Nothing Much......
Nothing Much......
Nothing Much......
Saase tham si jati hain par jaan nahi jati, Dard hota hai par aawaz
nahi aati, Ajeeb se log hain is duniya mein, Koi bhul nhi pata to
kisi ko yaad nhi aati....
Meri aankhon ke saamne tera chehra ho, Tere chehre par mera
pehra ho,
tujhe mujhse ishq ho khuda kare, yeh ishq samandar se gehra ho
kabhi rishte badal gaye kabhi iraade badal gaye hum na badle
magar tere waade badal gaye mohabbat ke andheron mai patther
pighal gaye gairo'n se kya gila jab apne badal gaye
Patto ki tarha bikhra sa hua tha Usne sameta, to bhi jalane ke liye
har raat mujhe ek naam yaad aata hai, kabhi subah kabhi sham
yaad aata hai.
Jab sochta hoon ki kar loon dusri mohabbat, toh pehli mohabbat
ka anjaam yaad aata hai
Zindagi ek raat hai, jisme na janee kitne khwab hai, Jo mil gaya
wo apna hai, jo tut gaya wo sapna hai
Neend Ki Goliyan Bhi Kal Raat Kehne Lagi,, Hum Insanon Par Asar
Karte Hai Ashiqon Par Nahi
Ishq ne dekho kaisi tabahi macha rakhi hai Aadhi duniya pagal aur
aadhi shayar bana rakhi hai
ro raha hun muddat se, ho gya tha jo Ishq shiddat se,
tajurba hai, tab hi toh keh raha hu, maut acchi hai is mohabbat se
Har dil ka ek raaz hota hai, Har baat ka ek andaaz hota hai, Jab
tak na lage bewafai ki thokar Har kisiko apni mohabbat par naaz
hota hai
bin awaaz rona, kisi se kuch na kehna, din bhar tadpna, aur tanhai
sehna,
mile wo jo kabhi, toh unse kehna, barbaad karke mujhko, wo
khush toh hai na
Woh khush hai Par shayad hum se nahi, Woh naraz hai par shayad
hum se nahi,
Kon kheta hai unke dil mein mohabbat nahi, Mohabbat toh hai par
shayad hum se nahi
Hum lafzon mein kuch bhi izhaar nahi karte, Matlab ye nahi ke
hum kisi se pyaar nahi karte."
Chahte hai kisi ko aaj bhi hum Uski manatein kar ke usse bezaar
nahi karte.
Tamaasha na ban jaye kahi mohabbat meri, Isliye kabhi dard ka
izhaar nahi karte
Kisi ki yaado'n ne pagal bana rakha hai, Kahi mar na jaaun kafan
sila rakha hai,
Dafnane se pehle dil nikal lena, Kahi woh na dafan ho jaye jise dil
mein chupa rakha hai
Lagi hai chot dil mein dikha nahi sakte, Bhulana bhi chahe tumhe
bhula nahi sakte,
Mohabbat ka anjaam yahi hota hai, Jiske liye taraste hain usey
paa nahi sakte.
Vo naam tha badal gaya, Main shaam tha dhal gaya Vo ashk tha
beh gaya, Main dard tha seh gaya Vo tufaan tha guzar gaya... Par
Main insaan tha Jo bikhar gaya
Tujh se bichad kar na jaane kyun, Mera dil ye ghabra raha hai,
Na jaane tu mujhse khafa hai ya, koi gair tere kareeb aa raha hai.
Chup Chup kar tanha rolunga Ab Dil ka Dard kisi ko na kahuga....
Nind to aati nahi raato ko muje... Jab rukegi dhadkan to ji bhar kar
so lunga
roti hui ankhon mein intezaar hota hai, na chahte hue bhi pyaar
hota hai. kyun dekhte hain hum wo sapne, jinke tootne par bhi
unke sach hone ka intezaar hota hai
Husn Khuda ne diya Aashiq hum ho gaye, Tum naseeb mai kisi aur
ke the Barbaad hum ho gaye,
Unki chahat mein dil majbur ho gaya, Dard dena unka dastoor ho
gaya,
qasoor unka nahi humara hi hai, Humne chaha etna ke unko
guroor ho gaya
Zakhm itne bade hain Izhaar kya kare,
khud nishana ban gaye Vaar kya kare
Mar gaye hum lekin Khuli reh gayi aankhe,
Ab isse zyada kisi ka Intezaar kya kare.
Haasil toh bohot kuch karna tha zindagi mein, Tum aaye toh
hasratein tum tak hi mehdood ho gaya
Har mumkin koshish kari magar wapas bula na paya use Yu to Jaa
chuki hai kabki wo Magar Aaj bhi bhula na paya use
Khayalon mein wahi, sapno mein wahi, Lekin unki yaadon mein
hum the hi nahi,
Hum jaagte rahe duniya soti rahi, Ek baarish hi thi, jo humare sath
roti rahi...
Jo mil na saka uska, intezar kyun hain Jo mil raha hain usse, inkar
kyun hain Badda mushkil hain samjhana khud ko Jisey fiqar hi
nahin hamari Uske liye itna pyar kyun hain!
shayri Sjane ke liye dil ko Rona padta hai aasan nhi h Shayar
banna iske liye bhi mahboob khona padta hai
Tabaah hokar bhi tabaahi dhikti nahi yeh ishq hain, iski dawaai
bikti nahi
manzil toh teri yahi thi bas, zindagi guzar gayi aate aate,
kya mila tujhe is duniya se, apnon ne hi dafna diya tujhe jaate
jaate
Pathar ki hai dunia jazbaat nahi samjahti, Dil me kya hai ye baat
nahi samajhti.
