill ka sukoon thin

Imam Hussain janty thy kay mugy shaheed karny k baad meri betiyon ko isi sar zameen
e karbala say sham aur phir yazeed pleet kay darbar main lay kar jaya jaye ga
Imam Hussain nay isi wja say Karbala ki zameen say phecly he kanty utha kar zameen
saaf kar di thi ta-ke meri beti kay qadm mubarak par yea kanty na
lag sackain

Mola Imam Hussain jub Hazrat e Qasim ki last uthany k lyea medan main gaye to 3
Baar Pukara Qasim kahan ho 3no par jawab na mila
phir Imam Hussain nay farmaya '' Imam Ho kar hukam deta hu batao Qasim kahan ho tum
''

to mashrik say awaz ai , magrib say awaz ai , charon taraf say awaz ai chacha Main
yahan hu , chacha main yahan hu, chacha main yahan hu ,
kahi bazu tha kahi tang aur kahin sar

Mola Hussain nay Hazrat e qasim kay tookron ko ikhta kiya aur 1 gathri banai aur
phir kaha Hussain Ghreeb ho gaya Haye Hussain Ghreeb Ho Gaya

aur phir Imam Hussain ibne Ali ko shaheed kar diya, Imam Hussain ibne Ali kay
jisam ka koi asa hisa na bacha tha jis par teer na hon pura jisam
teeron say tar tha

bus isi wja say Puri dunya Imam Hussain Ibne Ali Aur Un Kay 72 Shahoda ki yaad main
gham manati hai kay Ale Rasool Kay Sath yea kesa zulam kiya gaya

bus mug main is say zayada himat nahi kay main aap ko mazeed karbala kay bary main
bata saku

isi tarhan Imam Hussain ibne Ali nay Islam ko Zinda kiya Kya Khoob kaha hai kisi
nay'' Islam Zinda Hota hai Har Karbala kay baad ''

Darooed o Salam Ho Imam Hussain Ibne Ali Aur Un Kay Ashab Par Aur Lanat Ho Un
Yazeedion par Jinhon Nay Imam Hussain ibne Ali Aur Un Kay Ashab ko Shaheed kiya

lakin last main main itna kehna chahu ga kay Allah tallah hum sub ko Imam Hussain
ibne Ali Kay bataye hwy rasty par chalny ki toufeek ata kar ameen

You might also like