"Tanha tov Chand bhi hai sitaron k beech, Lekin Chaand ka dard
bewafa raat nahi samajhti
Kitni raatein beet gayi, Kitne din beet gaye. Bas nahi beeta to,
Yaadon ka wo pal, Guzra hua wo kal, Nahi beeti to, Aankhon ki
nami, Aur teri kami.
Hazaron baar dekhi hai surat uski maine, Phir bhi har baar ek nayi
kashish si lagti hai..! Har roz dubta hoon thoda aur aankhon mein
uski main, Har roz ek nayi mohabbat si lagti hai
Aaj thoda pyaar jataa du kya, Tum mere ho sabko bata du kya!
Teri kalai jo pakad lu mein, Haaye meri jaan gawa du kya!
Mera kamra bahut udaas hai, Teri ek tasveer laga du kya!
Tumhe likhne me din chala jayega, Tumhe sochne me raat bita du
kya
Udas Hoon Par Tujhse Naraz Nahi.. Tere Dil Main Hoon Par Tere
Pass Nahi... Waise To Sab Kuch Hain Mere Pass... Par Tere Jaisa Koi
Khass Nahi
Sab theek tha na Jane Fir kya baat ho gayi
Hawa ka jhoka aaya Bin mausam Barsaat ho gayi
Zindagi yun badli mere palak jhapte hi Khushi mein din guzra aur
gam bhari meri raat ho gayi!
Kar sitam jitne bhi magar Is dill mai dhadkan tere naam ki hogi
Adhuri khwaish toh bohot hai meri Per akhri khwaish tere didar ki
hogi"
Roti hui ankho mein intezar hota hai, Na chahte hue bhi pyar hota
hai; Kyu dekhte hai hum wo sapne? Jinke tootne par bhi unke
sachh hone ka intezaar hota hai!
Tere aane ki umeed nhi h magar Kaise keh du ki tera intezaar bhi
nhi? Km h tumhare sath k pal magar
Kaise keh du k vo pal khoobsurat bhi nhi?
Tujhe dekh kr andekha kiya h magar Kaise keh du k tujhe jee bhar
kr dekha bhi nhi?
Mana k tujhko kho diya h maine magar
Kaise keh du tujhko paane ki chah bhi nhi?
Ek chaand tha mera jo badlon mein kho gaya, Maine badal hatne
ka intezar kiya toh woh chaand kisi aur ka hogya
Ham ne bhi beshumar Ishq Kiya Hai Na jaane kya nahi pagalpan
kiya hai,
Log kaato se bachkar chalte Hai Hame toh phoolo ne bhi zakhm
diya hai
Tera jana seh nahi paya mai, Per Tera aana manjoor nahi, Tujhse
nafrat kar lunga mai,
Per tujhe bhulana manjoor nahi
Bhulaa kar sab kuch firse sawaar do mujhee, Murjha gya hu Ishq
se Zara nikhaar do mujhe.., Ghayal kar diya hai teri duriyoon ne
mujhe.., Yaa to laut aao ya Apne hathon se khatam kar do mujhee
Unke deedar ke liye dil tadapta hai, Unke intezar mein dil tarasta
hai, Kya kahein is kambakht dil ko, Jo apna hokar bhi kisi aur ke
liye dhadakta hai
har din tujhe bhoolne ki koshish, har din tujhe paane ki duaein,
ek meri ye be-panah mohabbat, ek teri bewafayi aaye haaye
Saalon guzar gaye rokar nahi dekha, aankhon me nind thi sokar
nahi dekha,
woh kya jaane dard mohabbat ka, jinho ne kabhi kisi ko khokar
nahi dekha
Tumse dur jane ka irada to nhi tha, Sath rehne ka wada bhi to nhi
tha, Tum yaad nhi karogi ye jante the hum Par itni jaldi bhul jaogi
andaza nhi tha
Dua mangi thi aashiyane ki, Chal padhi aandhi zamane ki,
Mera dard koi nahi samjh paya, Kyu ki mujhe aadat thi
muskuraane Ki
Agar Teri Tarif karne baithu to ye Zamana Lag Jaye Dekh ke Teri ek
jhalak ye Chand Bhi Deewana Ban Jaaye
Rok Dena Janaza Mera Jab Uska Ghar Aaye, Kahi Woh Khidki Se
Jhanke Aur Mera Dil Dhadak Jaye
Subah bhi udaas thi Shaam bhi udaas thi Kafan me lipti meri
Mohabbat Ki laash thi
Aye duniya walo mujhe Waha dafan Karna Jaha meri aur uski Pehli
mulakaat thi
bohot udas hai koi tere chup ho jane se, ho sake toh baat kar kisi
bahane se
"tu lakh khafa he sahi, magar itna toh dekh, koi toot gaya hai tere
rooth jaane se"
Khushiyon se naraz hai meri zindagi, Bas pyar ki mohtaaj hai meri
zindagi, Hass leta hun logo ko dikhane ke liye, waise to dard ki
kitaab hai meri zindagi